• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
कुछेक सालों की खुमारी तो रहेगी ही ।
लेकिन सोचने वाली बात यह है कि एक लड़की , एक बीवी ने आप को पिंजरे मे बंद करने जैसा हालात पैदा कर दिया , अगर दो चार लड़कियों के साथ एक्स्ट्रा मैरिटल अफेयर्स वाली सिचुएशन पैदा हो गई तो फिर क्या करेंगे ? :D
Tab to the end hai :D
Bandha hua nahi hai bhai par ab mei uske samne likh kar ye site nahi khol sakta..kuch personal batein to khud tak hone chahie na :D
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Story ke Kitne points the jo apan apne review me mention kiya note down kiya ab apan bhul gaya men dobara puri story read karna honga fir apan sahi se review de paayega :faint:

Plus aarohi is mine OK :roll:
Koi jaruat nahi padegi dubara padne ki bhai.. Yaad aa jayega..
 
  • Love
Reactions: Aakash.

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
A Small Recap :

Aaruhi, Vishal,Meghnath aur Shruti, charon meghnath ke banaye hue plan ke mutabik Amazon Jungle ke safar ki aur chal padte hai. Kafi uljhano aur mushkilo ko paar karne ke baad vo Mystery Box ka use karke kisi tarah ek anjan gufa main ghuste hai jo shayad ek bahut purana temple raha hoga. Vo charon wahan jab pahunche hai to wahan unhe ek chota sa pond milta hai jiske andar unhe ek taraju ke akar ki chiz milti hai jisme vo apne sath layi purani books ko rakh kar " Book Of Hoax " ko khoj nikalte hai. Book ko hoax ek aisi bhasha mein likhi thi jise pehle aaruhi ne pada aur baad mein shruti ne padna shuru kiya. Vo insan jiski hatheli vo kitab apnati hai sirf wahi padh pata hai anyatha koi nahi. Girls Hostel se Amazon ka jungle safar kafi lamba aur kahani bahut pechida rahi hai. Aaruhi ki dimagi bimari, hostel ke hadse aur Aaruhi ki split personality. Shruti ki kufia giri aur hostel college ki badmashi. Ab kitab mein aisa kya hai jo janna hai ye unhone padna shuru kar diya hai. Kuch yaadein taza karne ke liye Update - 114 padh le taki aane walle update mein koi uljhan na ho. Ab iske aage kahani kya kehti hai vo agle update main hai.

Update ~~ 115

" mera hath nahi nikal raha hai vishal.. " vishal ko nahi pata tha ki shruti ne hath rakh diya hai, vo fauran shruti ki kareeb aya.

" tumne rakha hi kyun tha "

" mujhe kya pata ... tum log jabardasti nahi bol kar bhi blackmail kar gaye to rakh dia maine.. ab fans gaya ab kya karun.. "

" ba.a..ba... " vishal bolte nahi bol paa raha tha.

" baaab baakya kar rhe ho kuch karo.. " shruti chillai to piche se meghnath aur aaruhi wapis podium par aa gaye.

" tumhara hath fans gaya ? "

" nahi maza aa raha hai mujhe... faltu baat mat karo.. ab mujhe bhi dard hoga.... pakkaa.... " shruti ne kaha aur uski icha puri ho gayi, ek aseem dard uske badan mein daudne laga aur vo dard mien cheekhne lagi.

" dard ho raha hai.... aaaarrghhhhhh " shruti chilla rahi thi vishal use shant karne ki kosish kar raha tha lekin vo shant nhi ho rahi thi. Ek baar fir panne par khoon se lakrein banne lagi aur chitr ka roop lene lagi. Shruti ka dard shayad kam hua tha isliye vo ab chilla nahi rahi thi lekin use takleef ho rahi thi. Vo lakrein badti jaa rahi thi aur chitr banta chala jaa raha tha. Fir vo samay aya jiska sabko intezar tha yahan to lakrein aaruhi ke jaise wapis aane wali thi ya fir aage badhne wali thi. Aur hua wo jiski kisi ko kalpana nahi thi, lakrein aage badh gayi aur ek chitr ke roop mein badal gayi jiske bante hi shruti ka hath kitab se azad ho gaya aur usne fauran use hata liya.

Kitab par ek behad hi ajeeb chitr bana tha jise shayad hi samjha jata. Shruti ne jab book ka panna uthaya to vo uth gaya aur usne use palat diya.

'Samay aur bharman ki rachna us shakti/urja ke visfoot se hui jisne hamari yani ki Creators ke vajood ko janam diya ' Jab in baton ko shruti ne pada to sabhi uski taraf hairani bhare bhaav se dekhne lage.

" tum kaise padh paa rahi ho? " vishal ne pucha.

" patani .. dekh kar apne aap hi bol padi "

" Yani tum bhi ab is kitab se jud gayi ho " meghnath ne kaha aur kuch sochne laga. Uska ek hath apne per par tha jisme use behad dard ho raha tha. " Tum hi pado ab.. shayad kitab yahi chahti hai " meghnath ki baat sunte hue shruti ek pal sabhi ke chehre dekhne lagi aur padna shuru kr dia.

' Humari pehchan us samay humare liye bhi anjaan thi. Samay aur bhraman ka gyan hamare liye anjaan tha. Na jane kab tak mein hum ek dusre se behtar banne ke liye bharamaan mein bhraman karte rahe. Jo shakti hume anukul roop mein pradan hui thi uski shakti ko samajhne lage . Jaise jaise un shaktiyun ka abhas hua, apne gyanta samajh ayi tab is bhraman aur samay ki shakti ka ehsas hone laga aur us shakti ka bhi ehsas hua jiski urja hamare andar thi, wahi urja jisne is pure bhraman ki rachna ki.

Bhramaan jiska koi ant nahi jo ananatkal tak sirf ek roop mein failta jaa raha hai aur samay jo use juda hai jiske bina vo adhura hai. Bina samay ke bhramaan kabhi nahi ban sakta.

Apni shakityun ke gyaan, Samay ka upyog kar bhramaan ko ek roop mein dhalne ka faisla karte hue sristhi ka nirman kiya jiske liye shayad hamara janam hua tha. '

" padti raho.. " utejna sabhi ke man mein badh chuki thi.

' Samay aur bhraman dono kabhi alag nahi ho sakte, dono ek dusre ke swaroop parantu alag hai. Jahan samay gyan ke roop mein hume dikhta nahi wahin bhramaan samay ke adheen apne karye ko darshata hai. Hum Creators ne apni shakti ko samajh kar jab sara dhyan Samay ko diya tab uske gyan swaroop humne srishti ka nirman kiya.'

' Samay ka koi ant nahi aur use milne wale gyan ka bhi koi ant nahi hai. Hamare dwara srishti ka nirman bina samay ke asambhav tha. Isliye samay is badhkar kuch nahi hum bhi nahi ' Shruti ne panna palat diya lekin vo padti use pehle apas ki baat cheet ki wajah se use rukna pada.

" Hum ise kya samjhna cha rahe hai? " vishal ke man mein ajeeb se sawal panap rahe the.

" Is universe ka creation vishal.. Shayad sunne mein itna gehra nahi lagega par mehsus karke dekho to aisa lagega mano ankhon ke samne hi uska nirman ho raha ho, aage pado shruti " aaruhi ne kitab ki aaur dekhte hue kaha. Aaruhi kitab mein likhe shabdon ko pehle ki tarah ab samajh nahi paa rahi thi.

