• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:
10,132
42,570
258
आखिरकार मेघनाथ ही वह शख्स निकला जिसका नाम श्रुति और विशाल ने कम्प्यूटर पर शौर्य सिंह के प्रोफाइल में एज ए अथर्व राय के रूप में पढ़ा था ।
शायद शौर्य सिंह और समृद्धि ठाकुर के मृत्यु के पश्चात उसने कालेज में एक मिशन के तहत दाखिला लिया था । शायद वो जानता था कि उनकी मृत्यु स्वाभाविक नहीं थी । शायद वो जानता था कि उनके मौत के जिम्मेदार कौन कौन लोग हैं ।

देखते हैं मेघनाथ के श्रीमुख से कौन कौन सी अमृतवाणी निकल रही है !

इस घटना के अलावा सिर्फ एक खुलासा हुआ कि आरूहि ने किसी पुरातात्त्विक खोज पर अपना डी पी बना रखा है । मुझे नहीं लगता वो इस प्रकार की लड़की है जो पुरातत्व जैसी चीजों में रूचि रखती है । शायद संयोगवश वो कभी किसी ग्रुप के साथ पुरातात्त्विक ट्रीप पर गई हो और वहां कुछ ऐसा देख लिया हो जिसका सम्बन्ध उसके हालिया व्यवहार पर पड़ा हो ।

बहुत खुबसूरत अपडेट था हर्षित भाई । हमेशा की तरह.... आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट ।
 
15,594
32,095
259
nice update ..to saari planning karke baithe rahe bahar is intejar me ki atharva aayega par wo bhi bahut chalak nikla jo bahut waqt baad aaya us jagah par .
manpreet ke video recording ki baat clear kar di shruti ne .

aur last me to shocking baat pata chali ki atharva hostel me meghnath bankar reh raha tha par uska asli maksad kya hai ye abhi pata nahi chal paya .
sochnewali baat ye bhi hai ki shruti ko uspar shak kaise hua .aur meghnath kiski maut ka badla le raha hai agar wahi sab kar raha hai toh 🤔🤔..

meghnath ko to bhul hi gaya tha me bas naam yaad reh gaya 🤣🤣.. ye wahi cantene me mila hua ladka hai na .
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
आखिरकार मेघनाथ ही वह शख्स निकला जिसका नाम श्रुति और विशाल ने कम्प्यूटर पर शौर्य सिंह के प्रोफाइल में एज ए अथर्व राय के रूप में पढ़ा था ।
शायद शौर्य सिंह और समृद्धि ठाकुर के मृत्यु के पश्चात उसने कालेज में एक मिशन के तहत दाखिला लिया था । शायद वो जानता था कि उनकी मृत्यु स्वाभाविक नहीं थी । शायद वो जानता था कि उनके मौत के जिम्मेदार कौन कौन लोग हैं ।

देखते हैं मेघनाथ के श्रीमुख से कौन कौन सी अमृतवाणी निकल रही है !

इस घटना के अलावा सिर्फ एक खुलासा हुआ कि आरूहि ने किसी पुरातात्त्विक खोज पर अपना डी पी बना रखा है । मुझे नहीं लगता वो इस प्रकार की लड़की है जो पुरातत्व जैसी चीजों में रूचि रखती है । शायद संयोगवश वो कभी किसी ग्रुप के साथ पुरातात्त्विक ट्रीप पर गई हो और वहां कुछ ऐसा देख लिया हो जिसका सम्बन्ध उसके हालिया व्यवहार पर पड़ा हो ।

बहुत खुबसूरत अपडेट था हर्षित भाई । हमेशा की तरह.... आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट ।
Bhumika hi ninbhane aye hai aur nibhate hue chale jayenge... :D Bhai Aaruhi ko lekar to kuch bhi davve se kehna kathin hai :D Thank you sanju bhai :hug:
nice update ..to saari planning karke baithe rahe bahar is intejar me ki atharva aayega par wo bhi bahut chalak nikla jo bahut waqt baad aaya us jagah par .
manpreet ke video recording ki baat clear kar di shruti ne .

