• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219
Update ~~83


" Shaurya aur main .. bachpan se ek sath hai .. paida hone ke sath nahi.. kyun ki uske paida hone par uske maa-baap uske sath the wahin main ek anath .. " meghnath piche deewar ka sahara liye khidki se bahar jhankte hue apne ateet ki kahani sabko suna raha tha. " Uske ghar se kuch hi kadam ki duri par tha mera anath-ashram jahan main paida to nahi hua lekin ankhein wahin khuli thi to janam bhumi bhi wahi samjhne laga jahan par maa-baap to nahi the balki mere jaise kai aur wahan usi talash mein reh rahe the. Choti si umar mein malum chal gaya ki maa-baap nahi hai aur isliye koi naam bhi nahi tha koi chotu kehta to koi bablu to koi kuch aur... Par main chahta tha ki mera koi naam ho .. mujhe bhi naam se pukara jaye aur us dauran hume tv par ek chiz bahut dikhayi jati thi aur vo thi 'Ramayan' Raat ko doorshan ke samne main aur anathalye ke bachon ko baitha kar dikhayi jati thi. 'Ramayan' ek aisa saar hai jisme ache to ache the hi lekin jo bura tha unme bhi achai thi isliye kyun ki vo bhi bhagwan ko mante the. Isi ke sath mujhe jo 'Ramayan' mein pasand tha vo unme balshali yodha.. Aur main chahta tha ki main bhi kisi balshali ke naam par apna naam rakhun. 'Hanuman' sabse bal-shali thi socha wahi rakh lun lekin budhi ne kaha ki hum to us layak hai nahi.. hum to anath hai.. aur anath isliye hai kyun ki hume burai hogi yani hum bhi rakshas hue aur rakshas kaise apna naam 'Hanuman' rakh sakta hai. Ek bar ko laga jaise main apna naam nahi rakh paunga lekin 'Ramayan' vo saar hai jisme har chiz uplabhd thi, meri pareshani ka halh bhi usi main tha. Balshali ek yodha aur bhi tha aur vo main uske guno se match karta tha. 'Meghnath' isliye mene apna naam wahi rakh liya. Jab mene sabko apna naam bataya to sab mera mazak banane lage, chidane lage lekin main janta tha ki mene apna naam ek bal-shali yodha par rakha hai isliye mene apna naam nahi badla " Meghnath ek pal ke liye chup hua.

" Shaurya ne meri mulakat kuch yun hui, vo hamare anath alye ke kuch kadam duri par hi rehta tha. Ek din sadak par bheed dekh main bhi us taraf gaya. Kuch bache jhund bana kar khade the, jhund hata kar dekha to ek ladka dusre ko buri tarah se peet raha tha. Asal mein vo jhund main sarre bache wahin ke the aur jo ladka peet raha tha vo bhi. Aksar anath-thalye ka bacha kisi na kisi se ladai kar liya karte the. Kabhi andar to kabhi bich sadak mein. Main us ladke ko pitte hue dekh raha tha tabhi meri nazar jhund mein khade ek alag bache par padi jo shayad ye bhanp gaya tha ki mene use dekh liya hai isliye vo chupke se mujhe dekhte hue wahan se nikal gaya kyun ki vo janta tha ki agar hum logon ko malum chal jata ki ye ladka bahar ka hai to use bhi peet dete. Vo ladka koi aur nahi balki Shaurya tha jise meri pehli baar mulakat hui thi vo us din to chala gaya par uske baad vo mujhe kai dafa dikhne laga. School jata hua, wapis ata hua, ajeeb si baat thi kyun ki us din se pehle mene shayad hi kabhi use dekha ho aur us din ke baad vo mujhe labhag roz dikhne laga tha. Sham ko bahar ki safai karte hue vo apne doston ke sath sadak ke dusri taraf khelta bhi dikh jata. Dekhte-dekhte kab main aur vo sath khelne lage mano pata hi nahi chala. Vo andar ke bachon ki tarah nahi tha, usne mere naam ka koi mazak nahi banaya isliye mujhe bhi uski dosti pasand ane lagi thi. Anath-thalye mein pure din mein do roti naseeb nahi hoti thi kabhi-kabhi to jis din bhuka rehta us din shaurya apne ghar ka khana khila kar pet bhar deta. Mano bhagwan ne use mere liye hi bhej diya tha. Dost bhai sab ban gaya tha mera vo lekin kehte hain ki shaitan ka asar kahin na kahin kisi roop mein padh hi jata hai jaisa mera uspar padh gaya tha. Jis gali mahulle mein rehte the wahan par dharam ke naam par ladne walon ne ek din dehshat aur khoon-kharabe mein kai logon ki zindagi se khilwad kar diya jisme Shaurya ke maa-baap bhi nahi bache, agar main nahi hota to shayad vo bhi nahi bachta. Par kehte hain na insan kuch khota hai to kuch milta bhi hai, un dango ki wajah se main us anath-thalye se nikal gaya aur hum dono us jagah se dur nikal delhi chale aye. Shaurya ne padai ki to mene kuch paise kamane ke liye ek jagah par kaam shuru kar dia. Mujhe padana bhi usi ne shuru kiya taki main bhi usi ki tarah padh likh lun. Kuch saal baad farzi kagazon ki wajah se mene bhi upper class mein admission le liya jiski wajah se mera naam Atharva Roy pada. Uske baad Shaurya aage padne ke liye nagpur aa gaya aur yahan is college mein admission le liya. Uska koi guardian nahi tha mere alawa isliye identity proof ke anusar mera naam uske guardian main Atharva roy likha gaya " Meghnath chup ho gaya, ateet aur uske naamo ke bich ki kahani jo thi usne bayan kar di thi.

" to fir shaurya ki maut kaise hui? aur tum yahan itne saalon baad kya kar rahe ho? " Vishal ne sawal kiya.

" tum kya iski kahani mein aa rahe ho.. har criminal apni backstory ko isi tarah ka rona dhona banata hai aur iski kahani to... " shruti bas itna hi bol payi.

" Shaurya ki maut jis din hui main uske sath tha... mere samne hui uski maut "

" tumne hi mara hai to tum samne hi rahoge na uske.. kaisa chutiya banda hai ye "

" Mene nahi mara use.. balki us chiz ne mara hai jiski shikar tumhari dost hai.. " meghnath ki baat sun shruti jis tarah khadi thi waisi hi khadi reh gayi.

" matlab? Aaruhi ko to dimagi bimari hai.. " vishal ne turant kaha.

" Vo tum log mante ho .. Is jagah par kuch hai.. kuch hai jo na tum jante ho na main.. " meghnath ne baton mein uljha diya tha.

" Kaise mare tha.. tumhara dost? " rachna ne sawal kiya. Sawal karke vo shruti ki taraf dekhne lagi kyun ki use dar tha ki kahin vo uspar bhadak na jaye.

