• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

🔥 Read Next Hot Story →
Discover more exclusive stories

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,138
16,143
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,889
143
10,500
49,090
258
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Update ~~ 21

" ye is bhootiya hostel mein kya kar rahi hai? "

" abhi vo yahan kar rahi hai use jada jaruri hai ki ise hosh mein laya jaye.. pani.. kaun laya tha apne sath "

" mere pas hai.. ye lo " usne bottle aage pakdai. Bottle khol kar fauran kuch pani hateli mein liya aur chehre par chidakne laga.

" yar ye to uth hi nahi rahi hai.. mujhe dar lag raha hai.. yahan khade rehna bhi ek ek pal... " usne torch ko piche ki taraf ghumaya aur deewar par jami hui kai aur sadan ko dekhne laga. Dar ke mare uska halak sukh raha tha.

" to kya hum ise yahin chhod kar chale jaye? " jab pani se bhi nahi kuch hua to vo niche baithi aur usne sar utha kar gaal thap-thapana shuru kar diya. " aaruhi... uth... aaruhi... " do teen baar aisa karne par uski ankhein halki-halki khulne lagi aur dhire-dhire uski ankhein khul gayi par chehre ke uppar direct padh rahi torch ki roshni mein uski ankhein chaundiya gayi.

" vishal torch to hata "

" oo sorry.. " vishal ne torch ko side kar diya. Roshni hatte hi usne apna chehra hath ke piche se aage kiya aur pehle uski taraf dekha jo uske sath baithi thi aur fir samne.

" aaurhi... tu theek hai... " awaz par usne koi pratikriya nahi ki. Vo bas yahi soch aur samajhne ki kosish kar rahi thi ki vo kahan hai aur kya ho raha hai. " aaruhi... " usne fir awaz di uske sath is baar vishal bhi bola.

" aaurhi.. are you ok? aaruhi.. "

" bol bhi de yaar aaruhi... varna ye dono mujhe bhi yahin khada rakhenge " vishal ke sath khade ladke ne jab kahi to usi pal ek kida uske per par chadh gaya aur vo chilla utha jiske chillate sath hi uski torch gir kar band ho gayi. " bhoot... bhoot.... bhoot.... bhoot.... " vishal use samjhane laga. Use rokne ki kosish karne laga aur akhir vo kamyab bhi ho gaya.

" kuch nahi hai.. koi bhoot nahi hai gaggan.. tu kyun dara raha hai sabko "

" bhoot? main .. kahan hun... " aaurhi fauran bechaini se bolte hue uth baithi.

" aaruhi.. tu.. is waqt girls hostel mein hai.. "

" girls hostel... to? kahin aur hona chahie tha mujhe.. " aaruhi ne hairani bhari nazron se teeno ko dekha aur tabhi uski nazar ludki hui torch par gayi jo dono ladkon ke tangon ke pass padi thi.

" aaurhi.. " vishal ne awaz di to usne ungli se ishara kiya, ishare ki taraf jab teeno ne nazar dali to vo torch wahan se khud ba khud fisalti hui kamre se bahar jane lagi aur kamre ki dehaliz par jaa ruki. Koi kuch kehta use pehle vo torch jal uthi.

" bhoooottttttttttt..... " gaggan sabse pehle chillaya aur akele hi kamre se bahar bhaga.

" gaggan... gaggan... " shruti ke sath vishal bhi chillaya.

" ma..in usko dekhta hun.. tu aaruhi ko lekar jaldi aa... " panic mein vishal ne kaha aur vo nikla. Shruti ne hami bharte hue aaruhi ko khada kiya jo beusdh thi. Uski taraf se koi bhi pratikriya nahi ho rahi thi. Shruti gagan ko awaz lagate hue aaruhi ko pakdte hue bahar nikli jisme usne pehle us jalti hui torch ko laat mari aur use corridor ke dusre chor ke andhere mein bhej diya wahan pahunchte hi vo torch fir bhuj gayi ye dekh shruti ke andar bhi dar ka ehsas ubhar pada. Use khud ab yahan se jaldi nikalna tha, usne aaruhi ki baju pakdi aur dono chal diye.

" ohh god... ye gaggan .. aaruhi to theek hai.. " shruti ke jawab par aaurhi fir kuch nahi boli. " vishal... " shruti ne awaz di to pure hostel mein uski awaz gunj uthi. Peron se chalte hue vo awaz shruti ko chubh rahi thi. Bar-bar use lag raha tha ki uske piche koi hai, bhale hi vo nidar thi aur ban rahi thi lekin ab uske man mein bhi dar tha.

" shruti niche... gaggan mere sath hai... " vishal ne awaz di to shruti ne chain ki sans li. Shruti aram-aram se hi sahi bich bich mein kabhi aaruhi ko kuch kehti ya vishal se baat kar leti. Aisa karte hue vo akhirkar niche aa hi gayi.

" kya hua tum dono pareshan kyun ho? " niche pahunchte hi shruti ne vishal ki thakawat aur gaggan ke dar ko dekhte hue pucha.

" gate nahi khul raha isliye pareshan hai hum " gaggan ne darwaje ko khinchte hue kaha. " ab hum bahar kaise jayenge... kholo koi hai help.. " gaggan chillaya.

" tu shant ho ja.. shanti se sochne de.. " shruti fauran boli.

" shanti.. kya shanti.. kya shanti se sochun... mana kiya tha mene tum dono ko ki idhar nahi atte.. nahi atte par tum dono ne nahi suni... bola tha na ki ye bhootiya hostel hai yahan par ana mana hai.. ab lo bhugto.... mere baap ko agar pata chala ki main padai ki jagah aise bhootiya ilake mein engineering karte hue mara gaya to vo meri atma ko pakad kar gand todenege... chhodega nahi vo... atmaon ka jallad hai vo.. jallad... " fulti sanson se gaggan ne apni baat khatam ki aur fir puri takat se darwaje ko khinch kar kholne ki kosish karne laga.

" tu thak gaya hai.. mujhe kosish karne de " vishal ne gaggan se kaha to usne darwaja chhod diya lekin apne dil ki baat kehne se piche nahi hatta.

" han khol le... agar khul jaye to.. ye khulega nahi... ye sirf apni mazri se khulta hai.. aur tab khula tha jab hume andar ane diya tha.. ab nahi khulega ye.. mene kaha tha yahan nahi ana " usne fir wahi baat dauhrate hue baat puri ki.

" to aaruhi kaise milti hume? tujhe pata hai na ki.. " shruti bolte hue chup ho gayi. Koi baat vo aaruhi ke samne nahi kehna chahti thi jo bilkul shant khadi thi aur ek hi taraf dekh rahi thi. " ek hi baat dubara mat bol.. tu nahi ata kyun aya fir tu? bahaduri tujhe bhi to dikhani thi.. Manpreet ko.. tabhi aya hai na tu.. "

" manpreet ko bich mein mat le.. shur.... " gaggan bhadakne ki kosish karte hue bola.

