• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,067
144
Meghnath ki entry aur uski theory ne dimaag ke parkhache udakar rakh diye hain... Pehle bhi jab ye praani Shruti ko canteen mein mila tha, tab bhi behad hi rahasmayi sa prateet hua tha par ab jo baatein isne sabke saamne rakhi hain, wo nischit hi hairaani ki sabhi seemaon ko laanghne waali hain... Atharva Roy urf Meghnath aur Shaurya ka past hume jaan ne ko mila... Jahaan Meghnath ek anaath ladka tha to wahin Shaurya ne bhi baad mein apne Maa – Baap ko haadse mein ganwa diya tha... Ye to saaf hai ke Shaurya aur Samridhi ek doosre se pyaar karte the, aur dono ne suicide bhi ek hi din, ek hi samay par kiya...

8:08 minute ka jo pench yahaan Meghnath ne daala hai wo sachmein kayi sawaal khade karta hai... Halanki, postmortem ki report mein minor mistakes bhi ho sakti hain, aakhir kar samay ka to maatra ek andaza hi hota hai parantu jo Suraj ki maut ke din hua wo jhuthlaya nahi ja sakta... 11:55 par hi Suraj ki maut, usi samay Manpreet ke phone mein video save huyi, usi samay Aaruhi ko chhat se girne se bachaya Vishal ne aur to aur usi pal unki ghadi bhi ruk gayi thi... Bohot hi adhik confusing hai ye... Kyonki kahani mein mujhe nahi lagta ke supernatural powers ka twist hoga, isiliye ye sawaal aur bhi gehra jaata hai... Kyonki yadi powers, magic & all hota, to in sab sawaalon ki utpati hi naa hoti, par yahaan jab kahani reality par based hai to in sawaalon ke jawaab samajhna aur bhi adhik pechida sa ho gaya hai...

Parantu ek baat to saaf hai ke Meghnath Aaruhi ke baare mein kuchh na kuchh aisa jaanta hai joki bohot important saabit ho sakta hai... Aaruhi ke baare mein jab bhi usne baat ki hai wo behad confident dikha hai aur sadaiv hi yahi laga ke wo kuchh to alag sa jaanta hai... Idhar, ye bhi pata chala ke Meghnath ne hi wo book Aaruhi tak pahunchayi thi... Uske mutabik us book mein kuchh aisa hai jo wo chahata tha koyi aur bhi padhe/samjhe... I think jab usne wo book wahaan library mein rakhi tabhi Aaruhi ne use padh liya hoga aur shayad Meghnath bhi jaanta hai ke Aaruhi us kitaab ko padh chuki hai, and isiliye wo Aaruhi ki haalat aur uske kaaran se relate kar paa Raha hai... Par Shruti ne abhi tak us kitaab ko padha nahi hai aur jab tak wo use padh nahi leti, uske raaz bhi shayad na khulen...

Meghnath ne un sabko apne room par bulaya tha kuchh adbhut dikhane ke liye aur nischit hi jo usne dikhaya aur bataya wo hairaangi ki sabhi hadhon ko paar karne waala tha... Wo Box, jise God Of Box kaha jaata hai, Egyptian Gods se taaluk rakhta hai... Egyptian Gods yaani negative energy ke prateek aur wo box bhi isi jaisa laga hai... Uske oopar likhi wo pankti, 'alruwh alati la tanam', arthat “The Soul that never sleeps", Arabic bhaasha mein likhe in shabdon ka bhi bohot gehra raaz hai... Lagatar in shabdon ko bolne se us box mein kuchh to trigger ho jaata hai jo aas paas ke sabhi loght sources ki energy sokh kar khud ek light source ban jaata hai... Us book mrin bhi yahi shand likhe the aur us box ke oopar bhi yahi shabd likhe hain...

I think, koyi sensor types cheez lagi ho sakti hai us box par jo in shabdon se trigger hoti hai... Halanki, wo aas paas ke light sources par kaise prabhav daalti hai ye ek sawaal hai... Is box ki khoj Alok urf Vikrant ne ki thi... Alok naam us doctor ka bhi tha, kya ye mehaz ek coincidence hai ya dono ke hum naam hone ka bhi kuchh Raaz hai... Par ek baat aur saaf hai ke “History/Archaeology" ka bhi is kahani mein bada role nazar aa raha hai... Aaruhi ke profile picture, uski past trip aur ab Alok aur uska ye box, is chapter mein lagta hai kahani inhi cheezon ke ird gird revolve karegi...

Alok/Vikrant ka ye box Meghnath ko de dena bhi rahasmayi hai... Alok ne saaf kaha us recording mein ki is box mi mahata kitni zyada hai, kya sachmein wo Meghnath par itna bharosa karne lag gaya tha ke aise hi use wo box sambhalne ko de diya..? Doosra, Alok ne aisa kiya kyun? Kya uske pichhe koyi tha, koyi aisa jo us box ko haasil karna chahta ho? Kya isi box ki wajah se ye sabhi mauten ho rahi hain? Isi box ko paane ki laalsa mein koyi khoon karne par aamada ho gaya hai? Kya ab wo “koyi" Aaruhi hi ho sakti hai..?

Idhar College mein sabhi mar chuke vidyarthion ki maut par shok prakat kiya gaya... Par yahaan bhi Aaruhi ka vyavahar ajeeb tha... Sachmein ye ladki pagla gayi hai, but ek baat to hai, jis kisine bhi Aaruhi ko is haalat mein pahunchaya hai use kadi se kadi saza milni chahiye... Lavanya ke baare mein jo kuchh bhi Aaruhi ne kaha, wo again, kayi sawaal paida karta hai... Ek samay par Lavanya ki maut ko lekar bhayankar fantasies rakhne waali ladki uske liye justice ki apeksha mein baithi hai... Usne kaha ke usne Lavanya ke saath ek raat bitayi thi... Shayad usi raat ka zikr kar rahi hogi jab pehli baar humne Chapter - 1 mein Supriya ki jagah Aaruhi ka naam suna tha... Mehta ne bhi ghadiyali aansun wahaan baha diye taaki apna daaman saaf rakh sake...

