• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,689
8,555
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,689
8,555
219
Update ~~ 116

" Hum goa chale gaye the, socha tha 3-4 din mein wapis aa jayenge kisi ko kuch pata nahi chalega isliye bina bataye gaye the. Exam se pehle ek trip karna chahte the isliye ghar par bhi nahi bataya warna vo janne nahi dete "

" jhooth bol rahi ho tum "

" nahi sir hum jhooth nahi bol rahe hai "

" aisa hai to fir tum logon ke phone kyun nahi mil rahe the, kya tum teeno ne kisi ko nahi bataya tha ki kahan jaa rhe ho ? "

" jhooth nahi bol rahe hain sir, ye dekhiye hamari train tickets aur hotel ki reservation bhi " shruti ne table par ticket rakhte hue kaha jise director dekhne laga.

" phone band kyun hua uske piche bahut bada reason tha sir, hum us raat ek beach party mein the, kuch log mile unhone hume drink offer ki, hume us samay nahi pata tha ki us drink mein koi goli mix ki hui hai. Humne us raat na jane kitni baar vo drinik pi aur us wajah se 2-3 din tak hume koi hosh nahi tha hum wahi pade hue the. Jab hosh aya tab hume samajh aya ki 2-3 din beet chuke hai aur phone switch off ho chuke the bas isliye hum college aur ghar se connect nahi ho paye aur utne mein ap logon ne complain waigrah kar di... " shruti ki awaz dhimi thi, kamre mein ek pal ke liye shanti hi. Samne director baitha tha uske ek taraf inspector kahda tha aur dusri taraf nandini bilkul shant khadi thi. Wahi dusri taraf urvashi theek samne wali seat par thi aur uske piche khaid thi shruti.

" kya ye sach hai? " director ki awaz aur nazre shruti ki jagah aaruhi par thi. " mai tumse puch raha hun kya yahi sach hai? " director ke dubara puchne par sabhi uski taraf dekh rahe the lekin aaruhi apni ek soch mein khoi hui thi uski ankhon ke samne abhi bhi meghnath ka sharir do hisson mein bantta hua dikhai de raha tha, uske kano mein sirf vo awazein gunj rahi thi. Director ne tisri baar jab pucha tab aaruhi apne hosh mein ayi.

Usne samne nazrein uthai to sabhi uski taraf dekh rahe the, vo thodi chintit aur ghabrai hui thi aur vo sab uske chehre par dekh paa rahe the. Shruti use ajeeb nazron se ghur rahi thi jaise samjha rahi ho ki kya bolna hai.

" ji sir.. yahi sach hai.. aur hum uske liye sorry bolte hai... "

" you kids.. how could you be so irresponsible.. and you aaruhi? " urvashi ne thodi tikhe lehze mein kaha.

" i can''t believe ki tum logon ne aise mahul mein aisa rasta chuna, you already knew ki hamare college ko badnam karne ke liye koi kaise kaise kaam kar raha hai. Us din game mein bhi us ladki ke sath jo hua hai vo abhi tak coma mein hai... "

" sorry sir.. hamara irada bas.. " shruti kuch bolna cha rahi thi.

" no sorry.. you all are suspended for a week aur agar tum logon ne iske alawa kuch aur kiya to exam se bahar karwa kar pure semester ke exam nahi dene dunga. Mrs Nandini you make sure ki in teeno ki attendance puri ho aur agar ek bhi din class nahi attend kare to direct report mujhe milni chahie "

" sure sir "

" and sorry inspector i guess humne apko pareshan kiya.. "

" we are sorry sir.. " director ke sath inspector ne bhi kaha.

" no problem.. lekin bachon ko thoda kas kar rakhiye, yahi umar hoti hai jab ye log kuch galat kaam kar baithte hai.. "

" I know.. and you all three aaj to tum dono ke parents nahi aa paye .. par mujhe vo next week college mein chahie aur ek aur baat iske alawa koi aur bhi tha tumhare sath ? " director ne prashn daga to aaruhi ka dil zor-zor se dhadkne laga, vo janti thi aaj nahi to kal Meghnath ke missing hone ki khabar fial hi jayegi aur ye baat usne shruti se kahi thi jab usne ye plan banaya tha. Par shruti ke mutabik meghnath ko kabhi kisi ne unke sath nahi dekha to unhe kabhi nahi pata chalega ki uska kya hua. Isliye uske gum hone ka shak unpar kabhi nahi ane wala tha.

" nahi sir.. bas hum teeno hi the.. " shruti ne bina waqt gawaye jawab de diya.

" if you don't mind mein sir, i want to take my daughter home, i think mujhe use kuch baat clear karni hai.. " urvashi ne ek taraf aaruhi ko dekha fir nazare hata li.

" Yeah sure.. waise bhi ye teeno ek week ke liye suspend hai.. "

" thank you.. and once again sorry.. " urvashi apni jagah se khade hote hue boli aur room se bahar chali gayi. Shruti aur vishal uske baad premission lekar bahar nikal gaye aur aaruhi ne ek taraf nandini ki taraf dekha aur vo bhi bahar nikal gayi.

Aaruhi ek taraf khadi thi, shruti sofe par baithi thi aur urvashi bilkul aaruhi ke samne thodi duri par khadi thi. Vo use apne sath ghar le ayi thi aur sath mein shruti ko bhi. Ghar mein khamoshi thi jabse aye the tabse teeno ne apas mein koi baatcheet nhi ki thi. Shruti kabhi urvashi ko dekhti to kabhi aaruhi ko, usne socha vo hi kuch bol le.

" aunty... vo.. " shruti itna hi boli ki urvashi ne use hath ke ishare se chup karwa diya.

" bache nahi ho tum log jinhe hath pakad kar kahin bithaya jaye aur galti karne par baitha kar samjhaya jaye. Zimmewar ho gaye ho tum sab .. hath kyun pakad kar baithana padh raha hai? Khud kya kar rahe ho kya usme bilkul sahi galat ka anuman nahi laga sakte ? " urvashi ka gussa aaruhi ki taraf tha jo uski taraf dekh hi nahi rahi thi.

" aunty ye sab mera plan tha meri wajah se.. " shruti ne socha baat ko jaldi khatam karni chahie lekin urvashi ne use fir rok dia.

" Plan kisi ka bhi ho shruti.. but you have to be mature enough to know ki tum log kya sahi kar rahe ho kya galat.. tum logon ne ek baar bhi ye socha hai ki aaj kal kaise halat chal rhe hai. You even know ki maine kya kya nahi soch liya do teen dino mei.. Have you even considered the fact ki agar kuch bhi unch nich ho jata to hume kabhi pata nahi chalta.. " urvashi ke lehze mein chinta aur gussa dono thi. Aaruhi ne itna sun kar ek gehri sans chhodi jaise usko is baat se parwah nahi ho.

" what? what.. " urvashi ko ye bardasht nahi hua ki aaruhi itna fika response de rahi hai.

" tumhe kya lag raha hai mai yahan lecture de rahi hun? Itni badi ho gayi ho tum aaruhi ab? "

" as if you care mom.. " aaruhi ne abki apni chupi tod di.

" aaruhi tu chup ho jaa. mai aunty se baat kar rahi hun na.. " shruti bich mein kudi par use side kar diya gaya.