" tu chup rahega gaggu.. chup reh.. purana darwaja hai.. fans gaya hoga.. khul jayega.. ruk... main kosish kar raha hun na... " vishal ne fir puri takat lagai lekin nahi khula. Hostel ke andhkar mein sirf ek matr torch ki roshne ke bich in teeno ki awaz pure hostel mein gunj rahi thi. Itni khamoshi thi is jagah ki har harkat ki awaz us jagah mein basti hui mehsus ho sakti thi.

" darwaja purana nahi hai.. hamari zindagi purani hone wali hai... ye darwaja nahi khulega vishal... hum fans gaye hain is hostel mein.. jo bhi jata hai kabhi vapis nahi ata.. tujhe to.. " gaggan bolte hue chup hua, vishal darwaja khinchne se ruka aur shruti jo gaggan ko kuch kehne ke liye muh kholne wali thi vo ruki. Teeno ek hi waqt par jis andaz mein the waise hi khade ho gaye aur jo awaz unhone abhi suni thi use sunne ki kosish karne lage. 'thakk-thakkk' thokar jaisi awaz teeno ko sunai di. Awaz ke ane par gaggan ne uski taraf dekha, ab roshni ka jariya vo torch vishal ne uske hath mein thamai thi to usne hi us taraf roshni dali theek shruti aur aaruhi ke piche. Vishal ne bhi usi taraf dekha aur shruti bhi ghum kar usi taraf dekhne lagi. Roshni sidiyun par thi.. kuch nahi tha wahan.. na hi ab vo awaz thi.. Sabhi ko laga ki vo sirf ek gaaltfemi thi jo is jagah ke vajah se hui lekin jaise hi gagga ne torch wahan se hatane ki sochi usi waqt nazar wahin ruk gayi.

Torch fisalti hui sidiyun tak ayi aur fir 'thakk-thakk' ek-ek paidi girti hui niche ane lagi " bhooottttttttttttttt....aaaaaaaaaaaahhhhhhh... " gaggan ke hath se torch chhut gayi aur vo fir gir kar band ho gayi. Uske band hote hi andhere puri tarah se felh gaya aur is baar dar ke mare shruti bhi chilla uthi. Vishal ka bhi dum nikla aur usne gate ko puri takat se khincha jiske sath hi vo gate khul gaya. Gate khulta dekh gaggan sabse pehle bhaga aur shruti aaruhi ko lekar, vishal ne dono ko bahar kiya aur khud bahar akar hostel ka darwaja yun hi lehrata hua chhod nikal gaya. Kisi ne bhi palat kar nahi dekha aur vo darwaja apne aap dhire-dhire band hota chala gaya.

" bhago... bhago... bhoot pada hai hamare piche.. bhoot... haye.. main marunga... bhoot maar dega ... manpreet main teri bina liye mar jaunga... " gaggan hanfta hua bhag raha tha.

" gaggu ruk.. jaa... koi bhoot nahi hai.. hum bahar nikal chuke hai... " vishal piche se chillaya par gaggan tab tak nahi ruka jab tak vo bhagte hue ek darwaje ke aage nahi jaa ruka.

" ohh shit... vishal.. ye gaggan kya kar raha hai.... isne miss. nandini ke apartment ke samne jakar ruka hai... agar unhe pata chal gaya to gaye sab ke sab.. "

" ab rokne ka koi fayda nahi ... vo dekh.. " vishal ne shruti ko samne ki taraf dekhne ko kaha to gaggan ne jo dhol peeta tha uska shor miss nandini ke kano tak pahunch chuka tha. Miss nandni ko gaggan ek side karke khud andar ghus gaya aur vo vishal, shruti aur aaruhi ko apni taraf ata hua dekhne lagi.

" tum charon is waqt itne tuffan mein kya kar rahe ho.. " sabhi ko towel dete hue miss nandini ne kaha. Gaggan ke bade gungrale gol chatte jaise baal bhigne ki wajah se uski ankhon mein ghus rahe the. Usne baal pochne shuru kiye aur kapkapi mein bhagwan ko yaad karne laga.

" vo actually miss... " vishal ko samajh nahi aya ki kya bole.

" tum log kahin chup kar koi party to nahi kar rahe the? Drugs? "

" nahi nahi miss.. vo hum ye sab nahi kar rahe the.. vo to hum bas yun hi bahar gaye the... " shruti aaurhi ka sar pochne mein lagi hui thi.

" sach bolo.. varna tumhare parents ko bataun "

" aaruhi girls hostel mein chali gayi thi isliye... " gaggan ne turant bol diya. Uske chehre par baap ka kauf ter raha tha.

" girls hostel? " nandini ko samajh nahi aya ki girls hostel mein aaruhi ne jakar kya galti ki " kya tum dono ladke wahan pakde gaye ho? " nandini ne fir vishal aur gaggan ki taraf dekha.

" main... nahi nahi.. " gaggan ko apne uppar ilzam mehsus hota dekh vo bol pada. " miss aaurhi apne girls hostel mein nahi balki vo walle girls hostel mein gayi thi... " ajeeb se ishare karte hue vo bola.

" wo walle.. " nandini ne naak sikodi use gaggan ke expression kuch theek nahi lag rahe the. Nandini soch mein dubi par agle hi pal use jawab mil gaya.. " aaurhi girls hostel mein gayi thi? " ab nandini ke chehre par ghabrahat hadh se jada thi. Koi kuch kehta use pehle aaurhi ko zor-zor se hichkiya ane lagi.

" aaruhi.. are you ok ? " shruti ne uska chehra upar uthane ki kosish ki lekin vo hichkiya lete hue baithe-baithe niche farsh par gir kar behosh ho gayi. Sabhi ghabra gaye vishal aur nandini uske kareeb aye aur use uthane ki kosish karne lagi.

" ohh shit..t..... isme us girls hostel ka bhoot aa gaya hai .... ab ye nahi bachegi... ab vo hume bhi nahi chhodegi... "

" gaggan please shut up.. " shruti fauran boli. Jiske baad vishal ki madad se shruti ne aaruhi ko uthaya aur andar kamre mein le gaye. Vishal bahar nikal aya aur andar shruti aur nandini ne aaurhi ke gile kapde utar kar use dusre kapde pehna diye aur thodi der baad bahar aa gaye. Ek pal shanti chai rahi, jo nandini ne suna tha vo use abhi bhi yakeen nahi ho raha tha.

" don't tell me ki tum koi kahani bana rahe ho varna ye tum sab par bahut bhari padega " nandini ke jawab mein gaggan kuch bolna chahta tha lekin shruti ne use rok diya.

" nahi miss.. hum koi kahani nahi bana rahe hain... balki jo gaggan ne kaha vo sach tha.. aaruhi ko abhi hum usi girls hostel se lekar aye hain jo pichle 8 salon se band hai.. jahan koi nahi jata.. jiske bare mein campus ke andar kaha jata hai ki wo girls hostel ek bhootiya ghar hai.. jiske bare mein hostel ke pas tarah tarah ki kahaniyan hai.. aaruhi hume usi girls hostel mein mili hai.. "

" ohh god.. par aaurhi wahan pahunchi kaise? pahunchi chhodo vo wahan gayi hi kyun? "

" hume bhi nahi pata miss.. ye jawab to bas aaruhi hi de sakti hai.. " vishal ne nandini ke sawal ka jawab dete hue kaha.

