• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Ye soon lgta h sooooooooooooooooooon tha meko lga soon tha 2-4 din me aa jayega inteha ho gi intezar ki bhai
Ayega bhai.. samay mil gaya hai ayega ab
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 108

Koi machli bech raha tha to koi chaku-choori, koi janwar bech raha tha to koi un janwaro ko rakhne ke liye pinjra. Ek taraf dhabba tha jahan sharab aur shabab dono maujud the to wahin ajeeb si gandh bhi maujud thi. Fatte kapde pehne hue vyakti se lekar ameeron ki jhalak wahan maujud thi. Kahin kisi kone mein kisi janwar ke dant ki taskari ho rahi thi to kisi kone mein uski khaal ki. Na to insan ne paisa kamane ka koi mauka chhoda tha aur na hi kudrat ki koi parwah thi. Nadi ke ek kinare par lakdi ke fatton par bani is jagah mein jagah se jada uske uppar insan idhar se udhar daud rahe the aur unhi lakdo ke fatton se satti naavein khadi thi. Kuch naavein khali khadi thi to kuch naavon mein saman chadaya jaa raha tha. Kuch naavein bahut hi alishar bani thi jisme rahees log amazon ka khubsurat nazara dekhne ke liye wahan maujud the. Wahan logon ki bheed dekh kar saaf lag raha tha ki kuch paison ke liye galat kamo ka dhanda dhadale se ho raha tha.

Mandoza un sabko unhi ke bich se le jata hua ek jagah ruk gaya " Go now "

" Go where? " shruti turant boli.

" You know where to go "

" Are you not coming? "

" No I can't, people here not good.. now you go " mandoza ne ishare se jane ko kaha. Shruti, vishal aur aaruhi teeno wahan ke log dekh kar pehle hi ghabraye hue the. Har dusri ankh jaise unhe hi dekh rahi thi mano abhi akar unhe utha le jayegi aur ab mandoza bhi unke sath nahi jaane ko tha.

" But meghnath told us that you will drop off to the boat ? " vishal ko jab shruti se koni padi to vo bola.

" no, my duty is complete, now you go.. i am going .. i need beer... i will meet you here when you all come.. " mandoza itna bol kar jane laga aur fir mud kar bola " if u come " aur dant dikhate hue chala gaya.

" if we come? iska kya matlab tha? mujhe to abhi bhi gadbad lag rahi hai... vapis laut kar chalte hai.. " shruti turant boli.

" laut kar jayenge kahan? " vishal ne jawab dia.

" mandoza se bolte hain ki koi hotel mein chhod dega.. "

" vo to gaya lekin " aaruhi ne use ojhal hota dekh kaha.

" han vo gaya aur hum bhi gaye.. fansa diya us salle haramzade ne.. "

" fansaya nahi hai.. abhi hume vo boat dhundni hai.. "

" boat dhundenge, use pehle ye log hume kahin utha kar na le jaye... " shruti ne vishal ki baat par kaha.

" tum dono daro mat.. aise raho jaise hum ghumne aye hai... ab chalo.. boat dhundte hai.. "

" kisi se puche kya? " shruti ne fir vishal ki baat par kaha.

" nahi.. hum khud dhund lenge.. chalo.. " vishal ne shruti ka hath pakda aur vo aage bada. Aaruhi shruti ke sath sath hi chal rahi thi. Teeno ne kisi par apni nazar nahi gadayi, agar koi dekh bhi raha tha to vo use ignore karke idhar udhar dekh rahe the. Sath hi sath vo boat khojne mein lage the jisme unhe meghnath milne wala tha. Thoda chalne ke baad vo log patle galyare se hote hue jahan par zameen par log baithe mitti mein se utha kar kha rahe the unme se ek ne vishal ka per pakad liya jiske sath hi vo chilla pada usko chillata dekh shruti bhi chilla padi. Teeno ne niche dekha to paya ki vo gandi si aurat kuch khane ko mang rahi thi.

" ye to bhik mang rahi hai.. aise pakad kar kaun mangta hai .. " shruti tez sanson se chillai. Vishal ne bag mein se ek bread ka tukda pakda diya jo unhone petrol pump se kharida tha. Us gareeb aurat ko bread dekar teeno aage badh gaye. Pani mein khadi navein line se khadi thi aur teeno ek-ek kar un navon ko dekhne lage taki unhe meghnath dikh jaye. Ek naav ki taraf dekhte hue usme khada vo admi unhe apne pass bulane laga aur jab teeno aage badh chale to hath mein pakde bade se chaku ko unki taraf bdha diya jise dekh teeno dar gaye aur unko darta dekh vo admi hasne laga.

" Mujhe bas ek mauka mil jaye, is meghnath ka sar na maine dhadh se alag kiya to main bhi ek maa ki beti nahi.. " shruti bad-badai. Raste mein itni bheed thi ki teeno dhang se chal nahi paa rahe the, kabhi koi saman le jaa raha tha to kabhi samne chalne wala dhire-dhire chal raha tha. Vo choti si pakdandi bani hui thi jispar aana-jana laga hua tha aur dono taraf pani hi pani.

" pakad kar chalna mujhe.. taki main girun to tum bhi sath hi giro mere.. " shruti ne vishal ko aur majbuti se pakad liya.

" kyun merra girna jaruri hai kya? "

" mujhe kuch ho gaya aur tum zinda bach jao, mujhse ye bardasht nahi hoga.. huii maa... dekh kar chal ne bhosdiwalee... " bagal se guzar rahe lambe tambe admi ka per galti se shruti par padh gaya to shruti chilla uthi. Vo admi itna vishal tha ki agar ek dhakka deta to teeno pani ki gheraiyun mein ja girte. Vo admi ruka aur palat kar shruti ki taraf dekhne laga. Uske ghurte hi shruti aur vishal dono ki halat kharab, aaruhi un dono ke piche thi isliye aaruhi par usne nazar nahi dali. Vo admi gusse bhari nazron se ghurta raha.