" you care? seriously aaruhi.. tumhe lagta hai ki ye sab bahut asan hai.. tum khud ko abhi bhi defend karne ki kosish kar rahi ho? "

" no mom.. mai defend nahi kar rahi hun lekin ye sahi aur galat ka lecture dene ka koi fayda nahi hai. Kya use kuch badal jane wala hai? Kya jo gaya vo wapis ane wala hai? " aaruhi ne is baat ko aise kahi jaise dil mein abhi bhi meghnath ki maut uske samne thi.

" what are you saying? tum kya bol rahi ho tumhe samajh aa raha hai? " urvashi ki awaz thodi unchi ho gayi.

" Han aa raha hai... par mai apke sath aur koi baat nahi karna chahti.. there is no point.. " aaruhi apni jagah se jane lagi.

" aaruhi kahan jaa rahi hai.. tu ruk.. shanti se baat kar.. " shruti khade hote hi aaruhi ko roka.

" no let her go.. bache bade ho jate hai to sochte hai ki jo vo kar rahe hai wahi sahi hai. Hum log sirf lecture hi de sakte hai.. Inko ek maa ki chinta samajh hi nahi ati "

" chinta? " aaruhi ek dum se bol padi.

" kaisi chinta mom? apko kya lagta hai mujhe pata nahi ki aap ye sab kyun bolti hai? "

" what happen to you? " urvashi behad gusse bhari nazron se dekh rahi thi " i can't believe this ki do-teen mahine mein tum itna badal gayi ho. I was wrong ki maine tumhari suni aur tumhe yahin rehne dia "

" han aap to chahti hi yahi ho ki mai yahan na rahun.. apko meri azadi, mere rehne ka tarika pasand kyun hi ayega "

" shutup.. tum mujhse is tarah baat nahi kar sakti.. bilkul nahi kar sakti.. bas ab maine decide kar liya hai.. tum wapis college nahi jaogi.. i will think something else for you " urvashi gusse mein jada aur bolna nahi chahti thi isliye vo wahan se jane lagi.

" you can't decide what i have to do " aaurhi ki baat sun urvashi wahin ruk gayi. " Mai apni marzi se jaungi aur karungi.. aap mujhe nahi bataogi.. jo aurat aaj tak ye nahi bata payi ki mera baap kaun hai vo mujhe batayegi ki mujhe kya karna hai aur kya nahi? " aaruhi ne teekhe sabhdon mein behad hi gusse mein apni baat kahi jise sun urvashi wahin khadi reh gayi. Shruti ko ek pal ke liye samajh nahi aya ki usne abhi kya suna, vo kabhi aaruhi ki taraf dekhti to kabhi urvashi ki taraf.

" don't ever talk to me again mom.. u just ruined my life.. " aaruhi itna bol kar apne room mein gayi aur usne darwaja bhed dia. Hall mein do jane khade the par ghadi ki tic-tc ke alawa koi bhi awaz nahi thi. Din dhalne ko ho chuka tha, kuch shabad kisi ke dil mein chube the to kisi ke dil mein dhero sawal paida kar chuke the. Urvashi ke hath mein pani ka glass tha aur jo shruti ne use pine ke lie diya tha par vo tabse use bas pakad kar baithi hui thi. Shruti uske samne khadi thi, uske man mein chal rahe sawalon se vo juj rahi thi jiska jawab use chahie tha.

" aunty.. ye aaruhi ne jo kaha vo sirf gusse mein kaha na? " shruti ne sawal aise kiya jise aisa na lage ki vo kuch galat sawal karna chahti hai. Urvashi ne koi jawab nahi diya.

" i am sure vo sirf gusse mein boli hogi. aunty you relax.. mai samajh sakti hun ki aap ko kaisa lag raha hoga but aaruhi ka behaviour aisa ho jata hai kabhi kabhi jisme vo kuch aur hi bol deti jo use khud nahi pata hota ki vo kya bol rahi hai.. "

" par vo sach bol rahi hai.. " urvashi ek itna kehte hi shruti ko samajh hi naya aya ki kaise react kare.

" kya.. matlab.. "

" Mr. Khandelwal uske asli father nahi hai.. "

" to? fir.. i mean.. " shruti kuch aage nahi bol payi. Urvashi ne glass samne table par rakha aur apne balon ko piche karte hue ek gehri sans chhodi.

" mai tumhe jo bataungi kya tum use sach manogi? "

" mai.. kuch samjhi nahi aunty... "

" agar mai tumhe ye kahun ki jaisa aaruhi behave karti hai uske piche ka dar mujhe us college se nahi balki kuch aur hai to tum manogi? "

" aunty aap saaf boliye.. mujhe ajeeb sa lag raha hai.. "

" Us Baat ko kai saal beet gaye, par aaj tak jawab nahi mila jo aaj aaruhi kar rahi hai ek pal lagta hai shayad usi wajah se hai.. Yun hi nahi kehti mai ki mujhe aaruhi ko college se dur rakhna hai, dar lagta hai ki jo maire sath hua tha kahin uske sath na ho jaye.. isliye ghabrati hun par apne dar ko uspar thopna nahi chahti isliye rok nahi paa rahi thi abhi tak "

" kya hua tha apke sath? " shruti ke dil ki dhadkane zoron se chal rahi thi.

" 21 saal purani baat hai, mai rajasthan ke ek sheher mein medical ki padai kar rahi thi... "
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,689
8,555
219
SANJU ( V. R. ) Death Kiñg Aakash. DARK WOLFKING GuptAbhishek Kaise ho bhai log :D Laut aya hun mein kuch thode mote update dene ke liye. Barhal kahani ko samapat krna hai aur mai puri kosish mein hun ki abki end kar dun. Waise kaisi chal rahi hai zindagi :D :hug:

Ek update de diya hai.. Kuch aur dene ka prayas zari hai...
 
Sushil@10

Member
456
389
63

Nice update and lovely story
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,689
8,555
219
  • Like
Reactions: Aakash.

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,689
8,555
219
Update ~~ 117

" Kya kar rahi hai itni der se bathroom mein? Jaldi kar.. party shuru ho jayegi.. "

" han.. hann.. aa rahi hun .. " maine rekha ko jawab diya aur wapis mujhe ubkai si ane lagi aur maine ek dafa fir pot ke andar ulti kardi. Na jane kyun kuch dino se man kacha sa ho raha tha. Maine ek gehri sans khinchi aur ek baar aur ubkai karne ke baad jee thoda halka ho gaya. Flush karke maine khud ko aine mein dekha, kajal ankh se nikle pani ki vajah se felh chuka tha. Maine use saaf kiya, balon ko theek karte hue bahar aa nikli. Rekha baal bana kar uspar ribbon laga rahi thi.

" kya hua tujhe? tabiyat to theek hai na teri? "

" han.. bas aise hi.. shayad bahar ka khane ki wajah se pet ajeeb sa ho gaya hai " maine apni sandal pehnte hue kaha.

" han ye to hai.. acha bata mai kaisi lag rahi hun? " usne meri taraf mudh kar kaha to maine use uppar se lekar niche tak dekha.

