• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Update ~~ 119
{ The Illusion & The Reality }


" wake up - wake up.. girl... reality main ane ka samay ho gaya hai.. "

Aaruhi kuch behoshi ki halat mein rahi fir dhime-dhime uske sharir mein thodi hachal hui, ankhon ke aage se andhera hatne laga aur uski ankhein puri tarah se khul gayi. Hosh mein atte hi sar ke dard ne use jakad liya aur usne sar uppar ki taraf utha diya. Samne ukhdu hokar shruti uske baithi use nihar rahi thi.

" there she is.. meri darling aaruhi. Welcome to the reality " Shruti ki baat sunte hi aaruhi ne thoda aage badhna cha lekin tabhi hathon mein bandhi chain ki awaz ne uska dhayan us taraf moda. Vo ghutne ke bal jameen par baithi thi aur dono hathon mein bediyan lagi thi jo deewar se kasi hui thi isliye vo aur aage nahi jaa sakti thi. Use ek pal samajhne mein laga ki akhir uske sath kya ho raha hai. Sar ke uppar pila bulb 'jarrr-jarr' awaz karte hue jal raha tha jiski roshni kuch hi hisse par padh rahi thi baki jagah par andhera majud tha. Usne shruti ki taraf dekha jo apni jagah se ab khadi ho chuki thi.

" pehli mulakat ke baad shayad ab mil rahe hai hum log reality mein " shruti ne muskurate hue kaha.

Ek dafa vo shruti ko yun hi dekhti rahi aur uski baat ne uske dimag par hamla sa bol dia jise use yaad aaya ki vo ise pehle kahan mili thi. Us din jab vo khandar se hote hue bangle mein pahunch gayi thi. Jab vo bangle ke ek kamre mein palang ke niche thi tab use bahar se kisi ke chalne ki ahat sunai de rahi thi aur dhire dhire uske kareeb atti jaa rahi thi. Vo janti thi ki vo per uski taraf hi badh rahe hai aur fir theek palang ke samne aakar ruk gaye. Uske dil ki dhadkan samundar ke ufaan ki tarah ho chali thi. Bangle mein ghup andhera chaya hua tha isliye kuch bhi dekh pana namumkin tha ki achanak se us shaksiyat ne palang ke niche jhanka aur uske peron ko kass kar pakda aur vo chikkhi. Uski cheekh gunji aur vo zameen se ragad khate hue bistar ke niche se bahar aa nikli.

Uske bahar nikalte hi asman mein zor-dar bizli kadkdai aur khidki se ati roshni ne uske samne khade shaks ke chehre ko cham-chama diya.

" k...kaun ho tum.. " aaruhi ne uth kar bhag jane ki kosish ki par usne use piche se dhaka de diya jiski wajah se aaruhi apne uppar kabu na rakh saki aur sidiyun se gir kar behosh ho gayi.

Aaruhi ko yaad aa gaya tha ki ye wahi hai jisne us raat bangle mein use dhaka diya tha.

" very good jo tumhe yaad aa gaya warna tum mujhse aage ki kahani kaise samajh paati " shruti ne jaise aaruhi ke man mein chal rahi baton ko bhanp liya tha.

" kya chahti ho tum mujhse "

" Jiske liye tumhe zinda rakha hua hai. Warna tumhe kya lagta hai kya mai us raat tumhe maar nahi sakti thi? Vo bhi ye jante hue ki tum kis maksad se wahan ayi thi? "

" mera koi maksad nahi hai "

" Oo Aaruhi... my sweet friend.. tumhe kya lagta hai mujhe kuch nahi pata. Pichle 10-12 dino mein tumne mujhe bahut kuch bataya hai .. kya tumhe yaad nahi hai? " shruti ka chehra khil-khila raha tha.

" 10-12 din " aaruhi asmanjas mein boli " mai yahan 10-12 din se hun aisa kaise ho sakta hai .. mai to abhi apne ghar mein thi na? " aaruhi ke mathe par bal chada hua tha. Uski memory hisson mein batti thi jiski wajah se vo shruti ko jaan nahi paa rahi thi wahin dusri taraf use uski jhalak jaise ek parchai ke roop mein yaad bhi thi.

" Itne din se illusion mein rehne ke baad reality ko face karne mein waqt lagta hai darling " shruti ne aaruhi ke chehre par ungli ferte hue kaha.

" mujhe kuch samajhi nahi "

" sab samajh ayega, dhire-dhire tumhari memory ko tumhare illusion se jodungi to sab kuch yaad ane lagega " shruti aaruhi ke chehre ko ched rahi thi jispar aaruhi ne apna chehra hata liya jise dekh shruti muskura di aur usne aaruhi ke chehre ko kas kar apne hathon se daba liya.