' Shakti ko samay se mila kar humne bhraman to bana diya aur srishti ke sanchal ke liye apne anay roop bhi lekin samay ka gyan abhi adhura tha.Samay ke piche chuppe kai baton ko janna baki tha.'

' Samay ki shakti ko janna kathin tha, kyun ki vo samay hai, sarvocham, hum bhi uske adheen hai uske niyamo se bandhe hue hai. Lekin jo shakti hume mili hai usne hume samay ko janne ki shamta pradan ki hai jise ikatrit kar hum apne vartaman se samay ke anne walle kaal ko jaan aur samajh panne ki kshmta rakhte hai parantu usme dhakal nahi de sakte, use badal nahi sakte.'

' Samay ek aisa chakra hai jisme hum piche nahi le jana chahie aur na hi bhavishye mein. Bhramaan ki har vastu ke har kann mein samay hai ek hi kann main dhakal dena yani samay ko badlna. Samay ka adhura gyaan vinashkaal ki aaur le jaa sakta hai isliye samay ki sahi disha mein chalna hi uttam hai. Samay ke sath ched-chaad karna behad ghatak ho sakta hai isliye sansar ke nirmaan ke liye samay ko sambhalne ki takaat aur uska sahi upyog behad jaruri tha '

" Samjha tum logon ne.. " meghnath turant bola.

" Agar main galat nahi hun to kya isme Time travel ki baat kahi gayi hai? " vishal bola.

" bilkul.. aur agar tumhe samajh aya to isme likha hai ki hume time ke sath khilwad nahi karna chahie "

" Yani time travel possible nahi hai? "

" Possible ho to bhi nahi karna chahie.. aur agar kar bhi liya to badalna nahi chahie, kya ye sanket hai ki agar aisa hua to kuch acha nahi hoga? "

" shayad aage likha ho.. shruti agla panna.. " vishal ne uski taraf dekha aur shruti ne panna palat diya.

' Samay ka gyan kabhi purn roop se uday nahi kiya ja sakta kyun ki vo khud samay ke sath badhta jata hai. Jab humne is mahakaal bhraman mein srishti ka nirman shuru kiya tab hume samay ke mehtav ko paya aur uska upyog srishti ke liye kitna mehatavpooran hai humne samjha. Samay ka gayan srishti ka nirmaan is tarah ka mel tha jisne hume samjhaya ki samay ek nahi hai. Hum samay anusar srishti ko bant sakte the. Uska nirman aur uska badlav kar sakte the. Kyun ki srishti ka badlav karna behad jaruri tha.'

' Srishti samay ke adheen hai, yani samay har srirshti ke liye alag hai isliye bhramaan ki gatti har samay badti rehti hai kyun ki har srishti apne aap mein ek alag samay ke sath aage badh rahi hai. '

" Yani hum akele nahi hai.. is kitab ne is baat ko sidh kr diya. " shruti panna palati use pehle meghnath bol utha.

" Ye baat science hume pehle se hi kehti ayi hai "

" Lekin ye science nahi hai vishal, ye satya hai.. Ye uski banai hui kitab hai.. jisne is srishti ko banaya hai.. hume banaya hai.. aur na jane kitne hai hamare jaise.. alag alag roop mei.. " meghnath ki baat aaruhi ne puri ki.

" yani jo samay hamare liye hai vo shayad kisi aur ke liye hamara past ho ya fir koi future.. kyun ki samay sabke liye alag hai.. isliye hume aaj tak koi mila hi nahi kyun ki vartaman mein hamare samay ke sath koi hai hi nahi. Hum itni badi galaxy ke kone mein hai, ek solar system ke chote se planet par.. jispar itne bade planet sun ki roshni ko pahuchne mein takreeban 8 min 20 second lagte hai to socho koi humse dur ho aur usko hume dekhna ho to kitna waqt lagega? jab tak uske vo dekhega shayad ya to hum nahi milenge ya fir abhi tak vo dianasaur ko dekh rha ho jo billion saal pehle the. Hum kabhi kalpana bhi nahi kar sakte ki kitna calculative banaya gaya hai. Kisi aur ko khojne ke liye samay ko samjhna behad jaruri hai "

" To tumhe lagta hai vo is kitab mein likha hoga? " vishal ne pucha jispar aaruhi ne han mein sar hila dia. Sabhi ke dil bechain the kyun ki agar sahi mein aisa hua to shayad manav itihas ki ek aisi khoj hoti jo usko puri tarah se badal kr rakh deti. Shruti ne panna palta aur aage padna shuru kiya

' Samay jiski shakti andekhi hai, jo kabhi sthir nahi hai, jo bhutkal, vartaman aur bhavshye ko tol kar ek naye samay ka nirman karne mein saksham rakhta hai. Creators ki banai gayi sabse mehvatpooran par sabse anokhi kaddi jo samay se judi hai, jiski koi ginti nahi hai par fir bhi ek gina jata hai. Anek par ek, jiski kadi ek hai par vo hai behad. 'बहुविश्व' '

" kya? " vishal ne shruti ko ek dum se roka. " Kya kaha tumne? "

" बहुविश्व "

" matlab kya? "

" mujhe nahi pata "

" tumne pada hai tumhe to pata hoga, translate to tum hi kar rahi ho "

" mujhe nahi pata vishal, main khud nahi janti ki main ise kaise padh paa rahi hun, tum ... " shruti kuch kehti use pehle aaruhi bol padi.

" Multiverse "

" Multiverse? " kuch der ki chupi ke baad meghnath bola.

" बहुविश्व ek sanskrit word hai jise Multiverse kaha jata hai "

" Multiverse to sirf ek theory hai na? " vishal bola.

" han jaise time travel.. "

" yakeen nahi hota .. yani main akela nahi hun, mere jaise aur bhi hai alag dunia mein? "

" alag dunia mein nahi.. balki replica of time mein jise tum multiverse keh sakte ho. Multiverse aur timeline mein farak hai, timeline earth ki kai ho sakti hai but ek timeline sacred hogi jo true timeline hogi jispar hum chal rahe hai. But multiverse jo replica jiski khud ki bhi timelines hogi aur uski bhi ek sacred shayad "

" Yani har multiverse ki apni timeline? "

" shayad yahi book batana cha rahi hai.. "

" Yani mera koi roop replica earth pr bhi hoga same to same? " vishal ne pucha.

" jaruri nahi hai ki yahi roop ho alag ho sakta hai yahi shayad multiverse aur timeline mein farak hai.. "

" abhi bhi nahi samjhe "

" aisa samjho ki tum vishal is timeline mein ho to har timeline mein tum yahi roop mein rahoge naam bhi yahi rahega but ye jaruri nahi ki jahan tum ho wahin raho, vo tumhare us timeline ke decisions par depend karega par agar multiverse ki baat kare to tum vishal jaruri nahi vishal raho kya pata tum koi aur insan ho ya fir janwar ke roop mein ho .. par tumhara soul yahi hoga jo tumhare andar abhi hai.. samjhe? " aaruhi ne gaur se teeno ko dekha jo usko ghur rahe the.

" To aisi kitni timelines aur multiverse exist karte hai? " meghnath ne pucha. Vo teeno aaruhi ki baaton par vishwas se jada ye nahi samajh paa rahe the ki use itna kaise pata.

" pata nahi... timelines are like chain reaction.. vo infinite bhi ho sakti hai aur shayad wahi multiverse ko trigger karti ho " aaruhi ne jawab dete hue kaha.