" bolna jaruri tha kya "

" mujhe laga ise hindi nahi ati hogi " shruti mimiyate hue boli.

" bure fanse.. " vishal ko laga ki ab to gaye par vo admi ghurta hua aage nikal gaya. Dono ne rahat ki sans li.

" hume ab bina ruke apni naav khojni chahie. Mujhe lag raha hai humara koi picha kar raha hai.. " aaruhi ne piche se ye baat kahi to dono ne aaruhi ki taraf nazar ghumai aur fir uske piche dekha. Dur kuch log apas mein baat karte hue unki taraf hi dekh rahe the.

" aaruhi sahi keh rahi hai.. unki taraf mat dekho aur ab chalo jaldi.. " vishal ne kaha aur vo shruti ka hath khinchte hue wahan se chal dia. Aaruhi uske piche-piche chal di. Teeno naav aur meghnath ko khojne mei lage hue the lekin itni bheed aur uppar se dur se jagah itni choti lag rahi thi use kahin jada badi thi.

" mujhe nahi lagta ki meghnath yahan hai.. hume pakka pagal banaya gaya hai vishal, hum pkaka fansenge yahan.. hamare sath wahi hoga jo usne kaha tha, hume koi na koi kidnap karke yahan se le jayega aur hamara khel khatam ho jayega.. "

" shruti tum chinta mat karo aisa kuch nahi hoga.. vo mil jayega.. " vishal ne shruti ko samjhaya par dar to uske man mein bhi tha.

" kya mil jayega.. vo yahan hoga to milega na.. "

" shruti sahi keh rahi hai.. " dono ke bich aaruhi boli jisko sun dono hairan hue kyun ki uske muh se aisa sunna ascharya tha. " Jaruri nahi hai ki vo hume dikh jaye, kya pata vo besh badal kar yahan par ho " aaruhi ne jab baat ko khatam kiya tab dono ko samajh aya ki vo aisa kyun boli thi lekin unhe uski baat sahi lagi thi. " Tum logon se usne kuch kaha tha? kuch bataya ho jo tum bhule ho? Usne paka kaha tha ki vo yahan milega? " aaruhi ke puchne par shruti ne turant jawab dia.

" han aur kya.. hum warna pagal hai jo yahan akele ayenge.. "

" nahi.. " tabh vishal bola " usne hume ye nahi kaha tha vo hume milega balki usne kaha tha ki hume ek boat milegi jispar likha hoga.. " vishal sochne laga.

" kya likha hoga.. "

" ajeeb sa naam tha uska..Tesou... Tesou.. kuch karke tha.. " vishal dimag par zor dalne laga aur usme uski nazar drum par padi jo ek vyakti boat se utar raha tha jispar likha tha 'Tesouro' jise dekh vishal ko yaad aa gaya.

'Tesouro do livro' Vishal turant bol pada. " Yahi kaha tha usne jo boat par likha hoga.. hume wahi khojna hai.. " vishal itna bol raha tha ki tabhi aaurhi bol padi.

" Khojne ki jarurat nahi padi, vo dekho us taraf.. " aaruhi ne ishare se sabko dakshin ke kone mein dekhne ko kaha to teeno udhar dekhne lage. Ek kalla jhanda jo hawa se lehra raha tha jispar ek chitr bana tha aur uspar likha tha 'Tesouro do livro'

" chalo.. " teeno us taraf chal diye aur akhir chand palon mein boat ke pas ja khade hue. Boat jada badi nahi thi aur na hi sundar thi.

" Aisi boat mein le jayega? itne gehre pani mein dubo hi degi.. " shruti ne boat ki halat ko bhanpte hue kaha.

" koi dikh kyun nahi raha " aaruhi aur vishal ne boat ke najdeek usme dekhte hue kaha.

" mujhe to nahi lagta vo yahan aya bhi hai.. boat hi to hai koi bhi chadh sakta hai.. vo aya hi nahi hai, main abhi bhi bolti hun hum yahan se chalte hai.. "

" chalte hai... lekin wapis nahi balki manzil ki aaur.. " awaz piche se ayi thi. Teeno piche mude to paya ek admi jiski badi-badidadhi muche the aur chehre par chasma lagaya hua tha. Vo un teeno ke pas se guzarta hua boat ke pas aa khada hua.

" map ke vo tukde.. kaha tha na aate hi main tumse sabse pehle wahi mangunga.. "

" meghnath.. pehchan mein hi nahi aaye.. " vishal ne bag khol kar ek pouch mein jo map ke tukde rakhe the vo savdhani se pakda diye.

" Tum logon ko koi takleef to nahi hui na.. " meghnath ne teeno ko dekhte hue kaha. Koi kuch nahi bola " theek hai boat mein aa jao.. bahar khade rehna theek nahi hai. " meghnath ke bolte sath aaruhi boat ke andar jaa khadi hui.

" aa shruti chalo.. " vishal ne shruti se kaha jo meghnath ko ghure jaa rahi thi.

" takleef to bahut hui hai.. par abhi nahi lekin sawal jarur karungi.. " shruti ne meghnath se kaha jo shayad uski baat ka arth samajh gaya tha. Shruti aur vishal bhi aaruhi ke sath jaa khade hue, boat ke ek taraf kuch drum pade the aur saman rakha hua tha.

" tum log bahar mat nikalna main bas aya.. " meghnath wahan se bol kar chala gaya. Ek pal boat par shanti rahi par ab shruti se raha nahi gaya uske man se ke bhojh hat gaya tha.

