• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:
10,132
42,570
258
आरोही झटके पर झटके दिए जा रही है और ऐसा पहली बार नही हुआ है , इसके पहले भी बिजली के जोरदार झटके वो कई बार दे चुकी है।
स्पष्ट जाहिर हो रहा है कि उसकी नजरो से कुछ भी छुपा हुआ नही है। खासकर श्रुति की एक एक एक्टिविटी पर वो शुरू से नजरे बनाए रखी है।
पासपोर्ट और विजा और ब्राजील जाने का टिकट कोई हाथोंहाथ जुगाड़ नही किया होगा उसने। उसे श्रुति के प्लान और टाइमिंग की परफेक्ट खबर थी इसलिए वो पहले से ही पुरी तरह लैस थी।

फुटबॉल खेलने की उसकी क्षमता पर भले ही हम संदेह ना करें लेकिन मैच के दौरान उसका रवैया स्पोर्ट्स मैन की तरह तो बिल्कुल नही लगा। जिस गोल पोस्ट को आसानी से तमन्ना टार्गेट कर सकती थी , वो आरोही नही कर सकती थी। फुटबॉल का मैच एक सिंगल प्लेयर का नही बल्कि पुरे ग्यारह प्लेयर्स का मैच होता है।
लेकिन इस के बाद क्लाॅक रूम मे जो आरोही और तमन्ना के दरम्यान हुआ , वो एक बार फिर से हैरान कर देने वाला था। कभी तमन्ना के प्रति उसका व्यवहार बिल्कुल ही नरम रहा तो कभी अचानक से लेस्बियन की तरह विहैव करने लगी।

आरोही के चरित्र का आकलन अब तो ब्रह्म भी नही कर सकते !

इससे पूर्व रचना ने भी एक धमाका यह कहकर किया कि जिस रात जग्गू की मौत हुई थी , उसी रात और उसी मेंशन मे एक मर्द की भी मौत हुई थी। एक बार से ये सारी घटनाएं मिस्ट्रीयस बनकर आ खड़ी हुई है।

बहुत ही जबरदस्त अपडेट हर्षित भाई। आउटस्टैंडिंग।
और जगमग जगमग भी।

( आकाश भाई शायद कांटेस्ट को लेकर फिलहाल व्यस्त रह सकते है। गुप्त अभिषेक और लियोन भाई जरूर दर्शन दे दें ! लेकिन डेथ किंग भाई फिलहाल कई दिन से अपनी व्यापारिक संबंधित समस्याओं से जूझ रहे है इसलिए शायद उन्हे कुछ समय लगे ! )
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Update ~~ 107

Jab chizen samajh se bahar hoti hai tab waqt beet jata hai aur pata bhi nahi chalta. Security check-in ke baad teeno flight announcement ke liye waiting area mein baithe the. Koi kisi se baat karna to dur dekh bhi nahi raha tha. Shruti ke man mein chal rahe dhero sawalon ka jawab use nahi mil raha tha par har sawal main aaruhi hi maujud thi. Aaruhi kaise? Use kaise pata? Kitna pata hai ? Kya pata hai? Usne khud akele itna sab kiya kaise? Kab se janti hai vo?

Flight ne apne anumanit samay par udaan bhara aur chand ghanto ki udaan ke baad teeno Mumbai pahunch gaye, wahan se unhe Barsailia, Brazil ki flight leni thi. Security check-in kara kar teeno fir waiting area main jaa baithe aur ek baar fir teeno ke bich koi baat-cheet nahi hui. Takreeban 5 ghante beet chuke the teeno usi khamoshi mein jakde hue the. Barsailia ki flight mein tenno ek hi sath baithe the. Flight ne udaan bhari aur teeno ki kab ankh lagi unhe pata nahi chala. Adhe se jada rasta unhone apni nind mein hi khatam kar dia. Baki bache samay main teeno ke bich koi khas baat cheet nahi hui aur takreeban 10 ghante flight mein bitane ke baad teeno akhirkar Brazil pahunch hi gaye.

Lugagge system se apna-apna luggage utha kar immigration karate hue teeno bahar aa khade hue. Is samay teeno ka dil tezi se hi dhadak raha tha. Brazil aur hindustan ke time mein tarkreeban 9 ghante ka farak hai isliye abhi wahan bhi subah hi ho rahi thi jabki hindustan ke hissab se wahan sham ho rahi hogi.

" Kya naam bataya tha usne? " shruti ne dhime se kaha.

" Mandoza " vishal ne turant kaha

" dikhai nahi de raha hai.. aya nahi lagta hai? " anjan desh mein ane ke baad man mein har chiz ko lekar vichar umadte hai. Shruti ke sath bhi wahi hua tha.

" Vo raha.. " aaruhi ne turant ishara kiya aur dono us taraf dekhne lage. Samne dur ek dum kalla insan ankhon par kalla chasma lagaye, sar par safed topi aur nle rang ki shirt pehne hue hath mein board liye khada tha jispar 'Mandoza' likha tha. Teeno us taraf chal diye aur jaise hi uske samne pahunche uska kad-kathi dekh galle se thuk nahi utra. Itna bada sharir, shirt ke uppar do button khule the jiski wajah se uski badi chatiyan dikh rahi thi, uppar se uske mote honth. Vo teeno ko chasme ke piche chupi ankhon se ek pal ghurta aur fir chasma bade style se hata kar bola.

" 1rs note man " uski awaz itni bhari thi mano do admi ka galla mix kar diya ho.

" oh..haa... " vishal ne pocket se vo nota nikala. Usne nota pakda aur apne phone mein dekhne laga. " Come with me " mudte sath usne chasma lagaya aur teeno uske piche chal diye.

" uske hath dekhe kitne bade hai.. tumhare hath uske aage lolipop jitne chote lag rahe the " shruti ne vishal ke kan mein kaha

" to vo admi bhi to sath feet ka hai "

" ise kuch faltu mat bolna tum.. "

" main bhala kyun bolunga.. " vishal ke jawab dete hi teeno ke pass pahunch gaye. Gaddi ek purani che seater wali suv thi jo bahar se behad gandi thi. Teeno ne apna-apna saman dala aur unke baithe sath hi Mandoza ne gaddi start ki aur dauda di. Safar lamba hone wala tha aur thakan se bhara hona tha. Mandoza bina kuch bole takreeban 70-80 ke bich ki raftar ko pakde bina kahin roke gaddi bhaga raha tha. Teeno ko bahut zor se bhuk lag rahi thi par koi kuch nahi bol paa raha tha. Pani pi-pi kar kisi tarah pet ko shanti de rahe the lekin ab susu bhi utna bhar gaya tha jo nikalna jaruri tha.

" bolo na ise.. " shruti ne vishal se ishara kiya.

" vo hume washroom jana hai kahin rok doge.. " vishal ki baat sunte hi shruti ne use koni de mari.

" Hindi kya tumahra baap sikha kar gaya hai ise... " shruti ke tokte hi use samajh aya.

" we need to go to washroom, can we stop somewhere " vishal ki baat sun, mirror se mandoza ne vishal ki taraf dekha aur fir samne dekhte hue gaddi chalane mein dhayan laga dia.

" Ye kuch bolta kyun nahi hai... lagta hai meghnath ne paise kam diye hai ise " shruti ka muh ban gaya. Use bahut zor se lagi thi, use kya teeno ko hi lagi thi. Takreeban adhe ghante ke baad jab sham dhal gayi to jungle ke bich bani sadak kinare ek petrol pump kar usne apni gaadi roki.

" i need to refill the fuel.. you can use restroom " mandoza ka kehna tha ki ek taraf baithi shruti aur dusri taraf baithi aaruhi dono ne ek dum se gaddi ka gate khola par utarte use pehle mandoza ki awaz se dono ke kadam ruk gaye.

" do not talk to anybody, ignore them if anyone say something, alright? " uski baat par teeno ne han mein sar hilaya. Vo pehle hi ghabraye hue the, uppar se susu ka zor aur ab mandoza ki baat. Teeno washroom ki taraf daude lekin ek time par ek hi ja sakta tha.

" tu chali jaa.. " aaruhi ne bada dil karke shruti ko jane diya, shruti jaise isi ka wait kar rahi thi usne fauran gate khola aur jaise hi andar pahunchi use ubkai aa gayi. Itni gandi badbu uske fefdon ko faad rahi thi.