" par tumhe kaise malum hua ki aaruhi wahan hai " nandini ne kuch sochne ke baad sawal kiya.

" shruti ne humse kaha ki aaruhi girls hostel ki taraf gayi hai.. bas usi se.. " jawab fir vishal ne diya.

" aur tum logon ko vo girls hostel mein mili "

" room ke andar miss... " gaggan bola " vo jagah bahut bhayanak hai... .bahut jada miss... andhere mein har pal aisa lag raha tha koi mujhe dekh raha hai.. chuu raha hai... vo khauf .... " gaggan ki kap-kapi abhi bhi chhut rahi thi.

" shruti " nandini ne uski taraf nazar modi " tum aaruhi ki room partner ho na? "

" ji.. mis.. ss.. "

" tumne jab aaruhi ko jatte hue dekha to use roka kyun nahi? aur apne doston ko batane hi kyun ayi? " nandini ke sawal par shruti kuch nahi boli. Visha aur gaggan ki nazar bhi usi par thi.

" kosish ki thi.. miss... "

" nahi.. mujhe tumhari is baat mein sach nazar nahi aa raha hai. Itni raat ko tumne aaruhi ko girls hostel jatte hue dekha lekin tumne use roka nahi.. tumne apne doston ko bataya aur unhe lekar gayi.. aisa kyun? tum jakar use rokti samjhati to vo nahi jati.. aur bhala wahan kyun koi jayega... college ne sabhi ko inform kar rakha hai ki wahan jana mana hai.. to fir.. "

" college ne un bachon ko mana kiya hai miss jo yahan aye hain.... unhe to mana nahi kiya na jo yahan ab nahi hai.. " shruti ne nandini ko bich mein rokte hue kaha.

" matlab? "

" vo aaruhi nahi thi miss.. aur vo pehli baar nahi tha jab aaurhi girls hostel mein gayi thi... vo pichle kai dino se wahan jaa rahi hai aur har raat ko wahin soti aa rahi hai.. " shruti ki baat sunte hi sabhi ke chehron ka rang ud gaya.

What a beautiful story !
ऐसी कहानी लिखना सब के वश का नहीं है । सस्पेंस , थ्रिल और हाॅरर से भरपूर स्टोरी ।

अब कहानी आठ साल बाद चली आई है । आठ साल पहले सुप्रिया को गर्ल्स हॉस्टल में अपने रूम के अंदर मेधा के तेजाब से जली हुई क्षत विक्षत शव को देखकर मूर्क्षित होने पर खतम हुई ।

आठ साल बाद आरोही के उसी गर्ल्स हॉस्टल में सुप्रिया के उसी रूम में जाने के बाद उसके बेहोश होने से शुरू हुई ।

इस अपडेट के लास्ट दो सेन्टेंस का मतलब समझ में नहीं आया । श्रूति के कहने का तात्पर्य क्या था !
" वो आरोही नहीं थी मिस " समझ में नहीं आया । कौन आरोही नहीं थी ?
और उसकी बातों से लगता है कि आरोही का भुतिया हास्टल में जाना पहली बार नहीं था । मतलब इसके पहले भी वो वहां कई बार जा चुकी थी ।

" कालेज ने उन बच्चों को मना किया है जो यहां आए हैं....." इसका मतलब भी समझा नहीं ।

क्या ये सभी किसी पिकनिक ट्रीप पर आये हुए हैं जो भुतिया हास्टल के करीब था ?

अभी तो इस अध्याय का पहला अपडेट है इसलिए घटनाओं पर नो कमेंट्स । लेकिन जैसे जैसे अपडेट आगे बढ़ते जायेगा वैसे वैसे कुछ बातें समझ में आने लगेगी । और तब शायद समझ में आए कि आठ साल पुरानी घटना से इसका क्या सम्बन्ध है !

बहुत बहुत बढ़िया अपडेट हर्षित भाई ।
जगमग जगमग अपडेट ।
 
🔥 Read Next Hot Story →
Discover more exclusive stories

SHADOW KING

Supreme
15,907
32,879
259
Update ~~ 19

Tanu ka final year tha aur is akhri saal ko pura karne ke baad vo is college ki dunia se jane wali thi lekin iski jagah vo apni hi dunia se alag ho gayi thi. Seniors mein kafi famous thi isliye jis tarah us raat hostel mein shok shabha hui usi tarah agle din college mein bhi seniors ne usi tarah ground mein tanu ke liye shok shaba rakhi. Teachers ki vo favorite nahi thi lekin jo hadsa hua tha vo sabhi ke dilon dimag mein baith gaya tha. Hostel kehlane ke liye college premisis se alag tha lekin ata to college ke antargat hi tha isliye uski premisis mein ek student ka katal hona bahut badi baat thi. Dehshat to college ke mahol mein bhi thi, jise malum thi vo gumsum sa tha aur jise nahi malum tha vo puchne mein laga hua tha. Us din se lekar agle kuch din tak hostel ki ladkiyan alag-alag jagah group ke sath dikhi jise zahir tha har koi janna chahta tha ki akhir hua kya? Kaise maut hui? aur kisne ki? Isi dauran police ko postmartam ki report malum hui aur usne tanu ki maut ko aur pechida bana diya, maut ka samay 12:30 se 1 baje ke bich ka tha aur yahi wo samay tha jiske antarkal sab kuch ghata tha. Puch tach zari thi lekin koi surag ya kadi abhi tak nahi mili thi. Hostel ke us hisse ko band kar diya gaya tha aur uske piche bane apartment ke logon se puch-tach ki jaa rahi thi. Apartment behad purane bane hue the isliye wahan koi cctv laga nahi tha. Pehle to college ne khabar bahar na jaye uski kosish ki lekin itni bheed ke bich batein chupti nahi aur jab akhbar mein chapi to unhone sabhi hostel mein rehne walli ladkiyun ke parents ko batane ka faisla kiya aur ye zimma warden ko diya gaya. Usi ke sath police ke do constable hostel ke bahar laga diye jo wahan par chaubis ghante pehredari karne wale the. Kuch hi dino mein college aur hostel ke mahol ko badal diya gaya. Kuch ke dimag par is chiz ka behad gehra prababhav pada jisme se 'Komal' pehli ladki thi jise kisi ne bhi us din ke baad nahi dekha tha. Jaise jaise suchna parents tak gayi unme se kuch ne apne bachon ko hostel se wapis bula liya aur kuch ko le jane ki kosish jari thi aur us list mein supriya bhi thi jiski mom ko pata chalte hi unhone use wapis ane ko kaha vo bhi bina der kiye. Supriya ki is baat ko lekar uski mom se kai baar behas hui lekin vo nahi maan rahi thi. Supriya par sabhi baton ka asar padne laga tha.