" Ye jism bahut najuk hai aaruhi isliye utna hi akad dikhana jitna mai jhel paun warna tumhe marne mein ek pal nahi lagaungi ... " shruti ne aaruhi ko chhoda aur uth khadi hui. " Par use pehle tumhari hili hui yaadash ko tarotaza karne ka waqt aa gaya hai. " shruti piche gayi aur bulb ki roshni se dur ho gayi. Aaruhi us taraf hi dekh rahi thi jahan vo gayi thi ki tabhi aaruhi ki dayein taraf peela bulb jal utha aur uski roshni se ek pal ke liye aaruhi ki ankhein chaundia gayi par agle hi pal usne wahan dekha ki kalli padi deewar ke sahare koi baitha hai.

Dono hath chain se bandhe hue, ghutno ke bal baitha hua, uske sath uske galle ko bhi chain se bandha hua tha. Vo ek pal ke liye us insan ko dekhti rahi. Uska pura chehra halki mitti se sana hua tha aur mathe, gardan par khoon ke dhabbe the. Isi ke sath ek aur peela bulb jala to use thodi dur par ek aurat pet ke bal laiti hui mili jiske dono hathon ko bandha hua tha aur per chain se bandhe the, chehra dusri taraf tha isliye usko pehchan pana namumkin tha.

Aaruhi un dono ko dekh kuch soch pati use pehle samne ek bulb aur jal utha aur dusri chor par shruti use khadi dikhi jahan dekh ye samajh aa gaya tha ki vo kisi khandar jaise hall mein hai jo kafi bada hai kyun ki jis jis jagah roshni thi wahan saaf dikhai de raha tha baki sab jagah andhera tha, uppar se kali padh chuki deewaron ne wahan aur andhera kiya hua tha.

" Ye log kaun hai.. jise tumne pakda hua hai.. " aaruhi ki awaz jada tez nahi thi. Use kuch jawab milta ek aur bulb jal utha aur aaruhi ne jab roshni ka picha karke us taraf dekha to paya ki wahan do palang rakhe hai jispar jo gaddhe biche hai vo puri tarah mitti se sane hue hai aur itne kharab the ki mano kai salon se yahan pade ho.

" yaad aya? hamare hostel ka kamra.. tumhara bistar " shruti ki baat sun kar aaruhi ko jaise ek jhatka laga aur mano uske dimag ne kuch jodna shuru kiya. Use yaad ane laga ki vo kaise baith kar samne wale shaks se batein kiya karti thi bas abhi us shaks ka chehra uske liye dhundla tha lekin shruti ki baat se use ye abhas tha ki vo wahi ladki thi jise vo baat karti thi. Hostel jaisa kamra .. in baton ne usko aur bhi kuch yaad dilaya ki vo isi kamre mein soti thi, padti thi. Sab kuch..

Aaruhi ka dimag us taraf samajhne ke liye tezi se daud hi raha thak ki ek aur bulb jal utha. Jahan par ek chota sa maidan bana hua tha. Mitti ka dher aur samne tuta hua jung khata hua, fatte net ka goal box. Aur sath hi mein ek ball jiski hawa na jane kab se nikli hui thi aur us ball ko ek murde ne pakda hua tha jiska sar pole ke sahare tha aur dhadh wahin gira hua tha, aise pada tha mano gardan ki haddi tut gayi ho.

" your playground... football bahut pasand hai na tujhe? " iske baad ek aur bulb jal utha jahan dekhte hi aaruhi ki ankhein khuli ki khuli reh gayi.

Nazara kuch class room jaisa tha, samne ek board tha jispar jalle lage hue the aur theek uske aage ek kursi rakhi hui thi jispar ek aurat bandhi hui thi. Chehra niche ki taraf latka hua tha aur hath par chain bandhi thi jise uski kursi se bandh diya gaya tha. Hath aur sharir ke kuch hisse par dhul lagi hui thi aur kapde kai jagah se fatte hue the, baal puri tarah se bikhre hue the. Theek uske samne kuch kursiyan rakhi thi jispar murda sharir pade the. Kalle pade hue sharir kisi ke chehre ka adha hissa khatam ho chuka tha aur sirf hadiyan nazar aa rahi thi to kisi ke pure chehre ka mans khatam ho chuka tha. Kayion ke hathon ki hadiyan hi bachi thi, jism par kapda to tha lekin tar-tar hua pada tha. Insani murda is behuda halat mein dekh aaruhi ki ankhon ko vishwas nahi ho raha tha. Uski ankhon ke aage sab kuch jaise yaad ane laga. Usne ek baar fir us aaur dekha jahan par vo do bistar pade the aur uske sath use hostel ka kamra yaad aya, vo playground yaad aya aur fir vo class yaad ayi jahan vo pada karti thi. Use dhire-dhire yaad ane laga tha jo uske sar mein dard kar raha tha. Use abhi vo kadiyan nahi mil rahi thi ya fir vo use samajh nahi paa rahi thi.

" Ye.. ye sab.. " aaruhi apne dimag par zor dalti utni hi peeda mein vo cheekh uthti. Mano dimag ke andar jo bhi yadein hai vo apas mein jud rahi ho to use kitni takleef jhelni padh rahi ho.