" behen chod... " vo ubkai lena chahti thi lekin dusra koi rasta nahi tha vo gandi si seat jispar charon taraf ganda faila tha. Usne apni jeans niche ki aur ghutno ke bal baith gayi, dusre hath se usne naak band kar li thi taki badbu uske naak mein naa ghuse par sans lene ke liye naak to kholni hi thi. Par vo kosish kar rahi thi ki jitni der rok sake utne mein uska susu nikal jaye par aisa ho nahi paa raha tha. Kuch jada hi susu bhara tha. Uski tezz dhar bahar tak aaruhi aur vishal ke kano mein ghus rahi thi kyun ki shruti ne andar se band nahi kiya tha agar vo kundi laga leti to andar badbu se mar jati. Bich mein sanss khinchi kisi tarah aur fir band karke apna susu nipta kar khadi hui aur washbasin ka nal khola lekin pani hi nahi aya.

" aarghhh.. " usne bina saaf kiye apne kapde uppar kiye aur bahar nikal gayi. " pani lekar jana andar.. " shruti itna bol kar wahan se nikal kar mandoza ke pas jaa pahunchi.

" how much time it will take to reach our destination? " mandoza ne fuel pipe apni gadi ki tanki mein laga rakhi thi.

" 3 hours "

" can i know the name of the place? "

" why? "

" i just wanted to know, be sure the washrooms are clean.. " shruti abhi bhi usi chiz ko lekar gusse mein thi. Uski baat sun mandoza ne apne dant dikha diye. Uske safed dant aise lag rahe the mano andhere mein roshni ka prateek yahi ho.

" iska ek dant mere do dant ke barabar hai... " shruti ne khud se kaha. " ise puchna hi bekar hai.. "

" by the way mandoza how do you know meghnath? " usne kaam ki baat puchi. Vo kuch nahi bola. Shruti samajh gayi ki ye admi kuch nahi bakega " Will the palce safe for us? "

" safe.. no problem ...fuel tank is full now, we can go " mandoza ne kaha, par shruti use kuch nikalwana chahti thi bhale hi use koi harkat karni pade lekin vo kuch karti use pehle piche se vishal ne awaz laga di.

" Mandoza we need some money to give for these items.. " vishal ne kuch khane ka saman liya.

" ok ok you sit in car.. " itna keh kar mandoza shop ke andar ghus gaya jo petrol pump par thi aur baki teeno gaddi mein aa baithe aur jaise hi teeno ghuse, laye hue khane ke saman par teeno ne aise jhapatta mara jaise janmo se bhuke ho. Mandoza gaddi mein kab akar baitha kisi ko nahi pata chala, jab kuch der baad unko laga unhe koi ghur raha hai tab teeno ne ek sath uski taraf dekha aur teeno ne apne dant dikha diye.

Takreeban 8 baje mandoza unhe ek chote se guest house mein le aya. Vo pehle andar gaya aur 15-20 minute baad wapis aya. " Give me your passports.. "

" why? " vishal ne turant kaha, vo jante the ki ek wahi chiz hai jo unhe is desh se bahar nikal sakti hai aur agar jarurat padne padh vo unhe nahi mila to kya karenge.

" its not safe with you "

" but.. " vishal kuch bolta use pehle usne tok dia.

" do what i say " is baar uski awaz mein rosh tha jise sun vo pehle hi ghabra gaye. Teeno ne apne passport use de diye. " and take this.. " usne ek chota phone pakda dia.

" i have saved my number in this phone, call in urgent matter ok? "

" okay " vishal ne phone liya aur rakh liya. Teeno andar ghuse aur tab unhe pata chala ki ek hi kamra hai jisme teeno ko rehna hai, badi ajeeb vidamna thi. Shruti jo chahti thi vo aaj kar leti lekin aaruhi ne akar sab plan par pani fer dia. Teeno itna thake hue the ki bas sona chahte the, bistar par aaruhi aur shruti so gaye aur niche farsh par bistar laga kar vishal. Nind to aa rahi thi lekin bechaini ne kafi der tak teeno ki nind ko kahin gayab kr rakha tha.

Agle sath din kuch isi tarah ka safar raha. Ab sawalon ko sochna band kar diya tha aur teeno ke bich ki khamoshi tut gayi thi. Sarre jawab ab ek hi jagah jakar milne wale the aur vo ek jagah wahi thi jahan is kahani ke bich chupe hue raaz bahar ane the. Vo din tha subah ka, gaddi ke andar thandi aur tazzi hawa ke jhoke aur khil-khilati dhoop ke chehre par padte hi aaruhi nind se jaggi. Itni saaf hawa thi ki usne lambi sans khinchi aur mano aisa laga jeevan yahin beetana chahie. Vishal aur shruti bhi uth chuke the aur apne dono taraf jungle ki haryali aur pakshiyun ke shor ko sunne mein vleen ho gaye the.

" We reached THE AMAZON " Mandoza ne gaddi par zor se break mara aur teeno jhatke se samne dekhne lage jahan logon ki bheed ka mela laga hua tha, choti choti dukane, gadiyan, khichad, boat aur dur dur tak sirf jungle aur nadi.
 
Bhai mujhe khud nahi pata ab main kab lautaunga with update... Biwiji jab ghar nahi hogi tabhi possible hoga aur aisa kab hoga i dont know :D
Aaruhi ka khel wahi janne.. football champion hai aur jab koi pplayer khud ko ye manta hai ki vo kar skta hai to vo kiya.. i guess she was right in her part.. tamanna ko fame chahie tha isliye vo jada jealous hui baki to jo hai vo hai :D

Ab apko kahani ka asli khel to aage hi milega... :D

Thank you sanju bhai :hug: Keep reading.. keep writing.. milenge jaldi hi.. :hug:
 
15,594
32,095
259
Update ~~ 105

" tum logon ko latest news mili? "

" kaisi latest news? "

" tujhe to ye baat pata chal jani chahie thi abhi tak "

" kya bol rahi hai saaf bol na.. "

" dekh main bata rahi hun par kisi ko bataio mat ki ye baat tujh tak mene pahunchai hai "

" bhokegi ab "

" jaggu akele nahi mari uske sath kisi admi ki laash mili hai " rachna ke bolte hi shruti ke muh se chai bahar nikal gayi.

" admi.. tumhe kisne bataya? " vishal turant kaha.

" kal raat ko didi kisi se phone par baat kar rahi thi, unse hi suna mene.. ki koi admi bhi mila hai mansion se " rachna bol rahi thi aur shruti apni soch mein khoi hui thi. " Aur jis tarah se vo baat kar rahi thi use to yahi lag raha tha ki us admi ka college se koi rishta hai jiske chalte college wallon ne us baat ko wahin daba diya aur video ki aad mein jaggu ka suicide bana dia "

" is college mein jarur kuch gadbad hai.. rachna agar tum jo keh rahi ho vo sach hai to jarur jaggu ne suicide nahi kiya hai, balki uska murder hua hai... " vishal sochte hue bola.

" Murder? " rachna sochne lagi.

" Agar us admi ne jaggu ka murder kiya hai to vo admi kaise mara? " shruti ke sawal par sochne ki suin dusri taraf mudh gayi.

" sahi baat hai.. kuch aur baval lagta hai.. " rachna hami bharte hue boli.

" Ye jaruri nahi hai ki us admi ne hi jaggu ka murder kiya ho kya pata jaggu ne us admi ko maar dala ho? " vishal bolte hue ruk gaya.

" Jaggu aur murder? " shruti ne sandeh jataya " agar tumhari baat sahi hai to fir jaggu ko kisne mara? "

" koi tisra shaks? " vishal ki baat sun shruti use ghurne lagi.

" hmm... bahut hi penchida mamla hai ye.. jab police hi mili hui ho to sach aur juth mein farak nahi reh jata "

" itni vardaat mene kabhi nahi suni, kuch saalon se vardatein badh gayi hai " rachna ne chai ki chuski lete hue kaha.

" Aur har vardaat par parda dala jaa raha hai, koi bahut gehri sazish ka khel chal raha hai yahan " shruti soch vichar kar rahi thi. Jaggu ki maut par nayi kadi bata kar rachna ne vishal ke man mein bhi dheron sandeh paida kar diye the. Sham dhalne ko thi, vishal aur shruti usi dhabe par baithe the, rachna jaa chuki thi. Shruti ke hath mein map ke 10 tukde the jo meghnath de kar gaya tha.

" us raat tumhe kaise laga ki ye tukde kuch aur nahi balki ek chupe hue map hai " sawalon ko sochte hue shruti ne vishal se sawal kar dala. Vishal ek pal sochta raha mano use is sawal ki umeed nahi thi fir sehaj hokar usne jawab diya.