Mausam barsat ka tha aur baarish bhi bakuhbhi padh rahi thi. Baarish ke sath chalti tez hawa mausam ko tuffan mein tabdeel kar chuka tha. Hostel ke corridor mein pani jama hone laga tha aur ilake ki bizli gul ho chuki thi. Andhere aur baarish ke shor mein ek ghasitne ki awaz corridor mein felhne lagi. Tanu ka sharir bhare pani mein asani se fisalta hua aage badh raha tha. Uski sansein chal rahi thi lekin use hosh nahi tha. Uske sharir ko hostel ke piche gate ki taraf laya gaya aur fir use behad asani se utha kar gate par ke sahare khada karke uske hathon ko badhna shuru kiya. Hath bandhne ke baad uski tangon ko dur karte hue alag kiya aur unhe bhi bandh diya gaya. Behoshi ki halat mein tanu ka chehra latak gaya tha aur ab use pakadne ki jarurat nahi thi. Kuch pal uska sharir baarish mein yun hi bheegta raha aur fir dhire-dhire tanu ke sharir mein harkat hui aur use hosh ane laga. Hosh mein atte hi usne apni nazar uthai aur theek usi waqt ek danda uske piche ke ched ke andar ghusa diya gaya. Chehre par aseem matra ke dard ko vo jhelte hue cheekhti use pehle us dande par aur takat lagai gayi jiske baad vo danda uske sharir ke andar ki angon ko todta hua sidhe uske muh se bahar nikla jiske sath maas ke kuch chidte bhi tanu ne apne muh se ugal dale aur khoon ke chitte charon taraf felh gayi. Tanu ka sharir dard mein chapata raha aur usi ke sath uske naak, kaan aur ankh se khoon behne laga jiske baad muh se khoon ke kuch chintee aur uchal kar bahar aye aur uska sharir chatpatana band ho gaya. Tanu ka muh asman ki taraf khula hua tha aur usme se uske khoon se sana danda bahar nikal raha tha. Vo tanu se thoda piche ki taraf hui aur ukhdu hokar baithe hue usne zameen se pani ko muthi mein bhar apna chehra saaf kiya jispar khoon lag gaya tha aur usi waqt asman mein bizli kadki jisse pani ki parchai mein supriya apna chehra dekh hadbada gayi aur achanak se uski ankh khuli. Uski sansein is waqt kafi tezz chal rahi thi, nazar uppar ki taraf uthi hui thi. Chadti sanson ke sath uska pura sharir pasine mein duba hua tha. Na jane vo bina cheekhe kaise uthi thi varna itna bhayanak drishye dekhne ke baad use abhi tak yahi mehsus ho raha tha ki vo sab sach hai lekin agar sach hota to wo baarish mein bhig rahi thi na ki apne kamre ke palang par so rahi thi aur bagal mein megha bhi soi padi thi. Supriya ko pichle teen dino se ajeebo-gareeb sapne aa rahe the jisme vo alag-alag tarh ki chizon ko dekh rahi thi, pehli raat ka sapna ki vo apna sar zor-zor se deewar par maar rahi hai. Iske alawa store room ke sabhi saman ko idhar se udhar patak rahi hai. Jab ye sab usne megha ko bataya to usne use samjhaya ki vo sab uske dimag ki upajh hai jo pichle dino se uske sath ho raha hai, vo kisi ke bhi man ke vicharon ko badal sakta hai uppar se mom ki batein wapis ane ki ... sab uske man ke vichar hai.. Usne abhi bhi yahi socha aur palang se uth baithi. Bahar se abhi bhi baarish ki awaz aa rahi thi aur khidki band thi jiski wajah se vo pasine mein tar-batar thi kyun ki bina light ke pankha band tha aur kamre mein umas thi. Megha chain se so rahi thi aur use is garmi ka koi farak hi nahi padh raha tha. Supriya ne pani ki bottle uthai aur pani pine lagi. Adhi bottle khatam karne ke baad usne khidki ki taraf dekha aur fir uski kundi utha kar uska ek hissa khol diya. Khidki ke khulte hi thandi hawa mein usne chain ki sans li aur usi hawa ke sath kuch pani ki bundein uske chehre par aa padi. Bahar koi roshni nahi thi aur vatavaran ek dum tufani bana hua tha. Tez hawaon ke sath baarish bhi uska sath de rahi thi. Supriya ne khidki ka ek bhag khula chhod apne palang par aa baithi. Pichle dino se vo sirf tanu ki baat hi soch rahi thi aur usi wajah se aaj ka sapna aya tha, vo bar bar apne man ko yahi tassali de rahi thi. Nind ab uski ankhon mein nahi thi isliye usne socha ki megha ko uthaya jaye aur usne wahi kosish ki..

" megha.. uth na... megha... uth.. uth... megha... "

" aakash sone de... abhi nahi... thak gayi hun mein de-dekar kitni lega... thoda to aram se.. " megha ne kasmasate hue kaha to supriya ne uska kandha hilana band kar dia.

" ye ladki sapne se lekar hakikat mein bas yahi sochti hai. Pata nahi kyun mujhe pasand hai " supriya ne use jagana chhoda aur apne palang par aa baithi. Kuch der vo khidki se bahar dekhti rahi lekin wahan se bhi boriyat hui to vo khade hokar kamre mein tehalne lagi par anjam kya hua tehalte waqt bhi use sirf tanu ki batein aur khud ki majudgi nazar aa rahi thi. Usne mobile mein time dekha to takreeban teen bajne wale the " itni der mein sirf adha ghanta hi beeta hai.. dubara sone ki kosish karti hun.. " supriya wapis palang par ayi aur ankhein band karke karwat lete hue usne sone ki kosish ki. Kareeb das minute vo aise hi laiti rahi aur tabhi mobile ki roshni ne kamre ke andhere ko apni chamak se toda aur usi ke sath vo vibrate hone laga. Junki supriya ko abhi nind lagi nahi thi usne turant apna phone uthaya. " fir aisi hi call... " number na ata dekh usne fir hairani jatai aur agle hi pal phone uthaya. Phone uthane par is bar usne kuch nahi bola aur samne wale ka intezar karne lagi lekin koi awaz nahi ayi aur phone cut gaya.

" ajeeb baat hai.. " supriya ne call log khola aur jo akhri call ayi thi jispar koi number nahi tha usne us number ko wahin se swipe karke dial kiya lekin usi waqt phone ki screen par flash hua " Error " usne do-teen bar aisi kosish ki lekin har baar wahi hua. " kya musibat hai.. kaise ho raha hai ye.. " supriya abhi pareshan thi ki achanak shor ko sun uske hath se phone chatak gaya. Vo ghabra kar uth baithi par agle hi pal use jab samajh aya tab vo shant hui. Jo khidki ka hissa usne khola tha vo achanak se band ho gayi thi aur hawa ki wajah se abhi bhi dhire-dhire khul band ho rahi thi. Supriya apni jagah se uthi aur usne khidki ko dubara khol kar uska stopper laga diya taki vo band na ho sake. " na jane kab tak barast rahegi.. mujhe is mausam se ghabrahat hone lagi hai " supriya jaise hi wapis mudh kar palang par baithne ko hui tabhi 'tadaakk' shor sun vo ghabra gayi. Vo fauran ghumi to ek baar fir usne dekha ki khidki hawa ki wajah se band ho gayi thi aur abh band hone ke baad halki si khul-band ho rahi thi. " stopper kharab ho gaya hai kya... aur is maharani ko dekho isko koi asar hi nahi hai.. " supriya ne megha ki taraf dekha jo chain se so rahi thi aur fir khidki ki taraf badhi aur jaise hi vo us tarf badhi, bizli ki kadakti roshni mein khidki ke piche khade sayein ko dekh uske kadam ruk gaye.