aur last me to shocking baat pata chali ki atharva hostel me meghnath bankar reh raha tha par uska asli maksad kya hai ye abhi pata nahi chal paya .
sochnewali baat ye bhi hai ki shruti ko uspar shak kaise hua .aur meghnath kiski maut ka badla le raha hai agar wahi sab kar raha hai toh 🤔🤔..

meghnath ko to bhul hi gaya tha me bas naam yaad reh gaya 🤣🤣.. ye wahi cantene me mila hua ladka hai na .
Shruti ko shaq to tabhi ho gaya tha jab vo khufia raaz janne ko nikli thi.. Vo to bas mauka dhund rahi thi.. apne dande khane ke badla lene ka.. :laugh: Han bhai wahi ladka hai Thanks bhai :hug:
 
340
679
108
भाई, बहुत झोल हो गया है कहानी में।
सचमुच में पूरे दिमाग को हिला देने वाली है।
वैसे ये मेघनाथ कौन है याद नही आ रहा है।
और ये अगर कातिल है तो कत्ल करने की वजह क्या है।

बेसब्री से अगले पोस्ट के इंतेजार में।
 
10,132
42,570
258
Bhumika hi ninbhane aye hai aur nibhate hue chale jayenge... :D Bhai Aaruhi ko lekar to kuch bhi davve se kehna kathin hai :D Thank you sanju bhai :hug:

Shruti ko shaq to tabhi ho gaya tha jab vo khufia raaz janne ko nikli thi.. Vo to bas mauka dhund rahi thi.. apne dande khane ke badla lene ka.. :laugh: Han bhai wahi ladka hai Thanks bhai :hug:
Aap ka jawab to story se bhi jyada confuses paida karta hai. :D
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Update ~~ 82

Vo dard mein karhata hua zameen par pada dard se azad hone ke liye chatpata raha tha. " danda to main tumhe bahar bhi maar sakti thi lekin jis tarah tumne mara tha.. uska maza lena tha isliye ye sab natak racha... Mr. Atharva urf Meghnath " shruti ke dande ko gaggan ke hath mein pakda diya aur pancho kamre ka darwaja band kar uske samne aa khade hue.

" Ab dard main tadapte rahoge ya fir jaldi hi bak-bak karke apne kriya-karam i mean kiya-karam ke bare mein bhokoge.. " shruti samne kursi par baithi thi. Vishal bagal mein rakhi table par batha aur baki gaggan, kim aur rachna ek taraf shruti ke piche hi khade the. Samne meghnath rack ke sahare baitha apne sar par kapda rakhe lambi-lambi ahein bhar raha tha. Uske sar mei abhi bhi dard maujud tha.

" tumhe kya lagta hai.. " vo bola.

" Lagta to wahi hai jo sabko lagega.. tumhara behrupaya banne ke piche hi is kahani ke saar ko bayan karti hai aur yakeen mano tumhari kahani is kahani ka THE END banegi .. ab jaldi bhaunko aur sabko free karo.. sabka samay laga hua hai is kahani mein.. " shruti yakin se boli.

" tumhe kuch nahi pata.. " usne ek pal shruti ko dekha aur fir nazre jhuka kar apne sar par lage kapde ko dabate hue sisak utha.

