• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:
10,132
42,570
258
शुरुआत मे यह कहानी ' गर्ल्स होस्टल ' की एक आम कहानी लग रही थी जहां रैगिंग , इश्क , प्रेम , नफरत , सेक्स , ड्रग्स वगैरह वगैरह सब कुछ मौजूद था । फिर शुरू हुआ इस कहानी के प्रमुख किरदार आरूही के बदले बदले विहेवियर , उसके मतिभ्रम , उसके बीमारी जैसे हालात से जूझने की ।
फिर इस कहानी मे ट्विस्ट आया सुपर नेचुरल जैसी शक्तियों का , अलौकिक सम्बंधित घटनाओं की । बाद मे साइंस की अबूझ पहेली इस कहानी का पार्ट बनी ।
एक कहानी के अंदर इतने सारे तत्व ! रीडर्स पढ़कर बगलें नही झांकेंगे तो फिर क्या करेंगे ! दिमाग का परखच्चा उड़ना ही था ।

जहां तक मुझे याद है इस किताब को खोलने की कोशिश अमेजन के जंगल मे भी बिल्कुल इसी तरह की गई थी और यह किताब वहां भी नही खुल पाया था । वहां पर यह कोशिश आरोही और श्रुति ने मिलकर किया था । शायद यह वही बुक्स ऑफ होक्स है जो आरंभ से ही मिस्ट्रीयस बुक्स बना हुआ है ।
एक बार फिर से आशंका जाहिर कर रहा हूं , अगर श्रुति को पहले से ही पता था कि इस किताब को ' कलि ' का कोई अंश ही खोल सकता है तब उसने स्वयं इस किताब को खोलने की कोशिश वहां पर क्यों करी ? वह यह अच्छी तरह जानती है कि उसका दूर दूर तक ' कलि ' से कोई रिश्ता नाता नही है , फिर भी उसने यह कोशिश करी ।
यह अब अच्छी तरह समझ आ रहा है कि श्रुति मैडम उर्फ महाजन मैडम यह जो कुछ भी कर रही है वह सिर्फ ' कलि ' को वापस अस्तित्व मे लाने के लिए कर रही है । ' कलि ' के दोनो नाजायज औलाद - कोक और विकोका - भी निस्संदेह उनके लिए अहम कार्यसूची मे है ।
आखिर कलि और उसके दोनो संतान से इतनी हमदर्दी किसलिए ? वह इन्हे अस्तित्व मे क्यों लाना चाहती है ? क्या मकसद है उनका ?
एक चीज और खटक रहा है । अगर आरूही मैडम कलि का ही अंश है तो यह कह सकते है कि एक तरह से कलि रूप्यकम आरूही के वंशज है और अगर वह वंशज है तो फिर आरूही की हत्या क्यों करना चाहती है ? कलि की लिगेसी का नामोनिशान मिटा देना किस लिए ?

इस अपडेट से यह भी मालूम हुआ कि उर्वशी जी आरूही की वास्तविक माता नही है । साथ मे यह भी मालूम हुआ कि वेद शर्मा साहब आरूही के वास्तविक पिता थे ।
यह फिर से एक नई बात पैदा हो गई । उम्र के हिसाब से वेद शर्मा आरूही के पिता नही बल्कि दादा या परदादा होने चाहिए । श्रुति मैडम उर्फ महाजन मैडम की उम्र देखिए ! और वेद साहब महाजन मैडम से भी अधिक उम्रदराज व्यक्ति थे ।
अगर फिर भी वेद साहब पिता थे तब इसका मतलब महाजन मैडम की तरह आरूही ने भी समय की चाल को रोक कर रख दी है । दोनो एक ही कालखंड के व्यक्ति हैं ।

श्रुति मैडम ने हैवानियत की सारी हदें पार कर दी । उर्वशी और विशाल की बर्बरतापूर्वक हत्या कर यह औरत अपने पाप के घड़े को पुरी तरह भर चुकी है ।
जैसा कि आरूही ने कहा - अब उसकी बारी है ।
वैसे भी आरूही के जबाव के वगैर हमारे लिए भी मुश्किल है इस मिस्ट्रीयस ट्रेजिडी को समझना ।