" aaruhi tu yahan kaise ayi? " shruti ne puch hi liya.

" Matlab? " aaruhi jo abhi nadi ki taraf dekh rahi thi, shruti ke sawal par uski taraf dekhne lagi.

" matlab tu bhi samjhti hai.. dekh mujhe ghumane ki jarurat nahi hai aur kahani bhi mat banaio "

" Kahani to tune bhi banai thi na shruti? " aaruhi ke bolte hi shruti chup si ho gayi.

" meri to majburi thi.. main jo kar rahi hun.. uske piche ki wajah to tu hai.. ye to tu bhi janti hai.. "

" Maine tujhse kabhi nahi kaha ki tu mere liye kuch kar " do pal dono ek dusre ki ankhon mein dekhte rahe.

" Han behenchod hum to chutiya hai na.. " shruti ne boat par ahat sun nazar hatai aur bol padi " jo bhi kar lo, sala ehsan-mand hi rehna tum.. tumhara kya hai.. hum sab chhod kar aye hain.. kiske liye tumhare liye hi ... par kadar hi nahi hai.. abki akhri baar hai ye bas.. uske baad jo marzi ho tere sath mujhe kya hai.. keh dungi teri mumy ko bhi.. "

" shruti shant ho jao " vishal ne ek pal chup rehne ko kaha.

" tum chup raho, mujhe mat batao.. aise doston se acha hai dost hi na ho.. " shruti badbda rahi thi. Aaruhi chup chaap nadi ki taraf dekh rahi thi. Meghnath apne sath ek admi ko laya tha, jo dekhne mein bakiyun ke mukable kanjor tha. Usne megnath se kuch baat ki, meghnath use map mein kuch dikha raha tha aur vo boat wala use kisi chiz ke liye mana kar raha tha aisa saaf dikhai padh raha tha.

" kya hua kya dikkat hai ? " vishal ne puch hi liya.

" vo keh raha hai ki is taraf pani ki gehrai jada hai aur wahan koi boat nahi jati, ye bhag " meghnath ne utna map par circle kiya jahan sabko jana tha " aaj tak koi nahi gaya aur wahan kya milega kisi ko nahi malum, ye khatra nahi lena chahta "

" par tum to keh rhe the ki sara intezam hai? Ye intezam hai? " shruti ne taunt mara.

" mera sara intezam paka tha tabhi tum yahan aa pahunche ho lekin kal raat ko jis admi se humne apne sath chalne ke liye baat ki thi uska kuch ata-pata nahi hai. Vo mujhse milne aya hi nahi "

" to fir? "

" Fir kya.. ye admi uski ka sathi hai, ise bhi nahi pata ki vo kahan gaya.. ye boat bhi uski hi thi. Itni jaldi mein dusri boat ko arrange karna mushkil tha aur isne mana kar diya tha to main ise abhi paise ke lalach mein yahan lekar to aa gaya par ye yahan jane se mana kar raha hai.. " meghnath ne pura majra samjhaya.

" jo admi paise ke lalach mein chalne ko tayar ho gaya vo wahan bhi jane ko tayar ho jayega.. tumhe bas lalach hi to badana hai.. " shruti ki baat samjhte hue meghnath uske pas gaya jo pehle se udhar unki baat samajhne ki kosish kar raha tha. Meghnath ne do minute main use aisi guthi pilai ki vo jane ke liye tayar ho gaya aur agle hi pal main boat par laggi rassi ko usne azad kiya aur usne boat start kar di. Engine chalu hote hi pani mein shor gunja aur vo wahan se ravana ho chali.

" aisa kya bola jo achanak se maan gaya? " vishal ne meghnath se pucha.

" maine bas itna kaha ki khazane ka 2% tumhe milega.. "

" tumne use bata dia? " shruti hairan thi.

" tumne hi to kaha tha lalch dena hai to bas de diya.. "

Boat apni jagah se aage badh chuki thi, engine ki fatti awaz aur nikalta dhuan, safar shuru ho chuka tha. Man mein sabhi ke ghabrahat thi. Vo sab ek aise safar main badh chuke the jisme hone wali sabhi ghatnaon se vo anjan the. Thodi dur nikalte hi amazon ki nadi mein boat ke shor ke alawa dono taraf ke jungle se nikalti ajeeb awazein aa rahi thi.

" Ye janwar aise ajeeb tarah se shor kyun karte hai.. "

" Jab shikar hota hai to awaz khud ba khud nikal jati hai "

" matlab? "

" ye jungle hai shruti, yahan har samay har pal koi na koi shikar hota hai.. " vishal ne use bataya aur dono fir gehre jungle ki aaur dekhne lage. Meghnath boat walle se baat kar raha tha.

" Aisi kya baat kar rha hai use? "

" abhi ayega to puch lena.. " vishal ne shruti ki baat ka jawab diya aur aaruhi ko dekhne laga. Aaruhi ki nazar nadi par thi jiski gehrai mein na jane kitne raaz chupe the.

Thodi der baat meghnath boat walle se baat karke piche ki taraf aa gaya. " Hume pahunchne mein abhi samay lagega.. tum sabko aram karne ki jarurat hai.. "

" Kitna samay lagega? "

" kal sham tak pahunchnge "

" Kal sham tak? " sabhi hairan the ki itna samay is boat par kaise nikalenge.

" Ye jungle aur nadi hai.. yahan koi bhi rasta sidhe nahi hota..ye dekho map " meghnath ne map table par khol diya aur fir ek jagah par apni ungli rakh di " Hum abhi yahan hai aur nadi ke raste is ghumav se hum apni jagah par barah se chaudah ghante mein pahunch sakte hai lekin pani ka bhav is samay idhar bahut jada hoga isliye hume is raste se ghum kar jana hoga, dusra raat ko advivasi apne jaal fenk dete hai to us us waqt boat chalana sahi nahi hoga "

" to kya boat ruki rahegi? "

" han raat ko boat ek jagah par rok denge aur fir suraj nikalte hi chalenge "

" par raat ko agar koi janwar aa gaya to? " is sawal ka jawab vishal ko kisi se nahi dia.