" aur thoda zor lagao aaruhi... tum sachai ke bahut najdeek ho ki vo hostel jisme tum reh rahi thi darasal to vo ye khandar hai jahan tum reh rahi thi. Vo classmate jinke sath tum padh rahi thi vo darasal yahi bechare log the jo pada karte the. " shruti ne murdon ki taraf ishara karte hue kaha.

" Vo playground jahan tumhe football khelna pasand tha aaruhi.. vo yahi hai.. aur ye dekho hamari favorite canteen jahan tum mujhe aksar le jaya karti thi kuch khane ke liye... " shruti ne itna kaha aur ek kone mein bulb jal utha. Ek canteen bani hui thi. Ek hissa jo jaal ke is taraf tha wahan par kuch table chair rakhi thi jispar kuch murda log baithe the aur puri tarah dhul mein sane hue the aur jaal ke dusri aaur sar par topi lagaya ek admi kursi par baitha tha jiska haal bhi baki sabhi ki tarah tha. Muh khula hua aur kali padi hadiyan. Tabhi us murde ke andar se ek kida nikla jise shruti ne turant pakda aur muh ke andar rakh kar chaba liya aur aise chabane lagi mano kitne dino se usne kuch khaya na ho.

" uhmm.. Yahin baith kar tum mere sath lunch karti thi " aaruhi ke samne jaise flashback aa gaya bas us flashback mein aisa andhera nahi ujala hua karta tha, canteen mein murdon ki fauz nahi balki asli log hua karte the aur shruti kide nahi balki samosa khate hue nazar ati thi par vo flashback jab reality mein badla to use yaad aya ki vo yahi jagah thi jahan vo shruti se baith kar batein karti thi. Samne rakhe murde se samose ka order diya karti thi aur samosa na hone ke baad khane ki sirf acting karti thi.

" Mai janti thi ki tujhe sab yaad ane lagega. Yahi to dosti hai hamari jo mujhe itni pasand hai. Kitni batein share kiya karte the hum canteen mein, hostel ke kamre mein. Mess mein.. " shruti keh kar dusri taraf ishara kiya jahan bulb jal raha tha. Ek chota si jagah jahan par lambi table aur seat rakhi thi, jispar kuch murda baithe the aur samne rakha tha ek chota sa tv jispar puri tarah se dhul jami thi.

" Yaad hai na aaruhi hum yahan par movie night manate the? Na tujhe kaise yaad hoga, tu hamesha movie night ka bol kar apne bistar par sone chali jati thi. Par khana tujhe bahut pasand tha dekh, vo plate main tune kuch din pehle hi khaya tha.. " udhar table par miti mein dhaki plate par kuch pada tha jiske uppar makhiyan aur janwar ghum rahe the. Aisa lag raha tha mano kisi ke mas ka tukda rakha ho.

Aaruhi ko ubkai si ane lagi, usne apni nazar fauran wahan se hata kar shruti par daal di. Use ab apni chizen yaad aane lagi thi jisme use ab yaad aa gaya tha ki vo insan jo uske samne khada hai vo use janti hai. Aur abhi tak use utna yaad aya tha jitna usme vo khud aur shruti involve thi, jaise jaise use flashback yaad aa raha tha waise waise use ye bhi yaad ane laga tha ki ye sab usne isi jagah par bitaya hai vo flashback ke color, jinda log .. ab is andhere kamre aur murda logon mein badal chuke the.

" that's good aaruhi.. now you know ki reality kya thi aur tujhe kya samajh aa rahi thi.. but isme tera fault nahi hai. Ye sab to maira hi diya gaya hai tabhi to jo mujhe chahie tha vo mila hai. Jo jo chiz mujhe chahie thi vo tune mujhe lakar de di. Han thodi bahut rukawat ayi lekin usko handle karna koi badi baat nahi thi. Handle mujhe sirf tumhe karna tha aaruhi kyun ki jo jawab tum dena hi nahi chahti thi use mujhe kisi tarah to nikalwana hi tha aur jaise maine aaj tak nikalwaye the waise mai tujhse bhi nikalwa rahi thi. Bas teri illusion ki banai kahani kuch jada hi mushkil thi samajhne ke liye uppar se tune apne sath in logon ko jo joda tha. Jinme se bechare kuch to marre gaye aur kuch tere sath yahin hai, ya yun keh lo unhe maine zinda chhoda hai taki tujhe yaad dila sakun.

Aaruhi jo abhi bhi puri tarah se sab kuch yaad nahi kar payi thi. Uska sar dard se fatt raha tha, sharir puri tarah se pasine mein latpat ho raha tha. Shruti us shaks ke pas ayi jiska hath per aur galla chain se bandha hua tha aur uske chehre par pani de mara. " Wake up wake up.. smarty boy.. " chehre par thanda pani padte hi uska chehra saaf ho gaya aur vo hadbada kar hosh mein aa gaya. Aaruhi ne jaise hi use dekha uski fade memory ki ek kadi jo abhi tak dhundli thi vo achanak se ubhar kar aa gayi aur uske sath usne jitne bhi kisse bitaye the vo sab yaad ane lage.