" aaj to koi ladka mar hi jayega tujhpar... "

" huh.. tere hote hue kahan koi ladka bhav deta hai. Ek kaam karungi aaj tere sath hi nahi rahungi. Atleast ladke mujhe dekehnge to sahi.. "

" hatt.. lukhi kahin ki.. " maine uske balon ko piche se theek kiya aur dono room se nikal gaye. Hostel mein bas kuch hi ladkiyan bachi thi baki sab cultural fest ke liye nikal chuki thi. Hamare college mein pichle 1.5-2 mahine se fest ka kuch na kuch cultural program ho raha tha. Aaj ek mix party thi jisme boys hostel aur girls hostel sath hone wale the. Hostel se college kuch duri par tha. Hum dono ke alawa party mein bahut se ladkiyan ladke the. Mai bhi sabhi ki tarah party ko enjoy kar rahi thi. Rekha ne kuch juniors ko bhi apne sath jod rakha tha. Vo baton mein achi thi isliye vo kai logon ko apne sath jod liya karti thi. Mai coco-cola pite hue sabhi ko yun hi enjoy karte hue dekh rahi thi aur ye bhi dekh paa rahi thi ki kuch ladke mujhe hi ghur rahe hai. Na jane kyun par unka meri taraf dekhna mujhe acha lagta tha. Sundarta ko gurur kisko pasand nahi tha.

" yahan kya khadi hai, chal mere sath.. "

" kahan le jaa rahi hai "

" kab tak sirf mere se hi baat karegi? college mein aur bhi log hai.. kam se kam aaj to sabhi ke sath reh.. " rekha mujhe khinch kar le gayi jahan par hamari class ke kuch bachon ke sath juinors bhi shamil the.
Mai jada baat nahi karti thi, class mein bhi mera koi group nahi tha. Mai sirf rekha aur rekha hi mere liye thi. Hostel mein ane ke baad uske sath room share karne ki wajah se shayad vo meri itni achi dost ban payi warna to maire nature ko dekh shayad mujhse koi baat bhi nahi karta.

" hum sab ek hi class mein hai to baat kar sakte hai.. don't be shy please.. " rekha ne kaha aur waiter ko awaz di.

" mujhe lagta tha tum sirf class mein hi chup rehti hogi lekin tum to party mein bhi chup rehti ho " ajay meri taraf dekhte hue bola. Kuch der pehle wahi apne doston ke sath muhe ghur raha tha. Ajay class mein har ladki se baat karne ke liye utawla rehta tha par usne hamesha jitna kaam ho utni hi baat ki.

Mai kuch boli nahi bas halki si muskura kar reh gayi, vo meri muskan dekh hans diya aur meri taraf hi ghurta raha.

" coco-cola mein kuch aur chahie? " ajay ne meri taraf kuch badaya, jo vo sabhi ke glass mein daal chuka tha.

" nahi nahi.. i am okay... " maine turant mana kiya aur rekha ki taraf dekha jo maze se coco-cola pii rahi thi jisme ajay ne kuch milaya tha. Maine use ghura to usne mujhe ankh maar di.

Party ka music aur loud ho chala tha, bachon ke sath teachers bhi nach gane aur khane mein vyast tha. Hall jada bada nahi tha isliye sabhi ki taraf nighaein le jana jada mushkil nahi tha. Kuch log apna ghut bana kar khade the kuch couple ki tarah aur kuch meri hi tarah akele. Akele isliye kyun ki abhi abhi sab nachne ke liye aage chale gaye the. Mujhe bahut baar le jane ki kosish ki gayi to main bhi ek dafa thoda thumka laga kar wapis aa jati. Mai aisi thi nahi lekin himmat nahi hoti thi sabke samne nachne ki, shayad sharam lihyaz tha. Kuch der sabhi ko nachte hue dekh, maine snacks khaye aur fir achanak se mujhe mirch aa lagi. Pani khojne hue jab counter par pahunchi to wahan ajay mil gaya.

" mirch lag gayi? "

" ssiii ha.a.. thodi.. "

" ye lo.. pani se nahi bhujegi.. " usne meri taraf orange drink offer ki. Mai ek pal ke liye jhijhki par fir maine le li. Aur ek hi ghunt mein use pii gayi. Vo meri taraf dekh hans pada aur usko apni taraf aisa dekh meri bhi hansi chhut gayi.

" mirchi gayi? "

" hmm... "

" to chalo fir dance karte hai? "

" mai.. nahi.. mujhse dance nahi hota.. "

" jhuth.. maine abhi dekha .. jo kuch der pehle tum thumka maar kar gayi thi... use dekh kar lagta nahi ki tumhe dance nahi ata " uska yun kehna aur mai sharma gayi.

" common.. pata nahi fir kab mauka mile? " usne apna hath aage kiya, mai ek pal jhijhki par uski ek baat ki kab mauka milega usne pata nahi kya jadu kiya ki maine uske hath mein apna hath thama dia. Vo mujhe dance wali jagah par le gaya aur hum dono behad saralta se dance karne lage. Usne mujhe kahin se bhi chuha nahi jo mere dil ko bha gaya. Vo mujhse har thodi der mein kuch mazak kar deta aur mai hans deti. Meri na batein karne wali sharam khul si gayi thi to mai bhi uske sath ab baat karne lagi thi. Hum dono itne magn the ki maine ek dafa ye nahi socha ki kaun mujhe dekh raha hai ya kaun mere bare mein kuch soch raha hai. Hum dono mein jo fasla tha vo thoda kam sa ho gaya tha. Na jane kya surur tha, ajay ka fir us drink ka jisne mujhe itna khol dia tha, par vo sab chhod mai uske sath bas nachne mein busy thi. Har samay mai sirf khud mein rehti thi, sochti thi ki padai karke kuch ban jau aur sab kuch bhi nahi hai. Hum dono kafi der se nach rahe the, per dard karne lage the lekin ruk nahi rahe the. Aisa lag raha tha jaise maine khud ko yun hi kahin bandha hua hai, kyun ki mai to aisi nahi hun na? Mai kam bolne wali ek sadharan ladki. Samay jaise kafi ho chala tha, kuch log thak kar jaa chuke the. Kuch khane mein vyast the par mai aur ajay nahi.. hum dono sirf nachne mein kahin kho gaye the. Mai aaj pehli baar itna kushi thi aur chahti thi ki ye party khatam na ho aur jaise ajay mujhe gol-gol ghum rha tha waise hi sab kuch dhundla hota jaa raha tha. Bahut acha lag raha tha, ankhon ke aage sab ghum raha tha par na jane kyun fir achanak se andhera cha gaya aur ek awaz jo mere kano mein mere naam ki sunai di uske baad mujhe kuch nahi pata ki kya hua.

Ankh khuli to sabse pehle nazar uppar ke chal rahe pankhe par gayi jisko dekh kar aisa laga jaise is pankhe ko aksar dekha kari hun. Mind abhi tak chizon ko samajh nahi saka tha, fir maine apne as pas dekha to bada sa hall jisme strecher rakhe the aur unpar kai log the. FIr khud ko dekha to mai bhi ek strecher par laiti hui thi aur hath mein drip lagi hui thi.

" mai yahan kaise... " mujhe abhi tak yaad nahi aa raha tha aur samajh bhi nahi jab tak rekha ki awaz nahi sun li.

" hosh aa gaya tjhe.. shukar hai bhagwan ka.. " vo fauran mere pas akar baith gayi.

" rekha, kya hua hai mujhe? mai yahan kaise? "

" chakar aa gaye the tujhe.. pure 12 ghnte baad hosh aya hai tujhe.. tune drink ki thi? "

" drink maine? " mai ashcharya se boli. " nahi.. tujhe to pata hai na mai drink nahi karti to.. " achanak mujhe yaad aya ki ajay ne mujhe ek drink offer ki thi jo maine pii li thi. Mujhe yaad atte hi uspar bahut gussa aaya.