" tum log aram kar lo, boat mein ek kamra hai aur khane pine ka pura intezam hai. Ladkiyan wahan aram kar sakti hai, main aur vishal yahan bahar lait jayenge.. fikar mat karo.."

" Fikar nahi karo? Jungle ke bichon-bich itne gehre pani main raat bhar, nind ayegi bhala? " shruti ne tanna kasa. Meghnath kuch nahi bola, usne map roll karke rakh liya. Khatra to tha hi lekin uske alawa koi aur chara nahi tha.

Boat se nikale hue unhe takreeban panch ghante ho gaye the aur suraj apne antim shano mein tha. Uski roshni ab jungle ke bheetar khoti jaa rahi thi. Raat main boat ek jagah to rukni thi ye baat vo bata chuka tha lekin raat mein jungle apne bhayanak roop mein ujagar hota hai is baat ko usne nahi bataya tha. Boat ek taraf ko khadi thi, andar portable light lamp laga diye the, wahan ke andhere mein ek matr roshni vo boat hi thi. Bhuk itni lagi thi ki sabne wahan baith kar apna laya hua saman khaya aur dusri taraf boat chalane wala 'Matio' beer piii raha tha.

Tabhi achanak se kisi janwar ke cheekne ki awaz ayi aur uski awaz sun boat mein dar ka mahol ban gaya, sabhi ke khate hue hath ruk gaye. " Ye..ye kaisi awaz thi? " shruti ne khud se aur sabse pucha.

" Jungle hai.. lagta hai koi shikar bana hai.. " meghnath ne jawab dia.

" Aisi jagah ana hi nahi chahie tha.. " Matio unki halat dekh hans pada tha.

" Do you think this is a picnic? This is jungle.. No human can understand it. Jungle shows you something else but the truth is its darkness actually eats you.. go have a sleep..." matio ne beer ki bottle wahin pani mein fenki aur wahin niche lait gaya. Sabhi usko ek tuk bas dekhe jaa rahe the.

" aram kar laite hai, kal thakane wala din hai.. " meghanth ne kuch pal baad kaha aur apni jagah se uth gaya. Kuch der baad...

Vishal aur meghnath to wahin so gaye aur andar walle kamre mein aaruhi niche walle bed par aur uppar walle bed par shruti. Lekin shruti ki ankhon se nind gayab thi.

" Aaruhi main janti hun to soi nahi hai " shruti ne laitie-laite kaha par aaruhi ne jawab nahi dia " Tujhe kabse pta hai is plan ke bare mein? shruti ne apna sawal kiya lekin aaruhi ne koi jawab nahi dia.

" Tu janti hai hum kahan aur kyun jaa rahe hai? " is baar usne apni gardan niche ki taraf jhukai. Aaruhi karwat liye laiti thi isliye use pata nahi tha ki vo so rahi hai ya nahi.

" Jawab nahi degi to main chup nahi ho jaungi. Mujhe apne sawalo ka jawab chahie. Vaise bhi tu bahut kuch chupane lagi hai. Tujhe kya lagta hai mujhe kuch pata nahi chalega. Sab pata hai mujhe.. tera vibhu se mansion ke bare mein puchna.. tera yun soccer mein dilchaspi.. Yahan tak ki mujhe ye bhi pata hai ki tune bachpan mein Nimisha ko chatt se dhaka bhi diya tha.. " shruti chup hone ka naam hi nahi le rahi thi aur aaruhi jawab dene ke mood mein nahi thi. Aur jab aaruhi kuch nahi boli to shruti ko aaur gussa aa gaya, usne fir apni gardan niche ki taraf ki

" mujhe ye bhi malum hai ki tera vandana ke murder main jarur koi hath hai.. jo tune sabse chupaya.. " shruti ne gusse mein keh diya lekin is baat par bhi aaruhi ne koi prakriya nahi di. Shruti wapis apni jagah par lait gayi. Use abhi bhi gussa aa raha tha. Gussa use is baat se jada aa raha tha ki aaruhi yahan ayi kaise, use insabke bare mein pata kab chala aur agar chala bhi to iske alawa vo aur kya janti hai. Kuch der vo isi soch mein khoi rahi aur fir so gayi.

Der raat shruti ki ankh khuli, nind kyun khuli use ek pal samajh nahi aya. Jis kamre mein so rahi thi usme andhera pasra hua tha. Vo abhi karwat lekar soti tabhi use mehsus hua ki boat halki-halki hil rahi hai. Raat ka samay bich jungle mein gehri nadi ke uppar vo so rahi thi, achanak ye uske man mein tehar gaya aur use laga ya to koi boat par chal raha hai ya abhi abhi boat ke niche se koi badi chiz guzri hai. Ye sochte hi vo ek dum se uth baithi. Baithe sath usne apne pas rakhi torch on kar di aur fauran kamre mein daudai lekin wahan saman ke alawa kuch nahi tha. Tabhi kamre ka darwaja khula behad dhime-dhime se, itni khamoshi se mano koi chahta na ho ki andar kisi ko ahat ho. Shruti ki nazar turant wahan gayi aur jaise hi usne torch ki roshni udhar dali, torch bhi lub-jup hokar band hone lagi aur band ho gayi. Darwaje ke khulne ki tikhi awaz uske kano mein gunj rahi thi. Sehmi hui shruti kuch keh nahi paa rahi thi, darwaja khulne se ruk gaya tha lekin aisa lag raha tha mano koi uske behad kareeb aa raha ho. Kya kaun kuch nahi pata lekin koi tha jo uske kareeb aa raha ho, sath main hi pani ki bundein bhi tapakne ki awaz aa rahi thi. Har badte waqt ke sath koi uske bistar ki taraf aa raha tha.