" Uff.. tum half-minded arogant criminals .. tum logon ko lagta hai tum kabhi pakde nahi jaoge.. aur hota bhi hai aisa ki aksar tum logon ka jeevan kafi lamba chalta hai aur tum mauz se apne gunahon ke past ko saaf karte hue aage badhte chale jate ho. Par ye bhool jatte ho ki salon baad koi aisa shaks ata hai jo sab saaf sabuton ki drawing bana deta hai yani is case mein tumhari mitai hui drawing ko sakar karne wali shaks hun main.. waise to main tum jaise bhutnike ko ek ankh mein bhanp leti hun lekin jis tarah ka akar tumne banaya tha sala manna padega .. kisi ko yakeen hi na ho lekin meri kahani bahut solid hai jise tere is roop ka pardafassh ho jayega. Ab tu kahega ki kaisi kahani? hai na.. to sun be lawde.. " shruti aage ki taraf jhuki vo bilkul gundi ban kar pessh aa rahi thi. Use apne uppar hue humle ka betasha gussa tha jo uski ankhon se nikal raha tha. " Tu Atharva ... jo Shaurya Singh ka guardian bana ghuma firta tha.. ab tu uska koi bhi ho use farak nahi padta... farak yahan padta hai ki salle tune hi mara hai use " shruti itna bol kar chup hui. Ek pal sab use dekhne lage, meghnath ki bhi nazre uthi aur vo shruti ko ghurne laga.

" Ab tu bolega ki tune nahi mara kyun ki tu marega kyun? Sahi baat hai .. tu to uska gurdian bana hua tha to tu kyun marega use.. to ab sun ki tu use kyun marega.. tune use isliye mara kyun ki tujhe Samridhi se pyar ho gaya tha.. aur tune uske pyar ke chakar mein Shaurya ko tapkda diya kyun ki vo tere pyar ke bich mein aa raha tha.. kyun ki vo bhi samridhi se pyar karta tha... " shruti ne jaise hi kaha meghnath ki bhauhen uppar ki taraf uth gayi. " Kyun sahi jaa rahi hun na main? " shruti josh mein boli. " Shaurya ko marne ke baad tu samridhi ke pas gaya aur tune use sab bata diya.. reh-reh kar chutiya hai tu.. aur fir uske baad jab usne sabko batane ki baat kahi to tune sala use bhi maar diya aur dono ki maut ko suicide mein tabdeel kar diya.. pyar ke tum jaise atanki kaise rachte hai kahani.. koi tumse sikhe.. kitna asan bana diya tune in sabko... dono ko marne ke baad tu ab akela padh gaya. Tere pas kuch nahi bacha... Andar hi andar se tere bas ek hi baat nikal rahi thi.. Ki sali samridhi kyun jada uchal rahi thi, sidhe sidhe pyar kar lena tha na.. tab kyun.. nahi manni.. ? Ye chiz reh-reh kar tujhe andar hi andar khaye jaa rahi thi isliye tune apna agla shikar kiya kuch samay baad... aur fir ek aur.. aur fir ek aur... jab-jab mauka milta tu un logon ki jaan le leta jispar tera man karta... Beharam hai re tu... " shruti ne ek pal sans li.

" Mene bahut socha ki sala tu aisa kya pagal tha samridhi ke pyar mein jo un dono ko marne ke baad fir aisa pagal hua ki ane wale salon mein logon ko hi marne laga lekin tab mene socha ki nahi sala.. ye koi ek dafa ki chiz nahi hai.. balki ye to ek shauk hai.. samridhi se pyar ka to sirf ek bahana hai... 2004 mein mari Pratiksha bhi to ek khubsurat ladki thi.. use koi itni buri tarah se marega? Kyun.. ? Itni buri tarah se do hi log marte hain ya to vaishaye darinda ya fir pyar mein bigdail pagal... aur isne mujhe jawab de diya ki ye tu aisa bigdail pagal hai jise har kisi se ishq hota hai aur har us shaks ko maut ke ghaat utar deta hai jise ishq karta hai.. haa.. sala tu toh ek dum filmo wala villian nikla.. kyun vishal sahi kaha na mene? " shruti ne hanste hue vishal ko dekha jo ki behad gambhir tha, vo kya sabhi the sivai shruti ke vo to jaise kahani ka maza le rahi thi. Achanak se shruti ne hasna band kiya aur gambhirta se meghnath ki taraf jhuki, behad najdeek, uske chehre ke pas tak jhuk kar boli.