" Vishal.. " aaruhi use dekhte hi pehchan gayi.

" Wallah.. correct aaruhi.. Dekha mujhe jada time nahi laga tujhe yaad dilane mein. Mai to sirf vishal ko yahan lekar ayi thi par tune ise apni kahani mein khud add kar liya, manna padega tere illusion ko " shruti ne vishal ke balon ko ek dafa sehlaya aur wahan se hat gayi. Vishal 'unghh-unggh' kar raha tha par kuch bol nahi paa raha tha. Vo apni jagah se khada hone ki kosish karne laga par vo chain ke bandhe hone ki wajah se aisa nahi kar paa raha tha. Vo kabhi shruti ko dekhta to kabhi aaruhi ko. Aaruhi use dekh kar apne bikhre hue yaadash ke tukde jod rahi thi aur vishal use puri tarah judta hua mil gaya tha. Vishal ki vyatha ko dekh aaruhi ki ankhein bhar ayi. Vishal kuch kehna cha raha tha, uski ankhon mein ansu the lekin vo kuch bol nahi paa raha tha.

" bechara bol nahi sakta... Kya karti mai.. itne sawal karne laga tha ki gusse mein akar maine iski jeebh kaat di " shruti ki baat sunte hi vishal jor-jor se hunhar bharne laga.

' ungghhhh - ungghhhh ' vo itni zor se cheekh raha tha ki uske galle ki nase uska chamda faad kar bahane ko baithi thi. Uski ankhon mein shruti ke liye gussa saaf dikhai de raha tha.

" gusse se mat dekho mujhe.. mai tumhari jeebh wapis kar deti lekin vo to aaruhi kha gayi.. " shruti ne mess walle table ki taraf ishara kiya jahan par vo plate padi thi jisme vishal ki jeebh rakhi thi.

" aur meri kya galti hai.. jaruri tha tumhe us raat mera piche karne ki? Kyun aye the us din tum piche jab aaruhi yahan se bhag kar us purane girls hostel mein pahunch gayi thi. Nahi atte to tumhari ye halat nahi hoti.. " shruti ne vishal ki taraf mayusi bhara chehra bana liya. Vishal abhi bhi gusse mein use dekh kar hunkhare kha raha tha par fir thak haar kar vo wahin baitha ghurata raha.

" poor boy.. college mein kisi ko to patana hi tha na.. Socha tha fuck karungi par iska khud hi fuck ho gaya. Sirf tumhari wajah se aaruhi mujhe is jism ki tripti nahi mili. Bhagne ki kya jaruat thi tumhe us raat? tumhare bhagne ki wajah se ek to ye bichara yahan hai aur vo bhi .... aur to aur yahan se tum bhagi kaise mai to abhi tak iss baat ko nahi samajh payoi. Vo bhi itne heavy dosages ke baad bhi, aaj tak aisa nahi hua par tumne kar dikhaya isliye to tum special ho warna mai itna samay tum par barbad thodi na karti " jab aaruhi ne shruti ki baat ka koi jawab nahi diya to usne samne ki aaur ishara kiya.

" nahi pehchani ise? " shruti ne aaruhi ko dekha aur fir classroom wali taraf dekhne lagi " Oho iski to mundi niche giri hui hai.. uthaungi to na phechan paogi " Shruti ne us taraf jakar jaise hi chehra uthaya waise hi aaruhi ki aur ek kadi jud gayi jisne uski memory mein ek aur andherepan ki jagah bhar di.

" Miss. Nandini "

" Exactly aaruhi ek dum theek.. tu to ek dum kamal nikli yaar.. tu to reality mein bahut jaldi wapis aa rahi hai kuch log to marte dum tak nahi aa paye the par tu.. shabash.. i like it so much.. tujhe pata hai us raat inhone mujhe hostel se bahar tere koghasit kar le jatte hue dekh liya to mujhe majburan inhe bhi yahan lana pada. Lekin tune kya badiya se inhe apne illusion mein joda.. Maan gayi mai teri kahani ho.. tera inke liye itni chinta karna, Doctor alok aur waigrah.. waigrah... Waise ek baat batau, tere illusion mein tune mujhse jo detective giri karai bada maza aya aur sach kahun to mujhe tujhse umeed bhi yahi thi kyun ki yahi to tu karne ayi thi college hai na? " shruti ne ek sharart bhari muskan bhari mano usne aaruhi ki chori pakad li ho.

" Nandini ko lane ke baad maine uske bare mein thoda janna shuru kiya aur jab mujhe pata chala ki uska kisi Dr Alok se rishta tha. Jab ye baat maine tujhe indirectly puchi ki dono ke bich ka kya rishta hai to tune unhe apni kahani mein jod diya aur mujhe ek aur hi kahani dikha di. Masaledar ek dum sensual.. kamal ki writer hai tu " shruti nandini ke balon ke sath khelne lagi.