खुबसूरत अपडेट हर्षित भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट ।
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Okay Guys.... Here I come one last time... To be one of the best Story readers i have got... bec its been 4 years and i could not believe it ki itna samay lag gaya kahani ko khatam karne par lekin aap logon ne sath nahi chhoda.. so this is for you all my lovely and great peopless.... SANJU ( V. R. ) Aakash. Death Kiñg KEKIUS MAXIMUS

One last time... coming soon in some time....
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Update ~~ 123
" Energy "


" Mere pita Ved Sharma ek mythologist the jo sirf unhi kahaniyun mein sachai khojte the jiska astiv dunia nahi manti thi. Aur unki isi adat mein unhone shayad ek aisi khoj par paun rakh diya jo shayad insano ke sath srishti ke creator se bhi chupai gayi thi. Jiski khoj ke liye unhone sab kuch kurban kar diya tha, mera pura bachpan .. " aaruhi ek pal ke liye shant rahi.

" tumhe lagta hai mera janam कलि ki shaktiyun ne kiya par tumhe ye nahi pata ki mujhe apnaya creator dwara banaye gaye ek insan ne. Meri mom jab is seher mein ayi to unki mulakat mere pita se ek library mein hui jahan vo mujhe lekar jati thi aur raat bhar wahan padai karti thi aur usi dauran unhe mom se pyar ho gaya. Vo ek laute insan the jinhe meri mom ki baton par vishwas hua mere janam par unhone kabhi bhi unpar prashan chinh nahi lagaya aur mujhe apnaya. Aur fir unhone mom ko vo bataya jo shayad unhone use sab se chupaya hua tha. Vo aisi khoj mein lage the jiska astiv is yug se juda tha ya fir is pure sansar se aur vo yahi mante the ki unhe khud creator ne chuna hai. Jiske liye unhe sab se dur rehna pada humse bhi. Vo hamesha apni baton ka jikar chitti ke zariye kiya karte the. Har mahine ek chitthi taki hume pata ho ki vo sahi salamat hai. Vo hamesha kehte the ki unki chitti mein hamesha kuch aisi batein hai jisme unki khoj ki kuch sachai chupi hai. Likhne mein mahir the vo " yaad karke aaruhi ke chehre pe ek alag sukun tha.

" Samay beet raha tha, mera bachpan mom ne hi akela dekha. Pitaji sath reh kar bhi dur the lekin mom ke dil mein sukun tha. Vo aksar mujhe pitaji ki chittiyan padh kar sunaya karti thi aur mai bhi unme jaise kho jaya kari thi. Ek judav tha mujhe un chityun se shayad vo ek matr jariya tha unka aur mere bich ek connection ka. Saal dar saal bitte jaa rahe the, pitaji kabhi mujhse milne ate to kai baar kayi mahino mein atte fir vo mahine saal mein badalte gaye. Mai dhire-dhire badhi ho rahi thi aur chizen samajhne lagi thi. Mujhe bachpan ka vo din aaj bhi yaad hai, frawk pehen kar mom ki goad mein baithi pitaji ki ayi hui chitti ko mom ke dwara sunne ke liye utsahit. "