" College ke is khuni khel ki shruruwat tune ki.. pehle college se bahar reh kar.. fir kisi tarah shaurya ka guardian wali jagah par apna naam chapa kar ... aur ant mein jab haiwaniyat itni jada badh gayi tab college mein naam aur hulia badal kar rehne laga.. " shruti itna hi boli ki meghnath ne ek dafa hanste hue mazak sa uda diya jise dekh shruti ko aur gussa aa gaya " tu hi hai is mastermind ke piche tabhi us raat manpreet ki video bana kar tune video hi release ki taki tere uppar se shaq hat jaye... tu janta hai is college ke logon ko rag-rag se wakif hai... tu... " shruti ko gussa aa raha tha kyun ki meghnath ke chehre par muskan ter rahi thi. " Hansta kya hai haramzaade? mujhe bas itna samajh nahi aa raha ki tu abhi tak pakda kaise nahi gaya.. ankhon ke samne tha sabke .. hawasi darinde insan... "

" bevakuf ho tum.. " meghnath fir shruti ka mazak udate hue bola " bevakuf ho tum.. jo tumhe lagta hai lehak aisi kahani likhega.. "

" lehkak? kaun lehkak? kya bak raha hai tu... " shruti fauran boli.

" Wahi lehkak jiske bare mein tum nahi janti.. na use aur na uski kahani ko " is baar meghnath shruti ke najdeek atte hue bola, uske sar se kapda hat gaya tha jiski wajah se uske sar ke ek hisse par pada laal fulla hua matha uske chehre ko aur bhayanak bana raha tha. Ek pal shruti uski ankhon mein kho si gayi mano usne usko hypnotis karke apni kaid mein bhar liya ho.

" aee hatt... " shruti apni jagah se khadi hui. " Ye mujrim log kaise apni baaton mein fasane ki kosish karte hai... " shruti fauran boli aur kursi ke piche ja khadi hui. Ek pal ke liye khamoshi chai rahi. " Tu jitni marzi kosish kar le lekin meri kahani ko jhuta nahi bana sakta.. bas ek chiz mujhe samajh nahi aa rahi ki tune ye sab racha kaise? akhir shaurya ko kyun fansaya aur kaise? " shruti ne apne man mein chal rahe sawal ko rakha jiska jawab vo abhi tak khoj nahi payi thi.

" tujhe ye kaise pata chala ki yahi vo insan hai ? " kamre mein ek tisri awaz uthi jo abhi tak shant thi. Shruti ne rachna ko ghura jisne galat waqt par sawal kar diya tha. Par ab usne pucha to jawab dena tha isliye usne jawab de diya.

" Mujhe shaq to ispar usi din se ho gaya tha jab isne Aaruhi ko lekar kaha tha ki meri dost mein kuch gadbadi hai isliye main aaruhi par aur ispar nazar banaye rakhne lagi thi. Fir jab mujhe iska number mila aur mene ise message kiya vo bhi alag number se to isne turant mujhe pehchan liya jisne ye sabit kar liya ki iski nazar mujhpar aur aaruhi dono par padh chuki hai. Par kya ye yahi vo shaks hai jispar doubt hai ye confirm karna mushkil tha isliye mene ise duri bana leni sahi samjhi aur apna focus marne wallon ki file ki khoj mein laga di. Aur jis raat mujhe vo file mili aur isne mujhpar hamla kiya main ye sochti rahi ki akhir kaun ho sakta hai jise mere bare mein pata tha aur bahut sochne ke baad tab mujhe dhayan aya ki usi din afternoon ke time main aur vishal isi baat par baith kar canteen mein baat kar rahe the aur us waqt ek shaks wahan maujud tha "

" Meghnath.. i mean Atharva.. jo bhi .. " rachna boli.

" Exactly.. ye wahin baitha hamari baat sun raha tha.. aur ise is baat ka dar tha ki us record mein shaurya ka naam hoga aur shaurya ke naam ke aage Athrava ka naam hoga "

" lekin tab tu nahi janti thi na.. ki Atharva ki meghnath hai? to fir kaise? " rachna bich mein bol padi.