" matlab? "

" tum log apas mein kyun puch taach kar rahe ho.. Ye dekho agle page par kya hai.. " shruti ke kehne par sabne kitab par nazar lagai aur usne fir wahi shabd pada jiske baad kitab ke sabse uppar likhe akshar sunhare shabdon mein piro gaya.

' बहुविश्व '

" बहुविश्व (Multiverse) samay ka vo ujagar tha jisne samay ki gehrai ko aur badha diya tha. Ek se adhik samay yani कालरेखा '

" timeline " aaruhi ne turant bataya.

' कालरेखा (Timeline) jo samay ko adbhut banata hai parantu utna hi jhatil bhi. Timeline aur multiverse ko samajhne ke liye jab Creator ne uska aur adhyan kiya tab unhe uski jhatilta aur uski haani aur uske padne walle prabhav se sansar par kitna asar padh sakta tha parantu samay se milne walle labh ko gawaya nahi jaa sakta tha isliye Creator ne ispar aur adhyan karne ka vichar kiya aur usi dauran Creator ki shakti se ek jeev ka janam hua jiska naam pada ' कलि रुप्यकम् '

' कलि रुप्यकम् ek aisi shakti se janma tha jiske andar utni shakti maujud thi jitni Creator ke pas maujud thi. Creator ko uski shakti ka ehsas uske prakat hone par hi ho chala tha aur unhe malum tha ki wahi hai jo multiverse ke astitv athva use sichne aur sambhalne ke kabil hai. Uski shakti hi hai jo multiverse timeline ko ek ek kar piro kar sambhal sakta hai. Isliye Creator ne apne putr 'कलि रुप्यकम्' ko multiverse ki mehtava samjhate hue use samay ke fayde aur uske ho sakne walle nuksan ke gyan se bhar diya.Creators ne use apne gyan dete samay sirf ek hi baat kahi thi ki vo kabhi khud ko na dekhe aur apni shaktiyun ko samay se bandhe rakhe.

'कलि रुप्यकम्' ne apni shuruwat wahan se ki jahan kuch nahi tha. Sansar samay par tika hai isliye samay behad jaruri hai aur samay ko bachane aur sansar ke santulan ko dhayan mein rakhte hue usne multiverse timeline ke liye ek aisi jagah banai jahan vo Multiverse ki sthapna aur uska sanchalan kar sakta tha.

'रिक्त'

' कलि रुप्यकम् ne 'रिक्त' ke jariye 'शून्यस्थानम्' ka nirman kiya. 'शून्यस्थानम्' yani vo jagah jo ek dum khali hoti hai. Creator dwara di gayi shakti aur samay ke gyan se usne aisi jagah ka nirman kiya jo bilkul khali thi ek aisi jagah jahan kuch nahi tha, samay bhi nahi. '

" He created Void Space without time " Aaruhi ne baat ko samjhaya to teeno soch mein uski taraf dekhne lage.

" Yani usne timeline banai bina time ke? " vishal abhi bhi confuse tha.

" Nahi.. Void space ke liye time ki jarurat nahi. Usne khud ki duniya banai aur samay ka utna hi upyog kiya jitna uske liye jaruri tha. Par void space hi kyun? "

" shayad kitab ke aage panne mein clear likha ho.. " aaruhi ne kaha aur shruti ki taraf dekhne lagi. Usne bechaini bhare man se kitab ka panna palat dia.

' कलि रुप्यकम् ne 'शून्यस्थानम्' (Void Space) banaya jisme vo akela tha, gyan se bharpoor, par bina kisi ghamand ke vo apne bataye gaye karye mein jaise dub gaya. Jahan Creators ne srishti ka nirman karna shuru kiya wahan usne us sristhi ko Samay mein bandhna shuru kiya, Ek ek kar usne us srishti ko timeline mein pirona shuru kar dia. Vo creator ki banai gayi srishti ki sundarta se behad prabhvit tha. Uski sundarta uski ankhon se ojhal nahi ho rahi thi vo nahi janta tha ki sansar itna sundar ho sakta hai. Us pal uske man mein icha prakat hui kaise is sundar srishti mein rehne ka mauka prapt ho, ye pehli dafa tha jab uske man mein koi icha jaggi thi. Creator dwara banai gayi srishti uske man se nikal nahi paa rahi thi, wahin dusri taraf uski banai hui dunia vo Void Space jo banjar thi jahan uske alawa koi nahi tha, us dafa pehli baar uske man mein ईर्ष्या utpan hui lekin usne kabhi use zahir nahi hone diya. Vo janta tha uska janam kis mehtavpooran kaam ke liye hua hai '

" Kitab main multiverse aur timeline ke bare mein batane ki jagah ye kya bata rahe hai? " shruti ne khud hi padte hue khud ko roka.

" Jo shayad hume janna ho wahi bataya jaa raha ho " aaruhi ne jawab diya.

" kya matlab? " shruti ne use dekhte hue pucha.

" kitab jo batana chahti hai uske aage hum majbur hai, jo vo batana chahti hai hume to wahi sunna padega. Aur waise bhi multiverse aur timeline ki baaton ko jaan kar hume kya milega? " meghnath ne aaruhi ke bolne se pehle bola.

" vaise bhi book mein likha hai ki hum time travel nahi kar sakte "

" nahi karna chahie.. kar nahi sakte ye kahin nahi likha book mein " vishal ki baat par shruti ne turant jawab diya.

" same hi baat hai.. " vishal itna keh kar ruk gaya.

" bekar ki baatein karna ka koi fayda nahi hai. Book ki batein hume jahan lee jaa rahi hai hume wahin jana chahie. Shayad aage kuch ho.. tum padti jao " meghnath ne baat khatam karte hue kaha to shruti ne bhi bina kuch kahe padna shuru kar dia.

' Creator uski mehnat aur lagan se kafi prasan the Multiverse Timeline ka nirman ho chuka tha use bandh kar rakhne mein koi samsya na aye isliye Creator ne कलि रुप्यकम् ko shakti ke roop mein ek aur shakti di jise vo khud kisi jeev ko janam de sakta hai '

'Jab Creator dwara sansar ka nirman pura hua aur कलि रुप्यकम् dwara multiverse timeline ka nirman bhi to usne sabhi timelines ko apne नियंत्रणं mein le liya. Uske man mein ek icha jaagi jise usne Creator ke samne rakha. Vo chahta tha ki multiverse ek behad adbhut aur sansar ke liye upyogi sabit ho sakti hai isliye samay ke is shakti ko vo sansar mein baantna chahta tha taki Creator dwara banaye gaye jeev iska upyog karke sansar ki bhalai kar sakte hai, samay ko samajh sakte hai parantu Creator ne कलि रुप्यकम् ki is baat ko swikar nahi kiya. Vo sansar ko samay ki itni mehtavpooran vastu dena nahi chahte the. \

'Samay balwan hai sabse uppar hai, sansar ka niyantaran bigad jane ki wajah se unhone कलि रुप्यकम् ki baat ko swikar nahi kiya. Parantu us pal Creator कलि रुप्यकम् ke man mein chal rahi gathividhi ko samajh na sake '

'कलि रुप्यकम् ka samjhna tha ki Samay shakti aur gyan se bhara hai aur shakti dene se sansar ka bhala hona tay tha. Multiverse Timline ka bhojh vo apne uppar se hatana chahta tha taki vo apni icha puri kar sake, vo icha jo uske man mein kab se thi, Creator ki banai gayi dunia mein janne ki jo Timeline ke bhoj mein dabi hui thi. Parntu Creator ke mana karne ke baad vo kuch nahi kar sakta tha.