Idhar Aaruhi Meghnath ke kamre mein pahunch gayi hai par sawaal wahi hai : Kaise..? Kya wo box use attract kar raha hai ya wo Shruti ka pichha kar rahi thi? Aur ant mein kahi line se saaf hai ke Aaruhi ko Shruti ki gatividhiyon ki jaankari pehle se hi thi... Dekhte hain aage wo madam kya pagalpan karti hai...

Teenon hi Updates Behad hi khubsurat the bhai... Kuchh dinon se vyastata ke chalte padhne ka mauka nahi mila... Khair, rahasya gehrata jaa raha hai par ek baat spasht hai jab bhi raaz khulne shuru honge, ek ke baad ek dhamake hote hi rahenge...

Outstanding Updates Bhai & Waiting For Next...
 
10,132
42,570
258
मेघनाथ की बातें मुझे हवाई किले बनाने जैसा लग रहा है । वह एक डब्बा लाता है और कहता है कि यह मिश्र के देवताओं के समय का है । उसके अनुसार कुछ अरबी भाषा के शब्दों का उच्चारण करने से यह अपने आप प्रज्वलित हो उठता है । ( वैसे मैंने भी गुगल भैया से उस अरबी भाषा के बारे में पुछा था और उन्होंने बताया भी )
उस अद्भुत डब्बे के बारे में यह भी कहा कि उसे वह चीज विक्रांत उर्फ आलोक से प्राप्त हुआ है । डेथ किंग भाई का सवाल जायज है कि यह आलोक वही है जिसने आरूहि का इलाज किया था अथवा कोई और ? वैसे मुझे उसकी बातों पर विश्वास नहीं है ।

मेघनाथ और आरूहि दोनों मिलकर कोई गहरा खेल खेल रहे हैं पर क्या ! यही समझ में नहीं आ रहा है । शायद किसी बदले की आग में यह सब किया जा रहा हो ।
पहले का तो नहीं पता लेकिन पिछले दो सालों से इस कालेज में जितनी भी हत्याएं हुई हैं वो सब इन्हीं लोगों के पावन हाथों से हुई है । और उन सभी लोगों का , जो मृत्यु को प्राप्त हुए , का आपस में कोई न कोई सम्बन्ध जरूर होगा ।
इन दोनों के अलावा मुझे कोई तीसरा शख्स दिख नहीं रहा है । मेघनाथ ने श्रुति और उसके पलटन को एक झुठी और मनगढ़ंत कहानी सुनाई है । पर मुझे लगता है श्रुति‌ ' श्रुति हसन ' बनकर उन दोनों का भंडाफोड़ कर ही देगी । :D

बहुत ही बेहतरीन अपडेट हर्षित भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट ।
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Update ~~ 86


" Jhooth... Kai...sa jhooth.. Matlab.. tu kya bol rahi hai ye.. " shruti aaruhi ko dekh rahi thi lekin uski ankhon mein nahi dekh paa rahi thi.

" Vo tu bhi ache se janti hai ki main kya bol rahi hun.. " Aaruhi utne hi atmavishwas ke sath bol rahi thi jitne atmavishwas ke sath vo andar ayi thi. Uski awaz mein ratti bhar bhi utejna nahi thi.

" Par mujhe kaise pata hoga tu kya bol rahi hai.. tu to vaise bhi bahut kuch bolti hai.. " shruti ne mazak mein hanste hue ye baat kahi aur apne dono taraf dekha mano unse keh rahi ho ki tum log bhi bolo par kisi ke muh se awaz hi nahi nikal rahi thi. Shruti aaruhi ke mansik sthithi ko kharab maan kar baat ko raffa daffa karna chahti thi jiske liye usne sabse pehle ye socha ki vo ye dikhana band kare ki vo kuch chupa rahi hai.

" Dekh aaruhi.. tu na yar thoda chill kar.. hum dono room par baat karenge.. vaise bhi tu to apni hi bandi hai na.. " shruti ne aaruhi ke kandhe par hath rakhne ke liye hath aage badaya ki aaruhi ne shruti ka hath wahin pakad liya. Ek pal ke liye sabhi ko yahan tak ki shruti ko bhi laga ki aaruhi uska hath tod degi par aisa kuch nahi hua lekin jo hua usne shruti aur vishal dono ko chaunka diya.

Aaruhi ne apna dusra hath aage badaya aur shruti ke hath mein dawai ki sishi rakh di. " Bol de ise dekh kar ki abhi bhi tu jhooth nahi bol rahi ? " Aaruhi ne jaise is baar shruti ko range hathon pakad liya tha.
Shruti kabhi us dawai ki sishi ko dekhti to kabhi vishal ki taraf dekhne ki kosish karti. Vo pakdi jaa chuki thi aur ab yahan se is bare mein jhooth bolne ka koi faiyda nahi tha. Vo bas is chinta mein thi ki aaruhi iske alawa aur kya janti hai jo is tarah aaj gusse mein ayi hai.

" Ab shruti gayi.. aaurhi ne use nange hathon pakad liya hai.. " gaggan ne dhime se kim ke kano mein kaha. Kim ne fauran use kandhe maar kar piche hata diya.