" Ek to tune galat waqt par sawal kiya aur chalo ab kar diya to sun le... "

" sorry.. ruka nahi gaya andar se.. " rachna bholi surat banate hue boli.

" sari lay tod deti hai.. Han to main keh rahi thi ki Ise apni identity ka khatra tha isliye usne mujhpar hamla kiya aur vo file le gaya.. lekin ye nahi janta ki agar ye apne aap ko bada haiwan samjhta hai to main bhi koi kam nahi hun .. i mean jagruk hun... Mene jugad laga kar dusra tarika apnaya aur kisi tarah un bachon ki list nikali jo college ke dauran maare gaye wahan se mujhe Shaurya ke sath mein Atharva ka naam mila.. Ab sawal ye hai ki sirf naam se kaise mujhe malum chala? Tab meri ghanti baji .... Vo number.. jo usne Shaurya ke time likhwaya tha ye wahi number aaj bhi use kar raha tha. Mene us number ke jariye jaise hi detail nikali mere samne jis shaks ka naam aya vo tha Meghnath.. jisne is baat ko proof kar diya ki us raat isi ne mujhpar hamla kiya tha taki main iske number ko na dekh lun kyun ki ye janta tha ki iska number mere pas already hai... isliye kaha tha.. ki ek criminal jitni bhi kosish kar le.. kuch na kuch galti kar hi deta hai bas.. pakadne wala hona chahie.. " shruti ko khud pe fakr tha ki usne is mystery ko solve kar diya tha jo kaam abhi tak police nahi kar payi thi.

" galti nahi jaan kar chhoda tha.. " meghnath ki awaz ne sabka dhayan shruti ki taraf se hata kar apni taraf khinch liya.

" kya bola? " shruti jo abhi tak ki kahani ko lead kar rahi thi vo turant boli.

" jis chiz ko khoj kar tumne mujhe pakda vo tumne khoja hi nahi... vo mene khud jaan kar chhoda tha.. " meghnath ki baat jaise bomb ke visfot ki tarah padhi. Sabhi ek tuk use ghurne lage.

" pagal banata hai salle.. " ek pal ke baad shruti boli. Vo confident thi ki ye insan sabka chutiya bana raha hai.

" Pagal to tum ban rahi ho ab tak.. " meghnath ahaein bharte hue rack ke sahare dhire-dhire apni jagah se khada hua. Usko khada hota dekh vishal ne dande ko majbuti se thaam liya mano prahar karne jaa raha ho, sabhi log sachet ho gaye. Par meghnath aram se khada hua aur apne sar par wapis kapde ko rakh use halke hath se dabane laga.

" vo number jiski tum baat kar rahi ho.. jiski wajah se tumhe malum hua ki Atharva hi meghnath hai.. vo number Atharva ne khud wahan chhoda tha Shruti.. " baat saaf-saaf boli to shruti bhi hakki-bakki khadi use sunti rahi.

" tum..tum.. jhooth bol rahe ho.. " shruti ek-dum se bol padi.

" Jhootha to vo lehkak hai jiski kahani tumne sunai.. asli kahani to asli lehkak ke pas hai.. " Atharva ne ek gehri sans khinchi aur fir use chhod di aur ek pal ke liye shant khada raha. " Mene tumse galat nahi kaha tha .. tumhari dost mein jarur koi gadbad hai... aur uske pas ab waqt bahut kam hai.. " Atharva ne nazar utha kar shruti ki ankh mein ankh daal kar apni baat kahi aur usi pal asman mein itni zor daar bizli kadki 'kaddd-kadddddd' ki uski roshni ne pure kamre ko ujale se bhar diya ek pal ke liye hi sahi...
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
भाई, बहुत झोल हो गया है कहानी में।
सचमुच में पूरे दिमाग को हिला देने वाली है।
वैसे ये मेघनाथ कौन है याद नही आ रहा है।
और ये अगर कातिल है तो कत्ल करने की वजह क्या है।