" Pitaji ne chitthi mein ye kaha tha ki gaon mein achanak pani ka is kadar badlav unhe kuch sanket de raha hai. Harr jivit vastu mara gaya, gaon ke bache hue logon ne us jagah ko khali kar diya hai aur sarkar ne kuch logon ko wahan ke nirakshan ke liye bheja hai par unhe umeed kam thi ki vo khoj payenge kyun ki aise halat sirf tab hote hai jab sristhi par koi sankat ane wala ho. Mythology ki kitabo mein hamesha se yahi likha aaya hai ki jab pani pine ki jagah zehar ban jaye, hawa sans dene ki jagah chinne lag jaye to samajh jana ki dharti par kisi aise jeev ki aghami ho rahi hai jo sab nasht kar degi. Unhone wahan jakar khud khojne ka faisla kiya tha .. par hum nahi jante the ki ye chitthi unki akhri chitthi hogi aur uske baad vo hume koi chitthi nahi likhenge. Mahine, saal mein badal gaye par kabhi koi chitthi nahi ayi aur na hi pitaji ka kuch pata chala. Mom samajh gayi thi vo kabhi nahi ayenge, unhone kosish ki unhe khojne ki par unka kuch nahi pata chala. Mom hamesha kehti thi ki mai bachpan se hi shant aur akele rehna pasand karti thi lekin is vakye ke baad mera bartav aur jada badal gaya. Kisi ne mere pitaji ko mujhse cheen liya tha, jiski chitti ko padne ke liye mein tarsa karti thi vo ab nahi ane wali thi. Vo pehli dafa tha jab maine us badlav ko mehsus kiya tha apne andar. Ek ajeeb si urja mano jaag rahi thi, utni samajhne ki umar nahi thi par fir bhi mai pitaji ki likhi gayi chittyun ko hi padhti rehti, har chitthi ke andar mai unki baton ko khojne ki kosish karti taki mai ek-ek kar sabhi chizon ko khoj paun jiske piche vo itne salon se daudte hue kahin dur chale gaye the. Din hafton mein aur hafte mahino mein beet gaye, maine un chittyun se kuch aisa hassil kar liya tha jise mai apne pitaji ko khoj sakti thi aur jab maine apni mom ko bataya to unhone mujhe in sab chizon se dur rehne ko kaha, unhone unki chittiyan tak jala di. Us din mujhe laga jaise mere pitaji ki yadein jala di gayi ho. Mai bahut choti thi aur meri umar ko dekhte hue mom ne ye kadam uthaya tha par vo tab nahi janti thi jo mai kar chuki thi. Un beete mahino mein maine kya hassil kar liya tha. Maine unhe fir samjhaya lekin vo nahi man aur ek fir ek din hamare ghar ke darwaje par dastak hui atharva ki jise tum meghnath ke naam se janti ho " aaruhi ne nazar meghnath ke mrit sharir ki taraf kar li.

" I am sorry.. mujhe maaf kar dena.. " aaruhi dhimi awaz mein budbudai, uska man fir uski halat dekh pasij gaya.

" Atharva...? yani tum use bahut pehle se janti thi mera shaq sahi tha.. lekin ye kaise ho sakta hai.. na vo to tumhara bhai tha na hi tumhara premi. Maine uski puri jankari li thi aur tumhara aur uska connection mujhe kahin se nahi mila .. " shruti bhauchaki aaruhi ko dekh rahi thi.

" Sahi kaha tumne, atharva na to mera bhai tha na hi mera pyar par uska rishta use bhi kahin jada uppar tha. Log aksar apni zindagi kisi pyar karne walon ke naam kar dete hai lekin usne to apni duniya hi meri wajah se chhod di thi aur usne kabhi uska gum kiya hi nahi. " aaruhi ne akhri dafa meghnath ko dekha aur fir shruti ki taraf dekhne lagi.

" Tumhe Atharva ke bare mein kabhi kuch mila isliye hi nahi kyun ki vo is world ka tha hi nahi " aaruhi ne shruti ke uppar ek visfot kar dia. Use vishwas nahi ho raha tha ki vo kya sun rahi hai.

" har baar tumne khud ko samay se uppar mana, tumhe kya laga sirf tum hi jo multi-world travel kar sakti ho? " aaruhi ne prashan chin laga dia.

" tum... " vo bas itna hi bol payi.