" Bol.. Ya fir main hi bolun? Itne dino se pagal bana rahi hai tu mujhe ... Juth bol rahi hai.. ki Khane mein kuch nahi hai.. pani mein kuch nahi hai mera veham hai.. lekin nahi tha na veham? Vo to ye dawaiyan thi jo tu mujhe khila rahi thi jiski wajah se mujhe khana pani sab ajeeb lag raha tha.. " Aaruhi ne shruti ka hath chhod dia.

" Drugs de rahi hai tu mujhe shruti.. " Aaruhi ne ek pal ruk kar apni baat kahi.

" Aaruhi.. "

" Mat bol aur juth.. " aaruhi ne shruti ko bich mein rok dia. " Maine khud pada hai in dawaiyun ke bare mein .... tujhe kya laga tha tu mujhe drugs deti rahegi aur mujhe pata bhi nahi chalega.. "

" Aaruhi.. ye drugs nahi dawai hai.. " vishal ne turant kaha.

" Mujhe tum to batao hi mat kuch bhi.. " Aaruhi ne pehli dafa gusse mein apni nighaein uthai thi. " Main janti hun ki ye medicine hai.. jisme excesive drugs ka istemal hua hai.. yahan tak ki ye medicine koi aam nahi balki Dimagi bimari se judi hui hai.. tujhe main dimagi bimar lagti hun shruti ? " Aaruhi ne shruti ne nazar fir shruti ke uppar dal di.

" Aaruhi tu meri baat sun.. "

" Kya sunun jhooth? Jisme tu mahir ho gayi hai.. "

" Jhooth nahi.. sach hi batane jaa rahi hun.."

" Kya sach bata rahi hai kuch nahi.. Agar sach batana hai to kyun nahi batati ki tu mujhse bina puche bina meri marzi ke ye dawaiyan mujhe kyun de rahi hai? Aur kyun bana rahi hai mujhe dimagi bimar? " Aaruhi ne kade shabdon mein apni baat rakhi. Ek pal ke liye kamre mein sanata chaya raha. Sab ke pas jawab tha aaruhi ke sawal ka lekin kisi ke muh se sach nikal nahi raha tha. Koi use bolta bhi kaise ki vo ek raat nangi hostel se nikal kar ek building par kudne ke liye khadi thi? Ya fir raaton ko us bhutiya girls hostel jakar wahan raat bitaya karti thi? Ki vo ek demon ke kabze mein hai?

" Janti hun ki tere pas sach nahi hai aur tune mere sath aisa kyun kiya iska jawab main khoj hi lungi... "

" Jarurat nahi hai aaruhi.. tu janna chahti hai to sun.. ye medicines mene apni marzi se nahi di hai.. teri mom ne hi kaha tha dene ke liye.. aur sath hi Dr. ne bhi.. " shruti ne aaruhi ko bataya to aaruhi ek dum shant khade use ghurti rahi aur fir muskura di.

" Ek aur juth.. " hanste hue usne apne chehre par hath rakh liya.

" Ye juth nahi hai aaruhi.. shruti sahi keh rahi hai.. tumhe ye medicines dene ke piche bahut badi wajah thi... Hum hi nahi balki Dr jisne tumhe dekh, tumhari mom aur Miss nandini bhi.. " is baar vishal ne shruti ka sath diya.

" Dr ne mera ilaz kiya aur mujhe pata bhi nahi chala? Vo baat mujhe yaad kyun nahi? Kya main Dr ke pass jaungi aur khud bhul jaungi? " Aaruhi ne vishal ki baat ko aise uchaal diya mano use ab is jhooth ke piche ki kahani bardasht nahi ho rahi ho.

" Tumhe yaad isliye nahi hai kyun ki tumhe yaad nahi rehta hai aaruhi.. " vishal ne fir use batane ki kosish kari.

" Ab tum mujhe pagal hi bana doge? " Aaruhi ki ankhein ek dum se nam ho gayi. Vo char logon ke bich khadi khud ko akela maan baithi thi.

" Aaruhi vishal ka ye matlab nahi hai.. par vo galat nahi keh raha hai.. tujhe yaad nahi rehne ki adat ho gayi hai isliye tujhe vo din yaad nahi jab tujhe dr alok ne check kiya tha aur tujhe bataya tha ki tu catatonic schizophrenia naam ki medical condition se jujh rahi hai.. " Shruti ne akhir Aaruhi ko uske aur uske bich ki chalti ladai ke bare mein bata dia.

" Kya bola tune.. ? " aaruhi behad chaunki hui thi. Shruti ne gehri saans chhodi aur apne mathe par aye balon ko piche karte hue ek pal aaruhi ko hi dekhti rahi.

" Aaruhi .. tujhe malum hai tu us bhootiya girl hostel mein jati hai? "

" Main.. us hostel mein kyun jaungi.. tu kya bol rahi hai.. pehle vo schizophernia.. kya hua hai mujhe.. " Aaruhi ki awaz ladkhadane lagi. Use samajh hi nahi aa raha tha ki vo kisi medical conidition se jujh rahi hai. Uske dil ko ek dhakka laga tha ye jaan kar.

" Aaruhi.. Aaruhi sun.. " shruti samajh gayi thi ki aaruhi ko ye batana khatre se khali nahi hoga uski mental state ke liye lekin use sach chupana namumkin ho gaya tha. " Aaruhi sun.. " shruti ek kadam aage badi aur usne aaruhi ke kandhe se use pakadna cha lekin aaruhi ne fauran shruti ko dhakka de diya jiski use umeed nahi thi aur dhakke ki wajah se uske hath se sishi gir kar tut gayi jiske andar ki dawai bikhar gayi.

" shit... " shruti fauran boli jiske sath vishal jhuk kar wahan bikhre kanch ko uthane laga.

" dhayan se.. kanch lag jayega.. " vishal ne shruti se fauran kaha jo bhi jhuk kar kanch hatate hue goliyan uthane lagi.