बेसब्री से अगले पोस्ट के इंतेजार में।
Bhai abhi thoda tanik tehraiye.. Jhol hoga abhi.. hua nahi hai.. :redface: Meghnath wahi shaks hai jo 4-5 dafa samne aya hai.. canteen mein ek chota jhagda hua tha jahan usne ek launde ko chappal se raunda tha.. ye wahi banda hai... :D
Aap ka jawab to story se bhi jyada confuses paida karta hai. :D
Bhai jawab mein kya rakha hai ye kahani confusion se bhari hai.. main abhi khud confusion main hun iske end ko lekar.. :redface:
 

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,067
144
Manpreet ki maut ke baare mein kaafi kuchh khulkar saamne aa gaya hai... Kaushal, jisne Manpreet ke saath balatkar kiya wo mobile shop par kaam karta tha... Wahi Mobile shop jahaan se Shruti ka mobile repair hua tha aur saath hi us din Manpreet bhi usi dukaan par gayi thi... Jis din Suraj ki maut huyi tab Manpreet un ladkon ki video bana rahi thi aur wahi video wo zariya bani jiske kaaran Kaushal ne Manpreet ko blackmail kiya... Khair, uske baad bhi shayad Kaushal ne apne paas se wo video delete nahi ki jiske baad Manpreet ko apni jaan gawani padi...

Wo video evidence room se chori hua aur sabhi students ke mobiles tak pahuncha diya gaya... Achhi baat ye hai ke Kaushal ko giraftar kar liya gaya hai but sawaal ye uth ta hai ke kya use saza milegi..? Police seedhe taur par College ki authorities ke talve chaat rahi hai, aur jo koyi bhi in sab mauton ke pichhe, Aaruhi ki haalat ke pichhe aur in sab unusual ghatnaon ke pichhe hai, wo nischit hi koyi powerful shakhs hoga, ab aise mein agar Kaushal uska ek mohra nikla, to use saza ho iske chances ghat jaate hain... Haan, yadi Manpreet ke saath huyi ghatna ka sambandh puraani mauton se nahi hai aur ye sab kewal aur kewal Kaushal ne hi kiya hai, to alag baat hai...

Khair, Police aur College authorities ko Kaushal ke roop mein ek bakra mil gaya, jiske sar wo sabhi ghatnaon ko madh sakte hain... Firstly, Kaushal ke sar sabhi ilzaam aayen is se koyi dikkat nahi hai, jo usne kiya hai uske liye wo bhayankar saza ka paatra hai, parantu iska matlab ye to nahi ke jo puraani mauton ke pichhe hai wo bachkar nikal jaaye... Police dwara liye gaye Is kadam se fir ek dafa saabit ho gaya ke College authorities ke saath saath wo bhi is daldal mein shaamil hain... Wahin Director ke saath Nandini bhi dikhayi di... Nandini ke hi kehne par Alok ne Aaruhi ki Mom ka dhyaan aur baaton se hatakar kewal Schizophrenia par laa diya tha, ab ye to saaf hai ke Nandini bhi poori tarah is scandal mein lipt hai, let's see aage kya hota hai...

Shaurya Singh ki file mein uske guardian ka naam Atharva Roy mention kiya gaya tha... Aur wahaan jo number maujood tha wo kisi aur ka nahi balki Meghnath ka hi tha... Yahi kaaran tha us din Shruti aur Vishal ke hairaan hone ka... Meghnath hi Atharva Roy hai, aisi theory Shruti ne sabke saamne rakhi... Aur ab tak hoti aayi sabhi mauton ke pichhe kewal usika haath hai... Yahaan gaur karne waali baat ye hai ke Shruti ke mutaabik Manpreet ko dafnaye jaane waali video mein bhi Meghnath maujood tha, arthat wo bhi Kaushal aur uske doston mein shaamil tha, jinhone Manpreet ka balatkar kiya..?