" rehasye ko khojne ke liye kai baar usi nazar se dekhna padta hai. Agar tumne gaur kiya ho to ved sharma ki kahani mythology se judi hai aur mythology ke hissab se andhera hamesha roshni se chota hota hai to us hissab se andhere mein chupe us nakshe ki pehchan bhi roshni honi chahie thi bas yahi soch kar mene map ko roshni mein dekhne ki kosish kari baki apne aap hota chala gaya "

" hmm.. mujhe nahi pata tha ki itna dimag laga lete ho. Vaise kya hum sure hai ki jo cordinates humne pata kiye hai wahi honge? "

" Hone to wahi chahie kyun ki un 12 letter mein se sirf char aise the jo us book ka naam tha yani ki 'Hoax' baki ke bache 8 letter jo the S,L,P,B,G,M,T,L. Har alphabet ka ek order hai aur har order par ek number juda hua hai jo kabhi change nahi ho sakta yani ki A-Z hamesha 1-26 ke andar hi rahenge aur har alphabet ke piche ka number same rahega jaise 'A' 1 number par , 'B' 2 number par aur 'Z' 26 number par. Isi adhar par jab humne ye dekha tab paya ki un sabhi alphabet jis order mein hai us hissab se unke piche ka jo number hai vo hai..

S - 19
P - 16
M - 13
T - 20

" B, G, aur L to do baar hai unhe miss kar diya tumne? " shruti hairani mein boli

" Nahi puri baat to samjho, humne kuch bhi miss nahi kiya hai balki vo apne aap mein ek confusion create kar rahe the isliye jab samajh aya to unhe chhod diya gaya. "

" kaise? "

" Samjhata hun.. Shuru karta hu bache hue letter se jinke piche single number hai yani ki 'B' aur 'G' jo dusre aur sathve number par atte hain yani ki 02 aur 07 aur agar hum in dono number ko add kare dein to banta hai 09 jise ek naya letter ban jata hai jo hota hai 'I' jisne hume duvidha mein daal diya ki agar naya word izat hona hi tha to pehle kyun nahi diya gaya lekin fir gaur karne par samajh aya ki ye sirf dhoka hai yani agar tum dhayan do to jo letter par humne number nikale yani ki S,P,M,T to unke piche ke number hum apas mein add karein to koi bhi naya Alphabet nahi ban sakta tha yani ki har number ke addition par number 26 se bada hi hona tha isliye humne B aur G dono ko abhi nahi joda"

" abhi nahi joda yani aage joda hai? " shruti ne turant sawal kiya.

" puri baat sunogi to samajh aa jayega.. " vishal ek pal ke liye chup hua aur fir bola " humne baki charon number ko add kar diya (S,P,M,T) jiska total hota hai 68 ab tum soch rahi hogi ki humne L walle number kyun add nahi kiye to uski sabse badi vajah thi uska do baar hona jo hume hamare cordinates ko pura kar raha tha jiski wajah se hamare corrdinates pure hue yani ki 2, ab rk taraf tha 2 aur dusri taraf tha 68. Thda padhne ke baad samajh aya ki ye kuch aur nahi balki coordinates hai jisko samajhte hue humne kuch is tarah ke coordinate banaye jisme do hi possibility ho sakti thi 68"W 2"S or 2"W 68"S. Aisa isliye kyun ki yahi coordinates Amazon jungle ko jod rahi thi lekin.. "

" Lekin.. ? "

" Jaisa mene kuch der pehle bataya tha humne B aur G dono ko abhi tak apni calculation mein add nahi kiya tha aur ab use add karne ka waqt aa gaya tha jiske baad haamre pas kuch is tarah ke coordinates bane 68.7"W 2.2"S or 2.7"W 68.2"S. Ye hamari calculation thi aur dono hi galat nikli.. "

" Galat nikli.. To kya tum itni der se mujhe ye sab galat information de rahe the.. " shruti jhallate hue boli.

" Nahi.. bas abhi tak puri baat kahi nahi hai "

" to ek baari mein kaho na itna suspense kyun bana rakha hai tumne "

" uhmm.. dono coordinates mein se ek Ariban sea ka tha to dusra south pacific ocean ka "

" to fir ab? "

" Tab humne maps ko dekha, Brazil Amazon ke coordinates '+' mein nahi '-' main mile yani ki -68.7"W -2.2"S or -2.7"W -68.2"S "

" tum mjhe final batao ki kya mila hai... " shruti chidchidate hue boli. Use ab raha nahi jaa raha tha, use matlab nahi tha ki ye sab kaise joda gaya use bas jawab chahie tha.

"-2.7"W -68.2"S us jagah ke coordinates.. " Vishal ne shruti ko bataya aur dono ek dusre ko kuch pal tak dekhte rahe.

" adhi baat samajh nahi ayi lekin agar ye coordinates galat hue to? Kya pata jaisa tumne socha us tarah se map par cordinates banaye hi na gaye ho tab fir? "

" Tab... " vishal ek pal sochne laga par uske pas koi jawab nahi tha. Dono kuch der baithe rahe fir wahan se uth kar chal diye.

" Vaise itna tumne kaise khoja? "

" Mene nahi humne.. " vishal ka andesha Meghnath ki taraf tha " Ved sharma ki kitabo ko padh kar hi humne dimag lagaya, maths ko lekar unhone bahut kuch likha hai. Lagta nahi ki itne budhiman honge ajeeb ajeeb tarah ki theory declare kar rakhi thi.. aur pata hai usme ek theory kispar thi? "

" kispar? "

" Multiverse travel " Vishal ke kehte hi sadak par se truck tez horn marta hua dono ke samne se nikla jiske nikalne ke baad dono ne rasta cross kiya aur apne-apne hostel ki taraf chal diye.

Samay us hissab se jaa raha tha jiska pata insan nahi laga sakta. Aaruhi apne football mein ram sa gayi thi, samay ke sath piche hui ghatnao ko bhi log bhula baithe the. Kisi ki zindagi mazak ke roop mein pani mein beh chuki thi ab sirf lehron ki awaz thi kyun ki murda bol nahi sakte.

" Sath din ho gaye hai meghnath ko gaye, aaj athva din hai tum.. "

" yaad hai.. sham ko 6:30 baje usi jagah par "

" main bhi chalu? "

" nahi.. usne mana kiya tha.. risky ho sakta hai "

" use kya pata chalega? "

" baat pata chalne ki nahi hai shruti.. baat plan ki hai.. mujhe nahi lagta ki hume plan mein ched chad karni chahie.. " vishal ne shirt ke button lagate hue kaha.

" theek hai.... " shruti ne apna top dala, jeans ka button lagaya aur half jacket daal kar store room se bina kuch kahe nikal gayi. Vishal ne ek gehri sans chhodi aur kuch der wahin baitha raha.

Mausam badal raha tha, hawa mein sard aa gayi thi, din raat ke mukable ab chota hone laga tha, sham 6 baje andhkar ne dastak deni shuru kar di thi. Vishal ne bus pakdi aur vo apne raste chal pada, akele. Jo baat sirf vishal aur shruti ko malum thi vo nahi chahta tha kisi aur ko pata chale. Takreeban 20 minute main vo us jagah par pahuncha aur panch minute chalne ke baad us khoke ke pas aa khada hua jiske bahar ek phone laga hua tha. Andar vo andha-behra admi baitha hua tha. Vishal ne ek dafa uski taraf dekha, abhi kuch samay tha phone ane mein isliye vishal ne darwaja khola aur vo andar ghus gaya. Meghnath kitna sahi hai aur kitna nahi ye janna uske liye bahut jaruri tha. Kya pata ye admi meghnath se mila ho ? Vishal ke andar shruti ke bithaye doubt ki suin to thi hi. Vo andar ghusa to usne paya ki vo admi ek jagah par baitha hai andar ek machine aur kagaz ka dher laga hua tha. Vo ye soch raha tha ki kya kare jise us admi ke bare mein kuch pata chale. Usne sabse pehle table par thoka jiske shor se samne baitha admi thoda chakauna ho jaye ya dar jaye lekin aisa kuch nahi hua.

" ooo bhosidke... sun madarchod.. teri biwi bhi andhi hai kya? use chodu to pata chalega ki kisne choda? " vishal ko aisa bolna sahi nahi lag raha tha lekin fir bhi usne bola. Thand mein bhi uske mathe par pasina tha. Jab samne se koi jawab nahi aya to usne kuch aur karne ki bhi sochi lekin utne mein bahar ka phone baj utha. Phone bajte hi vishal ke dil ki dhadkan badh gayi kyun ki meghnath ne kaha tha agar athve din phone na aye to samajh lena khel khatam lekin phone ane ka matlab tha is plan ko anjan dene ki shuruwat.