" Ab isko kahan rakhenge... "

" koi fayda nahi .. dusri lani padegi.. ye bekar ho gayi vaise bhi ab.. " vishal ne shruti ko dawai uthane se mana kar diya. Shruti aur vishal dono ek dusre ko dekhne lage, aisa hoga shayad dono ne anuman nahi lagaya tha. Dono khade hote use pehle unki nazar aaruhi par padi jo ek taraf dekh rahi thi.

" Aaruhi dhayan se kanch " shruti bolti use pehle aaruhi ne chote-chote kandh ke tukdon ko apni chapal se ronda aur aage badh kar sidhe us box ke samne aa khadi hui. Shruti aur vishal apni jagah se khade hue aur ghum gaye. Gaggan, rachna aur kim teeno darshak bane kamre mein ho rahi chizon ko gaur se dekh rahe the. Rachna ne apne sath laye thaile ko wahin rakh diya aur gaggan ka hath pakad liya. Use lag raha tha ab aaruhi chudail ban jayehgi is box ki wajah se.

" Aaruhi.. " shruti piche se aaruhi ko awaz dene lagi. " Aaruhi.. chal tu yahan se.. main tujhe samjhati hun.. Aaruhi chal na.. " shruti ne aaruhi ka piche se hath pakadte hue kaha itne mein meghnath ne use chup rehne ka ishara kiya. Aur hath se ishara kiya ki vo aaruhi ko kuch na kahe aur use chhod de. Shruti ka man kiya vo abhi meghnath ka muh tod de jo un dono ke bich bol raha hai par jab meghnath ne ishare se sabko aaruhi ki taraf dhayan se dekhne ko kaha tab shruti ko samajh aya ki meghnath ne use kyun roka hai.

Aaruhi ke muh se awaz nahi nikal rahi thi par uske lafzon se alfas bole jaa rahe ho aisa dikhai padh raha tha.

" Ye kaun sa mantr padh rahi hai ab? " rachna ghabrate hue boli.

" Ye padh paa rahi hai meri to yahi soch kar fatt rahi hai.. " gaggan ne itna keh kar aur dara diya jiske chalte rachne ne uska hath pakad apne sine mein daba liya. Sine ka abhas hote hi gaggan ke badan mein dar aur tharak ki tarange daudh gayi.

Aaruhi kuch bolte hue ek-dum se ghutno ke bal baith gayi aur box par hath rakhte hue use najdeek se dekhne lagi.

" alruwh alati la tanam " meghnath ne fir akshar dahurane shuru kar diye jiske baad kamre ka mahol badal gaya. Light 'jar-jar' awaz karne lag jiska shor badhta gaya.

" ab ye bhi shuru ho gaya.. ye dono mil kar... aaj hamare soul sula denge.. " gaggan ek kadam piche ki taraf hata to rachna bhi uske sath piche ho gayi aur use chipak gayi. Ab gaggan ke hath hi nahi balki ek side ke uske kandhe rachna ki chatiyun mein jaa dhanse.

" hum yahan khade hi kyun hai.. bhagte hai na.. " rachna darte hue bol rahi thi.

" mere to per jaam ho gaye hai ab.. nahi bhagg paunga main.. too... " gaggan thar-tharate hue bola.

Kamre ki roshni lub-jub hone lagi aur meghnath ke sath ab Aaruhi bhi uski tarah bolne lagi. Kamre mein jo suraj ki roshni padh rahi thi vo dhimi ho gayi asman mein halke badal cha gaye the, kamre ki light bhi lub-jub hone lagi aur usme badi zor se 'jar-jarr' hone lagi, kamre ka vatavaran behad tanavpurn ho chala tha. Kab kya hone wala tha koi anuman lagane mein saksham nahi tha. Dar ki ek tarang sabhi ke man ko kachotne lagi thi aur tabhi kamre ki light band ho gayi aur rachna ke muh se nikalti cheekh ke sath box mein pili roshni ka agman ho chala jiski roshni mein kamra to cham-chamaya usi ke sath aaruhi ka chehra bhi cham-chama utha. Uski khubsurti par pili roshni padte dekh meghnath jo uske chehre ko samne se dekh paa raha tha vo uski sundarta ka didar karte nahi thaka.

" This is amazing... Ye Egyption God Of Box hai.. tumhare pas kaise aya? " Aaruhi ne meghnath ki taraf dekhte hue kaha jise sun sab hairan aur chakit reh gaye the.

" Lo ise ye bhi pata hai.. main to kehta tha ... ye insan nahi bachi.. sala koi meri sunta hi nahi tha.. " gaggan bich mein fir bola.

" Tum janti ho iske bare mein? " meghnath ne fauran pucha.

" pada hai.. mene.. kahin par .. yaad nahi aa raha tha.. "

" Kya tum ise padh sakti ho? " Meghnath ne sabse eham sawal pucha jiske intezar mein vo tha.

" Han.. " Aaruhi ke muh se han sun meghnath ki ankhein puri khul gayi wahin shruti aur vishal ke sath har koi kamre mein maujud chakit khada tha.

" Kaise? " shruti ne pucha.

" Kya likha hai isme? " meghnath ne shruti ke sawal ko laat marte hue apni baat rakhi. Aaruhi pile chamakte akshron par hath rakhte hue ek-ek karke kuch soch-samajh rahi thi, waise hi alfas nikal rahi thi jaise pehli dafa box dekh kar nikal rahi thi par kisi ko sunai nahi de raha tha. Sabhi ki nighaein usi par jami thi, bechaini aisi thi mano kisi ne bhuk lagne par uski pasindida chiz samne paros di ho lekin hath bandh diye ho taki vo use kha na sake.