' Vo us Void space mein akela tha, koi nahi tha uske sath, use srishti se irsha hone lagi thi. Usne void space ko creaters ki hi tarah sundar banane ki thaan li lekin vo har kosish mein nakamayab raha. Is asaflta ne andar hi andar use vichlit aur krodh se bhar dia aur tab uski isi shakti se jeev ka janam hua jise dekhte paschat hi कलि रुप्यकम् ko vishwas nahi hua. Vo us jeev ko dekh nahi paa raha tha, use samajh nahi aa raha tha ki jis Creator ne itni sundar srishti ko banaya jisne use banaya usne aise jeev ka janam diya jise vo dekh bhi nahi paa raha hai. Usne apne banaye hue jeev ko dhitkar diya. Use laga iski wajah ye Void Space hai. Uska man ab vichlit aur bechain hone laga tha, use apne janme jeev se koi bhi lagav nahi tha. Uski taraf dekh kar use grihna hone lagi thi. Vichlit man mein usne vo kadam uthaya jo usne kabhi socha nahi tha lekin vichlit man se ab raha nahi gaya. Akhir usne vo kiya jo creator ne mana kiya tha, usne apni shaksiyat ko parchai roop mein dekh liya.'

' कलि रुप्यकम् ne apni shaksiyat ko paya विकृतम् ek aisi shaksiyat jise khud bhi dekha na jaa sake, ajeeb sa chehra jiski ek behad badi ankh aur ek choti, chauda nilla matha, adhi katti hui naak, badde nille honth aur jalidar adha chehra, sharir ek dum dubla ek taraf se hadiyaan bahar nikalti hui to dusri taraf adhe se jada sharir kharab. Apne aap ko dekhte hi कलि रुप्यकम् agosh aur krodh mei kho gaya. Uske man dwesh se bhar gaya, jisne use banaya uske liye dwesh.'

" कलि रुप्यकम् deform tha.. Par aisa kyun? " Shruti rukte hue boli.

" Creator ki banai hui chiz par sawal kaisa? Hum sahi dikhte hain isliye ya fir hume bhi koi deform bole to kya hum use nafrat karne lage? " Aaruhi ne apni ray rakhi.

" Ab ye kahani interesting hoti jaa rahi hai mujhe aage padna hai ki aage kya hua, Shruti aage pado " vishal ne jigasya dikhayi.

" tumhe shauk hai to tum padh lo? " shruti ne bhannate hue kaha.

" kyun tumhe interesting nahi lag rahi kya? " vishal ne chota sa muh banate hue kaha.

" Interesting? mazak sa lag raha hai. Agar deform hi rakhna tha to itni shakti kyun di gayi? aur chalo de bhi di to batao to sahi kaise use karna hai? " shruti abhi bhi bhanai hui thi.

" tumhe kyun janna hai ? "

" mujhe kya janna hai? " shruti ne meghnath ki taraf dekha.

" time travel ke bare mein? "

" kyun ki tumne hi kaha tha ki is book ki khoj bahut badi khoj hogi.. jab ghar mein pata chalega ki hum ye khoj kar aye hai to ghar aur principal dono hamari ek-ek gand select karke unhe todenge tab samajh ayega.. par haan yaad aya .. tumhara to koi hai nahi tum to bach jaoge .. " shruti gusse mein sab keh gayi. Ek pal ke liye sannata cha gaya.

" Tumhe aisa nahi bolna chahie tha shruti " aaruhi ne kaha.

" bolna to mujhe aur kuch chahie aaruhi.. aur vo sab tujhe bolna chahie teri wajah se yahan fanse hai hum.. dimag ki bimari lekar chale the aur yahan gyan chodne baith gaye hai.. "

" shruti shant.. " vishal ne samjhane ki kosish kari.

" Kya shant.. ? kuch hai is kitab mein.. sirf ghanghor chutiap likha hai bas.. Kya kare hum jaan kar kaun hai vo कलि रुप्यकम् kya kar lenge hum jaan kar uske bare mein? "

" tum aage padogi to samajh ayega na " meghnath ko gussa aa gaya tha.

" nahi padungi.. to karna hai kar le.. naahi padungi.. " shruti purre tav mein chillai jise uski awaz wahan gunj uthi.

" guyz.. tum dono shant ho jao.. meghnath tum.. aur shruti tum bhi.. ye samay ladne ka nahi hai " vishal dono ke bich mein akar dono ko samjhane ki kosish karne laga. " Shruti socho.. hume bahar niklna hai aur uske liye kuch na kuch karna padega right? to agar abhi hume book padni pade to padenge warna tumhe pata hai yahan jada samay bina khaye piye nahi reh payenge.. think .. thande dimag se " vishal ke samjhane par shruti thoda calm hui aur gehri sansein chhodte hue meghnath ko ghurte hue book wapis padne lagi.

' Dwesh aur gusse ne कलि रुप्यकम् ko puri tarah se bhar diya tha. Uska gyaan uski is gusse mein kahin piche reh gaya tha. Jis sundarta ke liye usne sab kiya tha usko apni chavi vishwas-ghatt roop mein nazar ane lagi thi. Vo ye samjne laga tha ki creator sirf apne liye aur apni soch ko sundar rakhna chahta hai. Ab creator ki banai har sundar vastu bhramaan mein usko khal rahi thi. Vo apna chehra apna astitv bhul nahi paa raha tha. Usne apne dwesh aur apni takat se ek aur jeev ko prakat kiya. Ab कलि रुप्यकम् akela nahi tha, uske sath uske do putr the jisko usne janam diya. Jinhe vo putr nahi manta tha, jaise creator ne use banaya tha apne liye waise hi कलि रुप्यकम् ne jo jeev ko janam diya tha apne liye '

" Ab mujhe kuch kuch kahani samajh aa rahi hai.. Par aage kya.. ? "

Shruti ne ab agla panna khola aur is baar kitab ne kuch alag hi rukh modh liya. Kitab ke dono panne yani dayein aur bayein par panje ka nishan bana hua tha.

" Do-do hath lagane padenge ab? " vishal turant bola.

" Is book ke to rehasye hi nahi khatam ho rahe " meghnath khud se bola aur usne apna per piche se pakad liya, vo aisa jakad kar dard kar raha tha mano kisi ne hazaron kille ghop di ho.

" to kaise karein ab? "

" hum dono ka hath ek baar laga kar dekhte hai.. shayad is baar hamare liye ho? " meghnath ki baat sun sabhi sehmati di. Vishal ne ek chhor pakda aur dusri taraf ke liye meghnath ladkhadate hue aage aya.

" tumhara per? theek nahi ? " aaruhi ne turant kaha.

" theek hai bas thodi akdan hai.. " meghnath ne dhayan hataya aur turant apna hath dusri taraf rakh diya.

" ye to kuch nahi hua.. " vishal ne meghnath ki taraf dekha.

" hata kar dekhte hai kya pata kuch ho is baar alag tarah se " meghnath ko umeed nahi thi fir bhi kosish ki aur umeed sahi tabdeel hui, kuch nahi hua.

" hamara koi matlab hi nahi hai " vishal khud se bolte hue piche hatt gaya.

" lagta hai ye kaam aap dono ko mil kar karna hoga " meghnath ne aaruhi aur shruti ko kaha. Dono ne ek dusre ko dekha aur kitab ke najdeek aa khadi hui.