" helo.. " vishal ne phone uthate hi kaha jabki use kuch nahi bolna tha.

" 1rs ka note hai ? "

" h...an.. hai... tum.. " vo ise jada kuch kehta itne mein phone cut ho gaya. Vishal ek samay tak yun hi khada raha fir phone rakh kar wahan se nikal gaya.

" pakka wahi tha? " shruti ne message par pucha.

" wahi hoga.. "

" wahi kaise hoga? kya pata koi aur ho? tumne filmo mein nahi dekha ki kaise log torture karke baat ugalwa lete hai, kya pata uske kisi sathi ne usko dhoka dekar aisa kar liya ho? "

" itna to mene nahi socha "

" tabhi to kaha tha mujhe le chalo "

" ab usne jitni baat kahi usme kaise andaza lagaya jaye ki wahi tha ya nahi "

" tum bhi na.. awaz nahi pehchan sake "

" kal bhi jana hai.. kal dhayan dunga.. "

Vishal kal ki tarah hi ab roz sham ko 6:30 baje se pehle us khoke par pahunch jata aur bar-bar sirf ek hi baat hoti.

" 1rs ka note hai ? "

" han.. " phone cut. Ek-ek din aisa lag raha tha mano jaise jung ki tayari ho rahi ho.

" 15 din bole the usne, 20 din ho gaye par hamara passport nahi aya hai.. ye admi hume pagal bana raha hai vishal.. use jo chahie tha vo mil chuka hai.. isliye vo ud gaya.. hamare hath mein ye thama kar.. kya krenge iska jab tumne use pehle se cordinates de rakhe hai.. ye baat tumne pehle kyun nahi batai mujhe " shruti vishal par gusse mein baras padi thi.

" sirf coordinates hi nahi, is map ki jarurat padegi hume.. "

" ye baat tum itne yakeen se kaise keh sakte ho? "

" Yakeen se to nahi bas.. man keh raha hai "

" tum aur tumhara man... gand mein le lo use... bina matlab ke baat kiye jaa rahe ho. Tumne mujh par kabhi vishwas kiya hi nahi.. isliye vo aaj bhag gaya .. sab kuch lekar... ghanta sabut nahi hai hamare pas koi aur jise confess karwa sakte the vo bhi nahi hai.. "

" sham ko jakar sabse pehle yahi puchunga "

" tumse 13 din mein to koi baat ki nahi usne bada sunega tumhari.. tum abhi tak nahi samjhe ki bevkuf bana raha hai vo tumhe aur tum abhi bhi ban rahe ho. Maha chutiya admi ho yaar tum.. baat hi mat karo.. " shruti gusse mein tilmilate hue terrace se utar kar apne room ki taraf chali gayi. Room mein pahunchte hi usne dekha ki aaruhi apne bed par baithi apne peron ki maalish kar rahi hai.

" gusse mein kyun hai ? " aaruhi ne shruti ko dekhte hi kaha.

" mujhe gussa nahi ata "

" jis tarah darwaja patka hai uske baad bhi kahegi.. "

" vo chhod teri practice kaisi chal rahi hai.. kab hai match "

" agle hafte hai...tu ayegi na "

" han.. dekhti hun.. vaise bhi football mein interest nahi hai mera " shruti laitte hue boli.

" tu aur tere interest.. ek hi jagah par rehte hai "

" sahi jagah rehte hai.. warna kuch log to parcel mein pack hokar jaa rahe hain is college se "

" parcel se yaad aya .. tere liye kuch aya tha to mene rakh liya.. "

" mere liye? "

" han ye le.. " aaruhi ne packet udate hue shruti ki taraf fenk diya jo uski chatti par jaa gira.

" behen ki... " shruti itna bol kar chup ho gayi aur usne packet faad dia. Packet faad kar usne andar ka saman adha hi bahar nikala tha ki usne wapis use andar daal diya.

" kya aya hai aisa jo dekh nahi rahi? " aaruhi ne uski chori pakadte hue kaha.

" kuch nahi.. faltu saman hai.. " shruti ne packet ko wahin bistar par aise fenka jaise kuch khas nahi hai taki aaruhi jada sawal na kare aur phone utha kar use karne lagi. Aaruhi ne bhi jada pucha nahi aur apne peron ki maalish mein lag gayi. Shruti ne fauran vishal ko message kiya.

" Mera passport aa gaya... "

" mera bhi.. " wahan se turant reply aya mano vo wahi kehne wala tha.

" Ab? " shruti ne message kiya par vishal ke pas koi jawab hi nahi tha. Ab jo hona tha vo plan ke mutabik hi hona tha. Do din baad ticket bhi aise hi parcel ke sath ayi aur ticket agle hafte ki thi.

" Ticket mili.. Aaruhi ke match wali raat ki hai.. acha hai aaruhi ko pata bhi nahi chalega.. "

" kya kahogi tum use? "

" kehna kya hai, message daal dungi ki maa ki tabiyat kharab hai.. bas.. " shruti ne jawab diya.

" jaise jaise din pass aa raha hai mujhe bahut ajeeb sa lag raha hai.. itna sab... ek sath.. college aur hostel ka jugad to bana liya, ghar walon ko bhi nahi pata chalega par agar kuch gadbad hui to? "

" to sab khatam.. ghar walle khojte rahenge aur uske baad unhe pata chal jayega ki hum dono kahan gaye hai. Police aur college yahi kahega ki hum dono bhag gaye hai apni marzi se .. "

" kya baat kar rahi ho "

" dekh lena yahi hoga.. tumhe aur kya laga tha? hume dhundne ke liye Amazon ke junglon tak ayega koi.. " shruti ki baat sun vishal ne gehri sans khinchi.

" to ab tumhe akhri din tak jana hoga? " shruti ka sawal ek pal ke liye vishal ko samajh nahi aya.

" Han... meghnath ne kaha tha ki jis din flight ho us din tak phone ayega.. yani ki us din bhi jana hoga.. "

" par flight kaise pakdoge fir? "

" Maine sab socha hua hai, main tumhe sidhe airport par milunga, tum hostel se sidhe airport pahunch jana "

" akele? "

" Han to.. mera bahar hi intezar karna.. wahi milunga "

" pehli baar zindagi mein kuch karne se pehle fatt rahi hai.. "

" daro mat.. sab theek hoga, bas tum aaruhi ko sambhal lena "

" Vo mene plan kar rakha hai.. uski chinta nahi hai.. bas meri fatt kyun rahi hai itni vo soch rahi hun "

" darne ki jarurat nahi.. "

" tum mujhse ek promise kroge? "

" Kaisa promise? "

" Hum jaise hi brazil pahunchenge tum mere sath sex karoge "
nice update ..nayi khabar saamne aayi ki jaggu ke saath koi aur aadmi ki bhi maut huyi thi us jagah par .
vishal to ab kaafi dimaag lagane laga hai jo co ordinates pata kar liye meghnath ke saath milke ..
vishal se jyada baat nahi ki booth par meghnath ne bas ek hi baat ki 1 rs ka note hai kya ..shruti ko bharosa nahi tha meghnath par isliye chidh gayi thi vishal par ..
par ab dono ka passport bhi aa gaya aur amazon jaane ko taiyar hai dono par baaki dost nahi jaa rahe hai kya ..
 
15,594
32,095
259
Update ~~ 106

Match Wala din :

" uthti kyun nahi.. uth .. der ho rahi hai.. " aaruhi shruti ko hillate hue uthane ki kosish mein lagi hui thi.

" hmm.. kya hai... kyun utha rahi hai subah-subah "

" match hai aaj.. chalna hai tujhe mere sath.. jaldi uth.. " aaruhi ko jab laga ki vo ab uth gayi hai to apni tayari mei lag gayi. Shruti ankh malte hue bistar se thoda uthi.

" Yar aaruhi.. mere periods aa gaye hai.. bahut jada dard hai.. main nahi aaungi to chalega kya? Vaise bhi tere naye dost ban gaye hai.. vo sab sambhal lenge na.. kya naam hai us chudail ka.. " shruti dimag par zor dalne lagi " Han.. Tamanna.. teri teammate.. " shruti ki kehte hi aaruhi use gusse bhari nighaon se ghurne lagi aur kafi der tak ghurti rahi.

" Mar fir.. idhar hi.. meri hi roommate nahi aa rahi.. sabki aa rahi hai.. " aaruhi ne chidte hue kaha.