" Parchai ki tarah sayan, sama leta hai andhera sab kuch. Itna andhera ki vajud tak nahi dikhta " Aaruhi ne shabdon ko samajh kar jab batana shuru kiya to halak sukhne laga.

" Kya isme kuch aisa likha hai jise pata chal sake ki ye kya hai ... iska istemal kyun aur kaise kiya jata hai? " Meghnath sawal kar raha tha aur sab chup khade the. Himmat hi nahi thi kisi mein.

" Is box ka istemal Egyption King or Queen apne samrajye mein raaz karne ke liye kiya karte the. Is box se jude kayi raaz isme maujud nahi hai lekin ye box un sabhi raaz ko pura karne mein un Kings or Queens ki madad mein istemal hota tha. Andhera jodta tha aur use judni wali takat unhe milti thi " Aaruhi ne padte hue bataya aur chup ho gayi. Meghnath uski taraf aise dekh raha tha mano chahta hi na ho ki vo chup ho.

" Aur nahi padh sakti.. Khatarnak ho sakti ye hazaron saal purani chiz "

" Janta hun.. lekin main isme kuch khoj raha hun.. Kya koi tarika hai ise judne ka hamare liye... "

" Bahut khatarnak sabit ho sakta hai.. "

" Main us khatre ko ajmana chahta hun.. "

" tum pagal ho gaye ho.. band karo ye sab.. " shruti ek dum se bol padi to meghnath aur aaruhi uski taraf dekhne lage " Aaruhi tu band kar ye sab bolna.. aur tum.. iski baton par dhayan mat do.. Jaruri nahi hai ye jo bol rahi hai vo sahi ho.. " Shruti ki baat vishal ko bhi sahi lagi. " Ye sirf dikha bhi sakti hai isne jo pada vo sahi hai... par ise kuch aisa nahi malum hai.. ise ye language kahan se ayegi? Tum bhi jante ho ki iske liye aisi knowledge aur padai karni padti hai.. yahan sirf samay barbad ho raha hai aur kuch nahi.. Aaruhi tu uth... tujhe ye sab dikhane ya batane ki jarurat nahi hai.. " shruti ki baat track par lag rahi thi. Meghnath ko bhi uski baat sahi lag rahi thi. Vo bhi ek pal aaruhi ki baat ko maan baitha tha aur ye bhool gaya tha ki itni asani se koi kaise padh sakta hai vo bhi bina knowledge ke jiske liye salon lag jatte hai.

" tum sahi keh rahi ho.. mujhe janne ki itna jada talab hai ki is baat ko socha hi nahi ki ise kaise malum hoga iske bare mein.. " Meghnath ne jab shruti ki baton ka samarthan kiya to use signal mil gaya ki vo ab aaruhi ko yahan se hata sakti hai. Vo aaruhi ke najdeek ati use pehle aaruhi wapis box ki taraf dekhne lagi.

" Tumhe iska istemal karna hai.. to tumhe uske liye ek aisi jagah chahie jo kabhi soi hi nahi ho jo maujud to ho lekin mar chuki ho. Jo sabke bich ho lekin fir bhi khali ho. Jiske andar zindagi se jada maut rahi ho. Us jagah par hi tum is box ke asli matlab ko khoj paoge, iski shakti ko dekh paoge.. " Aaruhi ne jaise hi ye baat kahi shruti ke per wahin ruk gaye jahan vo aage badhe the, meghnath ke rongte khade ho gaye ye baat sun kar.

" Lekin uske liye tumhe kuch aur bhi chahie..... " Aaruhi khud se boli ya sabse kisi ko koi dilchaspi nahi thi vo bas jo bol rahi thi uske shabdon mein dilchaspi aur dhadkane basi hui thi. Aaruhi ne box ko dusri taraf palat diya, light usme abhi bhi jal rahi thi aur vo usme kuch dhund rahi thi. Alfas uske honton par bara-bar chal rahe the par vo kya bol rahi thi koi use sun samajh nahi sakta tha. Akhir usne box ke uppar bane ek akshar par jakar apni ek ungli rakhi aur fir dusri ungli ek alag akshar par aur fir tisri ungli tisre akshar par rakh diye aur teeno akshron ko jodte hue usne dusre hath se ek line bana di jo dikhi to nahi lekin jis hissab se ungliyan rakhi thi vo ek ulta Triangle bana rahi thi. Itna karte hi box ki roshni ek dum se band ho gayi aur usme ek awaz hui jin point/akshron par aaruhi ne ungli rakhi hui thi vo akshar khud-ba-khud aage ki taraf nikal aye.

Teeno akshron ko bahar nikalta dekh sabhi achambit ho uthe. Aaruhi ne bina der kiye teeno akshron ko ek-ek kar padte hue niche ki taraf push kar diya jo box mein andar ki taraf dhans gaye jiski wajah se us triangle ke bich jo akshar the vo bahar ki taraf dikhne lage jispar aaruhi ne hath rakha aur use press kar diya jiske sath hi vo halka niche dabe aur uska muh khul gaya jiski wajah se box mein ek bada sa ched utpan ho gaya. Jaise purani ghadi mein 'tak-tak' awaz hoti hai usi tarah box mein se awaz hui aur ek chiz us ched mein se bahar aa nikli aur box ke sateh par ja tiki.

" Ye lo... iski jarurat padegi tumhe " Aaruhi ne box ke sateh par ayi us badi gol chiz ko nikala aur meghnath ki taraf badha diya. Ek pal tak meghnath aaruhi ko aur uske hath ko dekhta raha aur fir usne uske hath se use le liya. Apne hath mein pakad kar usne us chiz ko gaur se dekha jo gol akar ki chiz thi, uske charon taraf sone ki thos parat thi aur bich mein sisha tha jiske piche sirf kala pan tha kuch aur dikhai nahi de raha tha.