" hope ye kaam kar jaye " vishal bola.

Shruti ne dayan hath rakha aur aaruhi ne bayan. Kuch pal bas unhe fir se wahi dard sehna tha dono ka man yahi bol raha tha lekin kuch pal tak bhi kuch nahi hua to charon ek dusre ki taraf dekhne lagge.

" ek baar side badal kar dekho.. " meghnath ke bolte hi dono ne aisa hi kiya. Ab shruti ne bayan hath aur aaruhi ne dayan lekin is baar bhi kuch nahi hua. Ab sabhi ki samajh se bahar tha ki agla charan kya hone wala hai.

" Ye to unexpected tha.. " vishal ne apna muh pocha.

" Ab aage nahi badh sakte to kya kare ? "

" sawal ye nahi hai ki ab kya kare sawal ye hai ki ye dono hath kiske honge jo rakhe ? " shruti boli.

" ek kaam karo tum apne dono hath rakho shayad hume lag raha ho ki ye do insano ke hath hai kya pata ek hi ho? " meghnath ke kehne par sabhi ko laga ki aisa ho sakta hai isliye sabhi ne kosish karne ki thani. Pehle vishal ne kosish ki, nateeza kuch nahi hua, fir meghnath aya nateeza kuch nahi, uske baad shruti ayi nateeza kuch nahi.. Ab bas aaruhi bachi thi aur use hi umeed. Aaruhi ne apne hath book ke uppar rakhe, dil ki dhakane sabhi ki badhi hui thi. Ek pal laga mano aaruhi ko kuch hua to uske piche khade teeno ko laga ki shayad aaruhi hi thi vo jise kitab juddi hti lekin agle hi pal aaruhi ne hath hataya aur mudh kar khadi ho gayi.

" ye idea bhi fail.. yani book ke uppar hath rakhne walle hum main se ab koi nahi hai.. aur hum nahi to kaun ho sakta hai? " vishal ne apni baat aur sawal dono kar diye. Charon podium se niche utar kar baat karne lage the.

" Hairani ki baat hai ki kitab hume yahan tak layi aur bich mein chhod diya? " meghnath bola.

" Mujhe to shuru se samajh aa raha tha ki kitab uljha rahi hai, betuki batein likhi hai jo humne school books mein padi hai.. Aisa kya alag likha hai isme mujhe ye bata do.. Kuch bhi nahi.. "

" Baat to shruti ki theek hai.. jab kitab ki likhi batein shuru hi hui thi ki utne mein band .. baki to science ki kitabo mein bhi likha hi hota hai " vishal ne shruti ka samarthan diya.

" tum dono samajh nahi rahe ho " meghnath ne dono ki taraf ghura.

" tu hi samajh jata hai na sab " shruti fir chid-chidai. Apas main behas karte karte samajh nahi aa raha tha unhe ki karna kya hai.

" Mujhe bas ab bahar jana hai.. jaise bhi jaya jaye.. " shruti ne faisla suna dia.

" mai kitab puri pade bina nahi jaunga " meghnath bhi adal tha.

" to mat jaa na... tujhe kisne kaha hai.. baith yahin.. zindagi kaat... " shruti chillai.

" tumhe lagta hai bina book pade tum yahan se jaa paogi ? "

" dhamki deta hai? mujhe dhamki deta hai.. " shruti taav mein uski taraf badi to vishal ne use pakad liya.

" tu janta nahi hai mujhe, tere khilaf sabut jode hai maine.. bas dikhane hai police ho.. andar hoga na sidha.. gand baraf ke uppar lund par dande padte hai beta.. sab ugal dega... jhooth ko bhi sahi maan lega samjha aya bada... mujhe dhamki deta hai.. ruk tu.. ruk.. " shruti vishal se azad hui aur book ki taraf badi.

" shruti suno to.. aaruhi tum samjhao ise.. aaruhi.. ye kahan gayi ? " vishal ne dekha jan aaruhi wahan nahi hai to usne shruti ki jagah aaruhi ko khojne ke liye nazar daudai. Aaruhi sabse dur ek jagah par khadi kisi chiz ko dekhte hue khoi hui thi.

" Wahan kya kar rahi hai ye? " vishal khud se bola hi tha ki meghnath chillaya.

" ye kya kar rahi ho tum " meghnath chillaya.

" meghnath udhar aaruhi ko dekho.. wo wahan hai.. " vishal ne uska dhayan ek dum se modh diya taki vo shruti ne bhide. Aaruhi ki baat sun meghnath uski taraf muda aur jab use abhas hua ki aaruhi use dur chali gayi hai to uska dhayan sach mein bhatak gaya.

" Aaruhi tum wahan kya kar rahi ho? " meghnath bola to aaruhi ne jaise baat ansuni kar di ho. Meghnath uski taraf badh chala.

" kya kar rahi ho shruti tum? " shruti ne kitab band kar di thi aur vo use uthane ki kosish mein thi par vo utha nahi paa rahi thi.

" chup chaap book uthane mein madad karo.. "

" par "

" vishal.. jo kaha vo karo abhi.. " shruti ne ghura to vishal kuch nahi kar paya. Dono book uthane ki kosish main lag gaye lekin unse tas se mas na hui.

" ye aise nahi uthegi.... " shruti ne ek pal fuli sanson ko kabu kiya aur dimag lagaya. Usne idhar udhar dekha aur use dhayan aya ki jo book itne salon se rakhi thi use kisi chiz se bndha gaya hoga. Uska dhayan tabhi us chain par aya jise khinch kar us taraju ko uppar laya gaya tha. Vo niche baithi aur chain ko taraju se bandha hua dekhne lagi. Chabi ke liye koi key hole nahi tha isliye usne use aise hi andaze se kholne ki kosish kari aur vo rang layi chain khul gayi.

" kaha tha na.. " par usne jaise hi ye kaam kiya, achanak se taraju ne jhatka liya aur vo dhire-dhire niche ki taraf jane laga.

" fuck.. ye kya hua.. " vishal bola. " ye niche jaa rha hai.. "

" dikh raha hai... bako mat.. kosish karo ab.. " shruti ke hath per fulne lage the.

" kuch to karo.. dekh kya rhe ho " shruti vishal par chillai.

" mai kya karun.. mujhe kuch samajh nahi aa raha.. ruko meghnath ko bulata hun.. " vishal muda aur usne awaz di lekin meghnath ne suna tak nahi, vo aaruhi ke pass tha aur use kuch baat kar raha tha.

" usko taav mein rehne do.. ma..i.. karti.. hun... " shruti ne pura dum laga diya book khinchne ka par vo nahi ho raha tha. Taraju niche jaa raha tha aur kisi bhi samay pani ko chu hi dena tha.

" ab kuch nahi ho sakta shruti.. " vishal ne bhi kosish ki par vo nahi hili.

" ye aise nahi uthegi.. kuch aur hoga.. " shruti ne jab tak socha tab taraju pani ke bilkul kareeb tha vo jhuk kar baithi aur niche se dekhne lagi. Par kuch nahi dikh raha tha dhang se, use aur niche jhuk kar dekhne ki jarurat thi aur utna niche jhukne ka matlab tha pani ke andar sar dalna.