" thank you for understanding yaar.. " shruti besharamo ki tarah bistar par wapis lait gayi.

" kuttiya ladki... haramjadi.. " aaruhi badabda rahi thi, shruti use sun rahi thi ki vo kitna gusse main hai lekin usne koi bhi harkat nahi. Thodi der baad shruti ko bina bye bole jab vo bahar nikalne ko hui to shruti zor se chillai.

" best of luck.. aaj us football se sabhi ladkiyun ki chutadein tod kar aaaio.. "

" sabse pehle to teri hi toodungi.. " darwaja patak kar aaruhi wahan se nikal gayi. Aaruhi ke jane ke kuch der tak shruti laiti rahi fir ek dum se bistar se khadi hui aur fauran kamre ki kundi lagai. Kamre ki kundi laga kar vo apne bistar ke ek kone par khadi hui aur aage badh kar usne almari ke uppar rakhe apne suitcase ko utar diya. Suitcase par matthi jami thi jisko usne hath se saaf kiya aur hathon ko apne pajame se. Usne suitcase rakh almari kholi aur apne kapde nikalne lagi.

" Wah aaj almari itni saaf, warna roz to aaurhi aur mere bich apne kapdo ko dhundne ke bich hi gali galoz ho jati hai " Shruti ne apne kapde nikale aur suitcase mein bharti gayi. Kuch saman vishal ko kharidne ke liye bol dia tha taki jungle ke safar mein dikat na ho. Shruti suitcase mein saman daal wahsroom ki taraf chal di. Washroom ke andar ghus aine mein apni surat niharte hue top nikal kar ek kone mein faink dia.

" to aaruhi ne sarre kapde dhone mein dale hai tabhi almari itni khali thi.. ye jungle safar ke chkar mein kuch aur dhayan hi nahi de paa rahi hun.. " shruti ne basin ke niche pade pani se bhare tub ko dekhte hue kaha aur brush karke nahane chali gayi.

Bathroon se bahar nangan avasta mein baalon ko pochte hue vo bahar ayi ki uska phone bajne laga. " Han vishal bolo "

" Shruti kuch saman nahi mila hai.. tum thoda jaldi nikal kar lete hue chali jaoge? "

" Kyun ? tum kya kar rahe ho? "

" Are yaar.. main bahana nahi maar paya to mujhe match dekhne jana pada "

" tum match? tumhara kya kaam? tum logon ko bhi invite kiya? "

" Nahi.. aaruhi ka phone aya tha subah usne kaha ki mujhe ana hi hai.. Uska dost bhi to aa raha hai "

" kaun dost? "

" Gaggan .. "

" Oh.. han.. vo bhi to hai.. lekin.. aaruhi ne tumhe phone kyun kiya? Kyun bulaya hoga? "

" Kyun tumse nahi kaha ane ko? "

" Nahi bola to tha usne.. par maine to bahana laga dia tha, tum bahana nahi laga sakte the? "

" Kosish ki thi lekin vo zid par adi hui thi.. kya karta.. ek dum itni jaldi hua.. aur tumhe kabse phone kar raha tha "

" Naha rahi thi main.. ab kya karoge tum? tumhe to late ho jayega na.. Match bhi to dur hai? "

" Nahi ... main saman lekar jaa raha hun.. wahin se airport aa jaunga.. "

" Kisi ne kuch kaha nahi? "

" Bataya to tha ki main ghar jaa raha hun aisa bataya hai hostel mein? "

" Are han.. han.. bataya tha tumne.. par tum bhi na vishal.. saman kyun nahi liya sara? "

" socha tha aaj le lunga janne se pehle lekin ab ye end moment par .. " vishal chup ho gaya.

" tum ladke bhi na.. ek kaam theek se nahi kar sakte.. khud udaoge maze muje yahan kaam par laga dia.. " shruti ne jhallate hue zor se kaha to uski chatiyan tezi se uppar niche ho gayi.

" To ab main.. "

" Kuch mat karo.. jao .. aur han time par aa jana aur tumhe pata hai ki tumhe sham ko us booth par bhi jana hai "

" Han yaad hai.. chalo main rakhta hun.. tum apna dhayan rakhna.. aram se pahunchna.. main tumhe airport par pahunch kar phone karunga "

" theek hai.. " shruti ne phone cut karke wahin fenka aur baal pochte hue sochne lagi. Aaruhi ne vishal ko kyun bulaya? Ho sakta hai gaggan ki wajah se bulaya ho waise bhi gaggan aaj kal uske sath jada hi involve rehne laga hai aur gaggan ne hi kaha ho ki vishal ko bhi le chale. Par Gaggan ko kab se itna pyar aa gaya vishal par? Nahi.. kuch to hai.. Aaruhi kuch soch to nahi rahi? uhmm Nahi.. aisa bhi to ho sakta hai ki vishal ko usne meri wajah se bola ho par maine mana kar dia aur tabhi vo itna gussa hokar gayi ho. Han ye ho sakta hai.. Shruti ne gehri saans chhodi aur tayar hokar bahar nikal gayi vo saman ikhata karne jo vishal nahi laa paya tha.

" aaruhi... goal..kar..... " forward khelte hui aaruhi ball par nazar gadate hue use tez raftar se goal-post ki taraf le jaa rahi thi. Stand mein baitha gaggan zor se chillaya. Us ke sath sath sabhi ke dil ki dhadkan bhi tez thi, dusri team ki opponenet ko dogde karte hue vo is waqt goal-post ke kareeb thi, dusri taraf tamanna uska sath nibhane ke liye bilkul khadi thi. Use bas ek pass ki jarurat thi aur vo goal ho jana tha.

Aaruhi ne tamanna ki taraf dekha aur fir samne jahan par goalkeeper uski taraf badh raha tha aur dono taraf se opponent team ke khiladi aa hi gaye the. Usne ball ko achanak se roka aur ek pal piche karte dusre hi pal kick de mari. Ball goalkeeper ke kano ke bagal se goli ki raftar se nikalte hue goapost mein dakhil ho gayi. Jaise hi goal hua wahan baithe samarthak khushi mein jhoom uthe sath mein aaruhi aur puri team bhi sivai tamanna ke. Vo khush thi lekin jada khush tab hoti jab vo ball ko goal khud karti.

Match 2-1 se khatam ho gaya tha. Samne wali team ko hara diya gaya tha. Samarthakon mein utsah aur josh tha aur vo sab dusre college ke bachon ko galiyun se thok rahe the.

" hara dia na katte lund... chal nikal yahan se... "

" bhosideke hugg dunga muh mein.. "

" abe lund ke biz.. muh mein lund dekar sarkaiye chala jaunga... "

" teri maa ki... " apas mein bhidte bachon ke bich aaruhi aur uski team ko trophy se samanit kiya gaya aur player apas mein hath milate hue ground se hatte gaye lekin stand par samarthak nahi hate aur us muh-boli ke bich jhagda badh gaya aur hatha-pai shuru ho gayi. Badhti ladai ko dekh wahan dono college ki faculty aur security bhi ghus gaye aur shant karne lage lekin hua viprit, bachon ki ladai chhudwane ke chakar mein kahin kisi teacher ko mukka laat mili to kahin kisi female teacher ki chatiyun aur chutdon ko mal diya gaya. Kabhi unki sarre sarka di to kabhi khud hi chipak kar piche se apna lund unme masalne lage.

" Sala ye to panga ho gaya.. " vishal ne gaggan se kaha

" Sab ke sab pele jayenge principal se baad mein.. " kuch bache jo nahi ladh rahe the vo ek taraf ko ho gaye the.

" Mujhe to niklna hai.. main nikal jata hun.. " vishal ne kaha to gaggan ne use aise dekha mano aag ke angar ke bich chhod kar jaa raha ho. " Aise kya dekh raha hai? "

" salle mujhe fansa kr jaa raha hai "

" Lekin mujhe dur bhi to jana hai.. "

" Han tu jaa.. tere bhai ko kuch ho jaye.. par tu ja.. "

" tu aur teri bhavnayak batein.. ek kaam karte hain.. hum sab bhi inke sath shant karane ki kosish karte hai "

" tu hum bhi pitenge bhai.. laat ghuson se.. ek ada tatton par padh gaya to main to namard ban jaunga. Kaun manega ki kaise bana? "

" to kya karein.. "

" khade reh kar dur se dekhte hai bhaiya.. hum chasmadid gawah bante hai.. principal ko batane ke liye koi to chahie aur baad mein koi kahega to keh denge ki humne bhi rokne ki bahut kosish kari thi " dono ki batein sunta hua piche se ek ladka bola.