Dark-silhouette-of-girl-behind-glass-Locked-alone-in-room-behind-door-on-Halloween-in-grayscale-Nigh

Bizli ki roshni mein jo usne dekha uske baad vo ek pal wahin sthir khadi rahi lekin agle hi pal andhera ho gaya. Ek pal ke liye mano vatavaran mein bhi shanti cha gayi, supriya jaise kisi chiz ka intezar kar rahi thi. Khidki bina shor kiye usi tarah band khul rahi thi. Agle hi pal ek baar bizli fir kadki lekin bina shor ke aur uski roshni mein khidki ke piche fir khade sayein ko dekh supriya ke rongte khade ho gaye jo usi ko ghur raha tha.


girls2

Do baar ek hi tarah ka dhoka nahi ho sakta tha, khidki ke piche koi khada tha. Supriya ghabra gayi aur ghabrate hue vo cheekh padi.

" meghaaa.aa.a.a..... " cheekh itni tezz thi ki megha ki nind khul gayi aur vo achanak se uth baithi. Supriya ko yun cheekhta dekh vo bhi ghabra gayi.

" kya hua supriya kyun cheekh rahi hai... " usne light jalane ki kosish ki lekin light nahi thi aur andhere mein supriya ko yun cheekhta vo bhi aise jab uske baal teetar bheetar ho rahe the megha ko laga koi chudail uske samne cheekh rahi ho. Usne fauran apna mobile khola aur uski torch jalai. " supriya..supriya.. kyun cheekh rahi hai " megha khadi hui aur uske sharir ko apni taraf modte hue bolne lagi.

" khidki par.. koi hai.. bahar... koi hai.. koi hai... " supriya ke kehte hi megha ne phone ki roshni khidki par mari lekin sirf khidki hi dikhi. Usne supriya ko chhoda aur khidki ko ek jhatke mein khol kar piche ho gayi lekin torch ki roshni mein use wahan koi nahi dikha bas baarish ki girti bundein hi dikhai de rahi thi.

" koi bhi to nahi hai "

" nahi hai.. tujhe nahi dikh rahi par parchai hai.. "

" acha to tujhe dikh rahi hai bata dekh kar.. "

" main nahi dekh rahi "

" dekh to sahi, koi hoga to dikhega na... " megha ne jabran uska muh khidki ki taraf modh diya aur jab use wakai wahan ab koi nahi dikha tab uski tez chalti sansein dhire hui.

" par... abhi to .. wahan tha vo sayan... "

" koi nahi hai aur na koi hoga.. tu bevajah dar rahi hai.. ek to mausam uppar se tera dimag... itna sab hua hai ped ki parchai ko sayan bana diya tune.. aur teri baat maan bhi lun to chauthe floor par itni raat ko kaun chadh kar ayega.. tu bas dari hui hai.. aaj fir koi sapne dekha? "

" hmm " supriya ne han mein sar hilaya.

" han to bas.. ye usi ka natiza hai.. chal so jaa... kuch nahi hai "

" nahi.. main nahi so paungi... " supriya ne veeran pade apne palang ko dekhte hue kaha.

" to tu mere sath so ja.. aja... " megha ne supriya ka hath pakda aur apne palang par baitha diya aur khud bhi baith gayi. " sala itna mast sapna dekh rahi thi achanak aisa laga jaise sapne mein meri maa ne mujhe dekh liya ho... itna dara diya tha tune.. "

" oye kya hua? " megha ne chutki bajate hue supriya se pucha jo apni soch mein khoi hui thi.

" han.. acha.. "

" kya bol rahi hai? "

" kuch nahi.. mujhe bas.. "

" tu chinta mat kar andar ki taraf so jaa.. koi ayega bhi to sabse pehle mere ko pakdega.. tujhe nahi.. tu mat dar.. aja.. chal... " megha ne supriya ko khincha aur akhir kosish ke baad use deewar ki taraf sula diya aur khud uske piche so gayi. Single bed par do jane hone ke baad space kam tha isliye megha ne apna hath paun supriya par rakh diya. " wah maza aa raha hai.. badi gaddedar hai tu.. jo bhi ladka chadega tere uppar uske to vyare nyare ho jayenge... " megha ki baat par supriya ne koi pratikriya nahi ki aur na hi use megha ka apne sharir ke itna pas ane par koi apati thi. Uski to nind hi ud chuki thi aur vo puri raat yun hi laiti rahi bina palke jhapkaye mano vo sayan abhi bhi us khidki ke piche ho aur bas uska hi intezar kar raha ho.
ye update shayad padha nahi tha ...supriya sapna dekhti hai ki usne tanu ko maara ..
aur khidki par saaya bhi dikhayi diya usko ..

mast update 🤩🤩..
mahaul kaafi darawana tha ...
 

SHADOW KING

Supreme
15,907
32,879
259
supriya se badla lene tanu usko koi nasha karwati hai aur phir bathroom me chhod aati hai aur wo kuch minutes ki recording bhi tanu ne hi mitayi hogi chhedchhad type kuch ..

par supriya us kamre me akeli sex ka maja le rahi thi 🤔🤔🤔. kamal ki style hai uski 🤣..

megha ne 2 baar call kiya par supriya ne uthaya nahi shayad megha ko uski jarurat thi tab 🤔🤔🤔..
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,138
16,143
219
ऐसा क्या ! :D
लेकिन मैं रात में स्टोरी पढ़़ ही नहीं पाता हूं । वैसे भी " इंडियन आइडियल " में रेखा जी वाला शो आ रहा था । वही देख रहा था । वैसे भी पुराने गानों का बहुत बड़ा शौकिन हूं तो ऐसे प्रोग्राम छोड़ने का मन नहीं करता । :D

कल जरा जुरी का भी तो रेभो देख लूं ! आखिर में क्या लिखा है उन्होंने ।
regkha favorite... milf.... :hinthint:
aise waqt pe Dhyara rakhna chahiye . ki dhire dhire sab thik ho jayega.. Koi na koi hal nikal hi aayega... yehi positive soch leke kadam aage badhana hai .. bilkul aapke lead kirdaaro ki tarah hi.... Jaise ki vikrant..... jaise ki shreyas....