" Yahi to aaj tak samajhne ki kosish kar raha hun.. ki us din vo chatt se gira to kaise? "

" chatt se? "

" Han.. apne hi hostel ki building ki chatt se gira tha vo.. Mujhe vo sham aaj bhi yaad hai.. Garmiyun ki chuttiyan thi.. hostel ke lagbhag bache apne ghar rwana ho gaye the. Lekin shaurya nahi aya tha meri baat hui to usne yahi kaha ki use agle semester ke liye padna hai jispar mene bhi zor nahi diya. Fir mene hi faisla kiya use milne ka aur ek din pahunch gaya. Hostel ke rule ke mutabik bahar ka koi bhi relative hostel mein akar nahi reh sakta lekin us waqt bache kam hone ki wajah se checking bhi kam hi thi. Shaurya ne intezam kar diya tha par jada der ke liye nahi isliye mein takreeban sham ke waqt pahuncha tha. Dono ne baith kar daru pine ka program bana liya tha lekin mujhe vo kuch bhuja-bhuja sa lag raha tha mano kisi chiz se tang ho lekin bar-bar puchne par bhi mujhe usne kuch nahi bataya. Baton hi baton mein takreeban raat ke 8 baj gaye the. Shaurya ka phone aya aur vo baat karte hue chatt par chala gaya. Takreeban 5-10 minute beet gaye the, mujhe bhi nikalna tha isliye usko bolne ke liye chatt par chala aya. "

" Shaurya.. salle kab tak baat karega.. " sidiyan chadte hue mere per akhri paidi se takrai aur meri chapal tut gayi. " Lo behenchod ise bhi abhi tutna tha.. " main tuti chapal ko sambhalte hue chatt par aya to ek pal ke liye shaurya mujhe kahin nahi dikha. " Shaurya.. " mene awaz lagai aur apni nighain andhere mein ek baar fir idhar-udhar ki to usi samay ek jagah jaa ruki. Andhere mei aksar ankhein dhoka khati hai to mujhe bhi yahi laga ki meri ankhon ko dhoka hua hai lekin jaldi hi dhoka hakikat mein badal gaya. Shaurya samne chatt ki boundary par khada tha.

" shaurya niche utar.. " mene use awaz di, usne pii rakhi thi aur ye stunt ghatak ho sakta tha yahi soch main uski taraf bhaga lekin meri aur uski duri kuch jada hi tha isliye us tak pahunch nahi paya aur shaurya meri ankhon ke samne us boundary se niche jaa gira. Meri sansein aur ankhein dono viprit tarah se chal rahi thi. Ankhon ne jo dekha vo manne ko tayar nahi thi aur sansein maan baithi thi ki mene kuch bahut badi chiz kho di hai. Boundary ke pas pahunch kar jab niche jhanka to ankhon ko vishwas ho gaya aur per ladkhada gaye. Main wahin us boundary se lag kar baith gaya aur ek pal tak sirf jazbat hi chehre ko hilate rahe shayad samjha rahe the ki ab rona jaruri hai. Ek hi pal ke andar jaise zindagi ki kaya-palat ho gayi mujhe waisa hi laga aur main zor-zor se wahin rone laga. Rote-rote meri nazar boundary ke ek taraf par padi jahan uski chapal rakhi thi jo shayad kudne se pehle usne wahin utari thi.

Meghnath ne apni baat apni pehni hui chappal ko dekhte hue khatam ki. Sabne uski nazron ka picha kiya to paya ki vo apni pehni chappal ko dekh raha hai jise dekh andaza lagane mein waqt nahi laga ki ye shaurya ki hi chappal hai jo usne us din utar kar apni jaan di thi.

" Shaurya ne suicide kiya tha? par kyun? " sawal vishal ke muh se nikla.

" Usne suicide nahi kiya tha.. "

" agar main tumhari baat ko sach maan lun to shaurya ne suicide hi kiya tha kyun ki usi raat ko us ladki Samridhi ne bhi suicide kiya tha aur tumne abhi-abhi bataya ki tumhara dost pareshan bhi tha aur use phone bhi aya tha us raat.. yani vo suicide tha.. aur agar vo suicide tha jo tumne ye kaise kaha ki use bhi aaruhi jaisi kisi chiz ne fansa rakha tha? " shruti mano meghnat ki baton ko khod kar usi par sawal daag rahi thi. Shruti ka sawal sabhi ko sahi laga " Ye admi hamara chutiya kaat raha hai, pakde jane par.. " shruti ki baat ab sabhi ko sahi bhi lagne lagi kyun ki meghnath is sawal ka jawab nahi de raha tha.

" tabhi kaha ki tum kuch nahi janti.. " meghnath ne kuch der chupi sadde rehne ke baad kaha.

" tu jo kahani bana raha hai use to janti hi hun.. aya bada apne aap ko James Bond samjhne wala ... behenchod hum ispar time kyun kharab kar rahe hain.. pakdwate hain salle ko " shruti ki awaz unchi ho chali thi.

" Tum sahi thi ki us raat Samridhi ka hi phone aya tha shaurya ke pas.. tum yahan bhi sahi thi ki dono usi raat mare.. par kya tumhe ye pata hai ki vo sach mein ek dusre ko pyar karte the? aur agar karte the to kyun dono apni jaan de denge? " meghnath ne shruti ki taraf pasa fenka aur shruti pase ke number dekh chup khadi rahi. Use malum nahi tha ki sawal ka jawab kya de ? Han ya na..

" Kya pata samridhi ke maa-baap ko malum chal gaya ho aur unhone use saaf mana kar diya ho. Jawani ke khoon mein aise pyar mein marne wale kayi hote hai " shruti apni kahani se piche nahi hat rahi thi.
Dono ki hi baat sabhi ko sahi lag rahi thi, dono ke tark sabhi ko samajh bhi aa rahe the lekin kaun sahi kaun galat is baat ka nirkash abhi tak koi nahi laga paa raha tha. Meghnath chup khada raha. Uske chup rehne par jigasya aur badhti jaa rahi thi.

" Ek baar ko main tumhari baat man lun ki dono pyar karte the aur ladki ke maa-baap shaurya ko apnana nahi chahe the isi wajah se dono ne marne ka faisla kiya to mujhe tum ye mujhe batao jab dono ki baat 8 baj kar 6 minute par khatam ho gayi thi to dono ki maut theek 8 baj kar 8 minute par kaise hui? " meghnath ne aisi baat kahi ki ek pal ke liye sabhi ke dimag ki batti gul ho gayi. Par megnath ne jo aage kaha usne to gul batti mein bhi sabke dimag ke parkache uda diye. " Aur ye samay ka chakr pehli baar nahi hua hai.. Suraj ki maut yaad hai tum logon ko.. kya tumhe malum hai uski maut ki timing kya thi 11:55 ye mujhe usi report se malum hua jo us raat mene tumse chinni thi ... aur us raat 11:55 ko sirf ek hi maut hui dusri ho sakti thi. Us raat jab vo purane girls hostel ki chatt par khadi girne ko thi.. aur dono ki maut ka waqt hota 11:55 lekin tumne use bacha liya " meghnath ne shruti ki taraf ishara karte hue kaha. Shruti ye baat jaan kar jada sadme mein thi ki use is baat ke bare mein kaise pata chala.