" dekha.. vo samjhdar hai.. ab tu yahin reh.. agar tu yahan se nikla to tera naam bhi us ladai ki list mein aaa jayega.. mere alawa bhi to tere gawah hone chahie na.. ab tu ladai dekh aur enjoy kar "

College ke ek room mein khiladiyun ke saman aur unke liye ek kamra diya gaya tha, jise attach ek locker room bhi tha. Aaruhi tamanna ko khojte hue wahan pahunchi. Kamra khali thi, baki ladkiyan photo khinchwane mein busy thi, inme se kisi ko nahi pata tha ki niche kya hungama macha hua hai.

" tamanna.. .. tum ho yahan " khali kamra dekh aaruhi jane lagi tabhi andar locker room se use kuch awaz sunai di to vo andar aa gayi. " Tamanna tum andar ho? " aaruhi locker room ke pas pahunchi ki andar se tamanna bra aur shorts mein bahar ayi. Ek pal aaruhi ne uske jism ko dekha aur dusre pal uske chehre ko, jahan uski ankhein surkh laal thi, thakan ki wajah se nahi balki ansuon ki wajah se.

" Kya hua tamanna tum ro kyun rahi thi? " aaruhi ko ek pal laga kushi ki wajah se " Kuch ankhon mein gira kya? " ya fir kuch ankhon mein chale jane ki wajah se. Par tamanna ne koi jawab nahi diya vo bas aaruhi ko ghurti rahi. Aaruhi uske thode kareeb ayi aur uske kandhe par hath rakh lia.

" kuch hua hai? " Aaruhi ke dubara puchte hi tamanna ne uska hath jhatak dia.

" tumhe pata hona chahie "

" Mujhe.. kya? " aaruhi anjan thi.

" Kitni bholi ban rahi hai.. Ek number ki chalu ladki hai tu.. tujhe kya lagta hai main kuch samjhti nahi hun.. Tu janti hai ki purre college mein sirf main hi tujhe takkar deti hun, chahie vo sundarta main ho ya fir game mein.. isliye tune jaan buch kar mujhe jhalil karne ke liye aur apne aap ko behtar player dikhne ke liye kiya "

" Tamanna tu kya bol rahi hai.. mujhe kuch samajh nahi aa raha " aaruhi abhi bhi anjan thi.

" Chal na bakwas mat kar.. behenchod.. is sundar bhole chehre ke piche chupi behenki lodi hai tu.. tujhe kya lagta hai main samjhungi nahi.. main bhi aise hi bholi banti ho.. tune jo aaj game mein kiya mujhe kya dikhai nahi dia. Tu agar ball mujhe pass karti to goal mere pas ata tere pas nahi.. lekin tune risk lekar bina ye soche samjhe ki hum game jeete ya harre tune sirf apni jeet chuni. Tune khud goal karke apna number banaya aur mujhe chutiya.. Sach mein tu jaisi randiyan dunia mein bhar jaye to sabka vinash ho jaye "

" dekh tu galat bol rahi hai.. maine aisa kuch nahi kiya " aaruhi tamanna ke aur najdeek atte hue boli.

" Tune kuch nahi kiya? Behenchod.. tune hi sab kiya hai.. ab apne aap ko sati savtri dikha rahi hai. Najdeek kya ati hai.. piche hat.. " tamanna ne aaruhi ke dono kandho par hath rakh piche ki taraf dhakela par jada zor nahi lagaya tha isliye aaruhi piche nahi hati.

" Maine tujhe apna dost mana aur tu mere liye aisa bol rahi hai.. "

" Tujhe dost bana kar mujhe kya second number par rehna hai.. Main hamesha first number par rehti hun.. chahe vo meri khubsurti ho ya mera game.. main chahun to tere khubsurti ko yun vyarth kar du teri sari khushi lekar.. lekin dost thi isliye aaj tak aisa nahi kiya lekin ab tune jo kiya uske baad samajh aa gaya ki tune dosti ki kyun thi.. "

" tu abhi bhi galat samajh rahi hai "

" Main ab samajh chuki hun.. tujhe teri jaat ko aur teri jhantt ko.. sali randiii.... " tamanna ne itna hi kaha aur aaruhi ne use kas kar pakadte hue apne honth uske honton par rakh diye aur pagalon ki tarah chusne lagi. Ek pal ke liye tamanna shock mein aa gayi par kuch hi pal baad bhi usne uska sath dena shuru kar dia. Dono ek dusre ko bahon mein kase hue chumne mein mashul ho gaye. Aaruhi ne apna hath uske kandho se bra straps ko khiska kar niche gira dia aur kandhe ko malte hue uski chatiyun tak aa pahunchi. Aaruhi ne abhi tamanna ki chaityun ko dabaya tha ki tabhi tamanna ne ankhein khol li aur jab use ehsas hua to usne aaruhi ko piche ki taraf dhaka mar dia.

" Ye kya kar rahi hai saali... " tez chalti sanson se hairani bhari nazron se tamanna ne pucha. Aaruhi bina kuch bole bas use hi ghur rahi thi, uski sansein bhi tez thi. " Tu to.. lesbian nikli.. chi... yuk.. " tamanna apne aap ko chata marte hue ulti si karne lagi. Aur fir zor zor se hasne lagi " hahaha.. tu to gayi ab... " aur fir apna sar pakad kar hasne lagi. " Tu to khud hi aa fansi..tujhe to ladkiyan chahie.. burchatti chut chatne wali hai tu to... haha.. " hans hans kar tamanna ka pet dukhne laga.

" Acha masala mil gaya yar aaj to.. ab ye to sabko bata padega... ab to sabko batana padega.. haha " hanste hue tamanna ne apni bra theek ki, top pehna aur bahar jane ke liye aage badi to aaruhi ne uska rasta rok liya. Vo dayein taraf se nikalne ko hoti to dayein taraf se rok leti aur bayein taraf hoti to bayein taraf se rok leti.

" acha khadi reh.. sari raat aise hi karegi.. tujhe kya lagta hai main yahan se jaa nahi sakti.. thodi der main sab aa jayenge.. koi nahi khadi reh tu.. " tamanna bol kar piche hatt gayi. Vo abhi bhi hanse jaa rahi thi apne mathe par hath rakh kar. Ek hi pal bitaa tha " Mujhse na ab raha nahi jaa raha.. main sabko batane ke liye utsuk hun.. mari jaa rahi hun.. aisa mauka fir milega nahi apna badla lene ka tujhse.. ab ye baat pure college mein failegi fir dekh.. teri kya gand mari jati hai.. tu bahar nahi jane de rahi.. mat jane de.. phone kab kaam ayega " tamanna ne apni jeans mein phone tatola lekin vo nahi mila.

" mera phone kahan rakha hai.. " tatolte hue uski nazar samne padi jahan table ke uppar uska bag pada tha aur usi ke pas uska phone bhi. Tamanna ne aaruhi ki taraf dekha par aaruhi uski nazar pakad chuki thi, ise pehle vo phone leti aaruhi ne jhat se uska phone utha lia.

" Aaruhi mera phone de.. " tamanna ne chhute hi phone manga. " aaruhi dekh mera phone de varna main chilla dungi.. mera phone de aaruhi... " is baar tamanna gusse mein chillai to aaruhi ne phone uski taraf hi de mara.

Niche ki ladai ko sujhane mein samay itna jada nikal gaya ki vishal bhagta hua wahan se nikla, usko jo bus leni thi vo nikal chuki thi. Usne dusri bus pakdi aur bus mein baithte sath hi usne shruti ko phone milaya lekin uska phone nahi laga. Usi samay group par message aa rahe the ki football match mein lafda hua hai. Vishal ne message nahi dekhe kyun ki vo janta tha ki lafda kya hua hai, use is waqt samay se pehle pahunchna tha.

At 6:30, Phone Booth

Sahi 6:30 baje ghanti baji aur ek ghanti bajte hi phone utha liya gaya, samne se awaz ayi. " Sab kuch plan ke mutabik chal raha hai.. vo 1 rs ka note hai na?"

" hai... " awaz sunte hi meghnath chup ho gaya, vo kuch bolna chahta tha, par ek pal phone par khamoshi chai rahi aur fir usne phone rakh diya bina meghnath ki baat ko sune.

" Aaj to late ho gaya.. " takreeban 6:33 par bus ne use booth walle raste par chhoda. Vishal ghadi mein time dekhte hue udhar pahuncha to usne paya us phonebooth par koi aur khada hai. " Ye is time koi aur phone par baat kar raha hai.. meghnath ka phone nahi aya kya.. ? " vishal tezi se aage badha aur wahan pahunch kar bola.