" aaruhi.. aa...ruhi... uth.. koi...aa raha hai.. " uski awaz itni dhimi thi ki uske alawa shayad hi koi aur sun sake. Vo ahat uske bistar tak pahunch hi gayi thi, shruti ne apne sharir ko sikod kar piche kar liya tha aur bar-bar vo torch ko maar kar uski roshni wapis lana chahti thi. Aur akhir uski kosish rang layi aur torch jal uthi aur jaise hi roshni ayi uski ankhon ek aage ek nazar aya. Vo koi veham nahi tha balki samne aaruhi nangi aur bili gili mano abhi nadi se nikal kar ayi ho adhe se jada chehre par uske gille baal chipke hue the aur fir tabhi usne apni nazar utha kar shruti ki taraf dekha. Uski ankhein ek dum pathar jaisi safed thi, ye dekhte hi shruti cheekh hi padi.

" Aaruhi... " usne chadar muh tak odh li thi aur vo gehri-gehri sansein le rahi thi. Kuch der mein use aisa laga mano bahar se koi awaz aa rahi ho. Ek pal to himmat hi na hui, agle pal himmat karke usne chadar apne muh se hatai to roshni ne uski ankhein chaundia di. Kamre mein pani choti si khidki se atti suraj ki roshni aur bahar se meghnath, vishal ki baat karne ki awaz aa rahi thi. Use ek pal samajh hi nahi aya ki raaton-raat din mein kaise badal gayi. Use raat ki baat yaad atte hi fauran apna sar niche kiya to aaruhi waise hi soi padi thi jaisa usne raat ko dekha tha. Usne apne uppar se chadar hatai aur jaise hi khade hone ko hui use gila pan mehsus hua.

" Oo behenchod.. ye kaise hua.. " vo jahan soi hui thi uske niche ka bistar gilla pada tha. Uska pehna hua pajama bhi gilla ho chuka tha. " Maine raat mein sote time susu kar diya? Behenchod ye kabse karne lagi main.. " shruti fauran apni jagah se khadi hui aur pajame ke sath apni kachi bhi utar di jo ki puri gili ho gayi thi. " Apne aap par vishwas nahi ho raha, susu kaise kar diya maine " shruti ne kachi aur pajama badla aur bahar nikal gayi.

" Uth gayi tum.. subah aya tha to gehri nind mein so rahi thi "

" Kya time ho gaya? " shruti baal bandh rahi thi.

" 2 baj rahe hai "

" Hain? do? itna jada kaise so sakti hun main.. "

" Thakan ki wajah se.. "

" Kab tak pahunchenge hum... " shruti ne bas itna hi kaha ki un sabhi ki nazar nadi ke kinare boat par padi jo bilkul tehas nehas ho chuki thi aur halat bahut buri thi, mano koi bahut bada hadsa hua ho uske sath.

" This can happen because of the flow of the water " matio bola.

" do you think any of them could have survived this? "

" in this jungle? " matio ek pal ruka " No one can survive in this jungle.. Jungle himself eat them with something.. I warned you about this part of the jungle. No one would dare this.. Next 2 hours is typical, water flow is very heavy. You should all wake up and carry your life jackets "

" Life jackets kyun? " shruti ne pucha.

" Precaution hai.. aaurhi ko utha do " vishal ne kaha aur hua bhi aisa hi, agle do ghante sabhi ki jaan atki rahi. Meghnath bas apni manzil par pahunchne ki rah dekh raha tha aur baki sab pani ke bhav ko jo dhire-dhire badhta hi jaa raha tha.Matio experience tha par chehre se pasina uske bhi tapak raha tha, boat sambhalni mushkil hoti jaa rahi thi. Bich mein aye hichkolon ne sabhi ki cheekh nikalwa di aur bheetar kamre ko kaffi nuksan bhi pahunch chuka tha, uske uppar ki chatt tut kar gir gayi thi. Par akhirkar sabhi badhaon se bachte-bachte hue vo apni manzil par pahunchi hi gaye.

" One suggestion, you all should have to come back before dark, otherwise you won't be able to.. if u all don't come till morning, i will be long gone... give me my money " matio hissab ka pakka tha aur vo galat nahi tha lekin sabhi ke man mein bas yahi aya ki agar unhe ane mein der hui aur boat nahi mili to vo yahan se wapis kaise jayenge, lekin ab unke pas koi aur chara nahi tha. Vo ab apni manzil tak aa chuke the aur bina apni cheez hassil kiye vo jane wale nahi the. Unhne apna saman nikala aur vo books bhi jo ne ved sharma ke ghar se uthai thi. Use le jane ka usne ek sadhan bana liya tha jise khinch kar le jane mein asani thi. Ha vo unka safar lamba jarur karti lekin le jana jaruri tha to chhod bhi nahi sakte the. Sabhi ne apna bagpack kiya jisme jarurat ki sabhi chizen maujud thi.

" We will meet here in the morning, just wait for us.. " meghnath ne matio ko paise pakdaye aur matio boat ghuma kar wahan se chala gaya. Boat wahan khadi nahi ho sakti thi jis jagah vo utare hue the.

" Ab hume chalna chahie, do ghante lagenge.. din dhalne se pehle hume wahan pahunchna hai.. " meghnath ne sabhi ko dekhte hue kaha.