Lekin fir ek baar, ek aur rahasya uth khada hua, aur is baar Meghnath ne apna paksh rakhte huye lekhak aur uski kahani ka angle jod diya hai... Harshit bhai, apni khudki guest appearance karwane waale ho kya estory mein :redface:... Btw. Yadi aap apni entry nahi karwa rahe ho to, Is it possible ke ye sab jo ho raha hai wo kisi ki kalpana maatra hai, jiske baare mein ant mein pata chale..?

jis chiz ko khoj kar tumne mujhe pakda vo tumne khoja hi nahi... vo mene khud jaan kar chhoda tha
vo number jiski tum baat kar rahi ho.. jiski wajah se tumhe malum hua ki Atharva hi meghnath hai.. vo number Atharva ne khud wahan chhoda tha Shruti.
Iske bheje mein koyi chemical locha lage mujhe to... Kabhi kehta hai maine chhoda tha, kabhi kehta hai Atharva Roy ne chhoda tha... Bhai pehle ye batao ke dono alag – alag hain kya :confused:... Aur agar dono ek hi hain, to Meghnath Bollywood filmon ka shaukeen to nahi jo khudko “main" ke jagah, apne naam se pukarta hai...?:iamok:

Jhootha to vo lehkak hai jiski kahani tumne sunai.. asli kahani to asli lehkak ke pas hai..
Arthat..? Iski vyakhya ki jaaye..!! Kya Shruti koyi book padhkar aayi hai, wo jo Library se mili thi..? Ya fir Meghnath bas lambi lambi fenk raha hai taaki bachkar nikal sake?:banghead: Btw. Meghnath chahta kya hai, ye bhi ek sawaal hai! Pehle to laga tha ke wo Shaurya ki maut ka badla lene ke liye College mein hai, but ab Shruti ke anusaar wahi Shaurya – Samridhi ka kaatil hai! Secondly, ye har baar Aaruhi ko hi point out kyon karta hai? Kya aisa kuchh Raaz hai Aaruhi ke baare mein jo ye jaanta hai, let's see Meghnath ke kahe mutaabik kahin Aaruhi sachmein hi to kuchh hi samay ki mehman nahi?

Atharva ne nazar utha kar shruti ki ankh mein ankh daal kar apni baat kahi aur usi pal asman mein itni zor daar bizli kadki 'kaddd-kadddddd' ki uski roshni ne pure kamre ko ujale se bhar diya ek pal ke liye hi sahi...
Lo ab ye kaala jaadoo bhi karne laga.. :doh:

Khair, Aaruhi ka behaviour ek baar fir suspicious tha... Manpreet ke maamle mein jo baatein usne ki, wo kewal ek hi taraf ishara karti hain, Aaruhi ab emotions se door jaa rahi hai... Haan, pehli baar uski baatein padhkar uski soch par gussa aata hai, but kahin se bhi uski baat ko galat nahi thehraya ja sakta, problem ye thi ke Aaruhi ki baatein behad practical thi, joki aisi situation mein jaayaz nahi hain... Shruti bhi uski baaton par nishabd ho gayi thi, yahi is baat ka pramaan hai ke Aaruhi ka lehza bhale hi galat ho par uski daleelein arthpoorn thi... Secondly, Shruti ne bhi ant mein satya hi kaha ke logon ki soch badalne se, unhe sachayi se awgat karwane se Manpreet waapis nahi aane waali... Manpreet apni ek chhoti si bhool, jo usne nashe mein ki thi, uske kaaran apni asmat aur apni jaan dono hi ganwa baithi, uski Maa aur shayad bhai, dono ki situation baare mein sochkar bhi dukh hota hai, kya beetegi unpar jab unki beti ko hi is sabka zimmedar thehraya jaayega...