" vo ajay.. usne.. "

" koi baat nahi... tu uske wajah se behosh nahi hui thi " rekha ki awaz thodi dhimi ho chali thi.

" to? fir kyun.. kya hua hai mujhe.. mai to ek dum theek mehsus kar rahi hun "

" han tu theek hai.. tujhe kuch nahi hua par.. " rekha ka chehra chota sa ho chala tha.

" par kya? aur tu mujhse aise ajeeb tarah se baat kyun kar rahi hai? bata na kya baat hai "

" vo .. yaar... " vo kisi chiz ko batane se jhijhak rahi thi

" sidhe sidhe bol.. tu mujhe dara mat.. kya hua hai.. "

" tu pregnant hai.. " rekha ne bol kar apni nazre fer li. Mai ek dafa use hi dekhte rahi.

" kya? kya boli tu.. " usne meri taraf nahi dekha. Aur fir mai hans padi " mere se mazak karti hai lukhi .. bekar ki baat nahi kar aur bata kya hua tha mujhe ? "

" Mai mazak nahi kar rahi hun.. U r pregnant " rekha ne abki meir ankhon mein dekh kar kaha. Mai bhi uski ankhon mein dekhti rahi.

" Acha plan banaya hai tune mujhe pareshan karne ka.. "

" mai mazak kar rahi hun? mai.. to khud apni nerves dekh.. dekh.. " usne mera hath pakad kar mere dusre hath ke nerves par rakhi thi. Ek pal to mai use mazak mein lene lagi par jab maine apni nerves ko mehsus kiya tab mujhe jhatka laga aur tab samjh aya ki rekha mazak nahi kar rahi hai.

" how's that even possible " maine khud se kaha, mujhe vishwas nahi ho raha tha.

" possible? you know ki ye kaise possible hai.. kab, kaun kiske sath? tune mujhe bhi kuch nahi bataya.. " rekha ne ek-ke baad ek sawal daag diye par mai abhi us stithi mein hi nahi thi ki kuch keh sakun.

" bolti kyun nahi ab.. kiske sath? "

" mujhe nahi pata.. " mere muh se yahi nikla.

" nahi pata ? kya bol rahi hai tu ? " rekha thodi chid-chida gayi thi.

" mujhe sach mein nahi pata rekha.. i don't know.. mujhe ye samajh nahi aa raha ki aisa kaise ho sakta hai? how could i be pregnant? " vo mujhe ghurne lagi.

" ya to tu pagal ho gayi hai ya mujhe samajh rahi hai.. pregnant kaise hote hai? ab vistar mein bataun? "

" tu meri baat nahi samajh rahi hai.. " meri ek pal ke liye awaz unchi hui to strecher ke kuch pateints mujhe hi dekhne lage " i don't know " fir maine awaz dhime kar li " i don''t know ki mai pregnant kaise hui hun.. maine kuch nahi kiya hai.. i have not done anything.. trust mei i haven't done " meri ankhein bhar ayi thi. Vo meri ankhon mein ankhein daal kar dekh rahi thi.

" relax.. relax.. abhi ye sab baat hum baad main karenge.. " rekha ne mujhe galle laga liya lekin baad mein ya abhi ye baat to kahin se kahin tak mujhe samajh nahi aa rahi thi.

" kis kis ko pata hai ? " maine rekha se pucha aur usne mujhe apne se alag kar dia.

" madam tulsi ko aur unhhone HOD aur director ko bhi bata diya hai.. and vo log tere parents ko call karnenge jaise hi unhe pata chalega ki tujhe hosh aa gaya hai.. " rekha ke kehte hi man mein bechaini se daud gayi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki mai pregnant kaise ho sakti hun.

" wait.. kya matlab? " shruti ne rokte hue kaha. " aap pregnant hui aur apko nahi pata ki aap pregnant kaise hui? ye kaise ho sakta hai " shruti ke sawal ke baad kuch der kamre mein shanti rahi.

" maine tumse kaha tha ki shayad tum meri baaton ko nahi manogi jaise us samay kai logon ne nahi mani. Logon ne to chhodo mere parents tak nahi nahi mani. Unhe bhi lagta tha ki main jhooth bol rahi hun chupa rahi hun. I have had slept with someone. Mai sabko samjha samjha kar thak chuki thi ki mai kisi ke sath nahi soi par vo nahi mane. Aur meri baat koi manta bhi to kaise? Kya koi bhi aurat bina sharirik sambhand banaye pregnant ho sakti hai? Sabne mere bahane ki wajah se mujhe pagal, lier, whore tak kehna shuru ho kar diya. They started even bullying me with their own ideas... "

" apne parents ko nahi bataya ? "

" parents ko? " shruti ko batate hue urvashi fir gehri soch mein kho gayi.
 
Last edited:

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,513
150,203
304
10,036
41,948
258
अमेजन की विस्तृत घने जंगल ने मेघनाथ को ग्रस लिया और उसके बाद उसके साथी - आरूही , विशाल और श्रुति - जान बचा कर घर को आए । लेकिन उस जंगल मे मेघनाथ हासिल क्या करना चाहता था यह अब भी कौतुहल का सब्जेक्ट बना ही रह गया ।

इधर आरूही की मां उर्वशी अपने कालेज लाइफ के उस घटना पर से पर्दा उठा रही है जिसकी वजह से उन्हे आरूही का घर से दूर एक होस्टल मे रहकर पढ़ाई करने से एलर्जी थी ।
उर्वशी अपने मेडिकल कॉलेज मे पढ़ाई के दौरान गर्भवती हो गई थी । लेकिन उनका मानना है कि वह अपने होशोहवास मे किसी भी मर्द के साथ हमबिस्तर नही हुई थी ।
इसका एक अर्थ यह हुआ कि वह आई वी एफ तकनीक के द्वारा गर्भवती हुई होगी । और दूसरा मतलब निकलता है कि किसी मर्द ने उन्हे बेहोश कर के उनका शारीरिक शोषण किया होगा ।

खैर जो भी हुआ हो यह तो स्पष्ट है कि वह व्यक्ति एक मेडिकल स्टूडेंट ही रहा होगा ।
नंदिनी मैडम का सम्बन्ध जिस डाॅक्टर से था ( नाम मुझे अभी याद नही है ) , उसका रोल इस घटना मे हो सकता है । यह सच है या कुछ और ही कहानी है यह हर्षित भाई ही जानते होंगे ।

खुबसूरत अपडेट हर्षित भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड जगमग जगमग ।
 
Kyun ki kahani ko itne saal ho gaye to yaad rakh pana mushkil hai, Kahani filal 2012 ki hai aur urvashi ne jo kahani sunanan shuru ki vo 21 saal purani.. yani lagbhag 1991-1992 us samay IVF nahi tha to apka ek doubt to yahi khatam kiye dete hai.. :D Baki to aage ab pata hi chal jayega... Climax likhne mein thoda samay lag rha hai vajah hai complexity nahi samajh aya to aap log lapdiya doge mujhe :D Isliye ... kosish hai ek hafte mei niptara kiye dun.. baki jo samay karwa de mujhe..