twist ke upor se dhire dhire parda hataiye tabhi to zyada maza aaye.. ;)
Bas wahi dhairye banaye baithe hain.. warna chanda mangenge... :redface:
Actually aise psychological fantasy stories pe jaha baaki ke themes bhi add ho wahan asal mein villain koun hai yeh pata lagana muskil hai... kabhi kabhi lage sab bharam hai to kabhi lage ki lead characters hi villain hai ya phir kabhi lage ki villain parde ke piche chup ye sab kar raha hai to kabhi lage paranormal ghatanaye hai....
Actually ye ek tarah se googly ball hai writer ke taraf se readers ke liye... :D
Apne google wali baat keh kar dil jeet liya :D
Sabhi kirdaar epic the :adore:

Kiska supriya ka ya phir aap ka :lol:
aur ye jag jahir hai ki ju ki chaheti hai supriya :D jaise ki, jaise ki tharki malini thi :roflol: aur ye sabhi jante hai ju apni chahetiyo ko protect karte aa rahe hai hamesha se hi.. har lamha, har pal :lol1:
Vo aap khd hi decide kar lena ki kiska madalna hai... :D
Harshit sahab ke total post - 75
.
.
My reviews - 136 :smarty: :iambest::iambest::iambest:
A reader which is not forgetable :bow: :adore: :adore: U r the best reader XF has found... :superb:
Who is this aaksah bro... Aisa thode na hota hai... Ju Harshit saar side hat jao... Main iss sale ka aaj katal kar dun...

Mr.Priest where are ju... Bhabhi chahiye to idhar ku jaldi aao, iss aakash ko raste se hata kar baad me dekhte hain ki kya karna hai Megha ka...
Apko pura mauka deta hu maar lo... :D
Jaan halakh me fasi hai yahan Supriya ki aur meri Megha pata na kise Yohan ke chitvan ka najara dikha rahi hai :(
To uske liye vo kaam jaruri hai na... :D
Maar hi dalte na bechari ladki ko... Na jane kaun se nakshtr me paida hui thi.... Kya karne jati hai aur kya ho jata hai Supriya ke sath abla bechari... Kitna tension agar koi taar hoti jo ki 5 cubik meter ki motai me hota to ju usse pressure daal'kar khinch'kar .0001 cubic mm bana diya aisa ki phoonk maro to hi taar toot jaye... Paap lagega paap... Jitna dar ke darshan karwa rahe ho Supriya ko ... Aur anth me un maa di putriyion ke haath paun ka brain haameoraige hi karwa dete... 8-10 sal tanu gange coma me rahti... Lekin udhar sab clear hai... Heyy bhagwan ye achhe logon ke sath hi bura kyon hota hai..

Waise sachi kahun to... It was fabolous.... Matlab shabd nahi mil rahe ki kya hi kah dun jo fear factors dale the bathroom me... It was awesommmeeee :bow: :bow: :bow:
Han bhagwan hamesha yahi kehta hai jo acha hta hai uski pariksha lo taki uski achai ki sachai bani rahi.. jo safal vo mauz katega aaj nahi to kal... jo nahi vo ladta rahega... Kosish kari thi bhai bas ek... Thank you so much :adore: :adore:
Mr.Priest bhau... Je girls hostel ka maza na liye to fir kuchh na liya ... :peep:
bulao bulao... Unki jarurat padegi aage :peep:
Reee tuuu marte kabeee naaa gayiii Supriyaaaa :cry: :cry: :cry: :cry:
Reeee tereeaaaa hearttttt failll kaheeee naaaa huaaaa :cry: :cry: :cry: :cry:
Reeee spriyaaa reee Supriyaaaa apniii hosteelll returnnnn maaaa kiiiii baattttt kaaheee naaaa maanniiii reee Supriyaaaa :cry: :cry: :cry: :cry:
Reeee padhhh rahaaa thasa tooo lagaa ki shradhhh kaa bhojjjj khaungaaa reeee Supriyaaaa... Kaminiiii kitniii shakttttt jaaannn jaiii reeee tuuuu Supriyaaaa :cry: :cry: :cry:
Bas bhai roo mat.. aage ke liye bacha kar rakho apne ansu... :D Kaam ayegi... Bahut jada sakht jaan hai vo... :D
Aaj se iska bhi maza liya jyega 😋
aao aaaao :welcome1: :vhappy1:
Abhi yha tk pahucha jaye phir ise launde ka bhi jugad kiya jyega jo hone wali maal pr nzar daling :dwarf:
:D
Usko jad se ukhad fekne ka... Jaldi aao Pakiya bhau... Apan idhar akela hai aur hariya kaka ne bahut dich kiya hai...

Pahle bola mere ku, update 11 ke baad batane to Megha ke liye role fix kar dunga... Update 11 ke baad 111 martaba bol chuka... Lekin fir bhi jabardasti...

Matlab wo aakash kah raha phone par shakal dikhane to to hariya kaka usse cleavase tak dikha raha .. :banghead: nainsafi ho gayi mere saath idharv
Are bhai... apan ka koi fault na hai... vo 11 se thoda jada ho gaya.. story lamba aur gehra ho gaya na.. Ab megha darlin :love: wahi karna chahti hai to apan kya kare :dazed:
Ek to girls hostel adhbhut
Upar se ise suggest krne wale adhbhut
Likhne wale or bhi adhbhut
Ab itni adhbhut cheezo ko koi kese krke miss karega
Thanks bhai.... :bow: :bow: :welcome:
Bilkul miss na karne ka ragish bhai... Yun to likhne me inka koi jawab nahi lekin shabdon se jo fear factors dikhate hain...

Khair ju redooo aur enjoy karo...
:adore: :adore:
Btw harshit1890 sahab... next kis kirdaar ki maut hogi :?:
wo kya hai na 20 update ho gaye par abhi tak bas ek kirdaar Nashedi tanu ki hi maut huyi hai..
haalaki dono ravina ki maut ho chuki hai par details thodi bahot hi diya hai apne..

So abhi jo hairangi se bhare mod aaya hai uske mutabik megha bhi shayad mar chuki hai.. wo bhi bahot pehle hi.. ab harshit sahab plz plz plz megha maut kis kaaran vash huyi hai uski details jarur dijiyega :lollypop:
aur haan, agar maut bahot hi dardnaak aur khaufnaak tarike se huyi hai uski to sone pe suhaga :popcorn: hai na harshit1890 sahab...
Madam kahani ke hissab se to sab ayega.. aur abhi tak jo nahi aya.. ab to vo bhi ayega... abhi kuch update aur... bas :D
OK read kerte hain
Wese ye to Sach hi kaha h apne
Kuch nahi,boht ziyada adhbut hota h,
:bow: :bow: :welcome:
 
🔥 Read Next Hot Story →
Discover more exclusive stories

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,138
16,143
219
harshit1890 harshu unkil je kya ho rela hai ,Ghodo ko nhi mil ghas or ye Aakash jaise kha rhe chyawanprash yha logo ko maal log ke darshan durlabh ho gye or ju ine Aakash jaiso ko cleavage tk dikhwa rhe aisi nainsaafi bardasht nhi ki jyegi :protest:
:roflol: :roflol: Bhai ghodo ki race mein ghode hi daud rahe hain. Nain Bhai ko first ana hai.. ab hum kya karein :D
harshit1890 saar :peep:

Saar I think yahan par typos hua hai... Chutiya ki jagah bhootiya ho gaya hai :?:
nahi typos nahi hai :D
Damn just the story i wanna read in midnight.. loving this thread
:bow: :bow: :adore: Thanks... and :welcome1:
:reading: opasnie-147
hmm... aaj kis kirdaar band bajayi jaye.. devil2
Sabhi ki :D
Nashedi ... Gaanja phoonk kar jab behosh hi hona tha tab iss bechari Supriya ko kaahe bulayi... Lagta hai aage ke update me pata chalega...