" han mai.. aur mujhe tumhari tarah kisi gravity aur space ki jarurat nahi thi .. mai khud mein saksham hun ... aur janti ho kyun ? kyun ki mujhe creator ne banaya hai jisne mujhe vo power di hai jo tumhare कलि ke pas kabhi nahi thi. Hamara sub-concious mind " shruti ko aaruhi ki baton par vishwas nahi ho raha tha, vo yahi soch rahi thi ki aaruhi ek kahani bana rahi hai. Aur kisi chiz ke liye bas uska time barbad kar rahi hai.

" Creator ne har insan ke andar subconcious mind ki takat di hai lekin aaj tak use koi uska istemal nahi kar paya kyun ki hum shayad uski energy ko transform hi nahi kar paye hai lekin maine us energy ko transform karna sikh lia tha, bachpan se hi ek power thi mere andar jo us energy ko mere subconcious se jod sakti thi, mano creator ne mujhe kisi khas maksad ke liye di ho. Isliye mujhe tumhari tarah gravity aur space time ki jarurat nahi thi, i have that energy jo pure bhraman mein maujud hai .. jo kabhi create nahi hoti aur na hi destory ho sakti hai." Shruti ab in baton ko inkar nahi kar sakti thi.

" Bachpan mein aisi koi power ka hona kabhi socha nahi tha par jab pitaji dur ho gaye to uska abhas hone laga. Jo energy mere bhitar thi uska agman hone laga mano mera mind mujhse har waqt kuch kehna chahta ho aur is wajah se shuruwati dino mein mujhe pareshan karne lagi thi. Mai isliye aur shant hoti chali gayi kyun ki har samay dimag mein kuch na kuch dikhta rehta tha. Aisa lagta tha jo mai samay mein jee rahi hun vo kai baar jee rahi hun aur kuch chizen unke hone se pehle hi mehsus ho jaya karti thi. Just like you said, time works different for different worlds.. " shruti ne kabhi aisa nahi socha tha ki use kuch aisa sunne ko milega jiske bare mein vo kabhi soch bhi nahi sakti thi. Ek mamuli si ladki ke muh se ye sab batein. Insan ke liye us energy ko contain karna impossible tha. Vo baaton par to yakeen kar le lekin aaruhi aisa kar sakti hai ye nahi samajh paa rahi thi.

" tum jhooth bol rahi hai.. Creator ke banaye hue insan itne saksham nahi hai.. Maine kai baar apne subconcious mind ka istemal karne ki kosish kari lekin kabhi kamyab nahi hui? tumhe kya lagta hai ye sab batein sirf tumhe pata hai. U can't channel ur energy.. jhooth bol rahi ho tum " shruti fauran aaruhi ke kareeb ayi aur uska galla daba diya aur itni zor se dabane lagi ki aaruhi ke per ladhkhada gaye aur vo ghutne ke bal ja baithi. Vo shruti ke hathon ko apne galle se hatane ki puri kosish kar rahi thi, uski ankhein baddi ho gayi thi aur dum ghutne ki wajah se uska sharir dhila padhne laga tha.

" mujhe bas ye batao ki kaun hai tumhari maa aur kahan hai vo.. i want her... " shruti gusse mein aaruhi ke pran lene hi wali thi ki tabhi use abhas hua ki agar vo mar gayi to usko jo chahie uske liye fir kai aur saal lag jayenge. Isliye usne use chhod diya aur piche ho gayi. Aaruhi ko jaise hi saans mili to vo zor-zor se sans lete hue khasne lagi. Uski ankhon se pani behne laga, muh se thuk nikal kar uske chehre par failne laga. Ek pal baad jab usne gehri gehri sansein khinch kar apne aap ko sambhala to vo fir shruti par hans padi, uski lachar avasta ko dekh vo apni hansi nahi rok paa rahi thi.

" tum mujhe maar nahi sakti ... ye majburi dekh khud ko hasne se rok nahi paa rahi. Jisne itne logon ki jaan li vo ab ek nihata insan ki jaan nahi le paa raha. Yahi kudrat ka niyam hai jo tum nahi samajh sakti " aaruhi dhire-dhire khadi hone lagi. Uski sansein tez chal rahi thi.