Thank you bhai.. aap abhi tak jude rahe kahani ke sath.. Keep reading :hug:
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,689
8,555
219
Update ~~ 118

Jab mere parents ko pata chala tab unhone mujhse sare rishte tod diye. They did not talk with me. Mujhe college se nikalne ki bhi shikaytein ki gayi. Even mujhe abortion tak ke liye zor diya gaya kabhi teachers se to kabhi parents se jo sirf isi chiz ke liye phone karte aur iske alawa ek shabd nahi baat karte the. Mai janti thi ki ye faisla mujhe hi lena hai, mai thak chuki thi ye soch soch kar ki mere sath aisa kaise hua? Mujhe apne uppar pura bharosa tha ki maine kabhi aisa kuch nahi kiya jisna anjam ye ho par agar koi jeevan mere andar hai to mai ab use maar nahi sakti bhale hi duniya jo bhi kahe. Maine abortion na karane ka faisla kia aur uske baad hostel mein mera mazak banana aur tarah-tarah ki batein karna aam baat ho gayi thi. Warden ghanton mujhe apne room mein bula kar gandi-gandi batein karti thi sirf isliye ki mai sach bol dun, lekin mere pas sach bas itna hi tha ki mai nahi janti ki ye bacha mere pas kaise aya. Mai janti ki mera ek decision mere liye jeena durbhar kar dega. Kai din tak to mai apne kamre se bahar hi nahi nikli is dar mai ki log fir mere liye batein karenge, ajeeb nazron se dekhnge mano main koi bahut bada gunah kar diya hai. Us samay laga mano koi insan kisi insan ki takleef ko nahi samjhta, sab apni soch ko sahi mante hai. Mai himmat haar jati shayad par rekha jo meri ek matr saheli usne mera hath nahi chhoda. Hospital se jabse apne room mein ayi thi kabhi usne dubara ye nahi pucha ki mai kiske soi .. usne meri himmat badai, mera hath thame rakha, mera vo dhayan rakha jo mere parents ko rakhna tha. Usne mera wahan sath diya jahan meri mom ko mera dena chahie tha. Usne mujhe himmat di jiski wajah se mai dubara apne kamre se nikal payi, logon ki ankhon mein dekh kar chal payi. Usne mere aur mere pet mein pal rahe bache ka aisa dhyan rakhna shuru kiya jaise vo meri maa ho. Vo meri liye ladi, chahe teachers ho ya director ... chahe vo bache jo mere liye ulti sidhi batein karte the ya hostel ki ladkiya jo mujhe bully karti thi vo sabse ladi aur mujhe himmat milti gayi. Ab mujhe kisi ka koi dar nahi tha, mujhe bas apne bache ki chinta thi.

Takreeban che mahine beet chuke the, ab sabhi mere sath ghul mil gaye the. Hostel ki ladkiyan mere kamre mein akar mera khayal puchti, batein karti, sab badal raha tha. Mujhe laga jaise jaise us nayi zindagi ka ana kareeb hai waise waise log mujhe pasand karne lage hai sivai mere parents ke, vo abhi tak naraz the. Unhe lagta tha ki mujhe abhi bhi sach bolna chahie, vo meri us insan se shadi kara dena chahte the taki koi baat na kare lekin mai bhi unhe bata bata kar thak gayi thi ki mujhe nahi malum. Vo kehte the ki agar mera rape hua hai to kuch to yaad hoga? Par kaise yaad hoga..? Mere sath rape jaisi ghatna mujhe kuch yaad nahi. Kuch der yun hi dimag mein ye sab vichar ane ke baad maine mehsus kiya mere pet mein koi halchal hui. Mera bacha mujhe andar se laat maar raha hai. Vo feeling ne sab kuch badal diya, bhale hi ab jo bhi kuch hua, aage koi mujhe apnaye na apnaye, mere liye mera bacha hi sab kuch hoga.

College ki garmiyun ki chuttiyan khatam hone wali thi. Sab apne apne ghar chale gaye the, lekin mai nahi jaa sakti thi kyun ki mom ne ane se mana hi kar diya tha. Shayad unhe abhi samay lagna tha mujhe accept karne mein. Mai chahti thi ki rekha bhi chali jaye par vo nahi gaye aur mere pas hi rahi dekhbal ke liye. Maine use khub samjhaya lekin vo nahi mani ki mera satva mahina hai aur mujhe chhod kar vo nahi jana chahti. Par chuttiyun ke akhri hafte mein uske ghar mein ek durghatna ho gayi, uske papa ka accident ho gaya tha to maine zid karke use kisi tarah bhej diya waise bhi 2 din baad se hostel ki ladkiyun ka ana shuru ho jane wala tha jise mujhe dikkat nahi hone wali thi. Akhir kafi samjhane ke baad vo chali gayi, usi dauran hostel ki ek ladki Manju ki behen ki shadi thi. Waise to humne jane tha lekin rekha ke ghar jane ki wajah se idea drop karna pada. Par jab usne bahut insist kiya to maine socha ki chali jati hun aur jaldi wapis aa jaungi. Ye baat maine rekha ko nahi batai warna vo nahi jane deti aur akele hostel mein samay katna bhi mushkil ho raha tha. Isliye tayar hokar mai auto lekar nikal gayi thi, socha tha jaldi wapis aa jaungi. Manju mujhe dekh kar kush thi, takreeban ek mahine baad mili thi vo mujhse, usne apni family se mujhe milwaya. Mai janti thi ki wahan par log meri batein kar rahe hai lekin ab mujhe un baton se farak nahi padta tha. Fir usne mujhe apni behen se milwaya jo ki shadi ke jode mein behad khubsurat lag rahi thi. Usne mujhe apne sath hi baithaye rakha aur jab tak barat nahi aa gayi tab tak vo mujhse baatein karti rahi. Barat ke baad shadi ki rasme shuru hui to maine bhi socha ki thoda kha kar wapis ke liye nikal jaun. Maine manju se wapis jane ko kaha to usne mujhe bahut bola ki vo apne bhai ko bol degi vo mujhe chhod ayega lekin kisi ke ghar ki shadi ho aur wahan kisi ko pareshan karna sahi nahi to maine use dilasa diya ki mai chali jaungi.

Raat ke takreeban 10 baj rahe the, mai shadi ki jagah se thodi dur highway ke pas bus ka intezar kar rahi thi aur kuch hi samay mein mujhe bus mil bhi gayi. Bus mein jada sawari nahi thi lekin ye bus hostel ke najdeek jani thi isliye mere liye ek dum theek thi. Mai khidki ke pas baith gayi, thandi hawa chal rahi thi par fir bhi mujhe garmi lag rahi thi. Kuch hi duri par gaye the ki badalon ke kadhkhadat shuru hone lagi. Baarish shayad kisi bhi pal gir sakti thi lekin hume jada dur nahi jana tha isliye mai nischint hokar apne aane walle pal mein khoi hui thi ki dhire-dhire hawayen andhiyun mein badal gayi. Majburan mujhe khidki band karni padi. Bus abhi bhi usi raftar se chal rahi thi. Baithe baithe mujhe jhapkiyan lagne lagi aur abhi shayad ek jhapki ayi hi thi ki achanak se bus ne jhatke se break liya jise mai puri tarah se aage ki taraf giri. Shukar hai bhagwan ka ki maine aage wali seat ko pakad kar rakha tha warna na jane kya ho jata.

" bhaiya aram se.. aise kaun break lagata hai.. " mai hanfte hue turant boli. Mere sath kai aur log bhi bole.

" Madamji agar break na lagta to bus abhi samne takra jati.. vo dekhiye itna bada ped bich sadak mein achanak se gir pada hai.. aap log baithye, mai utar kar dekhta hun " conductor bol kar bus se niche utar gaya. Bus mein baithi sawari jhank kar samne dekhni lagi to maine bhi apna sar uthaya aur samne dekhne lagi. Bus ki headlight ki ek matr roshni se samne dikhai de raha tha ki ek ped sadak par aa gira hai.