" mera per pakdo "

" kyun "

" jo bola vo karo.. " shruti ne sans khinchi aur pani ke andar sar daal diya aur piche se vishal ne use pakad liya taki vo gir na jaye. Shruti ne pani ke niche se jab uppar ki taraf dekha to taraju ke jis takht par book rakhi thi uske bich mein ek gol ched tha. Shruti ne turant apni ungli usme daal di aur kuch tatolne lagi aur tabhi uski ungli usme fans gayi. Fasne ke ehsas ne hi shruti ke man mein ghabrahat laa di. Usne ungli chhudane ki kosish kari lekin vo bahar nahi ayi. Vo apne aap ko piche ki taraf khinchti to ungli mein dard ho uthta. Pani mein halchal dekh vishal ghabra gaya.

" shruti.. kya hua.. tum theek ho.. " vishal janta tha ki vo use chhod nahi sakta warna shruti pani mein gir jati, vo chillaya. " Meghnath ... aaruhi... " lekin uski awaz ka un dono par koi asar nahi tha vo dusri taraf muh karke apas mein baat cheet kar rahe the.

" shruti... " vishal ko wahan se response na mila to vo wapis shruti ki madad karne ki kosish mein lag gaya. taraju ki satah pani ko chu chuki thi. Shruti ki sans ab khatam ho gayi thi, vo sar uppar nahi utha sakti thi. Use ab faisla karna tha ungli ya zindagi..

Shruti ne purri tarak se apni ungli ko khincha, dard aisa ho raha tha jiski cheekh pani mein ubal ban kar wahi kho rahi thi. Sharir ka hissa alag hone jaa raha tha aur tabhi ungli ka uppar wala bhag uski ungli se alag hona shuru ho gaya, kyun ki vo jinta khinch rahi thi utni us pakad se uski ungli kat rahi thi. Mass ka fatna shuru hua aur usi sath khoon pani mein milna shuru ho gaya aur haddi tut kar ungli se alag ho gayi. Ungli ke alag hote hi shruti ne apna sar bahar khincha aur piche ki taraf ludki. Baki kaam vishal ne kar diya aur shruti ko piche ki taraf khinch dia. Book shelf se nikal kar wahin podiyun par aa giri aur taraju pani ke andar jaa ghusa.

Meghnath aur aaruhi apni baat cheet karte hue jab paltte to podiyum ko khali dekh aur dusri tarah shruti aur vishal ko ek jagah laita dekh bechain ho gaye. Dono unki taraf chal diye.

" aankhien kholo shruti.. " vishal ne shruti ka gal thapthapaya aur pet dabaya taki pani jo ghusa ho vo nikal jaye. Shruti badhawas mein thi, abhi tak uska dhayan ungli par nahi gaya tha.

" kya hua... shruti aise kyun.. " aaruhi boli aur uske pass podiyum par aa baithi.

" vo book ke chakar mein.. tum dono ko itni awaz lagai suni kyun nahi.. " vishal gusse mein bola.

" hume? hume koi awaz nahi sunai di.. " aaruhi hairani mein boli.

" abhi baat karne ka waqt nahi hai.. uski ungli dekho.. khoon nikal raha hai.. " meghnath ne sahi jagah dekha tha. Vishal ne turant shruti ko podiyum se niche utara aur ek matr bag jo bacha tha jisme dawaiyan thi vo nikali aur turant first-kit nikal li.

" ye hua kaise.. " aaruhi ne fir pucha.

" vo.. vo book ko hatane ke liye shruti ne ungli niche fansai thi vo usi mein fans gayi hogi shayad... tum logon ko maine kitni awaz di, tumne suni kyun nahi "

" hume tumhari koi awaz nahi ayi vishal.. shayad kuch hai is jagah mein.. jo us tarf awaz nahi pahunch rahi thi... kyun ki meghnath ne bhi yahi kaha ki usne mujhe awaz di lekin maine suni nahi par mujhe to kisi ki koi awaz sunai hi nahi di " vishal ne aaruhi ki baat par kuch nahi kaha kyun ki vo samajh raha tha ki ye jagah kuch bhi kar sakti hai.

Meghnath ne shruti ki ungli par dawai laga kar patti kar di thi. Khoon kafi nikal chuka tha aur use rokna jaruri tha. Ungli ka nakhun wala hissa gayab ho chuka tha. Meghnath khoon rokne mein kamyab ho chuka tha. Shruti ke muh par pani chidka to use halka halka hosh ane laga tha.

" tum logon ko mana kiya tha maine.. " meghnath fir bola.

" tum chup raho abhi.. kuch mat bolo.. sab tumhari wajah se hua hai " vishal ne meghnath par gussa nikala.

" meri wajah se.. " meghnath bas itna hi bol paya.

" chinta mat karo vishal.. shruti theek ho jayegi.. " vishal ko samvedna dene lagi.

" uski ungli aaruhi.. kya vo theek ho jayegi? " vishal ki baat sun aaruhi kuch nahi bol payi. Shruti ki ulte hath ki ungli ko ab vo wapis nahi laa sakti thi. Na jane uski nazar pani ke andar gayi tarazu dhire dhire andar jaa raha tha aur fir ek dum se shant ho gaya jaise wahan jakar tehar gaya ho. Abhi tarazu wahan tika hi tha ki achanak se shor hua mano koi bahut badi chiz ko dakhela gaya ho.

" Ye kaisi awaz hai " aaruhi apni jagah par khadi hui, awaz samne se aa rahi thi aur jaise jaise awaz aa rahi thi unke samne dur ki taraf halki halki roshni ane lagi thi.

" bahar ka rasta.. " vishal turant bol pada. " shruti.. bahar ka rasta mil gaya.. " usne uske gal thap-thapaye taki vo khadi ho jaye.

" Ise utho.. " aaruhi ne vishal ki madad ki aur dono ne uske kandhe ka sahara dete hue utha liya.

" mai book uthata hun.. tum dono aage badho shruti ko lekar.. " meghnath ne book uthai aur bag se ek jhola nikala aur us kitab ko uske andar daal dia. Book bhari thi par uthai jaa rahi thi.

Meghnath abhi book daal hi raha tha ki use laga use kuch awaz sunai di hai. Usne nazar piche ki taraf ghumai jis taraf vo badi si chair unhe mili jise ek chain bandhi hui thi. Udhar se aisi awaz aa rahi thi mano kuch chatak raha ho, dhire-dhire vo chatakna badhta jaa raha ho aur usi ke sath ek shor sa sunai dene laga jise sunte hi meghnath samajh gaya.

" hume bhagna hoga.. bhaggo... " meghnath ki awaz sunte hi vishal aur aaruhi piche ki taraf mude. " bhagoo.. yahan baadh aane wali hai.. " meghnath jaise jaise bol raha tha waise waise use piche se chatakne ki awaz aur tezz hoti jaa rahi hi sath mein pani kaffi hisse nikal kar bahar ana shuru ho gaya tha.

Vishal ne shruti ko apni ek side par rakha aur aaurhi ka hath pakad kar bhaga. Meghnath bhi book uthaye bhaga. Bich mein jis corridor mein koi janwar ne shurti ko pakda tha unhe usi coordior ke upparse bhagte hue jana tha. Vishal, aaruhi to wahan se nikal gaye the meghnath adhe rasta pahuncha tha aur tabhi uska per ladkhada gaya aur vo niche gir pada. Use aseem matra main dard ho raha tha kyun ki kisi chiz ne uske usi hisse par jakda tha jahan use chot lagi thi.

Vo dard mein cheekh raha tha lekin jab usne samne dekha jahan pani ki dhara tezzi se bahar aane lagi thi aur jis jagah taraju nikla tha wahan tak pani aa pahuncha tha to dard ko use chhodna hi tha. Vo janwar jeev jo tha usne itni majbuti se pakada ki meghnath ko apne per ki haddi tutane ki awaz tak sunai dene lagi thi. Usne us jeev ko pakda aur apne se dur ki taraf khinchna aur dard mein chilla pada.