" mene nahi isne.. " shruti ke honth budbdaye behad halki awaz mein aur usne vishal ki taraf ishara kiya. Mano keh rahi ho bachane wala vishal tha .. usne hi thama tha aaruhi ko. Itna bol kar vo chup ho gayi. Ek pal ke liye sabhi blank the, kisi ki sujh-bujh kaam nahi kar rahi thi. Mahol mein tanav aur shanti gehra gayi tabhi gaggan ne us shanti ko bhang kiya.

" post-martam ki report kabhi bhi exact time nahi batati.. anuman hota hai.. " gaggan ki baat ne jaise sabhi ke band dimag ko hilaya.

" sahi kaha.. timing ka khel hona ek itefak bhi ho sakta hai " shruti turant boli. Use apni kahani par adde rehna tha.

" Manpreet ki vo video jo vo us raat bana rahi thi vo video jab save hui tb uska time tha 11:55 aur ye wahi time tha jab suraj gira tha.. " meghnath ne apni baat par ek aur sabut diya.

" aur shruti tumhe yaad hai ki jab hum aaruhi ko bacha kar aye the tab hamare phone ek hi time par ruke hue the.. " vishal ne turant yaad karte hue kaha.

" 11:55 " shruti ne jaise yaad karte hue is baat ki pushti ki. Usne fauran apna matha pakad liya. Meghnath ko samajh aa gaya ki vo uski baat ko samjhne lage hai.

" Tumhare kehne ka matlab hai ki ye sab co-incidence nahi hai.. balki iske piche koi wajah chupi hai " vishal bola.

" bilkul... ye koi sanyog nahi hai.. us raat shaurya aur samridhi ke sath kuch hua hai jiski wajah se unhone apni jaan gawai. Mene us samay bahut kuch khojne ki kosish kari lekin kuch nahi mila "

" to tumne us raat ke baad kya kiya? Yahan tum kaise aa gaye? Matlab college mein admission kyun liya? " gaggan ne fauran apna sawal kiya.

" Us raat.. na chahte hue mujhe wahan se chup-chaap nikalna pada.. " meghnath ne nazar jhuka li " Us raat jo mene kiya uska bhaar aaj bhi mere man mein hai lekin agar aisa nahi karta to Shaurya ne aisa kyun kiya kabhi malum nahi chalta. Main janta tha ki sabse pehle shaq ke gehre mein main hi aunga isliye mene hostel mein apne hone ka wajud mitaya aur hostel se chup-chaap nikal gaya. Sirf yahi ek tarika suja us raat jise mein Shaurya ki maut ka sach khoj paun kyun ki agar ek baar sabke samne aa jata to shayad sach kya hai kahin kho jata isliye chup kar sach khojna hi sahi rasta laga aur usi ki khoj mein jab mujhe malum chala ki is college mein pichle kuch salon mein aur bhi bache mare hain to jigasya aur badh gayi. Dekhte hi dekhte ane wale salon mein bhi rehasmye mauton ka silsla jari raha aur jab bahar reh kar main jada khoj been na kar saka to saal 2010 mein mene college mein admission lene ka faisla kiya. Par is baar apna asli naam se. Meghnath ban kar mene apna huliya badla aur college mein admission le liya. Ab mujhe andar reh kar hi is chiz ko pakadna tha jis bhai jaise dost ko khone ki wajah main bahar reh kar nahi jaan saka tha ab use usi ki jagah reh kar janna tha. Usne apni maut se kai sawal jode the aur unhi sawalon ke piche uski maut ki wajah chupi thi jo abhi tak mere hath nahi lagi hai " meghnath ek pal ke liye chup hua. " Pichle do salon mein sharuya ki maut ke sach ko janne ke alawa meri itni hi kosish rahi ki kisi ki jaan bacha sakun ... Us raat jab aaruhi akele us girls hostel ki taraf jaa rahi thi main uski taraf gaya tha par hostel ke chaukidar ko dekh chipna pada aur uske baad mujhe tum log dikh gaye. " meghnath ne jab us raat ki baat mein chaukidar ko shamil kiya to shruti ko vo kissa yaad aa gaya jab us raat chaukidar bhoot bhoot karte hue bhagte hue aya tha. Shruti ab apni kahani se haar maan chuki thi. Use meghnath ki kahani par vishawas ho chala tha.

" To kya mila tumhe in do salon mein? " shruti ke sawal ka matlab meghnath ache se samajh gaya tha. Vo ek pal shruti ko ghurta raha.

" Jo chiz yahan hai .. kya hai? kaise kar rahi hai? nahi janta par vo chiz yahan maujud hai .. "

" bhoot... chudail ka saya hai.. " rachna kap-kapate hue boli.

" Mujhe bhi aisa hi laga tha shuruwat mein.. lekin nahi ye vo nahi hai.."

" Vo book tumne hi di thi us raat library mein.. " shruti ne meghnath ko bich mein rokte hue kaha. Sabhi ko jhatka dene wali is baar shruti nikli jisne itni asani se sb jodte hue nirkash nikala tha.

" han.. kyun ki main chahta tha tum bhi use pado ... jo mene do saal mein pada hai.. samjha hai.. " meghnath ne jawab diya.

" Yani main sahi tha.. ye wahi hai.. " gaggan turant bola. Sabhi ne uske chehre ki taraf dekha, us din use sab pagal samajh rhe the lekin karma kitna bada chutiya kaata hai ye sabhi ko aaj samajh aa raha tha.

" Tumhe lagta hai ye wahi hai jo tum samajh rahe ho? " shruti ne meghnath ki taraf apni nazar ghumai.

" Tumne vo kitab padi? " meghnath ne jawab ki jagah sawal kiya.

" Nahi.. " kafi din beet jane ke baad bhi shruti us kitab ko padne ki himmat hi nahi juta payi thi.

" tab to kuch bhi kehna bekar hai.. tum samajh nahi paogi.. fir bhi main yakeen se abhi kuch bhi nahi keh sakta .. lekin.. " meghnath ek pal ke liye chup hua.

" lekin? " shruti turant boli. Jigasya aise kha rahi thi mano kidde laash ko khate hai.

" Lekin mere pas ek aisi chiz hai jise pata chal sakta hai.. "

" Kya? "

" Uske liye tumhe mere room par ana padega, main wahin tumhe dikha sakta hun.. " meghnath ki baat sunne ke baad sabhi ke man mein vichar dhara tez ho chali thi sabse jada shruti ke. Kuch der pehle tak vo apni kahani par adi hui thi lekin meghnath ne apni batein rakh kar ye saaf kar diya tha ki uski kahani sachi hai. Iske aalawa jigasya thi ki akhir iske pas aisa kya hai jise vo yahan tak pahuncha hai.