Conductor aur bus driver bahar nikal kar ek dusre se baat-cheet kar rahe the, mausam bigadta jaa raha tha. Hawayein tez thi aur baarish kisi bhi pal gir sakti thi. Ab mujhe chinta hone lagi thi. Ek ajeeb si ghabrahat aur bechaini sharir mein daud rahi thi. Sans bhi thodi tez ho rahi thi. Maine apni nerves check ki to vo bilkul theek thi. Bas yun hi bechain hun, ye soch kar main dhime dhime sans lene lagi.

" ped girne se rasta band ho gaya hai, par aap log ghabraiye mat, purane raste se chalenge.. aap log aram se baithiye thoda samay lagega " conductor ne jab andar akar kaha to mujhe kuch had tak shanti mili par fir bhi ghabrahat man mein badal rahi thi.

Bus ko ghumaya gaya aur fir us purane raste ki taraf mod liya gaya. Samay 11 bajne wale the, takreeban ek ghanta ho chuka tha, hawa tham chuki thi. Maine turant khidki kholi jisne mujhe rahat di par tabhi pet ke andar aisa laga mano koi shararat hui ho. Maine hath laga kar dekha to kuch nahi mehsus hua. Mai kuch jada hi soch rahi thi shayad isliye sab mehsus ho raha tha. Purana rasta thoda kharab tha isliye bus bhi thodi jhatke le rahi thi. Maine apne hath majbuti se samne wali seat par rakhe hue the taki mai jada na hilu.

Bas kuch der aur.. kuch der aur.. yahi bole jaa rahi thi. Purana rasta thoda lamba tha, samay ho chala tha 12 baj kar 4 minute.. bas 10 minute aur lagenge.. ghadi mein samay dekh bas itna soch rahi thi ki bus achanak se ruk gai. Ab kya hua? maine sar utha kar dekha to driver kuch kosish kar raha tha. Kya ho gaya? Sab logon ne puchna shuru kiya aur kuch der driver ki kosish ke baad pata chala ki bus kharab ho gayi hai. Ab mere dil mein dar baithne laga, itni der raat bus kharab, hostel abhi bhi kuch dur tha..

" bus kharab ho gayi hai aur itni raat ko is raste koi milega nah theek karne wala, jis-jis ka rasta pass hai vo jaa sakta hai.. Warna subah tak intezar karna padega yahin.. " conductor ne to asani se keh dia.

Subah tak intezar? mere to man mein achanak se ghabrat badti gayi, maine bus mein nazar daudai ginti ke 10-12 log the, jisme se ek-aad mahina thi. Vo log apas mein baith cheet karne lage aur fir kuch log sabse pehle niche utarne ki taraf bade aur fir dekhte-dekhte sab.. Mai akele bus mein reh gayi thi, mujhe samajh hi nahi aa raha tha ki kya karun? Apni hi soch mein khoi hui thi ki achanak se conductor ne meri taraf roshni dali.

" are aap nahi utri? "

" mai.. bhaiya itni raat ko aise halat mein kaise jaun? " Conductor meri baat sun mere thoda najdeek aya. Uske hath mein torch thi, mera dil zoron se dhadak raha tha, usne mere chehre par roshni dalte hue mere pet tak roshni dali.

" to ap un logon ke sath utar jati.. raste mein asani rehti.. kahan jana tha apko? "

" medical college.. "

" medical college.. vo to jada dur nahi hai yahan se.. 15-20 minute lagenge.. "

" par mai akeli.. is raste se.. " mera man itna dara tha ki mai uthna nahi chahti thi.

" apko to pehle hi utar jana chahie tha .. vo log apko aage tak chhod dete waise dariye mat.. yahan se rasta jada dur nahi hai.. aage jakar vo pakdandi se nikal jayegi to sidha usi road par jayegi .. "

" itne andhere mein.. " maine bahar dekha to roshni ka katra nahi tha.

" mai apko thoda aage tak chhod deta hu wahan se apko jane mein asani hogi.. " conductor ki ye baat sun kuch sukun mila. " warna subah tak yahan rehna akele apko jamega nahi.. "

Maine socha to tha ki yahin baithi rahungi lekin mujhe aram ki jaruat thi aur yahan is mausam mein puri raat guzarana theek nahi samjha. Jada dur nahi tha hostel aur conductor adhe raste tak chhod dega ye sun kar thodi himmat aa gai thi. Maine uski baat mani aur bus se utar gayi. Conductor mere sath tha aur mai dhime-dhime chal rahi thi. Sadak ke dono taraf chote mote makan ya to fir ped-paude. Andhera shayad bizli na hone ki wajah se pasra hua tha. Takreeban 10 minute chalne ke baad vo ruk gaya.

" dekhiye aap yahan is pakdandi se nikal jaye.. " usne do gharon ke bich ki khali jagah ki aur ishara kiya jo bilkul andhere se bhara hua tha. Wahan dekh kar to mera dil hi seham gaya.

" Kahin mudna nahi bas sidhe chalte hue jana aur road aa jayegi "

" yahan to bahut andhera hai " maine ghabrate hue bola.

" darne ki jarurat nahi hai.. rasta ek dum theek hai. Mai apko chhod ata lekin vo kaalu ko meri jarurat hogi bus theek karne mei.. aap ye le lijeye " usne mujhe apni torch de di.

" iske paise.. "

" koi jarurat nahi .. aap aram se jaiye.. " vo bhala admi usne apni torch mujhe di aur wahan se chala gaya. Usko jata dekh mujhe aisa lag raha tha mano mera dar wapis mere sharir mein ghus raha ho. Mai wahan khadi idhar udhar dekh rahi thi, ajeeb sa sanata tha jo us andhere ke sath mujhe khaye jaa raha tha. Main us pakdandi ki taraf dekha jahan ke andhere ko dekh ek pal aisa laga mano koi ankhein meri taraf dekh rahi ho. Maine turant torch ki roshni samne dali to wahan kuch nahi tha, sirf ek kacha rasta tha aur uske dono taraf kuch nahi. Maire per uth nahi rahe the, dar shayad mere dimag mein asar kar raha tha ki tabhi bizli ki kadhakahat se mere hath kanp uthe aur torch hath se gir kar fisalte hue usi pakdandi ki taraf jane lagi. Dar ke mare jo cheekh nikli vo bizli kad-kadhane ki awaz mein hi kahin dab gayi. Sansein zor zor se chalne lagi aur ek ajeeb sa dard pet mein bhi uthne laga. Mai janti thi ki ab khud ke dar se jada mujhe apne bache ki chinta karni hai isliye maine turant apne dar ko hataya aur aage badh kar torch ko zameen se uthate hue mai us pakdandi mein ghus gayi.

Maine na dayein dekha na bayein.. bas roshni ko samne dale dhime dhime aage badh rahi thi. Halki halki thandi hawa sharir ki garmahat ko kam kar rahi thi. Tabhi torch par ek bund akar giri, baarish jo bahut der se ruki hui thi vo girne lagi. Abhi dhime-dhime ki baarish kuch hi minuton mein ek dum se tez raftar mein badal gayi.