" majbut baal hai iske, khinch kar ghasitte hue layi thi jaggu ise par jadd se tutte nahi, hosh atta to inhi se puchti inke chakar ke bare mein thoda entertainment ho jata par ayega nahi heavy dose jo diya hua hai. Par chinta mat kar .. marungi ise bhi tere samne hi.. par abhi nahi.. abhi meri kahani aur sawal khatam nahi hue hai. Vaise bhi jis wajah se tujhe zinda rakha hai vo bhi to pura karna hai na " shruti ki baat sun aaruhi ne apni nazar nandini se hatai aur zameen par padi aurat ki taraf dekhne lagi jiske bare mein abhi tak kuch pata nahi chala tha.

" chinta mat kar.. thodi der mein ye bhi pata chal jayega tujhe ki ye kaun hai.. " shruti ne uski nazron ko pakadte hue kaha.

" tum aisa kya khoj rahi ho jo tumne ye sab kiya "

" khoj mai nahi .. khoj to tum rahi thi na aaruhi? " aaruhi shruti ki baat par kuch nahi boli. Par aaruhi abhi bhi kuch kadiyan jod nahi paa rahi thi. Vo apni memory mein kuch chizen miss kar rahi thi.

" tumne ye sab kaise kiya.. mai aise kaise kar sakti hun.. aur tumhe maine aisa kya dia jo tumhe khud nahi mila? " aaruhi ne apni uljhane dur krne ke liye sawal kiya.

" Good question... par ek minute.. " vishal jo abhi bhi chatpata raha tha apne aap ko chudwane ke liye par kuch kar nahi paa raha tha. Shruti ne wahan baithe ek murde ka hath uske sharir se alag kiya aur vishal ke sar par haddi walle hisse se do teen baar maara. Aaruhi use rokne ke liye chillai par jab tak vishal behosh nahi ho gaya shruti ruki nahi. Vishal ke mathe se khoon behta hua uski gardan se hote hue niche jaane laga.

" bas isliye nahi pasand mujhe tum.. shant nahi reh sakte .. aaruhi bhi to shant baithi hai na " bhaari sanson ke sath usne uske baalon ko hathon se nochte hue uske sar ko utha kar dekha jiski ab ankhein band thi. Usne apni sans chhodi aur apne bikhre baalon ko theek karte hue aaruhi ki taraf ghum gayi. " Han to kahan thi mai ? " shruti ko itna normal dekh aaruhi use bas dekhe jaa rahi thi.

" han.. to tumne mujhe vo diya aaruhi jiski mujhe bahut waqt se talash thi. Aur tum janti ho tumhare apne illusion ki dunia mein kisse mulakat hui meri.. " shruti dahiyne taraf andhere ki taraf pahunchi aur wahan ek aur bulb jal utha jiski roshni se aaruhi ne jab samne ka halh dekha to usko ubkai aa gayi aur vo is baar apni ulti ko rok na saki jo usne kafi waqt se rok rakhi thi.

Samne padi ek katti hui laash jiske uppar makhiyan 'bhin-bhin' kar rahi thi jiska dhadh ek taraf tha aur niche ka hissa us hisse se thoda dur tha. Hathon mein bediyan thi jo deewar mein fansi thi wahin per bhi chain ki bediyun se jakda hua tha aur us bich mein khoon ke talap mein sharir ke nagon ke tukde maujud the. Chehra jhuka hua tha isliye use dekh kar samajh pana asambhav tha ki vo kaun hai. Aaruhi ne ulti karte hue ek baar us taraf dekha jahan uske balon par uppar se pani ki bundein gir rahi thi, usne fauran apni nazar fer li. Aisa lag raha tha mano kisi ne dono taraf se us sharir ko itni majbuti se khincha ho ki uska sharir do hisson mein bant gaya ho.

" Waise to tumne kai aise logon ko joda like gaggan, vibhu, tanu, rachna, uski behen aur bhi kuch aise side character jinke shayad ab naam bhi bhul gayi ek baar laga shayad sab tumhare sath mile hai.Par jab maine thodi puch taach ki to mujhe kuch khas nahi mila par fir bhi unhe zinda chhodna mujhe sahi nahi lag raha tha. Isliye maine unhe marna shuru kiya, jaise tanu, kuch aur log jinse tumhari mulakat hui ek-ek kar sabko aur fir jaggu ko bhi. Sadly achi accomplise ban gayi thi meri, bahut kaam ayi vo bechari mere. Miss nandini ho, ya chahe lashon ko thikhane lagana ho vo sabme usne meri madad ki par na jane kyun vo baad mein darne lagi. Aur tum janti ho dar galti karwata hai jo mai mauka nahi dena chahti thi isliye maine use bangle ki chat se niche fenk diya aur janti ho maine pura khel aisa racha hai ki sab khatam ho jane ke baad naam pata hai kiska ayega? Tumhara aaruhi.. par chinta mat karo tumhe jail nahi jana padega. Kyun ki Murde jail thodi na jatte hai " shruti ne apni baat kahi aur laash ka sar uppar ki taraf utha dia.