" suniye.. vo aap thodi der baad baat kar lena.. mera ek jarur phone ane wala hai.. " vishal ko laga ki meghnath try to kar raha hoga lekin phone busy hai isliye nahi lag raha hoga. Vishal ki baat sun jab vo shaks muda to vishal haka-baka reh gaya.

" tum? "

Shruti airport ke bahar khadi kabse intezar kar rahi thi. " Na jane kahan reh gaya ye ladka.. kabhi bhi time par nahi ata.. flight miss ho gayi.. to iski jaan le lungi.. aur agar kisi ne dekh liya to aur chutiapa hoga.. scaff pehen leti hun.. " shruti ne fauran apna chehra dhak liya. Thodi hi der baad use vishal dikh gaya aur vo use awaz lagane lagi.

" Are idhar dekh chutiye... " shruti jhanjhana rahi thi kyun ki vishal idhar udhar dekh raha tha. " abe chutiye sun.. " is baar vo tez bol padi jisme vishal ke sath kuch aur log bhi use dekhne lage.

" idhar.. " shruti ne hath uppar kar ke jab ishara kiya tab vishal uske pas aya " kab se awaz laga rahi thi .. "

" vo.. vo.. bas dikh nahi rahi thi... tumne ye chehra dhaka hai isliye.. " vishal ke mathe par pasina tha.

" han to tum itna hakla kyun rahe ho.. izat lutwa kar aye ho kya.. "

" nahi...vo... "

" kya vo.. chalna nahi hai andar.. chalo jaldi.. warna dono ki flight chhut jayegi "

" dono nahi shruti.. "

" hain? kya.. "

" hum do nahi hai.. " vishal ne itna keh kar apni nazar shruti se hata kar dayne aur ghumai aur usko udhar dekhta pakar shruti ne bhi udhar dekha jahan dekhte hi uski ankhein char guna badhi ho gayi.

" Chalna nahi hai .. der ho rahi hai.. " Aaruhi ne bilkul shant lehaze mein kaha aur airport ki taraf badh chali.
romanchak update ..shruti ne apna pichha to chhuda liya aaruhi se par vishal aisa nahi kar paya aur usko match dekhne jana pada ..
tamanna ko goal karne nahi diya isliye wo gussa hai aaruhi se .aur uska natija kuch aur hi nikla jo lesbian type ban gaya 🤣🤣 aaruhi ki kamjori haath lag gayi tamanna ke par aaruhi bhi kaha pichhe hatnewali hai .

vishal ne kisko dekha booth par 🤔🤔🤔.. aur ab ye achanak aaruhi kaise saath aa gayi dono ke amazon jaane ke liye ..
aur ye meghnath ki baate kuch samajh nahi aa rahi ,kya usko kisine pakad rakha hai jo jyada baat nahi karta phone par ,STD booth ke phone to koi hack ya tap nahi kar sakta ..
 
15,594
32,095
259
Update ~~ 107

Jab chizen samajh se bahar hoti hai tab waqt beet jata hai aur pata bhi nahi chalta. Security check-in ke baad teeno flight announcement ke liye waiting area mein baithe the. Koi kisi se baat karna to dur dekh bhi nahi raha tha. Shruti ke man mein chal rahe dhero sawalon ka jawab use nahi mil raha tha par har sawal main aaruhi hi maujud thi. Aaruhi kaise? Use kaise pata? Kitna pata hai ? Kya pata hai? Usne khud akele itna sab kiya kaise? Kab se janti hai vo?

Flight ne apne anumanit samay par udaan bhara aur chand ghanto ki udaan ke baad teeno Mumbai pahunch gaye, wahan se unhe Barsailia, Brazil ki flight leni thi. Security check-in kara kar teeno fir waiting area main jaa baithe aur ek baar fir teeno ke bich koi baat-cheet nahi hui. Takreeban 5 ghante beet chuke the teeno usi khamoshi mein jakde hue the. Barsailia ki flight mein tenno ek hi sath baithe the. Flight ne udaan bhari aur teeno ki kab ankh lagi unhe pata nahi chala. Adhe se jada rasta unhone apni nind mein hi khatam kar dia. Baki bache samay main teeno ke bich koi khas baat cheet nahi hui aur takreeban 10 ghante flight mein bitane ke baad teeno akhirkar Brazil pahunch hi gaye.

Lugagge system se apna-apna luggage utha kar immigration karate hue teeno bahar aa khade hue. Is samay teeno ka dil tezi se hi dhadak raha tha. Brazil aur hindustan ke time mein tarkreeban 9 ghante ka farak hai isliye abhi wahan bhi subah hi ho rahi thi jabki hindustan ke hissab se wahan sham ho rahi hogi.

" Kya naam bataya tha usne? " shruti ne dhime se kaha.

" Mandoza " vishal ne turant kaha

" dikhai nahi de raha hai.. aya nahi lagta hai? " anjan desh mein ane ke baad man mein har chiz ko lekar vichar umadte hai. Shruti ke sath bhi wahi hua tha.

" Vo raha.. " aaruhi ne turant ishara kiya aur dono us taraf dekhne lage. Samne dur ek dum kalla insan ankhon par kalla chasma lagaye, sar par safed topi aur nle rang ki shirt pehne hue hath mein board liye khada tha jispar 'Mandoza' likha tha. Teeno us taraf chal diye aur jaise hi uske samne pahunche uska kad-kathi dekh galle se thuk nahi utra. Itna bada sharir, shirt ke uppar do button khule the jiski wajah se uski badi chatiyan dikh rahi thi, uppar se uske mote honth. Vo teeno ko chasme ke piche chupi ankhon se ek pal ghurta aur fir chasma bade style se hata kar bola.

" 1rs note man " uski awaz itni bhari thi mano do admi ka galla mix kar diya ho.

" oh..haa... " vishal ne pocket se vo nota nikala. Usne nota pakda aur apne phone mein dekhne laga. " Come with me " mudte sath usne chasma lagaya aur teeno uske piche chal diye.

" uske hath dekhe kitne bade hai.. tumhare hath uske aage lolipop jitne chote lag rahe the " shruti ne vishal ke kan mein kaha

" to vo admi bhi to sath feet ka hai "

" ise kuch faltu mat bolna tum.. "

" main bhala kyun bolunga.. " vishal ke jawab dete hi teeno ke pass pahunch gaye. Gaddi ek purani che seater wali suv thi jo bahar se behad gandi thi. Teeno ne apna-apna saman dala aur unke baithe sath hi Mandoza ne gaddi start ki aur dauda di. Safar lamba hone wala tha aur thakan se bhara hona tha. Mandoza bina kuch bole takreeban 70-80 ke bich ki raftar ko pakde bina kahin roke gaddi bhaga raha tha. Teeno ko bahut zor se bhuk lag rahi thi par koi kuch nahi bol paa raha tha. Pani pi-pi kar kisi tarah pet ko shanti de rahe the lekin ab susu bhi utna bhar gaya tha jo nikalna jaruri tha.

" bolo na ise.. " shruti ne vishal se ishara kiya.

" vo hume washroom jana hai kahin rok doge.. " vishal ki baat sunte hi shruti ne use koni de mari.

" Hindi kya tumahra baap sikha kar gaya hai ise... " shruti ke tokte hi use samajh aya.

" we need to go to washroom, can we stop somewhere " vishal ki baat sun, mirror se mandoza ne vishal ki taraf dekha aur fir samne dekhte hue gaddi chalane mein dhayan laga dia.

" Ye kuch bolta kyun nahi hai... lagta hai meghnath ne paise kam diye hai ise " shruti ka muh ban gaya. Use bahut zor se lagi thi, use kya teeno ko hi lagi thi. Takreeban adhe ghante ke baad jab sham dhal gayi to jungle ke bich bani sadak kinare ek petrol pump kar usne apni gaadi roki.

" i need to refill the fuel.. you can use restroom " mandoza ka kehna tha ki ek taraf baithi shruti aur dusri taraf baithi aaruhi dono ne ek dum se gaddi ka gate khola par utarte use pehle mandoza ki awaz se dono ke kadam ruk gaye.

" do not talk to anybody, ignore them if anyone say something, alright? " uski baat par teeno ne han mein sar hilaya. Vo pehle hi ghabraye hue the, uppar se susu ka zor aur ab mandoza ki baat. Teeno washroom ki taraf daude lekin ek time par ek hi ja sakta tha.