" aur agar wahan hume kuch nahi mila to raat is jungle mein guzarenge? " shruti ke sawal ka kisi ke pas koi jawab nahi tha. Sab is waqt itne andhe the jaise khuli ankhon par patti bandh dene se ho jate hai. Har kadam par khatra tha aur har pehlu mein sawal, jawab to ab 'AMAZON' ke in jungle ke bich hi kahin chupa tha. Charon chal pade the usi manzil ki taraf jo is gehrate mayajaal ke bich hi kahin chupi thi.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
9,477
39,858
218
यह खौफनाक और एडवेंचर्स जर्नी हालीवुड फिल्मों की तरह उत्सुकता पैदा करने वाला था। और न सिर्फ उत्सुकता पैदा कर रहा था बल्कि हमारे रोंगटे भी खड़ा कर रहा था।
क्या ही लाजवाब कर देने वाला दृश्य रहा होगा जब ये लोग अमेजन के घने जंगलो के मध्य बहने वाले संसार की सबसे लम्बी नदियों मे से एक अमेजन नदी मे एक साधारण से बोट मे सफर कर रहे होंगे।

इस सफर के शुरू होने से पहले जहां श्रुति ने अपनी बातों से हंसी खुशी का माहौल बना दिया वहीं सफर के बाद इस जर्नी की रोमांच ने हमारे नर्सो मे सिहरन सा पैदा कर गया।
मै यह सोच सोचकर रोमांचित हो रहा था कि क्या हो यदि इस वोट पर कोई एनाकोंडा रूपी सांप आ जाए ! मै यह भी सोच रहा था कि क्या हो कि इस अमेजन नदी के गहराई से कोई मगरमच्छ इनके बीच आ जाए !

यह लोग एक ऐसे सफर पर निकल पड़े है जिसमे हर पग पर सिर्फ खतरा और खतरा ही हो सकता है। चाहे वो खतरा नदी से उत्पन्न हो या चाहे घनघोर जंगलों के बीच से आए ।
और सबसे बड़ा खतरा, निस्संदेह मनुष्य तो होगा ही।

आरोही पर हम बहुत पहले से शक करते आए है। उसकी हरकतें सदैव हमे आश्चर्यचकित करती थी। लेकिन पिछले कुछ अपडेट से श्रुति भी शक के दायरे मे आ गई है।
रात्रि मे सोने के दौरान उसके वस्त्रों का गीला होना , दिन के दो बजे तक सोते हुए रहना और आरोही को लेकर एक बार फिर उसका सपने देखना , यह जाहिर करता है कि वह खुद भ्रम का शिकार हो गई है।
उसने सपने मे आरोही को नंगे बदन और पानी मे भीगे हुए देखा था जबकि हकीकत मे वो खुद भीगी हुई थी।

मै अब तक समझ नही सका हूं कि इस अमेजन के जंगल मे ऐसा क्या है जिससे आरोही की प्रॉब्लम दूर हो जाएगी ! आखिर मेघनाथ करना क्या चाहता है ?
कभी कभी ऐसा लगता है जैसे मेघनाथ , आरोही के साथ मिलकर कोई बड़ा गेम खेल रहा है तो कभी लगता है वो श्रुति के साथ मिला हुआ है । लेकिन कुछ न कुछ तो मेल मिलाप का चक्कर है जरूर ।

बहुत ही खूबसूरत और जबरदस्त अपडेट हर्षित भाई। आउटस्टैंडिंग एंड जगमग जगमग अपडेट।
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Only a girl can understand how dignity is important for a her, the reason for Jaggu's suicide today is fear of slander in the society and friends and family but if seen from one point of view it's her fault too, of some unknown person Sharing personal videos is not okay and somewhere in this I also feel Shruti's mistake because Jaggu had sent all these videos and photos on shruti's misleadings, if data leaked then it can happen from two sides, one from Jaggu's mobile or Shruti and Shruti's mobile was also lost, so maybe someone has done this at the same time, just doubt but I feel very bad for Jaggu. :sigh2:

Exactly Aarohi did not give everyone a chance I already knew that my Aarohi is a princess :love: if have a chance I will take her on a walk on the clouds :angel4: and only I can see her Ashleel Shruti has to take eyes off. :chair:

If it is true that Ved Sharma and his friends are missing just before Shruti and her friend meet then it may also happen that someone don't wants these people to meet or Ved Sharma and his friends have gone to Amazon, Mysterious things are happening one after the other, Whether we have faith in Meghnath or not but we have to go with him as we have no other way to solve this mystery. :?:


Looks like a lot more is going to happen that we didn't even imagine :yay: interesting update waiting for the next part.

nice update ..me to yahi maanta hu ki jaggu ke maut ke pichhe sabse bada haath shruti ka hai 😡.. apne maje ke liye jaggu se video banati rahi aur milne ki baat bhi kaha ki to mansion me jaha sabse jyada khatra hota hai .
par aakhir jaggu mansion me karne kya gayi thi 🤔 kisine bulaya tha kya .
lagta to aisa hai ki shruti ke mobile se kuch mil gaya ho kisiko .
aaruhi ka jaggu ke maut ko lekar apna hi view hai .
nahane ke jagah dono ki baate majedar thi 🤣🤣🤣..

ab ye meghnath ne to plan bhi bana liya jisme wo pehle jayega aur ye dono baad me .par kya sirf 3 log milke us raaz ko talash kar payenge 🤔🤔.. ved sharma bhi gayab ho gaya hai aur kisiko pata nahi kya hua uske saath .
shruti apne mann ki bhadas nikal rahi thi meghnath par ,par wo har sawal ka jawab dene ke liye taiyari karke aaya tha .