Aaruhi apni jagah se khadi hui aur mud kar jane lagi, jatte hue usne ek pal shruti ki taraf dekha jo use behad ajeeb nazron se dekh rahi thi. Usne shruti se kuch nahi kaha aur vo wahan se jane lagi. Sabhi use jatte hue dekh rahe the tabhi meghnath ki awaz ne dhayan uski taraf modh dia.

" Itna sab pata hai to ye bhi pata hoga ki kaun si hai vo jagah ? " meghnath ke sawal par aaruhi ruki aur piche mud kar sabhi ke chehron ko dekhne lagi, jo abhi use ek tuk ghure jaa rahe the.

" Wahi.. jiski kahani mashoor hai.. Shruti bhi janti hai us jagah ko.. Wo jagah jo bahut maili hai.. " Aaruhi bol kar wahan se chali gayi.

" Maili hai? " vishal bad-badaya.

" shruti bhi mili hui hai iske sath ab to lagta hai.. varna ise kaise pata vo kaun si jagah hai .. " gaggan rachna se dhimi awaz mein bola.

" kaun si hai vo jagah? " meghnath ne turant shruti se pucha.

" Mujhe kya pata.. main khud hairan pareshan hun ... tumne.. ye sab tumhari wajah se hua hai.. tum aur tumhara ye box.. " shruti ko gussa aa raha tha.

" Kaun si jagah hai vo jiske bare mein tumhe bhi pata hai..? " meghnath ne fir pucha.

" mujhe kya pata ... usi se puch jisne is box ke sath apni hoshiyari dikhai hai .. ja tu .. puch use.. salla dono ne dimag ka dahi kar diya aaj.. kya soch kar ayi thi aur yahan to behenchod kahani hi badal di tune aur aaruhi ne mil kar.... " shruti ek dum se shant ho gayi. Uske dimag main jaise kuch aya, usne apni nazre utha kar meghnath ki taraf dekha.

" Mansion.. "

" Mansion? " Vishal aur meghnath ek dum se bole.

" Aaruhi mansion ki baat kar rahi thi.. " Shruti ne jaise jaise sochte hue kaha uske hath apne sar par chale gaye jaise sab kuch samajhne ki kosish kar rahi ho.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
15,594
32,095
259
romanchak update ..aaruhi ko dawaiya mil gayi jo shruti usko de rahi thi isliye wo sawal karne aa gayi uske pichhe .
shruti ne thoda bahut apni taraf se safai di par aruhi ne yakeen nahi kiya .
par us box ki taraf attract jarur ho gayi aur hairani ki baat ye huyi ki aruhi un aksharo ko padh paa rahi thi .
sabko hairani me daal diya aruhi ne aur meghnath to bas us box ka raaz jaanne ke liye utsuk tha .
par aruhi ne kaha aur kaise us box ke baare me padha aur us bhasha ke baare me ,jabki meghnath itni research karne ke baawjud bhi nahi padh paaya 🤔..
us box ko puri tarah jaanne ke liye aruhi ne jo jagah batayi usse sab chaunk gaye .aruhi ne bas hint diya par shruti ke dimaag ne usko pakad liya aur sabke saamne naam aa gaya us bhutiya mansion ka .
par aisa laga meghnath kuch jyada hi utawla ho raha tha sab jaanne ke liye .

kya ab sab log us mansion me jaane ki sochenge 🤔🤔..
shruti kaise samjhayegi aaruhi ko ki usne kuch galat nahi kiya .

box ka hostel me aana meghnath ke jariye aur ab aruhi ki juban se bhutiya mansion ka naam saamne aana ..kya iske pichhe bhi koi raaz hai ya koi chahta hai us mansion ki baate sabke saamne aa jaaye 🤔🤔..
ab kaun game khel raha hai ya ye bas ek co incidence hai dekhte hai ..
 

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,067
144
Kabhi – kabhi Aaruhi ki baaton par hansi aati hai to kabhi uspar taras aur kabhi wo aisa kuchh kar jaati hai ki padhte waqt hairaani ki seema hi nahi rehti... Sachmein Aaruhi ke anekon roop hain... Kabhi behad masoom to kabhi bhayankar fantasies karne waali kroor ladki, kabhi Manpreet ke saath huyi darindagi par behad normal vyavahar karne waali ladki to kabhi Lavanya ki maut par shok jatane waali... Ab Catatonic Schizophrenia ko hi agar iska kaaran maan len to bhi bina kisi shakh ke Aaruhi ek behad hi gehre jaal mein fansi huyi hai (ya khud hi sabko jaal mein fansa rahi hai)... :dazed:

Is update mein jo kuchh bhi hua wo satya mein hairaan kar dene waala tha... Sarvapratham, yadi us box ki baat ki jaaye jiska naam “God Of Box" hai, to uske baare mein jo kuchh bhi Aaruhi ne kaha aur kiya, wo fir bhi hazam kiya jaa sakta hai... Ab tak ek baat to clear ho chuki hai ke Aaruhi ka history aur archaeology mein ghanghor interest hai... Jo baat Urvashi ne kahi thi wo aur of course Aaruhi ki wo profile picture, mujhe pehle hi laga tha ke wo is box ke baare mein bhi jaanti hi hogi... Parantu haan, jo triangle waala scene tha jismein usne us box se blocks nikaal diye aur uske paschaat wo spherical cheez bhi nikaali, wo behad hi hairaan karne waala tha... Khair, is scene se ek baat spasht ho gayi ke Aaruhi ab tak jitni prateet hoti aayi hai, us se bhi kayi guna zyada mysterious hai...