Waise apan ko ek baat khatak rahi hai... Kya 3rd ya 4th year walon ke sah par first year wale 2nd year walon ki lenge...

Ek baat aur khatak gayi ye Supriya hai kaun se year me abhi pichhle yani 12th update me to bechari apni dhalti jawani dekh'kar ro rahi thi sath me ye bhi kah rahi thi ki hostel aaye matr mahina din hua hai... fir uski juniors kaise hui komal and jo bhi baki ki 3 aur ladki thi..

Saar ji jarra mera ye confusion dur karo... Aur apne ko je bhi jawab chahiye ki how dare these juniors jo apne senior koi harka rahi hai... Supriya gange lekar aa ja... In juniors ko aukaad dikha de..
Ghanja nahi hai vo... :D yahi to galat femi hai.. vo maal hai... kabhi peena ho to batana ... bata dunga kaise banate hain :D first year.. aye hue time hi kitna hua hai... abhi ek mahina hi.. dhalti to reason tha na bhai... aage samajh ayega... supriya mein dum nahi hai... :D
Kaun se grah ki ye ladkiyan hain... Kahan se aate hain ye log :?:
matlab puri scene hi change ho gayi hai... matlab ab tak jis girls hostel ke bare mein hum padhte aa rahe the wo mahaz ush hostel ka atit tha... kabhi us hostel mein bhi ladkiyan rehkar college mein study continue karte the, kabhi us hostel mein bhi sahal pahal hoti thi.. lekin abhi bas ek jarjar purani building ki tarah waha khadi hai...
lekin yahin pe ek sawal aaye ki jo hum padh rahe the kya wo aaruhi ke visions us hostel ke atit ko leke...
Btw ye chaar ladke ladki hai koun... aur kaha se aa gaye story pe :mad:
in chaaro ki bhi aisi ki taisi kar deni hai aage chalke meko :chop:
aur yeh gaggan... pagal kahi ka.. itna jor se koi chillata hai kya? aur bhaag to aise raha hai jaise kisine iske pichhware mein fatake lagake jala diya ho :mad:
Darpok kahi ka :chop:


are yaar baaki suspense ek taraf aur is haramkhor gaggan ka gala fad ke chillana ek taraf... kasam se agar koi bhoot ya bhootni waha hote bhi to iski chillane ki awaz sun ke hi bhaag jate..

aur wo torch...
Uska bhi kya kehna.. bin pende ka lota ban ke kabhi idhar ludke to kabhi udhar aur gana gaye - Main aisa kyun hoon
Main jaisa hoon,
Main vaisa kyon hoon
Karna hai kya mujhko,
Ye maine kab hai jana
Lagta hai gaoonga,
Zindagi bhar bas ye gaana
Kabhi on ho jau to kabhi off
Kabhi idhar ludku to kabhi udhar
Hoga jaane mera ab kya..
Koi to bataye mujhe...
Gadbad hai ye sab kya...
Koi samjhaye mujhe....... 🔦 :lollypop:

lo jee ek nayi kirdaar.... ab ye maanpreet koun hai :mad:
Lage ki gaggan ki gf hai... Khair uski bhi aisi ki taisi :chop:
aur ye jung khaya hua Darwaza... aaain apne ap kaise band ho raha unlogo ke nikal jaane ke baad...
Totally golmaal hai...
:lol1: log samjhe udhar bhootni hai par baad mein pata chale udhar to koi cycle chorni chudail hai :lol:




Are is story pe my all time favorite Nandini bhi hai :happy: :vhappy:
nandini hai to Nischal bhi aa jayega story pe as hero... hai na harshit1890 sahab :vhappy:

Khair.....
1) yeh log paas hi kisi hostel mein rahkar padh rahe hai....
2) sabhi students ko sakhth manahi hai paas ke bhootiya hostel mein jaane ki..
3) phir bhi aarohi gayi udhar.. wo sirf aaj hi nahi balki bahot pehle se jaa rahi hai wo raat beetane ke liye.... big question yahi hai ki akhir kyun..... roommate hote huye bhi srtuti ne ushe Roka kyun nahi....
4)
kya pata hai? Bolte bolte kyun chup ho gayi shruti :huh:


Koun yahan nahi hai? aaruhi nahi thi se matlab.... :huh:
To kya Supriya, megha ya tanu mein se koi thi :huh:

Ya to gehra Nata hai us girls hostel se...
Ya phir jo bhi ho raha tha us hostel mein sab mahaz ek illinois hai aaruhi ki...
.......
Oh ho oh ho... dekho to writer sahab ko akhir chaal chal hi diya supriya ko bachane ke liye :lol: par harshit sahab us nibbi supriya ko bachane ke chakkar mein supriya ko hi atit bana diya :lol1:
Ab mari huyi kirdaar ko aur kya roast karna :D
Khair....
par Abhi bhi bahot saare sawal hai..
Let's see what happens next
Btw update sachme super se upar tha bole to
20210404-162440
Brilliant update with awesome writing skills harshit sahab :yourock: :yourock: :yourock: :yourock:
Apne itna gazab reply liya hai ki kya hi kahun... lekin usme jo sawal dale hain unka jawab nahi de sakta filal mein abhi... Kun ki vo de diye to ane walle update ki kahani ke bare mein jikar ho jayega jo mein dena nahi chahta... :D
Darta to har koi hai.. bas ye hota hai... jo dar apna bahar nikal deta hai, gaggan usi mein se ek hai... :D
Kahani mein koi hero hai hi nahi naina ji... :D Har kahani mein hero ho aisa jaruri thodi hai... :D
Ab jo apne 4 swal kiye fr supriya ko include kiya.. uske bare mein abhi nahi bataunga.. kyun ki next update mein ayega.. vo apko khud hi bata dega.. :D
Thank you so much naina ji.... :adore: :adore:
Ghani dukh ki baat hai....lagta hai us kulta imli ne kuch zyada hi Kala jadu kar diya hai hamare nainu saheb ke upor :lol1:
इसलिए इसलिए
ये भटकाव अच्छा नहीं इश्क बुरी बला होती है लग जाये तो आसानी से पीछा नहीं छूटता। हम आपको मना तो नहीं कर सकते पर इतना जरुर है की प्रीत का स्वाद जो चखा जुबान ने फिर बेगाने हुए जग से समझो..... :lollypop:
Btw I blame hawasi tharki apsyu :popcorn:
harshit1890 sahab ji isliye nischal ko is girls hostel story pe as a hero add kijiye :D
First of all i dont even know u forget friendship nd second thing is i nvr mentioned my story or anything in any of the thread..i just read the story on suggestion of few people in forum
Haan to harshit saheb...
1) kya sachme astitv mein the saare kirdaar jinki jikar aapne abhi tak ki hai is story pe....
supriya, megha, tanu, komal, kaamini and all...
ya warden Shailaja, jaggu ya sonu etc. kya inlogo ka astitva tha? ya ye just illusion hai aaruhi ki?
2) agar astitva tha to kaha hai wo log abhi? Kya kar rahe hai wo log abhi?
3) baat 8 saal pehle pe atki hai....
ravina ki maut huyi thi 8 saal pehle...
abhi aaruhi & friends group bata rahe hai 8 saal se wo girls hostel bandh hai?yahan pe theory dagmaga jaaye kahani ko leke.... iska kya nishkarsh nikale hum? Matlab present ke hissab se dekhe to is hisab se hostel wali ravina ki maut 16 saal pehle huyi thi...
4)kya koi connection hai 8 saal pehle ghati ghatana se aaruhi ki.... kya connection hai? aur kyun aur kis liye connection hai?
5) sab kuch jaante huye bhi kyun nahi Roka aaruhi ko waha hostel mein jaane se uske friends? kya uske friends hi asli dusman hai?
6)

