• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,213
78,146
304
आकाश भाई की टिप्पणी भी कभी कभी मुझे सच लगता है जैसे उन्होंने कहा कि कहीं आरूहि का डबल रोल तो नहीं ।
Aapne read kiya :shocking: nahi to hamare reviews koi nahi read karta :lol1:

Prefix fantasy hai isiliye dimaag chaaro taraf daudhta hai humne Review me likha bhi hai aapne bhi sahi kaha dekhte hai aage kya hota hai waise ritu ji is kahani me update week me ya daily post kaise hote hai :?:

Bita hue Kal ki kahani rochak hongi :cool1:
 
Last edited:
9,478
39,862
218
Aapne read kiya :shocking: nahi to hamare reviews koi nahi read karta :lol1:

Prefix fantasy hai isiliye dimaag chaaro taraf daudhta hai humne Review me likha bhi hai aapne bhi sahi kaha dekhte hai aage kya hota hai waise ritu ji is kahani me update week me ya daily post kaise hote hai :?:

Bita hue Kal ki kahani rochak hongi :cool1:
Badi mushkil se naam change karke Sanju rakha aur abhi bhi aap mujhe Ritu hi kah kar sambodhit kar rahe ho Aakash bhai...kahi fir se tharki ladkon ne ulta pulta mughe massage karna shuru kiya to eske liye main aap ko hi jimmedar manuga. :D

Btw.. meri najar me top 5 review dene walon me aap ek ho... English me aap jaisa koi bhi review nahi de sakta.... main kahani hi nahi balki sabhi readers ke review bhi padhta hu aur un review se kuchh sikhne ki koshish bhi karta hu.... you are too outstanding. :hug:
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,213
78,146
304
Badi mushkil se naam change karke Sanju rakha aur abhi bhi aap mujhe Ritu hi kah kar sambodhit kar rahe ho Aakash bhai...kahi fir se tharki ladkon ne ulta pulta mughe massage karna shuru kiya to eske liye main aap ko hi jimmedar manuga. :D

Btw.. meri najar me top 5 review dene walon me aap ek ho... English me aap jaisa koi bhi review nahi de sakta.... main kahani hi nahi balki sabhi readers ke review bhi padhta hu aur un review se kuchh sikhne ki koshish bhi karta hu.... you are too outstanding. :hug:

Badi mushkil se naam change karke Sanju rakha aur abhi bhi aap mujhe Ritu hi kah kar sambodhit kar rahe ho Aakash bhai...kahi fir se tharki ladkon ne ulta pulta mughe massage karna shuru kiya to eske liye main aap ko hi jimmedar manuga. :D
Itna to Hak hai hamara yaar :blush:
Waise bhi ye masusam Versha Ritu ka hai to kya galat kaha humne :stupidp:
Btw.. meri najar me top 5 review dene walon me aap ek ho... English me aap jaisa koi bhi review nahi de sakta....
Ab itna sir par mat chadao bas jo lagta hai likh deta hu or aapne hi suggest kiya tha yaad hai khair ftk bhai ki new story start ki hai chalo waha Chalke dhamaal karte hai :dj:

harshit1890 honeymoon mana rahe ho kya :roll:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Itna to Hak hai hamara yaar :blush:
Waise bhi ye masusam Versha Ritu ka hai to kya galat kaha humne :stupidp:

Ab itna sir par mat chadao bas jo lagta hai likh deta hu or aapne hi suggest kiya tha yaad hai khair ftk bhai ki new story start ki hai chalo waha Chalke dhamaal karte hai :dj:

harshit1890 honeymoon mana rahe ho kya :roll:
Are nai bhai pura din laga kar likha tha pr pasnd nai aya, likhne ke baad kami lagi to dia nai. Fir afis mei bsy ho gya. Thda schedule bsy hai pr jldi hi milunga with mind-fuckling kahani ke sath :D
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,213
78,146
304
Are nai bhai pura din laga kar likha tha pr pasnd nai aya, likhne ke baad kami lagi to dia nai. Fir afis mei bsy ho gya. Thda schedule bsy hai pr jldi hi milunga with mind-fuckling kahani ke sath :D
Are hum to mazak kar rahe the yaar kya jaada jaruri hai ye aapko pata hai :D intzaar rahega...

Ye kahani to complete Kar lo bhai pahle :sigh2: aage ka baad me samjh lenge​
 
Last edited:

Death Kiñg

Active Member
1,372
6,949
144
Meghnath, shakh ke ghere mein to tha hi wo aur in do updates ko padhne ke baad uspar shakh aur bhi gehra jaata hai... Harshit bhai kya likh rahe ho ye? Itna suspense, itna rahasya, lagta hai Sanju bhaiya ki tarah ab mujhe apne baalon ki ginti rakhni padegi :D... Shruti ki baaton ko padho to lagta hai Meghnath se bada zaalim insaan is sansaar mein nahi aur koyi nahi, aur jab Meghnath ki baaton ko padho to lage ki kitna nirdosh praani hai ki bina kisi swaarth ke Aruhi ki sahayta karna chahta hai... Btw. In do updates ko padhne ke baad ek baat to saaf ho gayi hai ki jab kahani ki parten khulna start hongi, to paathkon ke hairaani se munh khule reh jaayenge...

Fantasy genre mein likhe hone kaaran kayi baar lagta hai ki kahani mein supernatural cheezon ki bhi bhaagidari hai... Parantu, fir lagta hai ki kahani poori tarah se real world mein based hai jismein kewal tark aur tathya hain, kuchh bhi mithya nahi... Khair, ek baat aur bhi dhyan mein aayi ki kahani 2012 ke aas paas chal rahi hai, yaani ye khud bhi flashback ho sakta hai..? :confused: Arthat, ye sab jo bhi ho raha hai, ho sakta hai ki koyi is sabki tahkeekat kar raha ho, jaise Shruti puraani mauton ki kar rahi hai... Beharhal, it's just an outlandish assumption, baaki dekhte hain asal satya kya hai...