Box par likhe shabdon ko padhna aur fir wo spherical vastu, par us se bhi badi baat jo kuchh Aaruhi ne Mansion ki taraf ishara karte huye kaha... Kya ye sab kewal uske archaeology mein interest aur knowledge ka nateeja hai ya fir Catatonic Schizophrenia ka, ya fir us kitaab ka jo usne library mein padhi thi... Beharhal, Meghnath ne kaha bhi tha ke us kitaab ka bhi apna alag rahasya hai aur wo shabd, " alruwh alati la tanam ", us kitaab mein bhi inka zikra tha... To kya Aaruhi us kitaab ko padhne ke baad hi in cheezon mein pad gayi..? Ya pehle se hi... Wahin, Aaruhi ne bhi kaha ke ye box khatarnaak ho sakta hai, kya aur bhi kuchh jaanti hai wo iske baare mein..?

Idhar Aaruhi ko wo dawaiyan mil chuki hain jo Dr. Alok ke prescription par Aaruhi use khila rahi thi... Lagta yahi hai ke Aaruhi ko kaafi samay se Shruti par doubt ho gaya tha aur ab wo shakh yakeen mein badal chuka hai... Lekin Shruti ne jo kuchh bhi apni safai mein kaha, joki of course sach hi tha, uspar filhaal Aaruhi ne yakeen nahi kiya hai... Kya Urvashi se baar karegi wo is baare mein..? Ya fir Nandini se? Par nischit hi aisa laga ke sachayi jaankar Aaruhi ko behad gehra dhakka laga (ya fir usne aisa pretend kiya)... Sawaal ye bhi hai ke Aaruhi aur kya – kya jaanti hai Shruti ki gatividhiyon ke baare mein? Kya us Mansion aur Girls Hostel mein huyi mauton ke baare mein bhi use khabar hai? Ye dekhna bhi interesting rahega...

Sawaal to ye bhi hai ke Aaruhi kab se Shruti ka pichha kar rahi thi... Kyonki aisa to shayad hi ho ke isi update mein pehli baar wo Shruti ke pichhe aayi ho... To sambhav hai ke aaj tak Shruti ne jo kuchh kiya hai wo sab bhi Aaruhi jaanti ho... But kya use sab yaad bhi hoga ya bhool gayi hogi..? Ab Shruti ne Aaruhi ke dwara diye gaye hint par Mansion ka zikra kar diya hai... Aur is baat mein koyi do raaye nahi ki Meghnath Mansion mein zaroor jaayega, aakhir wo mara jo jaa raha hai us box ke baare mein sab jaan ne ke liye...

Par kya Shruti aur baaki sab bhi Mansion mein jaayenge, yadi haan to sambhav hai ke ek nayi musibat unka intezar kar rahi ho... Saath hi, Aaruhi aur Shruti jab dobara milengi to kya baatein hongi dono mein... Aaruhi kahin ek aur surprise na de de use...

Outstanding Update Bhai & Waiting For Next...
 
10,132
42,570
258
अब जो जो हो रहा है और जैसी जैसी चमत्कार आरूहि दिखा रही है , उससे ललाटो में सिकन न आए....सिर के बाल न झड़ने लगे‌ , तो फिर और क्या होगा !
अपने बेशुमार कीमती बालों का हर्जाना तो आपसे वसूलना ही है हर्षित भाई , भले ही मुझे सुप्रीम कोर्ट तक क्यों न जाना पड़े । :D

एक तो डब्बा दिखाकर और फिर बे सिर पैर की बात करके कलयुगी मेघनाथ ने हमें बेवकूफ बनाया और जो आकी बाकी कसर हमें बेवकूफ़ बनने में रह गया था उसे आरूहि पुरा कर रही है ।
लेकिन वो लोग हमें बेवकूफ बना सकते हैं , द ग्रेट श्रुति को नहीं । अभी तक वो इन सब चीजों को हल्के में ले रही थी पर अब नहीं । अब वो, वो करेगी कि ये सभी होशियारपुर के रहने वाले होशियार लोग " वो - वो " करते रह जायेंगे ।

इस अपडेट में जो हमने देखा , वो क्या था ? आंखों का धोखा या कोई तिकड़मबाजी । अगर आंखों का धोखा था तो यह शर्तिया कोई जादू था । मैंने ग्रेट जादुगर गोगिया पाशा के बारे में पढ़ा है जिन्होंने न्यूयॉर्क एयरपोर्ट को ही गायब कर दिया था । महान जादुगर पी सी सरकार ( सिनियर ) के बारे में पढ़ा है । उनके सुपुत्र पी सी सरकार ( जुनियर ) का मैजिक देखा है । के लाल का जादू देखा है । बहुत सारे छोटे बड़े जादूगरों की हैरतअंगेज कारनामे देखा है । शरीर को कई टुकड़ों में काट कर उसे जोड़ते हुए देखा है । इंसान को जमीं से दस बीस फुट ऊपर लटका कर उसे हमारे बगल में ही बैठाते हुए देखा है । मतलब बहुत सारी अनहोनी चीजें करते हुए देखा है ।
आरूहि ने भी तो कुछ कुछ ऐसा ही किया । वो उस डिब्बे पर लिखे हुए कई अक्षरों के बीच तीन अक्षरें चुनती है फिर उन पर अपनी तीन उंगलियों को ऐसे रखती है कि वो ट्राइंगल के शेप में हो जाए, फिर उस ट्राइंगल से उन अक्षरों को बाहर निकाल कर डिब्बे के मुंह से होते हुए उसके गर्भ में पहुंचा देती है । और फिर चमत्कारिक रूप से डब्बे के गर्भ से एक चमचमाता हुआ अंडे की शकल वाला वस्तु बाहर निकल आता है ।

यह मैजिक नहीं है तो क्या है हर्षित भाई ! इससे तो यही लगता कि वह जादुई विद्या में भी निपुण है ।
और अगर यह मैजिक नहीं है तो फिर यह कोई ऐसी ट्रिक है जिसे हम समझ नहीं पा रहे हैं । कुछ फिजिक्स या कुछ केमिस्ट्री या कुछ हाथों की कारिस्तानी ।

इस कहानी में भुतिया हास्टल और मेंशन शुरू से ही कई घटनाओं का केंद्र बिंदु रहा है । एक बार फिर से आरूहि ने उन जगहों का जिक्र करके इस बात की पुष्टि कर दी । क्या कहानी थी उन जगहों की ? ऐसा क्या राज समेटे हुए है वो जगहें?