matlab saaf hai shruti supriya ya megha ko bhali bhaanti jaanti hai.... Lekin kaise?
Aur sawal hai....
jab wo tharki aaruhi & chillar gang bhag jaane ke baad hostel ka Pramukh Darwaza kisne bandh kiya tha?
Koun hai wo?
torch ko magnet se koun idhar udhar ludka rahi thi? koun hai woh?
ya phir Darwaza bandh karne wala ya wali aur torch ke sath ched khani karne wali ya wala ek hi person hai?
aur bhi sawal hai..
lekin pehle in sawalon ko clear kijiye...
Sabhi sawal sahi hai.. par jawab mein apko nahi de sakta... theorytical kahani ek aise phase mei hai jo kahani ka shuruwati part nahi hai... bas itna hi bata sakta hun filal :D ye baat hamesha se kahi thi kyun ki college ke bare mein kuch malum hi nahi chala tha isme.. ab kuch aisi baat ayegi samne jo apke sabhi sawalon ka jawab de jayegi...
gajab ka update ..to kya jo supriya ki kahani chal rahi thi wo past tha us hostel ka .

aur ye aaruhi kuch dino se roj us band pade hostel me jaake soti hai .
ye gaggan to ekdam ghatiya aur darpok kism ka hai 😡😡.
pehli torch bhi girayi aur baadme dusri bhi ,itna jyada darpok ke haath me torch denewala vishal bhi bewakoof hi hai 🤣🤣🤣..
Bhai past tha ya kuch aur ab ye to aage kahani hi apko batayegi... :D Bhai aise mahol mein jao khud dar jaoge :D
jise ham reality samajh rahe the supriya ki kahani ko wo ek illusion tha 🤔🤔🤔🤔..

kya agar wo hostel band pada hai bhutiya afwaah yaa sach ki wajah se to supriya aur megha maari gayi hai waha pe 🤔🤔..yaa supriya ab bhi jinda hai .
Ab ye to apko aage hi pta chalega...
Bilkul padenge bhai jab aapka hi recommendation hai aur sone pe suhaga ye jo writer hai na ye bhi apne khas hi hai 😀😀
Aao aao aao :D

:welcome:
What a beautiful story !
ऐसी कहानी लिखना सब के वश का नहीं है । सस्पेंस , थ्रिल और हाॅरर से भरपूर स्टोरी ।

अब कहानी आठ साल बाद चली आई है । आठ साल पहले सुप्रिया को गर्ल्स हॉस्टल में अपने रूम के अंदर मेधा के तेजाब से जली हुई क्षत विक्षत शव को देखकर मूर्क्षित होने पर खतम हुई ।

आठ साल बाद आरोही के उसी गर्ल्स हॉस्टल में सुप्रिया के उसी रूम में जाने के बाद उसके बेहोश होने से शुरू हुई ।

इस अपडेट के लास्ट दो सेन्टेंस का मतलब समझ में नहीं आया । श्रूति के कहने का तात्पर्य क्या था !
" वो आरोही नहीं थी मिस " समझ में नहीं आया । कौन आरोही नहीं थी ?
और उसकी बातों से लगता है कि आरोही का भुतिया हास्टल में जाना पहली बार नहीं था । मतलब इसके पहले भी वो वहां कई बार जा चुकी थी ।

" कालेज ने उन बच्चों को मना किया है जो यहां आए हैं....." इसका मतलब भी समझा नहीं ।

क्या ये सभी किसी पिकनिक ट्रीप पर आये हुए हैं जो भुतिया हास्टल के करीब था ?

अभी तो इस अध्याय का पहला अपडेट है इसलिए घटनाओं पर नो कमेंट्स । लेकिन जैसे जैसे अपडेट आगे बढ़ते जायेगा वैसे वैसे कुछ बातें समझ में आने लगेगी । और तब शायद समझ में आए कि आठ साल पुरानी घटना से इसका क्या सम्बन्ध है !

बहुत बहुत बढ़िया अपडेट हर्षित भाई ।
जगमग जगमग अपडेट ।
Thank you so much bhai :bow: pehli line likhi na apne.. beautiful story.. ye chiz dil se nikalti hai... chahe vo aap kaho ya koi bhi... aur us ke liye dhanywad... :bow: apne review mein vo batein likh di hai ki agar mein bataane gaya to story ka next update khul jayega isliye mein apke jawab update mein hi dunga... Pehla update tha isliye vo sirf ek glimse tha kahani ka jo apko major theme par le aya... Bahut bahut shukriya bhau :adore: :adore:
ye update shayad padha nahi tha ...supriya sapna dekhti hai ki usne tanu ko maara ..
aur khidki par saaya bhi dikhayi diya usko ..

mast update 🤩🤩..
mahaul kaafi darawana tha ...
reverse mein chle gaye bhai aap :D Thanks bhai :hug:
ab pata chala ki supriya ne megha ko bhi mara hua paaya ,,megha ki body aadhi kankal bani huyi thi .

par supriya ka pichha kaun kar raha tha 🤔..
Supriya .. ya fir... :roll:
supriya se badla lene tanu usko koi nasha karwati hai aur phir bathroom me chhod aati hai aur wo kuch minutes ki recording bhi tanu ne hi mitayi hogi chhedchhad type kuch ..

par supriya us kamre me akeli sex ka maja le rahi thi 🤔🤔🤔. kamal ki style hai uski 🤣..

megha ne 2 baar call kiya par supriya ne uthaya nahi shayad megha ko uski jarurat thi tab 🤔🤔🤔..
ye apko sab samajh ayega... ki kya hai... :D
aaruhi bhi dimagi marij hai ya uske ander supriya ki aatma aa gayi ho 🤔🤔..

last line jab aanke band hone lagi tab kisika kehna ki ye bhutiya hostel me aayi .
Tab vo insan gaggan tha jisne ye baat kahi thi. :D
 
Top