" Par ye.. ye jab juda to kahani ka rukh hi badal gaya.. " uska chehra dekhte hi aaruhi chilla padi. Chehre ki halat behad kharab thi, ankhein puri tarah khuli hui thi jinhe dekh kar kaha ja sakta tha ki ant mein kinte dard mein raha hoga. Dono ankhon se khoon behta hua us nille padh chuke chehre par chipka hua tha. Chehra sadh jane ki wajah se kuch hisson se maas fatt chuka tha aur hadiyan dikhne lagi thi.

" Atharva urf meghnath... " shruti ne naam liya aur aaruhi uski ankhon ke aage sabkuch jaise samne hua vo ek-ek chiz aa gayi. Uski ankhein bhar ayi aur akhir vo ansu gir gaye.

" bas yahi.. yahi samajh nahi aya ki iske liye itna dard kyun? " aaruhi ne shruti ki baat ka koi jawab nahi diya lekin usne rona band kar diya tha.

" Ye alag raaz hai jiska jikar tumne kiya hi nahi, bahut kosish ki maine tum dono ka connection khojne ki lekin kabhi kuch mila nahi par ise tumhare bare mein pata tha kaise ye kabhi samajh aya hi nahi. Isko to mai kab ka maar deti aur maar bhi diya hi tha kyun ki ye mere raste ke bich mein aa raha tha aur iski khoj been ke dauran bhi mujhe pata chala ki ye 2004 ke batch ka hai aur behrupiya ban kar college mein hai. Bas do vajah se rukna pada pehla ye tumhare bare mein janta tha jo mere liye khatra ban sakta tha kyun ki tum mere sath idhar thi aur ye tumhe college mein khoj raha tha lekin ise badi wajah bi thi aur vo ye thi ki ise vo pata tha jo shayad mujhe hi malum tha. Aur mujhe ab uska fayda uthana tha un chizon ko hassil karne ke liye tabhi maine ise zinda rakha.Jiske baad isne us box ke bare mein bataya, mai samajh gayi thi ki ye bahut kuch janta hai aur mere liye khatra ban sakta hai, mai use ab khula nahi chhod sakti thi isliye box ke istemal ke bahane maine use bangle mein bulaya aur jaggu ki madad se use maine apne kabze mein le liya. Fir bas mujhe use tumhare sath jodna tha aur aage ki batein vo khud hi batata chal gaya. Remember ved sharma aur uski kahani? " shruti meghnath se thoda dur atte hue boli.

" Book of Hoax " aaruhi dhime swar mein bol padi.

" Excellent aaruhi.. tumhe ab sab yaad aa gaya hai. Sahi bola tumne.. vo book.. jiski mujhe khoj thi.. Book of Hoax " Shruti ki awaz jab thodi dur se ayi to aaruhi ne us taraf dekha. Samne podiyum rakha tha, shruti uske dusri taaraf khadi thi aur samne khuli hui rakhi thi ek kitab.

" Book Of Hoax aaruhi... " shruti ne kitab par hath fera jise uski chamak wahan felh gayi. Aaruhi ke aage vo sab jhalki aa gayi jahan us box ki madad se unhone shreyas aur uski kahani suni thi. Uske baad vo kitabein aur ved sharma ki ek kahani. Wahan se unhe milte clue jiske baad bana ek plan. Vo ship mein safar karke brazil, wahan se boat aur amazon ke jungle ka safar aur safar mein khojte hue us temple tak pahunchna aur temple ke andar milna. Uske illusion ke hissab se meghnath ki maut pani mein dub kar marne se hui thi par asliyat mein uski maut is khandar mein hui thi. Aaruhi ne sochte sath hi uski taraf nazar daudai aur uski ankhein fir bhar ayi.

" Dramatic maut deni thi vo bhi tumhari ankhon ke samne.. isliye bilkul usi tarah mara. Infact marte time tum dono ko dekh mera dil bhar aya. What a love story ? " shruti ne nak sikod kar shok manane ka natak kiya. Aaruhi ne uski baat sun apni ankhien band ki jise uski ankhon mein bhara ansu beh nikla.

" Tumne acha nahi kiya... " aaruhi ne shruti ki aaur dekhte hue kaha aur apne aap ko chhudwane ki kosish kari.

" I am really sorry for you my baby.. but mere pas no other option... Maira isko marne ke piche ka maksad sirf itna tha ki agar mai ise maar dungi to shayad tumse mujhe vo milega jiske liye maine tumhe apne pas rakha hai. Warna mai to tumhe iske sath hi maar deti par mai sahi nikli mujhe pata tha ki tumse mujhe jarur kuch milega .. aur dekho mai galat nahi thi, jo socha tha vo to nahi mila lekin use kahi jada badi chiz tumse mili jiske baad to meri khoj hi puri ho gayi aur salon ki mehnat puri hui " shruti aaruhi ke najdeek pahunchte hue boli. Aaruhi asmanjas mein thi.