जग्गू की दर्दनाक मौत पर श्रुति की ठंडी प्रतिक्रिया काफी हैरत भरा लगा मुझे। क्या उसे आभास नही कि जग्गू की मौत मे कहीं न कहीं उससे भारी गलती हुई थी।
ऐसे केस मे अक्सर लड़कियां सुसाइड करने पर उतारू हो जाती हैं पर जग्गू की मौत सुसाइड नही बल्कि कत्ल लग रहा है मुझे। हत्यारे ने उसे मेंशन बुलाया और फिर कत्ल कर के छत से नीचे फेंक दिया।
यहां बिहारी पर शक हो रहा है क्योकि वो उस वक्त वहीं पाया गया था जब श्रुति अपनी मोबाइल ढूंढते हुए पाई गई थी।

मेघनाथ की लीला मेघनाथ ही जाने! ब्राजील...आमेजन...नक्शा...वेद शर्मा...मिश्र का जादुई चिराग और दिमाग को शुन्य कर देने वाली एक टन बुक्स , सब कुछ उसके दिमाग की ही पैदावार है। और सिर्फ यही नही, इस अपडेट मे भी वो विशाल और श्रुति को ऐसे जगह पर मिलने को बुलाया जहां सिर्फ एक ही आदमी दिखने को मिला और वो भी बहरा एंव गूंगा । पहले लेकर गया भंडारा नामक विचित्र गांव मे जहां पर भी मानव जाति का नामोनिशान तक नही था।

मै अभी तक समझ नही पा रहा हूं कि वो करना क्या चाह रहा है? आमेजन के घने जंगलों से आरूहि का क्या सम्बन्ध?
वैसे आपने बिल्कुल सही कहा आमेजन के जंगल सबसे ज्यादा आक्सीजन पैदा करते हैं। काफी विस्तृत और रहस्यमय क्षेत्र है वह।

बहुत खुबसूरत अपडेट हर्षित भाई। शानदार और जगमग जगमग।

Bhai agla update mere budhe hone se pehle de dena



20 din sejyada ho ge wait krte krte

Agar aapko ab likhne ka mn nhi krta to plzzz thoda time nikal kr iss story ko fatafat se complete kr do uske baad mst apni life jiyo or enjoy kro


Bs hum readers jinko aapki sorry padhna pasand hai unpr thodi Daya krdo

सभी के लाइफ मे कुछ न कुछ प्राथमिकता होती है जिनका निर्वहन करना उनके लाइफ का मेन मोटिव भी होता है।
जिम्मेदारी निभाना सबसे बड़ी चुनौती है।
आप पहले अपने प्रथम कर्म पर फोकस कीजिए। जब समय अनुकूल हो तब ही कुछ लिखने की कोशिश कीजिएगा।
हम प्रतीक्षा करेंगे हर्षित भाई।

No worries man! I can understand that managing workload and story writing together ain't possible. Aap apne kaaryabhar par focus kijiye, aur yadi bhavishya mein samay anukul raha to lautiyega aage ke updates ke saath.

Aaila.. Ju shaheed hone waale ho!? :D

koi baat nahi ,,shadi karo pehle aap .

Story is a guise bhai with which you and we are connected and there is a life outside it, which is also important to take care of, soon beautiful moments are going to come many best wishes from my side.

We have no complaints with you just keep visiting us whenever you have free time, thanks again for keeping us all entertained, will Waiting...
:hug:

हर्षित भाई , नव वर्ष एवं आप को वैवाहिक जीवन मे पदार्पण करने के लिए बहुत बहुत हार्दिक बधाई।
हनीमून पीरियड मे वैसे तो कपल को डिस्टर्ब नही करना चाहिए पर आपने कहानी को ऐसे सस्पेंस मोड़ पर ला खड़ा किया है कि यह गुस्ताखी भी कर बैठे।
अपडेट का इंतजार रहेगा।
Thank u bhai logis... You people are true gem and a par of my this life... I have got a bunch of friends which will always be connected with me ... Thanks all :hug: Keep reading and keep enjoying even if i am not coming here... Thanks all :hug:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
nice update ..nayi khabar saamne aayi ki jaggu ke saath koi aur aadmi ki bhi maut huyi thi us jagah par .
vishal to ab kaafi dimaag lagane laga hai jo co ordinates pata kar liye meghnath ke saath milke ..
vishal se jyada baat nahi ki booth par meghnath ne bas ek hi baat ki 1 rs ka note hai kya ..shruti ko bharosa nahi tha meghnath par isliye chidh gayi thi vishal par ..
par ab dono ka passport bhi aa gaya aur amazon jaane ko taiyar hai dono par baaki dost nahi jaa rahe hai kya ..

romanchak update ..shruti ne apna pichha to chhuda liya aaruhi se par vishal aisa nahi kar paya aur usko match dekhne jana pada ..
tamanna ko goal karne nahi diya isliye wo gussa hai aaruhi se .aur uska natija kuch aur hi nikla jo lesbian type ban gaya 🤣🤣 aaruhi ki kamjori haath lag gayi tamanna ke par aaruhi bhi kaha pichhe hatnewali hai .

vishal ne kisko dekha booth par 🤔🤔🤔.. aur ab ye achanak aaruhi kaise saath aa gayi dono ke amazon jaane ke liye ..
aur ye meghnath ki baate kuch samajh nahi aa rahi ,kya usko kisine pakad rakha hai jo jyada baat nahi karta phone par ,STD booth ke phone to koi hack ya tap nahi kar sakta ..

nice update ..ye mandoza to kuch jyada hi darawna lag raha hai sabko 🤣..
susu ka matter bahut majedar tha 🤣,sabko susu karna tha par mandoza ne kahi bhi gadi nahi roki jab tak petrol pump nahi aaya .
shruti ki halat ko samajh sakte hai jab susu jor se lagi ho aur public washroom ganda ho jaha 1 second bhi khada nahi raha jata ..

shruti ne jaankari hasil karne ki koshish ko mandoza se par usne kuch kaha hi nahi .
aur ye meghnath abhi tak milne nahi aaya teeno se 🤔🤔..aakhir wo hai kaha .