" Par tumhare room par kaise mil sakte hai.. boys hostel mein ladkiyan allowed nahi hai.. " gaggan ka sawal sahi tha.

" Kal college mein ek function rakha hai agar tum logon ko yaad ho to.. sabhi ko us function mein hazri lagani hai. Har koi wahan maujud hoga.. Bas tabhi mauka milte hi tum log mere room par aa jana " meghnath ke pas har sawal ka jawab tha. Uske bolte hi sabko yaad aa gaya ki college ke trusty dwara Auditorium hall mein ek function rakha gaya hai is baat par ki college ke teachers/director or pura staff bachon ko samarpit hai aur sath hi sath sabhi bachon ki maut par shradhanjali arpit ki jayegi. Shruti us dhong mein jana nahi chahti thi lekin ab jana padega taki kisi ko kisi bhi tarah ka koi shaq na ho.

" theek hai.. par yaad rahe ki tumhari kahani mein kuch bhi galat nikla aur tumne koi bhi chalaki ki to.. " shruti ne akhri baar chetaya.

" Kal jab tum khud apni ankhon se dekhogi to samajh jaogi.. ki mene abhi tak jo bhi kaha hai usme kuch bhi jhooth nahi hai.. Iss kahani ka saar hume usi chiz mein milega.. " meghnath ne atma-vishwas se shurti ki ankhon mein dekhte hue apni baat kahi aur fir sabhi us kamre se nikal kar hostel ki taraf chal diye.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219
15,604
32,123
259
romanchak update ..shruti apni theory bata rahi hai ki kaise usko meghnath ke baare me pata chala .
par lagta hai kuch kam jaankari hai shruti ko sab murders ke baare me ..
aaruhi ke paas waqt kam hai aisa kyu kaha meghnath ne 🤔🤔🤔..
kya meghnath bhi murders ke baare me jaankari ikattha kar raha hai 🤔. lagta yo nahi ki main culprit meghnath hi hai ,warna uske paas chance tha shruti ko jaan se maarne ka .

aur ye lekhak ki kya kahani hai ??????. kya meghanth ka kehna ye hai ki koi aur villain hai sab murders ka yaa ye is kahani ke lekhak ke baare me kaha gaya hai khud lekhak ( harshit ) ne ..
 
15,604
32,123
259
lovely update ..to meghnath ne apni kahani bata di sabko ki kaise wo shaurya se mila aur dosti ho gayi .meghnath ek anath ladka hai .

meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..

meghnath ki kahani kitni sach hai kitni jhooth abhi ye samajh nahi sakte .
waise shaurya ke saath bura hua jo uske maa baap ki maut ho gayi galat soch ki wajah se 😔..
shayad ab meghnath ke room me kya hai aisa isse wo sabko dikhana chahta hai aur usse hi pata chalega ki aaruhi ke upar kaunsa khatra mandra raha hai 🤔🤔🤔..

timing maayne rakhta hai maut ke pichhe jaise shaurya ki maut .
to kya wakai me waha koi bhoot pret hai yaa koi aisa insan jo kisi student ko target karta hai aur usko maar deta hai hypnotise karke 🤔🤔🤔🤔.. shayad koi aisa ho jo experiment kar raha hai .
abhi kuch bhi clear nahi hai ki students ki maut kaise ho rahi hai .isliye andaja lagana galat hoga .
 

GuptAbhishek

Member
283
609
108
Bahut sari chize hai jo iss story me ab tak piche reh gi thi or un chizo ka zikr b hona band ho chuka tha or me bs wait kr ra tha ki kb wo sb chizo pr kahani dubara focus kregi or ab lgta hai ye wahi time hai iss update me wo book ka zikr ho hi gya jo Shruti layi to sahi but padha nahi uss doc ka kya hua aruhi wo medicine le rahi hai ya nahi me bor ho gya tha bs Shruti or maute or uski jasusi padh k ab story me mja aa ayega wese agar ye story only thriller hai horror nahi to jo b aruhi k sath hua uska girls hostel me milna Supriya or megha wala sara wakya aruhi ka nude halat me suicide ki kosish just like she is in possessed that time or sbse unique wo periods wala kissa unlimited blood how is this possible if ye story only thriller hai to hope so story me horror ka tadka b ho and aruhi itne time se kya kr ri hai dubara girls hostel ja ri hai ya nahi uska to harshit bhai kuch zikr hi nhi kr rahe kafi time se jbki padhne me mja usi me aa ra tha baki let's see next update se ab inhi chizo k bare me discuss hoga story me


Meghnath ki bato me sachayi to lag ri hai agar hum ab tak ki story pr dhyan de to


Ek wo bichari aruhi ki neighbour ya Frnd jo b hai jiski shadi honi thi uski shadi to krwa do kafi time se atki hui hai Shruti or aruhi b hostel ka sada khana se ek din k Bach jayegi or kuch acha kha legi 😅



Wating for next update


Keep writing keep rocking 😎
 
10,180
42,789
258
मुझे मेघनाथ की बातों में कहीं कहीं सच्चाई नजर आती है तो कहीं कहीं फरेब ।
शौर्य और मेघनाथ की बचपन की स्टोरी सच हो सकती है । यह भी सच हो सकता है कि शौर्य और उसकी प्रेमिका की मौत एक दिन और करीब करीब एक समय पर ही हुई । लेकिन जो तर्क दिया उसने मौतों की टाइमिंग पर , वो मुझे जचां नहीं । गगन ने सही कहा पोस्टमार्टम रिपोर्ट से सिर्फ मौत के टाइमिंग का अंदाजा लगाया जा सकता है । परफेक्ट टाइमिंग नहीं बता सकता ।
परफेक्ट एक ही टाइमिंग में यदि दोनों की मौत हुई है तो वो सुसाइड ही हो सकता है । प्रेम में असफलता और इमोशन्स में बहकर एक ही टाइम पर मौत को गले लगाना.... सुसाइड की ओर इशारा करता है ।
सुरज ने सुसाइड नहीं किया था । वो दारू के नशे में छत से गिरकर मरा था । और एग्जेक्ट उसी समय आरूहि भी उस रहस्यमय हास्टल से गिरी थी । यह संयोग हो सकता है।

अब कहानी आ पहुंचती है उस बुक्स पर जिसे श्रुति ने अभी तक सिर्फ दीदार ही भर किया है । वो बुक्स सुपर नेचुरल पर आधारित है .... ऐसा मेरा मानना है । लेकिन हम यह भी जानते हैं कि इक्कसवीं सदी में ऐसी बातों पर कोई विश्वास नहीं करता । वो बुक्स प्लांट किया गया हो सकता है । मूल बातों से भटकाने के लिए । लेकिन क्यों , यही समझ में नहीं आ रहा है ।
कौन चाहता है कि ये सारी घटनाएं अलौकिक जैसा लगे ? आरूहि के साथ छल हो रहा है या वो खुद कोई बहुत बड़ा गेम खेल रही है ?
मुझे तो डाउट है मेघनाथ और आरूहि की जुगलबंदी है इस पुरे खेल में । लेकिन क्या और क्यों ?
वो कुछ दिखाना चाहता है उन्हें जिससे उसकी बातों की पुष्टि हो लेकिन क्या दिखाना चाहता है वो ?
कुछ देर पहले मेघनाथ ने कहा था कि आरूहि चंद पलों की मेहमान है फिर इतनी लम्बी बहसबाजी के दौरान उसके लिए दुबारा चिंता क्यों नहीं जाहिर की ?