Baarish dhuan dhaar hone lagi jise dekh maine thoda jaldi chalne lagi. Badan puri tarah se bhig chuka tha aur us raste par pani bharne laga tha. Baarish ki awaz aur andhere akelepan ka ehsas mere jee ko ghabra raha tha aur tabhi mujhe aisa laga ki mano pet mein ek dard utha ho. Maine us samay dhayan nahi diya lekin ek baar fir utha.

" aahh.... aah.. " maine pet par hath rakha, dard wahin uth raha tha aur dhire-dhire badhta jaa raha tha. Mai jaan rahi thi ki kuch gadbad hai par yahan ruk kar koi fayda nahi tha isliye per pani mein padta aur aage badhta chala raha tha. Bas kuch der aur.. dimag mein yahi sochte hue aage badh rahi thi par tabhi khishad mein per fanste hi mera santulan bigad gaya aur apne aap ko bachane ki wajah se torch wahin gir gayi. Ek samay ke liye ghup andhera cha gaya. Maine pehle khud ko sambhala aur fir ek dum se jhuk gayi ek pal ke liye bhul hi gayi thi ki mere pet mein bacha hai, shayad dar kai baar soch par havi ho jata hai. Mai dard mein karhai par bina torch uthaye nahi uthi.

" aaaahhh ... aahhhh... " pet mein dard hone laga tha. Baarish ki awaz kano mein gunjne lagi thi, charon taraf andhera aur vo baarish. Maine khud ko us pal mein sambhala aur torch jo khichad se san chuki thi use chalu kiya lekin vo on hi nahi hui. Musibat aur badh gayi thi. Maine use kai baar khol band karke chalu karne ki kosish ki lekin vo on nahi hui. Samay jada lag raha tha jo vyarth wahan tha, mujhe jaldi se jaldi hostel jakar madad leni thi kyun ki dard badhta hi jaa raha tha isliye mai raste ka andaza lagate hue dhire-dhire aage badhti gayi. Tez mujhse ab chala nahi jaa raha tha, kuch duri par chalne ke baad mai sadak par aa gayi thi. Ab laga tha jaise jaan mein jaan ayi ho lekin ye hostel ya college ka rasta nahi lag raha tha. Andhere ki wajah se ya fir sach mein? Kuch soch kar mai aage badhi, dono taraf kuch nahi sivai ped paudhon ke.

"aaahh maa.a.. " dard bahut jada badh gaya tha aisa lag raha tha mano bacha abhi bahar ana chahta ho. Par ye mumkin nahi tha abhi sath mahine hi hue the lekin jaise taise mai aage badh rahi thi dard badhta jaa raha tha. Aur ab bardasht nahi ho raha tha, sadak bilkul sunsan thi aur baarish zor-dar thi. Dard ki wajah se mai aur dhime hoti chali jaa rahi thi.

" aaahhhh nahi.. ab nahi chala jaa raha.. ab nahi chala jaa raha.. " mujhe laga mai wahin sadak par behosh ho jaungi kyun kis ab kuch ghumta hua dikhai de raha tha ki tabhi nazar thodi dur sadak kinare padi

Mai us taraf sadak ke kinare chal padi aur wahan pahunch kar ek khandar sa dikha, thand lag rahi thi, kamjori mehsus ho rahi thi, andar jane ka dil nahi tha lekin aisa laga mano sharir se tez dhara mai pani nikal gaya ho.

" water bag... no.. no.. " mai fauran us khandar mein ghus gayi. Wahan ghup andhera tha aur na jane kya kya saman pada tha. Maire mein chalne ki himmat nahi thi aur cheekhein ruk nahi rahi thi. Maine chizein tatoli aur kisi tarah ek kone mein jakar baith gayi. Baithe sath hi maine apni pajami utar fenki kyun ki mujhe pata tha ki bacha ane wala hai ab.

" aaaahh uff... aahhh ... " ankhon se ansu aur cheekh ke sath puri takat laga rahi thi lekin bacha bahar nahi nikal raha tha. Dar ne sharir ko jhanjhot diya tha, maine socha nahi tha ki kuch aisa hoga. Mujhe is dard se jada apne bache ki chinta thi, kyun ki agar vo bahar nahi aya to shayad na bache.

" koi haiiii.. please helppppp.... " mai umeed mein cheekhi ya fir dar ki wajah se nahi janti lekin maine puri kosish ki. Ek pal ke liye ankhein band hone lagi aur dekhte dekhte mai behoshi ki halat mein chali gayi aur hath sidhe torch par jaa laga jo fisalte hue ek kone mein deewar se lag kar thak-thak karne lagi. Ek matrr awaz jo mere kano mein padh rahi thi.

Achanak se meri ankhon par ek roshni padi mano koi mere chehre par maar raha ho. Roshni ko ek dum se patta dekh meri ankhein halke hosh mein khuli to paya jaise samne ek ajeeb si chiz torch liye khadi hai. Mai ek dum se hadabda kar uthi to paya samne koi nahi tha lekin ek roshni wahan maujud thi jo us torch se nikal rahi thi. Abi us jagah ke bare mein kuch soch pati achanak se dard ho utha aur is baar aisa dard hua ki jaise sharir ke sari hadiyun ko toda jaa raha ho. Kandhe par kisi ka bhoj sa laga aur tangein aur jada khul gayi. Mai zor-zor se cheekh maar rahi thi. Mere hath khoon se san chuke the, bas kisi tarah apna bacha bahar nikalna chahti thi aur tabhi mujhe mehsus hua ki uska sar bahar aa raha hai aur fir ek akhri kosish aur mera bacha mere hathon mein aa chuka tha.

Maine fauran usko apni ankhon ke samne kiya lekin vo shant tha. " Nahi nahi nahi.. nahi.... " maine use fauran ghumaya aur uski pith malni shuru kar di.

" nahi nahi. nahi.. nahi... " par uske sharir mein koi halchal nahi thi. Maira dil baitha jaa raha tha, maine use fauran sidha kiya aur muh se usko sans deni shuru kar di lekin uspr koi asar nahi ho raha tha. Maine uski chatti behad aram se dabai taki vo uthe, roye.. lekin nahi ho raha tha kuch nahi ho raha tha. Maine use apne sine se lagaya aur zor-zor se rone lagi. Haar man rahi thi lekin nahi manni thi, bacha hai mera.. Mujhe kisi bhi tarah madad chahie thi, uthna tha mujhe.. Maine apni puri takat uthne mein laga di aur kisi chiz ka sahara lekar main khadi ho gayi. Dard ne shayad puri matra mai mere sharir ko jhinhjhod diya lekin mai ruki nahi, uth khadi hui. Uthate sath hi maine ek kadam aage badaya aur jaise hi piche liya shaara chhoda tab ehsas hua mano sharir mein koi jaan hi na ho, achanak se sharir ladkhada gaya aur mera bacha hath se chhut gaya. Chhute sath hi vo sar ke bal samne rakhi chiz se takraya aur mai bhi piche ki taraf jaa giri. Girte sath hi bache aur meri jo naal thi jo mujhe katni chahie thi vo tut gayi. Mai sidhe farsh par sar ke bal giri aur fir behoshi mein jane lagi. Behoshi mein jane se pehle sirf ek hi chinta thi mera bacha.. lekin sharir mein koi himmat nahi thi. Mai zameen par pade khoon mein thi, samne torch fisalti hui dusri taraf jaa rahi thi aur ankhon se roshni band hoti use pehle ek rone ki awaz ayi jiske baad mai behosh ho gayi.