" Mai janti hun tum soch rahi ho ki ye sab maine kaise kiya? Is book se mujhe kya milega aur sabse jaruri sawal ki tum hi kyun? sahi na? " shruti aaruhi ke samne thodi dur par alti-palti maar kar baith gayi.

" to suno.. Kahani thodi purani hai.. i mean chal to vo aaj bhi rahi hai bas uski shuruwat kuch saal pehle hui thi.. saal tha 1962, puri dunia mein jung ek aam baat ho gayi thi. Kab kaun kispar hamla karde ye tension bani rehti thi aur is saal do desh ki war ke baad is jagah ki khoj hui aur is kahani ki asli shuruwat "
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
15,594
32,095
259
romanchak Update. to bahut saare raaz saamne Aa rahe hai .par ye aaruhi ke illusion me Jaane ki kya kahani hai ye samajh nahi aaya??.

shruti ye sab kyu kar rahi hai iski asli wajah abhi Saamne nahi aayi ..
sabko shruti ne hi maara hai .par wo aaruhi ke illusion ka faayda kaise utha rahi thi ?.

aisa lagta hai wo amazon gaye hi nahi the bus wo bhram tha aaruhi ka ..kyunki vishal aur meghnath to pehle se bandi hai shruti ke paas ..

shruti ka character to bahut bada kaminewala hai ..lagta hai book of hoax bhi main nahi hai kuch aur hai jo shruti pana chahti hai .
ab ye war ka kya scene hai dekhte hai 🤔🤔..
 
15,594
32,095
259
kya aaruhi pyar karti thi meghnath se ..
khandar me aaruhi ko pakda shruti ne Phir Kya usko hipnotise kiya ?..
abhi wo main reason Saamne nahi aaya hai jiske liye shruti ne itne bade kaand kiye ..

aur shayad aaruhi ki maa bhi kaid ho shruti ke paas .

ab tak jitne bhi incident huye aaruhi ,vishal shruti ,meghnath jisme involved the wo sab aaruhi ka illusion tha .jab khandar ya us mahal me aaruhi gayi thi uske baad reality me kuch hua hi nahi 🤔..
 
10,132
42,570
258
दिमाग चकरा कर रख दिया आपने ! इस कहानी मे कब भ्रम की स्थिति पैदा हुई और कब रियल मे घटना घटी , समझ ही नही आ रहा है । मेरे कहने का मतलब कि आरूही कब इलूशन के स्थिति मे थी और कब उसके साथ वास्तविक घटना घटित हुई , यह अब हमे भंवर मे डाल रहा है ।
श्रुति मैडम इस कहानी की असल वैंप है , यह क्लियर है और " बुक्स आफ होक्स " पाना उसका टार्गेट था यह भी स्पष्ट रूप से क्लियर है पर इन सब का आरूही से क्या वास्ता !
मान लेते है आरूही के वगैर बुक्स हासिल करना उसके लिए काफी दुष्कर था पर इतने सारे लोगों को मौत के घाट उतार देना और वह भी अत्यंत ही वीभत्स तरीके से , यह कहां से तर्कसंगत है !

इस अध्याय से यह समझ आ रहा है कि आरूही जब पहली बार गर्ल होस्टल से पुराने जर्जर खंडहरनूमा होस्टल मे भटकते हुए पहुंची थी , वह वास्तविक घटना थी । उसके बाद वह वापस अपने होस्टल पहुंची थी वह भी रियल घटना थी । एक बार होस्टल के कमरे मे वह अपने पलंग के नीचे पाई गई थी वह भी रियल मे था । उसी दौरान श्रुति वहां उपस्थित हुई और वो पलंग के नीचे झांकी वह भी सच था ।
तो क्या उस घटना के बाद का यह सीन्स चल रहा है ?

एक चीज और कन्फर्म कीजिए कि अमेजन के जंगल मे जो कुछ हुआ वह कितना सच था ? क्या वो वास्तव मे वहां गए थे या यह भी आरूही का इलूशन था ?
क्योंकि मेघनाथ साहब की मृत्यु वहां पर तो नही हुई थी ।

होस्टल के बाथरूम मे , टेलीविजन के साथ अजीबोगरीब हरकतें , जर्जर होस्टल की ड्रग्स पार्टी शर्तिया इलूशन लग रहा है । लेकिन कालेज और होस्टल की काफी घटनाएं रियल ही लग रहा है ।
सच कहूं तो बहुत ज्यादा आपने हमे कन्फ्यूज कर दिया है । लगता है इस स्टोरी को एक बार फिर से पढ़ना होगा !