बहुत कुछ है जो अभी भी स्पष्ट नहीं हो पा रहा है । ऐसे ही हमारे दिमाग का परखच्चे उड़ाते रहिए हर्षित भाई ।:D

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट अपडेट हर्षित भाई ।
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219
Update ~~ 84

" Ye college sirf hamare behatrin teacher ki maujudgi ki wajah se number one college nahi bana hai, ye college number one isliye hai kyun ki aap jaise students jo is college par bharosa karke apne bhavyshe ka nirman karte hain unki wajah se hai. Mujhe garav hai aise college par jisme aap jaise honhar-sehansheel students is college ka aur hamare jeevan ka hissa bane hai. Aur utna hi dil mein dukh hai ki jo student apna bhavshye banane is jagah par aye the vo apna sapna adhura chhod, hume chhod, is dunia se chale gaye. Aaj Main is college ke trusty hone ke natte yahan nahi khada hun, balki un bachon ka dost, unko margdarshan dikhane walla sarthi ban kar khada hun aur unke jane ka dard jitna unke maa-baap dost bhai behen ka hai utna hi mere andar bhi hai. Humne is college se sirf kuch zindgiyan hi nahi khoi hai balki ujwal bhavishye jo is desh ke kaam aa sakte the unhe khoya hai. " Mehta ne ek pal bhari sansein li, ansuon par kabu paya aur aage bolne laga " Is manch par khade hokar do shabad kehna behad asan hota hai par use apne jeevan mein mehsus karna behad kathin, main yahan un bachon se jude unke mata-pita, bhai-behen ko hath jodh kar naman karta hun jo is dukh ke samay mein hamare bich maujud hai. Main aur jada samay na lete hue sabse nivedan karunga ki hum un sabhi bachon ke liye kuch der ka maun dharan karein aur unki yaad mein jo programe kuch bachon ne ayojit kiya hai usko dekhte hue un sabhi bachon ko yaad karein jo ab hamare bich mein nahi hain.. Namste .. " Mehta ne itna kaha aur ankhein band kar li. Usi ke sath uske piche ki screen par jitne bhi bachon ki maut hui thi unki photo screen par aa gayi aur sabhi ne ek pal use dekhte hue ankhein band kar li. Auditorium mein ek pal ke liye shanti chaa gayi.

" chalo kuch to kiya inhone lavanya ki maut ke uppar.. " aaruhi ne sans chhodte hue kaha.

" Dhongi pana hai sab.. " shruti ne turant jawab diya.

" Dhong hi sahi par kiya to.. warna to uski maut ko bhool hi gaye the .. "

" tujhe Lavanya itni yaad kyun rehti hai? Teri to ragging li thi usne? " shruti jo itne waqt se ye sawal karna chahti thi usne akhir kar hi dia.

" hmmm.. ragging to usne ki thi... lekin.... " aaruhi bol kar ek pal ke liye chup ho gayi. " Tu ek baat bata.. kal ko agar vishal ko kuch ho gaya to tu kya karegi? Kya tujhe dukh nahi hoga? "

" Vishal bich mein kahan se aya? "

" Jawab de "

" Offcourse hoga.. "

" to fir lavanya ke case mein mujhe kyun nahi hoga? "

" koi logic nahi hai teri baton mein.. lavanya aur tera rishta kya mere aur vishal jaisa tha? " shruti ne confusion mein pucha. Samne program shuru ho chuka tha lekin dono ko use koi matlab nahi tha, dono apni hi baton mein leen thi.

" Nahi tha.. lekin mene uske sath ek raat bitai hai.. vo itni bhi buri nahi thi.. bas uska nature kuch alag tha "

" ek raat mein itna bada judgement? "

" tujhe kya problem thi use? "

" mujhe? mujhe kyun hogi.. teri fatti thi use.. meri nahi "

" han to chup reh.. mujhe uske liye bas ek justice chahie tha.. "

" mil gaya fir? "

" kya? "

" justice.. heheh " shruti honth dabate hue hanse lagi.

" shutup bitch... " chuntti katte hue aaruhi ne shruti ko kaha to shruti dard mein tadap uthi.

" Kamini ... " sehlate hue shruti ne kaha aur phone dekhne lagi.

" kab se dekh rahi hun bar-bar phone dekh rahi hai kya chakar hai? "

" Kuch nahi bas aise hi... " shruti ne turant aaruhi ki taraf dekhte hue jawab diya.

" Kuch to chakar hai... aaj kal raat-raat bhar bhi gayab rehti hai.. kahin tu .. " aaruhi ki nazar gehrati jaa rahi thi. Shruti ek pal use dekhti rahi aur sochne lagi ki kahin aaruhi ko kisi baat ka shaq to nahi ho gaya.

" Kya main? " shruti ne kosish ki uske chehre par kisi tarah ka tanav na aye.

" Kahin tu.. wo to nahi kar rahi jiske liye tu collge ayi thi.. hehehehe " aaruhi agle hi pal hans di jisko dekh shruti ne gehri sans li aur apne baal jhatak diye.

" Almost.. bas thoda aur tadpa lun... fir jada maza ayega... tujhe pata hai ladkon ko tadpa kar unko jhapatne do to salle kasam se nichod dete hai.. " shruti ne chatkare lekar kaha.

" 5 minute se jada to tik nahi patte ladke .. huh.. kya hi nichodenge.. " aaruhi ne shruti ki baat ki khili udai aur apne balon ki lat ko kaan ke piche daal diya.

" Tu to aise keh rahi hai jaise.. kitni baar le chuki ho... sabhi ladke aise mile the tujhe hehehehe " shruti ne uska mazak banate hue kaha.

" kamini kahin ki... Ye fact hai.. ise jada nahi tik patte ladke.. "

" janti hun.. lekin panch minute to milenge na.. aur tu aise keh rahi hai jaise tujhe koi chodega to 20-25 minute tak nahi jhadega.. pagli tere wala to do hi minute mein jhad jayega teri sundarta dekh "

" hatt.. gandi batein karti hai.. "

" wah ji wah.. shuru khud karo aur gande hum.. " ise jada shruti kuch kehti use pehle uska phone bajne laga.

" Han.. ati hun.. theek hai.. " shruti ne phone cut kar dia " main ati hun.. tu yahan baith kar ye dramebazi dekh "

" kahan jaa rahi hai ab?"