Khair, Meghnath aur Aruhi ki baaton ke hi anusaar sabhi mitra pahunch gaye hain us mansion mein jo ab band pade Girl's Hostel se bhi bada rahasya lagne laga hai... Jo kuchh bhi us Mansion mein hua uska kaaran, aur uske pichhe ka tark jaan ne ke liye behad utsuk hun kyonki aisa kuchh shayad pehle kabhi nahin padha... Meghnath ka wo God Of Box, usne hi anginat paheliyan khadi kar di hain jinka jawaab kisi ke paas nahi... Sabse pehle to ye ek sawaal hai ki us box mein us spherical cheez ko dobara lagane par uska kaalapan kaise door hua aur usne ek ghadi ki shakal kaise le li... Secondly, usmein se nikalne waali roshni ka colour change hua to hua kaise? Kya ye us spherical cheez ke hi kaaran tha ya fir Mansion iski wajah tha...

Aur sabse bada sawaal, wo shakhs kaun hai jo khudko nahi jaanta... Kya wo Mansion ke kisi kone mein kaid tha, ya chhupa baitha tha..? Uske appearance se yahi bataya gaya ki shayad wo kaafi samay se bhookha tha, arthat ho sakta hai wo kisi kaid mein ho... Secondly, jis andhere mein wo sabhi khudko bhi nahi dekh paa rahe the, aise mein us shakhs ko dekh paana kaise sambhav hua..? Uske ird gird, shuruaat mein jo light thi, uska kya source tha..? And most importantly, uska us God of Box ke saath kya sambandh hai... Ye to saaf hai ki us box ka rahasya is kahani ka ek mehtavpoorn pehlu hai jiska jawaab milte hi kayi kadiyan jud jaayengi... Shayad us Alok, joki Meghnath ka boss tha, uski entry par ye raaz khule... Meanwhile, ye unknown kahin Alok hi to nahi... :dazed:

Idhar Shruti ke sandeh ki sui Meghnath par bani huyi hai aur uski kahi baaton se ye sahi bhi lagta hai... Aruhi,uska kisi se bhi baat na karna, ek hadh tak wo samajh aata hai, kyonki jo kuchh bhi Aruhi ko haal mein pata chala hai, uske kaaran Aruhi un sabse khafa to hogi hi... Par Meghnath se baat karna, aur fir Mansion mein bhi pahunch jaana... Aruhi ka interest Archaeology aur History mein hai, yadi ye maan liya jaaye, to hi uska Meghnath aur us box ko lekar jigyasu hona samajh aata hai... Maybe wo bhi us box ke baare mein sab jaan ne ko utsuk ho..?

Par fir bhi filhaal ke liye Meghnath hi sabse adhik sandehpoorn hai... Use jo kuchh pata hai, jin jin baaton ki use jaankari hai, us se saaf hai ki abhi bhi wo kuchh na kuchh chhupa raha hai, story ke anya kirdaaron ki tarah... Idhar Jaggu ko ek dafa fir apne lapete mein le liya Shruti ne par Jaggu ne use block kar diya... Kya Shruti use kewal pareshaan karna chahti hai ya koyi aur lakshya hai uska..? Doosra, Jaggu abhi tak baaki kirdaron ke mukable thoda kam hi picture mein rahi hai par lagta hai ki uska bhi koyi bada role ho sakta hai is saare khel mein...

Meghnath ne us shirt ko bhi dispose kar diya hai (kya sachmein)? Aur ab Shruti ko us file ko us peon ko waapis lautana hai... Beharhal, wo peon bhi gaayab hai, kya wo sirf dar ki wajah se gaayab ho gaya hai ya mritkon ki list mein usne bhi apna naam darj karwa liya hai... Khair, ab dekhna ye hai ki wo adbhut shakhs kaun hai aur wo dhundh/dhuaan, jo chaaron aur faila hua tha, uska asal kaaran kya tha... Kya wo box se hi nikla tha ya fir koyi in sab par nazar gadaye baitha hai..?

Both the updates were superb bro! The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story... Amazing Work!

Outstanding Updates Bhai & Waiting For Next...
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Are hum to mazak kar rahe the yaar kya jaada jaruri hai ye aapko pata hai :D intzaar rahega...

Ye kahani to complete Kar lo bhai pahle :sigh2: aage ka baad me samjh lenge​
Apun ka matlab is kahani ko aage likhta hai :sigh2:
 
  • Like
Reactions: Aakash.

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,213
78,146
304
Apun ka matlab is kahani ko aage likhta hai :sigh2:
Abhi tak hum yaha nahi the ab aa gaye hai to tum gayab ho gaye ho.. samjho yaar aarohi se duri bardaash nahi hoti ab :love:
 
  • Haha
Reactions: harshit1890

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Abhi tak hum yaha nahi the ab aa gaye hai to tum gayab ho gaye ho.. samjho yaar aarohi se duri bardaash nahi hoti ab :love:
Aaruhi kaat peet kar plate mein paros degi tb yaad dur hogi apki :D
 
  • Like
Reactions: Aakash.

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,213
78,146
304
Aaruhi kaat peet kar plate mein paros degi tb yaad dur hogi apki :D
Yu hamare pyaar ka mazak na banao. :sigh2:
Pata nahi kyu chehre par muskrahat aa jaati jab bhi unka jikra hota hai :blush1:
 
  • Haha
Reactions: harshit1890
Top