" Tum bilkul sahi keh rahi ho.. hamari body us energy ko channelize nahi kar sakti..usko bahar nikalna jaruri hai warna hamara sharir nasht ho jayega par kahani to abhi shuru hui hai " aaruhi ek kadam shruti ki taraf badhi.

" Kuch hafte mai behad pareshan rahi par fir pitaji ke chitthiyun ne mera dhayan apni taraf akarshit kiya. Mom un chittiyun ko jala chuki thi lekin unki yaad nahi. Maine pitaji ki ek-ek chitti jab-jab maine padi thi jis jis tarikh ki thi vo sab likhni shuru kar di. Mano vo chittiyan unhone nahi balki maine hi likhi ho is kadar mujhe vo yaad thi aur akhir maine vo sab likh di. Uske baad ghar ke kone kone mein unki purani kitabein, unki bich mein chupai gayi batein sab padni shuru kar di. Pitaji ke jane ke baad ka bachpan maine apne kamre mein hi beetaya. Mom ne kai baar mujhe samjhaya par mai aam bachon jaisi bani hi nahi thi. Vo mere liye chintit thi aur mai unhe apni batein bata nahi sakti thi kyun ki vo unhe kabhi manti hi nahi. Pitaji ki kitabein aur unme likhi baton ne mujhe ye samjha diya ki universe vo nahi hai jo hume dikhta hai balki vo hai jise hum dekh hi nahi sakte, samay vo nahi jo hamari ghadiyun mein hai balki samay hai jiski koi ginti nahi vo anant rekha hai. Dhire-dhire meri samajh samay aur multiverse ki taraf akarshit hota jaa raha tha. Us choti si umar mein jigasya ka bhav aur tab samajh aya ki hum creator dwara banaye gaye behad choti vastu hai. Yahi to pitaji batana cha rahe the jo vigyan manta hai aur kehta hai vo unke liye ek theory hai par asal mein vo ek sach hai jise hum insan abhi tak khoj kar paa nahi sake hai. Travel in multiverse but not in time "

" Pitaji ne bahut si batein apni chitthi ke darmiyan bhi kahi thi jo samjhni mushkil ho jati agar maine बहुविश्व ko mehsus nahi kiya hota to. Mai hamesha ye manti thi ki agar mai pitaji ke sath hoti to shayad unki raksha kar sakti thi, unhe har musbiat se bacha sakti thi par mai apni power jo abhi tak khud hi nahi samajh payi thi usko kaise isetmal karun? Pitaji ko kaise khojun? Par kuch powers ka istemal hume khojna nahi padta vo agar hamare andar ho to sahi samay par uska asar khud hota hai. Humara concious mind reality se sirf do hi waqt alag hote hai ya to maut ke waqt ya fir nind mein. Ek insan jab sota hai tab vo har reality ko chhod deta hai, uska mind partially dead ho jata hai par mera pura dead hone laga. Meri sari energy ek hi jagah kendrit ho rahi thi, mere sub-concious mind mein. Sub-concious mind mein enter hote hi aisa laga mano energy ke talab mein dhakel diya ho. I felt everything... i am me without my body. Ek pal ke liye laga tha mano mai mar gayi hun but tabhi body jaise us energy ko jhel nahi payi aur meri ankh khul gayi. Jab ankh khuli to paya ki mere sharir ke nichle hisse se khoon nikal raha hai. Mai us waqt nahi janti thi ki aisa kyun hua par baad mein samajh aya ki mai ab jawan ho rahi hun vo pehli dafa tha jab mere periods ne dastak diye. Baalon ke jhadne ke sath itni jada bleeding dekh mom ghabra gayi thi, medically meri umar mein periods ana kuch galat nahi tha par mom ke anusar abhi 4-5 saal the par unhe abhi bhi utni exccess bleeding ka hona samajh nahi aa raha tha. Par mujhe aa gaya tha, mai samajh gayi thi ki meri body kaise us energy ko channelize kar sakti hai " Aaruhi ne jaise hi shruti ko ye baat kahi to uski ankhon ke samne ek flashback sa daud gaya, jab aaruhi ko vo us raat wahan layi thi aur vo ghanto ke liye behosh thi jiske sath uski vo exccess bleeding jo use laga tha ki vo uske periods ki wajah se hai, usi ke sath uske baal aise jhade hue the mano kisi ke kaat kar wahan daal diye ho jise dekh use bhi hairani hui thi par kuch aisa hoga ye usne kabhi nahi socha tha.