" tadpane ki stage 6 yani akhri stage hai.. atti hun.. " shruti itna bol kar uth khadi hui aur dhime-dhime jhuk kar wahan se piche ke darwaje ki taraf badhi taki koi na dekh sake aur fir auditorium se bahar nikal gayi. Aaruhi wahin use tab tak dekhti rahi jab tak vo ankhon se ojhal nahi ho gayi aur uske jane ke baad samne chal rahe karyakaram ko dekhne lagi.

" Sab aa gaye? " shruti vishal se milte hi boli.

" Sab ko library ke pas hi bulaya hai.. "

" acha.. aur rachna ko sidhe wahin ane ka bol deti hun... "

" theek hai " vishal ke bolte hi shruti ne phone mila kar rachna ko boys hostel ke thodi dur par khade rehne ka bol dia. Kim aur gaggan library ke bahar hi khade the, dono ko lekar charon boys hostel chal diye.

" usko phone karna hai kya? " raste mein vishal ne pucha.

" han kar lo " gaggan ne turant jawab diya.

" nahi.. aise hi chalenge.. dekhe to sahi ki kahin hume fasane ka program to nahi bana rakha usne, waise bhi rachna humse pehle pahunchegi udhar to wahan khade rehkar nazar bhi bana legi.. taki koi harkat dekh kar hume khabar kar de " shruti ne apna dimag chalate hue kaha.

" tujhe abhi bhi lagta hai ki..ki..ki... meghh....megh...nath jhooth bol raha hai " kim boli.

" sach tab tak sach nahi sabit hota jab tak samne na ho.. aur iski kahani mein to abhi tak kuch bhi samne nahi hai " shruti ka jawab sun kar baki kisi ne koi sawal nahi pucha. Charon akhir boys hostel se thodi dur par jaa khade hue. Rachna ne dur se unhe dekh kar hath hilaya aur ishare mein samjhaya ki yahan koi nahi hai. Uska ishara pakar charon uske pas jaa pahunche.

" koi guard nahi hai.. lagta hai sabhi ke sabhi wahin maujud hai " rachna boli.

" Gaurd wahan kya karenge vo bhi hostel ke.. khana khane gaye honge.. lunch time hai ye aur laparwahi to is college ka rule hai.. chalo jaldi upaar.. aur dhayan rahe koi bhi gadbad ho.. agar usne kuch bhi kiya aur agar uppar kisi ko chupa kar rakha ho to sabko apni kahani pata hai kya bolni hai.. sabki baat ek hi honi chahie koi bhi divert nahi hoga taki sabko hum pas vishwas ho samajh gaye na? " shruti ne sabhi ko dekhte hue apni baat kahi.

" tu bilkul khufia ladki hai shruti " gaggan use ghurte hue bola.

" Khufia kyun? " vishal ne pucha.

" Matlab agar ye engineer nahi banti to detective jarur banti .. main to tera fan ho gaya hun.. " gaggan abhi bhi use hi ghur raha tha.

" Ab chalein? " shruti ne fauran kaha aur sabhi ne han mein sar hila diya. Charon hostel ke andar ghus gaye, hostel mein khamoshi thi jise bhanpte hue charon sidiyan chadte hue uppar jane lage. Meghnath ka kamra sabse uppar tha, islye chauthe floor par pahunchte hi jab corridor mein enter kiya to shruti ne sabhi ko rok diya.

" Ye step sabse jada khatarnak ho sakta hai.. tumne movies mein nahi dekha ki aisi khamoshi ke piche jarur kuch gadbad hoti hai.. koi bhi in kamron mein se nikal kar hamla kar sakta hai "

" dara kyun rahi hai behenchod tu... " rachna turant boli.

" savdhan rehna.. " shruti ne use ignore kiya.

" pehle bolti to main danda lekar ati .. " Rachna ki awaz mein kampan thi.

" to ye thaili mein kya hai? " gaggan ne turant pucha.

" khoon se sane kapde.. " usne itna kaha ki sab uski taraf dekhne lage. Shruti ne use gusse bhari nighaon se dekha.

" kiske? " gaggan ne fir sawal kiya.

" terre.... " rachna ne atakte hue uski taraf dekhte hue kaha aur fir vo sabhi ki taraf dekhne lagi " sorry.. par mene socha agar usne koi chalaki ki to is kapde se use fansa denge "

" kaise.. " shruti ne apni awaz mein vajan dalte hue use pucha. Use rachna ki is samjdhari par gussa aa raha tha.

" vo nahi pata... " rachna ne itna bola aur thuk galle se niche utar liya.

" tu... "

" ab ise chhodo.. jo kaam karne aye hain vo karte hai.. isko baad mein niptenge.. " vishal ne is jugal-bandi mein kudte hue kaha aur sabko uski baat sahi lagi. Aur panchi ek ghera sa banate hue aage badhe taki sabhi ki nazre har darwaje par rahe aur vo log safely corridor ke ant tak meghnath ke kamre tak pahunch jaye. Har badhte kadam ke sath unhe darwaje aise lag rahe the mano abhi khul jayenye aur andar se ek prahar unpar kiya jayega jise unhe kaise bachna hai ye kisi ne socha nahi tha. Reh-reh kar dil ki dhadkane tez ho chali thi aur fir jaise shanti ho gayi kyun ki kuch hua hi nahi aur pancho meghnath ke kamre ke samne jaa khade hue.

" Kuch hua hi nahi.. " rachna ne gehri sans chhodte hue kaha.

" hua nahi to ye matlab ki aage nahi hoga.. " shruti ne fauran uski rahat bhari sans ko dara dia.

" tu behenchod fadne ke alawa kuch aur kar le.. aise bolegi to ek ched bhi do jitna bada ho jayega.. " rachna ne khul kar ched wali baat kahi to vishal jhemp gaya aur gaggan hans pada jise usne fauran control kar liya.

" Knock kare.. " kim boli.

" hmm.. " shruti aage badi aur usne darwaje par knock karne ke liye hath uthaya.

" Khula hai ... andar aa jao... " Andar se awaz sun pancho ek dusre ki shakal dekhne lage. Fir shruti ne galle se thuk niche kiya aur darwaje ko halka dhakka de diya. Darwaja khulta chala gaya aur uske sath hi samne bistar par baitha shaks dikhne laga jo bade hi shanti se bistar par baitha soch vichar mein khoya hua tha.

Sabhi uske kamre mein khade the shant, gaggan sabse piche tha jisne darwaja bhed diya tha taki andar ki halchal par kisi ko malum hi na chale. " Kya hum isko dekhne aye hai.. " rachna shruti ke kan mein fusfusai. Sabhi meghnath ko gaur se dekh rahe the kyun ki na hi uske chehre par koi chasma tha na hi uske baaltel se chipte hue the. Ek ajeeb sa dikhne wala ladka is waqt ek dum sadharan prateet ho raha tha.