Na jane kitni der behosh rahi, par ek awaz jo kano mein jaa rahi thi usne meri behoshi todi. Maine apni ankhein kholi to khud ko khoon ke ghattar mein khud ko paya jo wahan faila hua tha. Par uski chinta kare bina maine us rone ke shor par dhayan diya. Maine fauran apne bache ko uthaya jo zor zor se roo raha tha. Mere hath per sabhi kanp rahe the. Maine turant wahan torch khojne lagi jo band padi thi isliye mujhe wahan kuch dikhai nahi de raha tha. Hathon ki chap-chapat bata rahi thi ki kitna khoon pada hai, mujhe behad chinta ho rahi thi kyun ki bacha mere hath se gir gaya tha. Maire ansu nahi tham rahe the.

Muskhkat ke baad mujhe torch mili aur ek do baar kosish karne ke baad vo jal gayi. Torch ke jalte sath hi maine use apne bache par dali, vo khoon se sana tha, maine uske sar ko chuha to mujhe laga nahi ki use kahin chot lagi hai. Fir maine uski nabi ko dekha jahan uski cord use judi thi yani meri taraf se tuti thi isliye itna jada dard tha mujhe.

" tum theek ho.. tum theek ho.. " meri sans mein saans ayi jab maine use theek paya. Ek maa hone ka ehsas jo mujhe andar se ho raha tha use mai kisi ko nahi samjha sakti thi. Maine use apne sine se lagaya aur wahin baithi rahi. Torch ko maine wahin chhod diya, andhera nahi hone dena chahti thi lekin uthne ki himmat nahi thi, na is jagah ke bare mein jada sochna chahti thi. Mere kandhon mein aur takhone ke theek uppar bahut jada dard tha shayad utna dard sharir ke kisi bhi hisse mein nahi tha. Lekin ab sare dard mayine nahi rakhte the kyun ki meri bachi mere sath thi. Meri 'Aaruhi' mere pas thi. Maine apna kapda uppar se fada aur usko lapet kar apne sine se laga liya aur piche ka sahara lekar wahin baithi na jane kab ankhein band ho gayi.

" Jab hosh aya to hospital mein thi, aaruhi ek dum theek thi, cord tutne ki wajah se mjhe infection ho gaya tha. Par hum dono ke girne ki wajah se na to aaruhi ko kuch hua tha na hi mujhe sivaye mere kandhon par aur takhne ke uppar nishan the. Mano kisi ne kitni zor se unhe dabaya ho.. uske alawa kahin koi chot nahi thi " urvashi chup ho gayi.

" fir? " shruti ne pucha.

" fir.. fir .. maine socha tha ki aaruhi ke liye apna medical chhod dun lekin hostel ki ladkiyan aaruhi se alag nahi hona chahti thi aur unhone uska aisa dhayan rakha ki maine medical complete kar li aur fir vo shehr chhod diya. Papa ki death ke baad mom mere pas hi aa gayi, unhe apni galti ka ehsas tha ya fir aaruhi ka ehsas jo unhe uske pas khinch layi aur unhone use aisa pyar diya jaise vo uski maa ho aur isi wajah se mai aage padh payi. Nagpur akar ache padosi bhi mil gaye to kabhi koi dikat hui hi nahi "

" Yani uncle apko nagpur mein mile? "

" nahi... us raat unhone hi mujhe us khandar se nikala tha "

" kya? "

" hmm.. wahi mujhe hospital laye.. aur unhone hi mujhse shadi ki.. aaruhi ko apni beti mana.. "

" wao.. mujhe nahi pata tha ki aisi bhi koi story hogi.. "

" life bahut mysterious hoti hai beta.. hum jo dekh lete hain use sach mante hai. Asal mein sach to hamare bhetar kahin chupa hota hai "

" Aunty sorry to ask you.. but apne kabhi nahi socha ki aap pregnant kaise... " shruti ne jhijhakte hue pucha.

" sorry ki koi baat nahi hai beta, par us baat ko soch kar kya faiyda? Mujhe meri Aaruhi mil gayi uske baad kabhi socha hi nahi. Par han jo baat mujhe hamesha hi yaad rahegi ki jab dr ne kaha ki aaruhi pre-mature hai lekin uska koi asar nahi tha. Even vo more healthy bachon se bhi jada strong thi aur dusri vo jagah jahan uska janam hua. Vo khandar kabhi nahi bhulungi.. "

" Aisi jagah par aaruhi paida hui... no doubt use ye sab pasand kyun hai.. maybe apne use kabhi bataya ho ki vo khandar mein paida hui thi islie vo aisa sab sochti hai "

" Han.. tum keh sakti ho lekin us khandar ki story use nahi malum "

" matlab? "

" Kahani hai suni sunai.. nahi janti kitni sach hai kitni nahi.. par logon ka manna tha ki vo khandar safe nahi hai. Vo atript atma thi udhar, vo khandar darasal ek factory hua karti thi jahan par ek din kisi ladki ki lash mili aur uske baad us factory mein wahan kuch workers ki mautein hone lagi jiske baad us jagah ko band kar diya gaya aur vo khandar mein tabdeel ho gaya. Par agar sach mein aisa kuch tha wahan to us atma ne mujhe kuch kyun nahi kiya? Isliye mai in sab chizon ko afwa hi manti ho aur jab tumne mujhe college ki baatein batai to ek pal ke liye dar gayi thi par socha ki kahaniyan har jagah hoti hai aur hum kisko sach mane vo mayne rakhta hai "

" hmm..par aunty apne fir aaruhi ko ye sab kyun bataya? "

" Batane ki jarurat nahi padi.. she read my diary.. but vo abhi gusse mein hai.. shant ho jayegi to usko realize ho jayega.. I think you should also rest now.. " urvashi ne shruti ke kandhe par hath rakha aur vo wahan se chali gayi. Shruti ne use jatte hue dekha aur fir vo aaruhi ke kamre ka darwaja khol usme dakhil ho gayi. Use umeed thi ki aaruhi so rahi hogi lekin aisa nahi tha. Vo apne kamre ek kone mein zameen par baithi thi. Shruti uske pas gayi aur uske samne ghunte ke bal jaa baithi.

" hey my girl.. " shruti ne uske balon ko sehlate hue kaha to aaruhi ne sar utha kar uski taraf dekha. Uski ankhon mein abhi ansu the, vo shruti ko ghur rahi thi, shruti use dekh muskurai.

" sab theek ho jayega.. mai hun na.. " usne uske kandhe par hath rakha aur fir dhire-dhire uske chehre par le ayi. " jo bhi tumhari mom ne kiya aaj usi ki wajah se tum ho.. hai na.. ? "

" mujhse baat nahi karegi, aaruhi.. nahi karegi.. " shruti ne apni pakad aaruhi ke chehre par majbut ki aur uski gardan ko kaste hue uska sar aage karke piche deewar par de mara. Ek baar, do baar aur fir tisri baar.....

Itni zor se lagne par aaruhi behoshi mein jane lagi aur uska sharir aage ki taraf girne laga lekin pura girta use pehle uske hath mein bandhi chain ki wajah se ruk gaya. Sar jhuka hua tha aur ankhon ke aage andhera chaya hua tha. Kaano ke piche se khoon nikalta hua zameen par aa tapka. Khoon ke girte hi shruti ne use ungli se uthaya aur apne muh mein ungli daal kar chus liya.

" wake up - wake up.. girl... reality main ane ka samay ho gaya hai.. "
 
Top