" ye to meghnath ki awaz hai.. " aaruhi ne vishal ko kaha.

" vo manage kar sakta hai aaruhi... tum ruko mat.. bhagti raho.. " dono ek guffa se hote hue bahar ki taraf jaa rahe the. Bahar ki roshni unhe dikhai de rahi thi jiske sath hi vo corridor se nikal gaye. Bahar nikalte hi ek pal ke liye dono ko rukna pada kyun ki nazara hi kuch aisa tha. Ek behad bada galyra aur uske dono taraf vishaal pedh paudhe aur foolon ka angan jaisa tha.

" Aaruhi samne.. " vishal ne samne ki taraf ishara kia, dur ek chor tha jiske baad corridor khatam ho raha tha. "chalo "

" lekin meghnath.. "

" vo aa jayega.. chaloo... " vishal aur aaruhi dono aage ki taraf daude aur us lambe corridor ko paar karte hue bahar aa nikle. Bahar samne nikale hi amazon nadi thi jise paar karne ke liye boat ki jarurat thi lekin vo wahan maujud nahi thi.

" ab kya kare.. " vishal ne shruti ko ek jagah par baitha dia. Use kafi tak ab hosh aa gaya tha, chehre par roshni padne ke ehsas ne use jaga diya tha.

" meghnath nahi aya .. mujhe jakar dekhna chahie.. " aaruhi jane ko hui to vishal ne hath pakad liya.

" jarurat nahi vo aa gaya vo dekho.. " vishal ne ishara kiya to aaruhi ko dikha. Meghnath us corridor tak aa chuka tha, uska chehra safed padh chuka tha, per se khoon ris raha tha. Use badi mushkil se ladkhdate hue aage aa raha tha.

" mujhe uski madad ke liye jana hoga.. " aaruhi kuch kehti use pehle wahan boat ki awaz aa chali.

" aaruhi hamari boat... " aaruhi ne nazar piche ghumai to ye wahi boat wala tha jo unhe laya tha. Par vo abhi meghnath ki madad karna chahti thi. " tum shruti ko boat mein lekar chalo main meghnath ke sath atti hun.. " aaruhi itna bol hi rahi thi ki achanak se use uppar ki taraf se awaz ayi. Usne uppar ki taraf nazar ki to pedon ki jhadiyun main se kuch niche ata hua dikha. Aur jaise hi usne vo dekha vo chillai.

" jaldi.... " meghnath ne bhi us bade se gate ko niche ki taraf ata hua dekh liya tha.

" andar mat ana.. aaruhi.. andar mat anaa.a... " meghnath chillaya aur bhaga. Par aaruhi nahi maani aur vo andar ki taraf daudi par vishal ne use piche se rok liya aur piche ki taraf khinch lia.

" vishal usko hamari jaruat hai.. chhodo... mujhe.. "

" nahi aaruhi.. " vishal janta tha ki aisa kiya to dono ki jaan ko khatra ban jayega. Meghnath bhi mana kar raha tha aur kisi tarah bhag raha tha. Andar vo deewar puri tarah chatak kar tut gayi aur bachi kuchi pani ke pressure ne use tod diya. Pani ka force itni tezi se andar aya mano puri ki puri nadi utar ayi. Vo jagah dhire-dhire pani ke andar samati jaa rahi thi.

" meghnath jaldi.. " gate adha bandh ho chuka tha aur meghnath adhe raste se thoda aage tha. Usne kisi tarah apne sharir ko thodi aur himmat di aur thodi tezz bhagne laga, ab lagne laga tha ki vo pahunch jayega kyun ki ab vo bas kuch hi duri par thi ki tabhi uske per ki akadan ne ek dum se uske badan ko jhinjhod diya aur vo ladkhdata hua gir pada. Kitab wala jhola uske aage ki taraf jaa fisla. Vo gate ki unchai bas ab kuch hi bachi thi. Aaruhi kisi tarah andar jane ki kosish kar rahi thi lekin vishal ne use jane nahi diya.

Meghnath ne himmat haarne ki bajaye vishwas rakha vo khada nahi ho sakta tha isliye ghutne aur hath ke baal aage badne laga aur apni puri takat lagate hue usne book ko bahar ki taraf dhakel diya aur aur book us gate ke bahar jaa pahunchi. Meghnath uske baad bhi ruka nahi aur vo tezi se apne sharir ko ghasitna laga. Vishal ne book uthai aur usko shruti ki taraf badha di jo ab puri tarah hosh mein thi. Shruti book lekar wapis boat par ja chadi.

Vo gate bas band hone wala tha, aaruhi ko jaise hi laga ki meghnath ko vo khud khinch sakti hai usne apna hath andar dala aur meghnath ke hath ko pakad kar use apni auar khinch liya. Par kuch kosish shayad adhuri reh gayi thi, gate niche aa chuka tha aur uske niche nikli lambi-lambi kille meghnath ki tangon ko faadte hue niche zameen mein ghusti chali jaa rahi thi.

" aarrgghhhhhhhhhhhhhhhhhhh... " meghnath ki cheekh jungle mein gunj uthi aur ye sab un sabki ankhon ke samne hua tha. Vo dard mein chatpata raha tha lekin vo kille abhi tak niche ki taraf jaa rahi thi aur akhir vo aa ruki. Aur vo jaise hi ruki sabhi ko aisa laga mano dharti hilne lagi ho, itni zor se hil rahi thi. Sabhi ke kano mein panni ki tez awaz sunai dene lagi thi.

" water coming, come fast we need to go.. " boat wala chillaya aur usne fauran anne ke liye kaha. " come fast or i go, he won't survive, come fast ... "

" aaruhi chalo... aaruhi... " vishal ne aaurhi ko khincha.

" i am sorry.. i am sorry... " aaruhi ne meghnath ka hath joron se pakda hua tha. Meghnath ke chehre par halki muskan thi aur fir usne aaruhi ka hath chhod dia. Vishal ne aaruhi ko liya aur boat par chadh gaya. Boat walle ne turant boat aage ki taraf badha di. Teeno ki nazre usi taraf thi meghnath ka sharir adha us gate ke is taraf aur adha andar tha, use hosh nahi tha. Aur fir unka drishye us par gaya, piche se pani ka itna tez force aya ki vo sidhe us gate se takraya aur force itna jada tha ki meghnath ka dhadh uske sharir se alag hua aur samne amazon ki nadi mein jaa mila. Ye dekhte hi aaruhi ne apni ankhen band kar li, uski ankhon se chalak aye ansu niche utar aye the.

Pani badhta chala gaya aur dekhte hi dekhte pura corridor jahan tak nazar jaa paa rhi thi wahan sirf pani aa gaya tha aur vo bhi is tarah mano vo jharna ban gaya ho jiske piche kya hai kisi ko kabhi kuch malum hi na chale.