shruti ka sapna pura nahi ho paya vishal ke saath sex karne ka jo usne college me promise liya tha vishal se ki waha jakar sex karenge 😁..aaruhi to roda ban gayi uske sapne ke bich .
Mandoza darwana nahi hai ye pilan hi darwana hi ab to bas pitare kholne hai hume aur kuch nahi :D Thanks bhai :hug: keep reading...
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
कैसे दोस्त हैं ये सब जो दस बारह घंटे तक ढंग से बात ही न किए ! श्रुति को आरोही से जरूर पूछना चाहिए था कि उसे ब्राजील जाने की खबर कैसे पता लगी !
कुछ न कुछ तो जबाव देती वो , भले झूठ ही जबाव देती ।
फिलहाल वो ब्राजील पहुंच चुके है और शायद अमेजन भी। लेकिन मुझे लगता है , ब्राजील जाने की प्लानिंग सिर्फ आरोही को ही नही पता होगा। इस अमेजन के जंगल मे कुछ और लोग भी है जो इनसे भी पहले पहुंच कर इनका इन्तजार कर रहे होंगे। मेघनाथ के अलावा।

अमेजन तक का सफर कोई बढ़िया नही रहा। आपस की खामोशी , भूख से हाल बेहाल , बाथरूम जाने की जोर तलब और एक थका देनी वाली जर्नी बहुत भारी पड़ा इन सब पर। और जो गाइड मिला , वो भी एक पहलवान जैसा मौनी बाबा।

अमेजन के जंगल तक आ तो गए हैं लेकिन इस जंगल से वापस लौटना शायद आसान न होने वाला हो !

बेहतरीन अपडेट हर्षित भाई। आउटस्टैंडिंग।

आप को जब भी टाइम मिले तब आप अपडेट पोस्ट कर दीजिएगा।
Wahan ke sab aise pehlwan types hi hote hai na bhai to wahich milela hai... :D
Thnk u so much bhai :hug:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
यह खौफनाक और एडवेंचर्स जर्नी हालीवुड फिल्मों की तरह उत्सुकता पैदा करने वाला था। और न सिर्फ उत्सुकता पैदा कर रहा था बल्कि हमारे रोंगटे भी खड़ा कर रहा था।
क्या ही लाजवाब कर देने वाला दृश्य रहा होगा जब ये लोग अमेजन के घने जंगलो के मध्य बहने वाले संसार की सबसे लम्बी नदियों मे से एक अमेजन नदी मे एक साधारण से बोट मे सफर कर रहे होंगे।

इस सफर के शुरू होने से पहले जहां श्रुति ने अपनी बातों से हंसी खुशी का माहौल बना दिया वहीं सफर के बाद इस जर्नी की रोमांच ने हमारे नर्सो मे सिहरन सा पैदा कर गया।
मै यह सोच सोचकर रोमांचित हो रहा था कि क्या हो यदि इस वोट पर कोई एनाकोंडा रूपी सांप आ जाए ! मै यह भी सोच रहा था कि क्या हो कि इस अमेजन नदी के गहराई से कोई मगरमच्छ इनके बीच आ जाए !

यह लोग एक ऐसे सफर पर निकल पड़े है जिसमे हर पग पर सिर्फ खतरा और खतरा ही हो सकता है। चाहे वो खतरा नदी से उत्पन्न हो या चाहे घनघोर जंगलों के बीच से आए ।
और सबसे बड़ा खतरा, निस्संदेह मनुष्य तो होगा ही।

आरोही पर हम बहुत पहले से शक करते आए है। उसकी हरकतें सदैव हमे आश्चर्यचकित करती थी। लेकिन पिछले कुछ अपडेट से श्रुति भी शक के दायरे मे आ गई है।
रात्रि मे सोने के दौरान उसके वस्त्रों का गीला होना , दिन के दो बजे तक सोते हुए रहना और आरोही को लेकर एक बार फिर उसका सपने देखना , यह जाहिर करता है कि वह खुद भ्रम का शिकार हो गई है।
उसने सपने मे आरोही को नंगे बदन और पानी मे भीगे हुए देखा था जबकि हकीकत मे वो खुद भीगी हुई थी।

मै अब तक समझ नही सका हूं कि इस अमेजन के जंगल मे ऐसा क्या है जिससे आरोही की प्रॉब्लम दूर हो जाएगी ! आखिर मेघनाथ करना क्या चाहता है ?
कभी कभी ऐसा लगता है जैसे मेघनाथ , आरोही के साथ मिलकर कोई बड़ा गेम खेल रहा है तो कभी लगता है वो श्रुति के साथ मिला हुआ है । लेकिन कुछ न कुछ तो मेल मिलाप का चक्कर है जरूर ।

बहुत ही खूबसूरत और जबरदस्त अपडेट हर्षित भाई। आउटस्टैंडिंग एंड जगमग जगमग अपडेट।
Han bhai.. journey thrill se bhari honi jaruri thi. I tried to write more nd more.. but samay bahut kam hai aur kahani ko expand karna aur time consuming isliye main jada nahi dikha kar khinch nahi sakta kahani ko. Isliye kosish wahi hai ki thrill kam shabdo mein hi paida ho jaye. Hahaha.. Anaconda aa jata to bilkul anaconda jaisi hi kahani ban jati :D Kaun hai jo shaw mein nahi hai, hum kisi ko shaq ke ghere se bahar janne hi nahi denge. Bhai isi amazon ke jungle mein sab dafan hai.. ab bas dekhte jao.. agla update apko iska jawab bhi de hi dega... Thank u so much bhai for connecting with this story uptil now.... Its really heartwarming... :hug:
 
Top