Kahani ka naya chapter : “The Antiquarian" shuru ho gaya hai, I think Aaruhi ke past se judi kuchh baatein is chapter mein saamne aa sakti hain... Aaruhi ki profile picture dekhkar Shruti ko jo shakh hua wo Urvashi ki baaton se yakeen mein badal gaya hai... Aaruhi pehle archaeology se related trip par jaa chuki hai, yahaan ek baar firse ye baat kehna chahunga ke Urvashi nischit hi Aaruhi ke past se judi koyi behad important aur badi baat chhipa rahi hai, jiska parinaam kahin unhe Aaruhi ko khokar naa bhugatna pade... :dazed:

Ab dekhna ye hai ke Meghnath ki aage ke tark kya hain! Manpreet ki mrityu mein uska kya role tha, kya wo bhi Kaushal se juda hua tha..? Aaruhi ke baare mein wo kya aur kaise jaanta hai, sabse bada sawaal wo yahaan is College mein maujood kyon hai..?

Teenon hi updates behad hi khubsurat the bhai... Jaisa maine pehle bhi kaha hai ke jis tarah ki detailing aap dete ho, especially raat ke scenes ki, wo apne aap mein adbhut hai... Vishal, Shruti, Gaggan aur Kim, sabhi ke bhaavon ko behatreen tareeke se dikhaya aapne, Manpreet ki maut par... :superb:

Outstanding Updates Bhai & Waiting For Next...
 
Last edited:
10,132
42,570
258
श्रुति की थ्योरी से भी मैं सहमत नहीं हूं । अथर्व राय उर्फ मेघनाथ अब तक कालेज में हुए सभी मर्डर का खूनी नहीं हो सकता । ये सिलसिला आठ साल पहले से शुरू हुआ । शायद २००४ से और अभी २०१२ चल रहा है । शौर्य सिंह और समृद्धि ठाकुर की मृत्यु सन् २०१० में हुई । जबकि पहली मौत प्रतिक्षा की २००४ में हुई थी ।
शौर्य सिंह और समृद्धि ठाकुर की हत्याएं उसने की , अगर इसे मान भी लें पर , आठ साल पहले की हत्या वो कर ही नहीं सकता । इंजीनियरिंग के फर्स्ट सेमेस्टर में अमूमन लड़कों की उम्र लगभग सत्रह या अठारह साल होता है और इस हिसाब से छः साल पहले उसकी उम्र बहुत ही कम होगी । एक ग्यारह बारह साल का लड़का इतनी होशियारी से कत्ल नहीं कर सकता ।

इसके अलावा जिस रात श्रुति को उसने घायल किया था , अगर वो ऐसा ही साइको है जैसा श्रुति कह रही है , तो उस रात वो उसे जान से मार देता । उसके पास मौका भी था और हथियार भी था । किसी गवाह का भी डर नहीं था । खुद का भेद छुपाने का सिक्योरिटी भी था । लेकिन उसने ऐसा कुछ नहीं किया । उसने सिर्फ श्रुति को घायल करके छोड़ दिया था ।

लेकिन मैं इस बात से इनकार नहीं करूंगा कि वो बिल्कुल ही innocent है । बहुत कुछ जानता है वो । लाइब्रेरी का राज तो शर्तिया जानता है । आरूहि के बारे में वो उतना जानता हो सकता है जितना आरूहि की मां और श्रुति भी नहीं जानती होंगी । मेघनाथ ही पहला शख्स था जिसने आरूहि के आचरण पर सवाल उठाया था । और अब उसने एक और नया रहस्योद्घाटन कर दिया कि आरूहि के पास बहुत ही कम वक्त बचा है ।

बहुत जरूरी हो गया है आरूहि की जिंदगी बचाना । श्रुति अपने लाव लश्कर के साथ जल्द से जल्द आरूहि के पास पहुंचे अन्यथा कहीं देर न हो जाए !


बहुत ही बेहतरीन अपडेट था हर्षित भाई । खासकर श्रुति का सवाल पुछने का अंदाज । कभी कभी तो काफी फनी लगा ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट अपडेट ।
 
Top