Boat ka horn dete hue, boat amazon ke jungle ka safar tay karte hue un teeno ko is jagah se dur le jane lagi.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Death Kiñg I hope bhai aap bhi ache bhale honge.. Apko apunich bahut yaad kiyela :D
 
15,594
32,095
259
romanchak Update. kaise creator ka janm hua aur usne kali rupyakam ko banaya bahut saati baate pata chali us book se ..
book me multiverse ka bhi jikr kiya gaya hai aur time ke saath chhedchhad na karna hi sahi hai ye bhi likha hai ..

shruti ka ravaiya achcha nahi tha apne hi mann ki karna chahti hai har baar .

creator ne jo srishti nirman ki jo bahut khoobsurat hai aur kali rupyakam ko usko samay me bandhkar rakhna tha ,par usko pasand Aa gayi aur wo usme jaane ki soch liya ,
dusra ki jo creator ne usko khudko dekhne se mana kiya tha par usne dekh liya ,2 ko janam diya ya nirman kiya sirf apne kisi karya ko pura karne ke liye ,unka naam kya hai ye pata nahi chala .

ab ye 2 haath ke panjo ka nishan koi bhi pura nahi kar paya aage ka padhne ke liye to kya kisi aur ki entry honewali hai aaruhi and team ki life me ?.
 
15,594
32,095
259
kya meghnath ko bachaya nahi ja sakta tha 🤔😤..pehle shruti ne bina kuch soche jhagda kar liya aur wo kitab uthane chali gayi ,meghnath pehle hi ghayal tha aur baadme jaanwar ne bhi hamla kar diya ..agar aaruhi ya vishal uski madad karte to wo bach sakta tha ..
vishal khud bhi nahi gaya aur aaruhi ko bhi jaane nahi diya ,last moment me aaruhi ne khichne ki koshish ki waha par vishal ne bhi madad ki hoti to shayad aisa hua nahi hota ..

meghnath ki maut bahut dardnak thi ,aur wo bachne ke liye aakhri tak koshish karna ekdam dhansu scene tha ..
vishal ne book ki chinta ki par meghnath ki nahi wakai ghatiya soch hai uski ..
 
10,132
42,570
258
एक बार फिर से आपने सिद्ध कर दिया कि फैंटेसी और साइंस फिक्शन आप जैसा कोई नही लिख सकता । क्या गजब का अपडेट है यह ! क्या गजब की साइंस फिक्शन थ्योरी है ! और क्या गजब का थ्रिलर रोमांच है !

इस अपडेट को हम दो भाग मे बांट सकते हैं - एक ' बुक्स आफ होक्स ' के मार्फत साइंस फिक्शन अपडेट और दूसरा मेघनाथ , श्रुति , विशाल और आरूही का रोंगटे खड़े करने वाला थ्रिलर अपडेट ।

शुरुआत साइंस फिक्शन से करते हैं --
आपने इस अपडेट मे ब्रह्माण्ड की बात की , मल्टीवर्ष की बात की , समय की बात की और टाइम ट्रेवल की बात की । इसके बाद इस यूनिवर्स मे एक क्रिएटर के उत्पत्ति की बात कही लेकिन यह नही बताया कि इस क्रिएटर की उत्पत्ति कैसे हुई ? इस क्रिएटर ने अपने अंश से कलि रूप्यकम की रचना की फिर इस रूप्यकम ने भी अपने ही अंश से दो और अंशो को जन्म दिया ।
इस पुरे प्रकरण के दौरान हमने यह भी देखा कि रूप्यकम के अंदर किस प्रकार तरह तरह के भावों ने जन्म लेना शुरू किया । पहले उसके अंदर प्रसन्न , मुग्ध , मोहित भाव ने पनपना आरंभ किया फिर धीरे धीरे उसके अंदर कामना की भाव , विचलित भाव , ईर्ष्या की भाव , घृणा की भाव , द्वेष की भाव और क्रोध की भाव ने जन्म लेना शुरू कर दिया ।
यह कहने की जरूरत नही कि कलि रूप्यकम के दोनो अंश इन सभी गुणों से युक्त होंगे । शायद यही मानव के जन्म की कहानी रही होगी । Perhaps Male & Female.

सृष्टि रचना आज तक एक ऐसी रहस्यमयी पहेली बनी हुई है जिसे समझ पाना किसी के लिए भी संभव नही । ग्रह उपग्रह अपनी कक्षा मे लगातार कैसे घूमते हैं ? सुर्य आग का गोला है तो चांद इतना शीतल कैसे है ? जल , वायु , पृथ्वी , अग्नि , आकाश जैसे तत्वों की रचना किसने की ? क्या ये ब्रह्माण्ड , ग्रह , उपग्रह , मनुष्य और अन्य जीव स्वयं ही अस्तित्व मे आये ?
अगर नही तो फिर वो परम शक्ति कौन है जिसने ये सब संरचना की ?
धर्म की थ्योरी अलग है जिस पर हम यहां चर्चा नही कर सकते ।
और विज्ञान की बात करें तो सृष्टि की रचना एक सर्वव्यापी विस्फोट के साथ हुई जिसे वैज्ञानिक बिग - बैंग की संज्ञा देते हैं ।इसके कारण ब्रह्माण्ड अब भी विस्तार पा रहा है ।
विज्ञान द्वारा दी गई जानकारी प्राचीन भारतीय और ग्रीक दार्शनिकों के द्वारा तैयार किए गए काॅस्मोलाॅजिकल माॅडल और आइजक न्यूटन तथा कोपर्निकस द्वारा दिए गए हीलिओसेट्रिक माॅडल पर आधारित है । फिर भी आज तक विज्ञान सिर्फ इतना ही बता पाया है कि पृथ्वी से ब्रह्माण्ड का जो हिस्सा देखा जा सकता है उसका व्यास 93 बिलियन प्रकाश वर्ष है । जबकि परमात्मा के अनुसार ब्रह्माण्ड अनंत है , असंख्य है ।

टाइम ट्रेवल संभव है लेकिन अभी सिर्फ कुछ सैद्धांतिक तौर पर क्योंकि सापेक्षता का सिद्धांत बताता है कि समय गुरुत्वाकर्षण और वेग जैसे कारकों से प्रभावित हो सकता है । लेकिन मेरा यह भी मानना है कि टाइम ट्रेवल मधुमक्खी से भरे शहद के छते पर हाथ रखने जैसा है जो नुकसान के सिवाय कुछ नही दे सकता ।
पृथ्वी के ऊपर जैसी एक्सपेरिमेंट हुई , उसका खामियाजा हम भुगत ही रहे हैं और आगे चलकर और भी अधिक भुगतेंगे पर टाइम ट्रेवल जैसी चीजें डायरेक्ट पृथ्वी के आत्मा पर आघात करने जैसा कदम होगा ।

खैर , क्रिएटर और कलि रूप्यकम तथा कलि रूप्यकम के दो अंश द्वारा आपने एक शानदार थ्योरी पेश की ।


इस अपडेट के बाद का किस्सा एक शानदार , सनसनीखेज , रोमांचक थ्रिलर अपडेट था जहां एक तरफ श्रुति को अपने एक ऊँगली की कुर्बानी देनी पड़ी तो दूसरी तरफ मेघनाथ को अपने जीवन से हाथ धोना पड़ा ।
मेघनाथ की दर्दनाक मौत ने हमारे भी आंखो को नम कर दिया । आरूही एकमात्र पर्सन थी जो उसके इस दुखद मौत से व्यथित हुई थी । वैसे जो हालात थे और श्रुति की जो शारीरिक कंडीशन थी उसमे उनसे ऐसी कुछ अपेक्षा करना भी गलत ही कहा जाएगा ।

इस पुरे प्रकरण , इस पुरे घटनाक्रम को क्या ही शानदार तरीके से आपने पेश किया है हर्षित भाई !

Outstanding n Amazing update
And " जगमग जगमग update.
 
Top