" Tumhe room mein akele rehne ki permission kaise mil gayi? " shruti ne baton ki shuruwat kuch yun ki aur ye bhanp liya tha ki vo room mein akela rehta hai kyun ki dusra bistar ek dum theek tha aur uspar mitti chadi hui thi mano kab se safai na ki gayi ho.

" Kyun ki sabko lagta hai .. "

" tum kala jaddu karte ho.. " meghnath ki baat ko gaggan ne pura kiya aur sab use ghurne lage. " Aisa mene suna hai bas.. " usne apni taraf sab ko ghurta dekha to halak se awaz nikalni band ho gayi.

" Sahi kaha tumne.. sab yahi kehte hai.. isliye jo sath mein tha vo kamra chhod kar hi bhag gaya.. " meghnath ki baat sun sabne gaggan se dhayan hataya aur usne ek gheri sans khinchi.

" Aisa kya kiya tha tumne uske sath? " shruti abhi bhi uski baton ko ukhed rahi thi.

" Mene.. " meghnath ne shruti ki taraf dekha aur apni jagah se khada ho gaya aur uski wajah se shruti ke bilkul najdeek uske samne aa khada hua. Shruti dono bistar ke bich khadi thi aur meghnath ke aise khade hote hi vo ek kadam piche hui to vishal se piche jaa takrai. Vishal ne use piche se pakad liya, dono ke jism chipke hue the aur shruti ke jism ko mehsus karte hi vishal ka to lund andar se jhatke khane laga jiska abhi shruti ko to abhas nahi hua lekin use apni harkat mehsus hone lagi thi.

" alruwh alati la tanam , alruwh alati la tanam , alruwh alati la tanam " meghnath ne jab bolna shuru kiya to sabhi ke halak sukhne lage. Aisa laga mano vo koi mantr padh kar sabhi ko kuch kar dena chahta hai. Shruti jitna sahasi ban rahi thi uske bhi rongte khade hone lage.

" Ye..ye.... kya bol rahe ho tum... " rachna ne ghabrate hue kaha. " chup ho jao.. " vo dubara boli kyun use laga mano ye awaz uske kano mein chub rahi ho.

" Kya matlab hai iska? aur.. tum.. kyun bol rahe the ye sab.. " shruti ki sansein bhi tez thi. Kahin Yahan ane ka faisla galat to nahi tha? Vo man hi man soch rahi thi.

" Hamari ruh jo kabhi nahi soti, Soul that never sleeps " Meghnath ne jawab diya aur fauran ghutne ke bal baith kar bistar ke niche ghus gaya. Sabhi uske is harkat ko hairani se dekh rahe the. Ek pal ke andar vo bistar se bahar nikla lekin vo khali hath nahi tha uske hath mein ek box tha acha khasa badha box tha vo jise usne kapde se dhaka hua tha. Usne box ko wahin zameen par chhod khada ho gaya. Sabhi ki nazar us box par tiki hui thi jispar se kapda nahi hata tha.

" Ye kya kar rahe ho.. " Vishal ne box se nazar hatate hue meghnath ko kamre ki back side par bani khidki ko dhakte hue dekha to pucha.

" piche se light band kar do.. " meghnath ne khidki ko ache se dhakte hue kaha to gaggan ne bina kuch soche ya puche sidhe uski baat mante hue light band kar di. Ab kamre mein andhera sa cha gaya tha, bilkul na ke barbar roshni bachi thi jo ki tez dhup ke chalte thi. Andhera hote hi shruti ne vishal ka hath thama to rachna ko gaggan ke bayein aur khadi thi usne gaggan ka bayan hath aur kim ne uska dayan hath. Teeno vishal aur shruti ke theek piche thoda sa side mein khade the jaise samne stage par sajaye tamashe ko dekhne ke liye intezar main khade ho.

" tumne andhera kyun karaya ? " vishal ke puchte hi meghnath unke kareeb aya aur box ke piche khada ho gaya.

" jo dikhana hai uske liye andhere ki hi jarurat thi.. " itna kehte hue usne ghutne mode aur box ke uppar se kapda pakad kar use hata dia. Kapda hatte hi sabhi ke muh se 'hichak' jaisi awaz nikli mano koi chiz dekh chaunk uthe ho. Sabhi ki nazre bina palke jhapkaye us box par hi jami hui thi jiski chamak se meghnath ka chehra bhi chamak utha tha. Vo square box is waqt andhere mein pili roshni ke jaise chamak raha tha mano khud ki usme ek light maujud ho. Sone jaisa vo dikhne wala box sabhi ki ankhon ko man-mohit kar raha tha.

" alruwh alati la tanam " meghnath ne khade hote hue wahi shabd dahuraye jisne sabhi ka dhayan us box se hata dia. Ek pal ko laga mano us box ne unhe hypnotize kar diya ho.

" Ye is box ke sabse uppar likha hai jo ek Arabic language mein likha gaya hai.. " meghnath ne apne bole gaye shabad ka matlab samjhaya.

" Akhir ye chiz hai kya? " sabhi ke man mein ye sawal tha par puchne ki himmat kisi main nahi thi lekin rachna ke muh se apne aap hi ye nikal gaya kyun ki usne aaj tak aisi chiz nahi dekhi thi. Dekhi kya kabhi suni tak nahi thi. Ab usne sawal puch liya tha to sabhi ko ab is chiz ke bare mein janna tha.

" Ye.. " meghnath ek pal ke liye shant hua. Jigasya sabhi ko khane ke liye daud rahi thi, ek taraf vo chamakta box aur dusri taraf meghnath ka adhura vakya. " Egyption God Of Box, hai .. " akhir meghnath ne rehasye se parda hata diya.

" Kya hai? " shruti ne dubara pucha.

" Light jala do.. aur tum log baith jao.. " meghnath ne jawab dene se pehle mahol badla aur parda hata diya dusri taraf gaggan ne light wapis chalu kar di. Sabhi meghnath ki baat sun kar jahan jagah mili wahin baith gaye. Sabhi ne ab dekha ki box par jo chiz chamak rahi thi vo ab wahan maujud hi nahi hai, ek khali sadharan sa box ban kar reh gaya tha sirf. Lekin us sadharan se box ko kareeb se dekhne par saaf dikhai padh raha tha ki usme gazab ki chitarkari ki gayi hai jo brown color wale box mein har taraf maujud thi. Chitrkari koi painting nahi balki words ki jitna vo samajh paa rahe the kyun ki pure box mein vo gudde hue the.

" Shabad hai ye.. jinhe tum gaur se dekh rahe ho.. is prachin hazaron saal purane box par vo shabad hai jinhe piche ek bahut bada rehasye chupa hai.. Ye box koi mamuli box nahi hai.. balki hazaron saal purana Egyption Box hai jo unke bhagwan ka tha.. " meghnath ne jaise apni baat kahi sabhi mano usi soch mein chale gaye. Ek ancient box vo bhi Egyption box.

" Vo pattiyun wali mummies, wala egyption box.. " gaggan ne halak se thuk gatakte hue kaha.