मैं तो कहता हूं कि लियोन भाई की शादी आरूहि से करवा दो आप । बहुत कृपा होगी । इस कन्या को सिर्फ और सिर्फ लियोन भाई ही ठीक कर सकते हैं या यह कहें कि समझ सकते हैं ।
वैसे लियोन भाई एक बार मेरी भी शादी करवा चुके हैं और वो भी एक नहीं बल्कि दो । एक तो नैना थी और दूसरी स्वाति । इसलिए हिसाब चुकता करने का समय आ गया है । :D

खैर , अपडेट हमेशा की तरह मस्त मस्त था ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट ।
 
15,594
32,095
259
अब जो जो हो रहा है और जैसी जैसी चमत्कार आरूहि दिखा रही है , उससे ललाटो में सिकन न आए....सिर के बाल न झड़ने लगे‌ , तो फिर और क्या होगा !
अपने बेशुमार कीमती बालों का हर्जाना तो आपसे वसूलना ही है हर्षित भाई , भले ही मुझे सुप्रीम कोर्ट तक क्यों न जाना पड़े । :D

एक तो डब्बा दिखाकर और फिर बे सिर पैर की बात करके कलयुगी मेघनाथ ने हमें बेवकूफ बनाया और जो आकी बाकी कसर हमें बेवकूफ़ बनने में रह गया था उसे आरूहि पुरा कर रही है ।
लेकिन वो लोग हमें बेवकूफ बना सकते हैं , द ग्रेट श्रुति को नहीं । अभी तक वो इन सब चीजों को हल्के में ले रही थी पर अब नहीं । अब वो, वो करेगी कि ये सभी होशियारपुर के रहने वाले होशियार लोग " वो - वो " करते रह जायेंगे ।

इस अपडेट में जो हमने देखा , वो क्या था ? आंखों का धोखा या कोई तिकड़मबाजी । अगर आंखों का धोखा था तो यह शर्तिया कोई जादू था । मैंने ग्रेट जादुगर गोगिया पाशा के बारे में पढ़ा है जिन्होंने न्यूयॉर्क एयरपोर्ट को ही गायब कर दिया था । महान जादुगर पी सी सरकार ( सिनियर ) के बारे में पढ़ा है । उनके सुपुत्र पी सी सरकार ( जुनियर ) का मैजिक देखा है । के लाल का जादू देखा है । बहुत सारे छोटे बड़े जादूगरों की हैरतअंगेज कारनामे देखा है । शरीर को कई टुकड़ों में काट कर उसे जोड़ते हुए देखा है । इंसान को जमीं से दस बीस फुट ऊपर लटका कर उसे हमारे बगल में ही बैठाते हुए देखा है । मतलब बहुत सारी अनहोनी चीजें करते हुए देखा है ।
आरूहि ने भी तो कुछ कुछ ऐसा ही किया । वो उस डिब्बे पर लिखे हुए कई अक्षरों के बीच तीन अक्षरें चुनती है फिर उन पर अपनी तीन उंगलियों को ऐसे रखती है कि वो ट्राइंगल के शेप में हो जाए, फिर उस ट्राइंगल से उन अक्षरों को बाहर निकाल कर डिब्बे के मुंह से होते हुए उसके गर्भ में पहुंचा देती है । और फिर चमत्कारिक रूप से डब्बे के गर्भ से एक चमचमाता हुआ अंडे की शकल वाला वस्तु बाहर निकल आता है ।

यह मैजिक नहीं है तो क्या है हर्षित भाई ! इससे तो यही लगता कि वह जादुई विद्या में भी निपुण है ।
और अगर यह मैजिक नहीं है तो फिर यह कोई ऐसी ट्रिक है जिसे हम समझ नहीं पा रहे हैं । कुछ फिजिक्स या कुछ केमिस्ट्री या कुछ हाथों की कारिस्तानी ।

इस कहानी में भुतिया हास्टल और मेंशन शुरू से ही कई घटनाओं का केंद्र बिंदु रहा है । एक बार फिर से आरूहि ने उन जगहों का जिक्र करके इस बात की पुष्टि कर दी । क्या कहानी थी उन जगहों की ? ऐसा क्या राज समेटे हुए है वो जगहें?

मैं तो कहता हूं कि लियोन भाई की शादी आरूहि से करवा दो आप । बहुत कृपा होगी । इस कन्या को सिर्फ और सिर्फ लियोन भाई ही ठीक कर सकते हैं या यह कहें कि समझ सकते हैं ।
वैसे लियोन भाई एक बार मेरी भी शादी करवा चुके हैं और वो भी एक नहीं बल्कि दो । एक तो नैना थी और दूसरी स्वाति । इसलिए हिसाब चुकता करने का समय आ गया है । :D

खैर , अपडेट हमेशा की तरह मस्त मस्त था ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट ।
koi baat nahi me taiyar hu shadi ke liye bas aap aaruhi ko manane ka socho 😁😁😁
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
  • Haha
Reactions: KEKIUS MAXIMUS
Top