वैसे आरूही की माताश्री का क्या हुआ ? जब विशाल , मेघनाथ , नंदिनी , जग्गु , कैंटीन का बावर्ची , स्टूडेंट्स , होस्टल का वार्डन वगैरह वगैरह लोगो का दर्शन हो गया तब माताश्री दिखाई क्यों नही दे रही है ?

और सबसे बड़ा सवाल - आरूही से श्रुति क्या चाहती है ? आरूही के पास ऐसा क्या है जिसके लिए श्रुति उसके सगे सम्बन्धी और मित्र की हत्या पर हत्या किए जा रही है ?

एक सवाल और - यह " बुक्स आफ होक्स " क्या रियल मे वैसा ही है जैसा इसके बारे मे जिक्र किया गया है ? क्या इनका प्रेत से बातें करना भी रियल था ?

खैर , पहले स्टोरी पुरी हो जाए तब और कुछ डिस्कशन करेंगे ।

इस अपडेट के नजरिए से कहूं तो दुखद , हाॅरर , वीभत्स और रोंगटे खड़ा कर देने वाला अपडेट ।

जगमग जगमग अपडेट हर्षित भाई ।
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Review dekhne ke baad jaisa mera andaza tha wahi hua. Filal mai review ka reply nahi dunga. Next update ke baad dunga taki aap logon ka thoda clear kar sakun . Par mai janta tha yahi hoga.. par jitni kosish karke samjha sakta tha ki kya real hai aur kya illusion usme puri kosish ki. Kuch chizen bahut clear likhi hai ki illusion kya hai par han mai SANJU ( V. R. ) Bhai ki vyatha samajh raha hun kyun ki unhone kafi hadh tak chizen pakad li par confusion to hona hi tha... KEKIUS MAXIMUS bhai lagta nahi vo sach mein nahi gaye the, ek parah mein likha hai ki aaruhi sochti hai ki jungle vo temple sab yahi tha vo log kahin gaye hi nahi the. Baki mai samajh sakta hun kyun ki mai khud hi confuse tha, kafi editing karne ke baad ye sabse easy final version nikal kar aya. But wait for couple of more updates.. bhut si chiz clear hogi.. I will try to complete this story till thursday agar nahi hui to maybe fir kam se kam 20 din ka wait karna pdega.. :(
 
10,132
42,570
258
Review dekhne ke baad jaisa mera andaza tha wahi hua. Filal mai review ka reply nahi dunga. Next update ke baad dunga taki aap logon ka thoda clear kar sakun . Par mai janta tha yahi hoga.. par jitni kosish karke samjha sakta tha ki kya real hai aur kya illusion usme puri kosish ki. Kuch chizen bahut clear likhi hai ki illusion kya hai par han mai SANJU ( V. R. ) Bhai ki vyatha samajh raha hun kyun ki unhone kafi hadh tak chizen pakad li par confusion to hona hi tha... KEKIUS MAXIMUS bhai lagta nahi vo sach mein nahi gaye the, ek parah mein likha hai ki aaruhi sochti hai ki jungle vo temple sab yahi tha vo log kahin gaye hi nahi the. Baki mai samajh sakta hun kyun ki mai khud hi confuse tha, kafi editing karne ke baad ye sabse easy final version nikal kar aya. But wait for couple of more updates.. bhut si chiz clear hogi.. I will try to complete this story till thursday agar nahi hui to maybe fir kam se kam 20 din ka wait karna pdega.. :(
Eagerly waiting Harshit bhai.
Illusions aur reality me bahut jyada confusion ho gaya hai . :hmm:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Eagerly waiting Harshit bhai.
Illusions aur reality me bahut jyada confusion ho gaya hai . :hmm:
Ayega bhai samajh mein.. kaun si reality thi .. illusion to mai already bata hi chuka hun kya hai :D
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,705
150,392
304
First of all I'm not able to understand what's happening whatever I have understood I write it in my review :sigh:

Aarohi is in a ruin where Shruti has imprisoned her Shruti wants something through Aarohi for which she forced Aarohi to live a double life with the help of medicines one is the real world and the other is the illusory world of her mind which was created by Shruti herself so that she can get whatever she wants but what not been revealed yet and how my innocent Aarohi is connected :mad: to all this is also a question and maybe it will be revealed in next update. :approve:

Now as you said some scenes are from real life and some scenes are only in the mind of Aarohi but I am unable to understand what is real and what is illusion like the journey in the forest was only imaginary not real. :?: I have to read the story from the beginning maybe then I'll understand it. :banghead: I have another question in my mind, there are many reasons behind why Shruti killed the people related to Aarohi like Nandini madam saw Shruti taking Aarohi, Vishal also saw something due to which Shruti capture him but my question is why did she give them such a painful death. :?:


Shruti often used to say that Aarohi keeps missing from the hostel which means that maybe Shruti used to take her to this ruin :huh: Meghnath always used to say that Aarohi's life is in danger or she is going to die which means he knew that Aarohi has something which is a threat to her life but he didn't know that the threat is Shruti.

At the moment everything is incomplete so it is difficult to make any guess.

:dazed:
 
Top