" Han wahi.. " meghnath ne shant lehaze mein jawab diya. Ek pal ke liye shanti cha gayi, kisi ko kano aur ankhon par vishwas nahi ho raha tha.

" Pagal bana rahe ho hume? " shanti ko bhang karte hue achanak se shruti bol padi. " Tumhare pas Egyption Box kaise ayega bhala? Maine kaha tha na ye insan sirf jhooth aur pagal banayega, ye dikhana chahte the tum? Ye dikha kar vishwas dilana chahte the tum hume? Are aise dabbe 100-200 mein chor bazar mein mil jate hai.. " Shruti ne jaise sabhi ke dil ke arman tod diye. Kyun ki sabhi us adbhut chiz ko sach manne lage the, par man mein veham daal kar uska maza ab kam kar diya gaya tha. " Kyun vishal main kya galat bol rahi hun? " shruti ne vishal ke kandhe par banduk rakh di. Ab vo na to han kar paa raha tha aur na hi nahi bol paa raha tha. " Kya hua jawab do? Main galat hun? Tumhe lagta hai ki ye box sahi hai.. chalo maan liya sahi hoga par iske pas? iske pas kaise ayega? jis admi ke pas dusre seher jane tak ke paise nahi vo bhala kaise egypt jakar koi box layega? khud socho.. meri mano ya to isne ye chor bazar se kharida hai ya fir kisi ke ghar se churaya hai aur kya malum use bhi maar diya ho aur chura liya ho use.. aisi chiz log rakhte hai... shauk ke liye.. " shruti ne apni baat rakh kar sabhi ke man ke doubt ko pakka karna shuru kar diya.

" Sahi kaha tumne.. " shruti aage kehti use pehle meghnath bol pada jise sun kar sabhi use ghurne lage. " Sahi kaha tumne ki logon ka shauk hota hai aisi chizon ka.. par tumhe sach janna hai to suno par meri jubani nahi balki uske jubani jiski ye chiz thi.. " meghnath puri tayari karke baitha tha. Usne bistar ka gadda uthaya aur uske niche rakha recorder nikal kar wahan rakh diya aur uska play button daba diya. Play button dabte hi wahan ek awaz gunj uthi..

Main Vikrant...
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219
10,180
42,789
258
यह कहानी जब मैंने पढ़ना शुरू किया था उस समय मेरे सिर पर नब्बे हजार नौ सौ सोलह बाल थे और अब उनकी संख्या कम होकर पचपन हजार सात सौ बाईस हो गए हैं । सोच सोच कर सारे बाल ही झड़ते चले गए । ( अमूमन एक आदमी के सिर पर एक लाख के आसपास बाल रहते हैं ) :D
डॉ चुतिया भाई और फौजी भाई की भी कहानी रनींग में है और उनमें एक की स्टोरी चुड़ैल और भुत प्रेत पर है तो एक की स्टोरी अलौकिक शक्तियों पर है । वहां तो समझ में आता है और उसी को ध्यान में रखकर हम अपने अपने राय रखते हैं लेकिन यह तो मैं अच्छी तरह जानता हूं कि आप की कहानी रियलिटी से ज्यादा कनेक्टेड होती है इसलिए हम अनुमान लगाते रहते हैं कि आखिर इस कहानी में राज क्या छुपा हुआ है ।
और सच कहूं तो रिजल्ट अब तक वही ढाक के तीन पात वाला ही रहा । अभी तक कुछ भी पल्ले नहीं पड़ा ।

खैर !
मेघनाथ साहब ने एक ऐसे चमचमाते हुए पिटारे का दर्शन कराया है जिसमें अक्षर तो एशियन कंट्री अरेबियन लेंग्वेज में लिखा गया है लेकिन वो अफ्रीकन कंट्री मिश्र के गाॅड का बताया जा रहा है । कुछ कन्फ्यूजन तो यहीं पैदा हो गया है ।
रात के अंधेरे में उस पिटारे का चमचमाना शायद रेडियम की वजह से हो सकता है ।
वो जिस लेंग्वेज का इस्तेमाल कर रहा है वह अरबी है या फारसी या फ्रैंच या इटेलियन या स्पैनिश ... कौन जानता है ! मुझे नहीं लगता उन पांचों स्टूडेंट्स को पता होगा कि वो किस लेंग्वेज में बात कर रहा है !

मेघनाथ उर्फ मेघा.....---किम " करदाशियां" ने भले ही भय के मारे मेघनाथ को मेघा के नाम से सम्बोधित किया लेकिन शक के बीज तो रीडर्स के मगज में भर ही दिया । कहीं आरूहि की ' मेघा ' मेघनाथ तो ही नहीं !
आरूहि ने एक बार पुरातत्व विभाग से जुड़े एक शहर का ट्रीप किया था । कहीं मेघनाथ का यह पिटारा उस ट्रीप और आरूहि से तो जुड़ा हुआ नहीं !

इसके पहले कालेज में आरूहि का प्रेम लावन्या के लिए देखकर तो हमारे आंखों में आंसू ही आ गए । जिस लड़की से वो सबसे ज्यादा डरी डरी सी रहती थी.....जिस लड़की का चेहरा देखना तक पसंद नहीं करती थी.... जिस लड़की को विभत्स तरीके से मरने की सदैव कामना किया करती थी , उस लड़की के प्रति अचानक से उसकी वात्सल्यता और प्रेम ने उसे संत के कैटेगरी में पहुंचा दिया । उसे तत्काल ही मदर टेरेसा की तरह संत घोषित कर देना चाहिए । :D

एक और सुपरहिट अपडेट हर्षित भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट ।
 
15,604
32,123
259
gajab ka update ..trusty sirf natak kar raha hai ye baat to sahi kahi shruti ne .
aaruhi khud gandi baate karti hai aur jab shruti kuch bole to kehti hai gandi baat mat karo 🤣🤣.. ek raat me lavanya ki fan ho gayi aaruhi 😁 aisa kya jadoo kar diya tha aaruhi par .
uske maut ko lekar jyada hi chinta me rehti hai aaruhi .

meghnath se milne jaate waqt ka scene ekdam horror thrill type laga 😍😍.. har koi chaukanna hokar chal raha tha .
aur ye rachna to kuch jyada hi danger nikal gayi jo khoon se sana hua kapda leke aa gayi meghnath ko fasane ke liye par kaise fasana hai yahi pata nahi 🤣🤣..

ab ye box aa gaya jiski ek alag hi kahani hai jo sabko meghnath bata raha hai .sochnewali baat hai ki uske paas itna ancient jamane ka box aaya kaha se aur wo bhi egyptian 🤔🤔🤔..
aur ek naya naam vikrant jiski aawaj tape recorder me hai .uske paas kaise aaya wo box ye shayad us recorder se pata chal jaaye .

aur ye vishal ka lund utne darawane mahaul me bhi khada hone lag gaya shruti ke chipakne se 🤣🤣🤣.
 
Top