" tu chali jaa.. " aaruhi ne bada dil karke shruti ko jane diya, shruti jaise isi ka wait kar rahi thi usne fauran gate khola aur jaise hi andar pahunchi use ubkai aa gayi. Itni gandi badbu uske fefdon ko faad rahi thi.

" behen chod... " vo ubkai lena chahti thi lekin dusra koi rasta nahi tha vo gandi si seat jispar charon taraf ganda faila tha. Usne apni jeans niche ki aur ghutno ke bal baith gayi, dusre hath se usne naak band kar li thi taki badbu uske naak mein naa ghuse par sans lene ke liye naak to kholni hi thi. Par vo kosish kar rahi thi ki jitni der rok sake utne mein uska susu nikal jaye par aisa ho nahi paa raha tha. Kuch jada hi susu bhara tha. Uski tezz dhar bahar tak aaruhi aur vishal ke kano mein ghus rahi thi kyun ki shruti ne andar se band nahi kiya tha agar vo kundi laga leti to andar badbu se mar jati. Bich mein sanss khinchi kisi tarah aur fir band karke apna susu nipta kar khadi hui aur washbasin ka nal khola lekin pani hi nahi aya.

" aarghhh.. " usne bina saaf kiye apne kapde uppar kiye aur bahar nikal gayi. " pani lekar jana andar.. " shruti itna bol kar wahan se nikal kar mandoza ke pas jaa pahunchi.

" how much time it will take to reach our destination? " mandoza ne fuel pipe apni gadi ki tanki mein laga rakhi thi.

" 3 hours "

" can i know the name of the place? "

" why? "

" i just wanted to know, be sure the washrooms are clean.. " shruti abhi bhi usi chiz ko lekar gusse mein thi. Uski baat sun mandoza ne apne dant dikha diye. Uske safed dant aise lag rahe the mano andhere mein roshni ka prateek yahi ho.

" iska ek dant mere do dant ke barabar hai... " shruti ne khud se kaha. " ise puchna hi bekar hai.. "

" by the way mandoza how do you know meghnath? " usne kaam ki baat puchi. Vo kuch nahi bola. Shruti samajh gayi ki ye admi kuch nahi bakega " Will the palce safe for us? "

" safe.. no problem ...fuel tank is full now, we can go " mandoza ne kaha, par shruti use kuch nikalwana chahti thi bhale hi use koi harkat karni pade lekin vo kuch karti use pehle piche se vishal ne awaz laga di.

" Mandoza we need some money to give for these items.. " vishal ne kuch khane ka saman liya.

" ok ok you sit in car.. " itna keh kar mandoza shop ke andar ghus gaya jo petrol pump par thi aur baki teeno gaddi mein aa baithe aur jaise hi teeno ghuse, laye hue khane ke saman par teeno ne aise jhapatta mara jaise janmo se bhuke ho. Mandoza gaddi mein kab akar baitha kisi ko nahi pata chala, jab kuch der baad unko laga unhe koi ghur raha hai tab teeno ne ek sath uski taraf dekha aur teeno ne apne dant dikha diye.

Takreeban 8 baje mandoza unhe ek chote se guest house mein le aya. Vo pehle andar gaya aur 15-20 minute baad wapis aya. " Give me your passports.. "

" why? " vishal ne turant kaha, vo jante the ki ek wahi chiz hai jo unhe is desh se bahar nikal sakti hai aur agar jarurat padne padh vo unhe nahi mila to kya karenge.

" its not safe with you "

" but.. " vishal kuch bolta use pehle usne tok dia.

" do what i say " is baar uski awaz mein rosh tha jise sun vo pehle hi ghabra gaye. Teeno ne apne passport use de diye. " and take this.. " usne ek chota phone pakda dia.

" i have saved my number in this phone, call in urgent matter ok? "

" okay " vishal ne phone liya aur rakh liya. Teeno andar ghuse aur tab unhe pata chala ki ek hi kamra hai jisme teeno ko rehna hai, badi ajeeb vidamna thi. Shruti jo chahti thi vo aaj kar leti lekin aaruhi ne akar sab plan par pani fer dia. Teeno itna thake hue the ki bas sona chahte the, bistar par aaruhi aur shruti so gaye aur niche farsh par bistar laga kar vishal. Nind to aa rahi thi lekin bechaini ne kafi der tak teeno ki nind ko kahin gayab kr rakha tha.

Agle sath din kuch isi tarah ka safar raha. Ab sawalon ko sochna band kar diya tha aur teeno ke bich ki khamoshi tut gayi thi. Sarre jawab ab ek hi jagah jakar milne wale the aur vo ek jagah wahi thi jahan is kahani ke bich chupe hue raaz bahar ane the. Vo din tha subah ka, gaddi ke andar thandi aur tazzi hawa ke jhoke aur khil-khilati dhoop ke chehre par padte hi aaruhi nind se jaggi. Itni saaf hawa thi ki usne lambi sans khinchi aur mano aisa laga jeevan yahin beetana chahie. Vishal aur shruti bhi uth chuke the aur apne dono taraf jungle ki haryali aur pakshiyun ke shor ko sunne mein vleen ho gaye the.

" We reached THE AMAZON " Mandoza ne gaddi par zor se break mara aur teeno jhatke se samne dekhne lage jahan logon ki bheed ka mela laga hua tha, choti choti dukane, gadiyan, khichad, boat aur dur dur tak sirf jungle aur nadi.
nice update ..ye mandoza to kuch jyada hi darawna lag raha hai sabko 🤣..
susu ka matter bahut majedar tha 🤣,sabko susu karna tha par mandoza ne kahi bhi gadi nahi roki jab tak petrol pump nahi aaya .
shruti ki halat ko samajh sakte hai jab susu jor se lagi ho aur public washroom ganda ho jaha 1 second bhi khada nahi raha jata ..

shruti ne jaankari hasil karne ki koshish ko mandoza se par usne kuch kaha hi nahi .
aur ye meghnath abhi tak milne nahi aaya teeno se 🤔🤔..aakhir wo hai kaha .

shruti ka sapna pura nahi ho paya vishal ke saath sex karne ka jo usne college me promise liya tha vishal se ki waha jakar sex karenge 😁..aaruhi to roda ban gayi uske sapne ke bich .
 
The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,997
42,938
354
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum

"The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words tak ho sakti hai. Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. . Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writers ko Awards k alawa Cash prizes bhi milenge jinki jaankaari rules thread mein dedi gayi hai, Total 7000 Rupees k prizes iss baar USC k liye diye jaa rahe hain, sahi Suna aapne total 7000 Rupees k cash prizes aap jeet shaktey hain issliye derr matt kijiye or apni kahani likhna suru kijiye.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 28th February tak open rahega is dauraan aap apni story post kar shakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.

Rules Check karne ke liye is thread ka use karein — Rules & Queries Thread

Contest ke regarding Chit Chat karne ke liye is thread ka use karein — Chit Chat Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 3000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3000 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report

Regards :- XForum Staff
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
10,132
42,570
258
कैसे दोस्त हैं ये सब जो दस बारह घंटे तक ढंग से बात ही न किए ! श्रुति को आरोही से जरूर पूछना चाहिए था कि उसे ब्राजील जाने की खबर कैसे पता लगी !
कुछ न कुछ तो जबाव देती वो , भले झूठ ही जबाव देती ।
फिलहाल वो ब्राजील पहुंच चुके है और शायद अमेजन भी। लेकिन मुझे लगता है , ब्राजील जाने की प्लानिंग सिर्फ आरोही को ही नही पता होगा। इस अमेजन के जंगल मे कुछ और लोग भी है जो इनसे भी पहले पहुंच कर इनका इन्तजार कर रहे होंगे। मेघनाथ के अलावा।

अमेजन तक का सफर कोई बढ़िया नही रहा। आपस की खामोशी , भूख से हाल बेहाल , बाथरूम जाने की जोर तलब और एक थका देनी वाली जर्नी बहुत भारी पड़ा इन सब पर। और जो गाइड मिला , वो भी एक पहलवान जैसा मौनी बाबा।

अमेजन के जंगल तक आ तो गए हैं लेकिन इस जंगल से वापस लौटना शायद आसान न होने वाला हो !

बेहतरीन अपडेट हर्षित भाई। आउटस्टैंडिंग।

आप को जब भी टाइम मिले तब आप अपडेट पोस्ट कर दीजिएगा।
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Harshit bhai or kitna wait krwaoge last update 5th ko Diya tha thoda sa time nikal kr hum readers ki bhalai ka kaam b kr do
Will be back soon.... :D
 
Top