" tum jo soch rahi ho vo ek dum sach hai, jis raat tum mujhe yahan layi thi us raat mein tumhare liye is reality ke liye to behosh thi par asal mein i was in some other world.. " aaruhi ki ek-ek baat shruti ko chubne lagi thi. Jise vo ek mamuli ladki samajh rahi thi jise sirf कलि ko wapis lane ke liye chuna gaya jiska ansh usme tha vo ye sab kar sakti hai.

" Mujhe nahi pata tha ki mai kab tak aisa kar sakti hun lekin us hafte har roz raat ko maire sath aisa hota, agle din subah behad matra mein khoon aur jhade hue baal bistar par mom ko milte. Unhone har test mujh par karwaye lekin mujh mai koi kami nahi nikli. Unki fikar ko dekh mujhe laga ki ab kuch waqt tak mujhe apne sub-concious mind mein nahi jana par use control karna sikh nahi payi thi. Par dhire-dhire maine use control karna sikha. Power ke sath responsibility bhi badh jati hai. Mai nahi chahti thi ki mom ko kuch malum chale isliye savdhani baratni jaruri thi. Ek choti si ladki itna sab soch rahi thi, janti ho kyun? Kyun ki hum apni energy se sikhte hai na ki umar ke badne se. Bas mere andar vo power thi jo aisa karne mein meri madad kar rahi thi. "

" Abhi tak mai un energy ko mehsus to kar sakti thi par us energy ka istemal sahi se samjhi nahi thi, us raat jab maine pehli dafa energy ki power se time mein pehli baar jhanka, i saw my dad. Unhone mujhe apni goad mein liya hua tha, vo behad kush the, mai unke pas jana chahti thi lekin nahi kar payi. Body abhi jhel nahi payi aur ankh khul gayi. Kano mein pani ke bund ki tarah tap-tap ki awaz aa rahi thi. Isi awaz ne mujhe bahar khincha tha. Sub-concious mind se bahar ane ke liye sirf ek awaz concious mind ko deni hoti hai aur bas ek baar concious mind jaag gaya to sub-concious tut jata hai. Hum reality ko us energy se ek sath nahi jode rakh sakte aur yahi ek control technique thi jo maine samajh li thi. Us raat maine jane se pehle do kaam kiye, ek aisi sheet bichai jispar khoon girne ke baad wahin ikhata hota rahe aur fir us matra ke baad vo fisalte hue palang se ek kone ki taraf jaye aur wahin rakhi balti mein girne lage jiske shor se mai apni reality mein wapis aa jaun. Maine ye anuman laga liya tha ki meri body mein blood level ka kitna ounce mein bahar nikal sakti hun jise mai blood ki kami se mar nahi jaun. Ise dusra kaam ye hua ki agli subah mom ko kuch nahi pata chala kyun ki khoon ke dhabbe aur mere baal wahan maujud hi nahi bache the. Ab har din mujhe utne ounce ka khoon produce karne lagi jitna mujhe har raat nikalna tha. Har baar mera sub-concious mind mujhe wahin le jakar chhod de raha tha jahan mere pitaji mujhe goad mein liye hue the, thoda aage jati to vo khel rahe hote. Har samay vo mere sath hi hote. Par aisa bachpan to mera gaya hi nahi tha. Mai soch mein padne lagi ki kya mai jo dekh rahi hun vo mera veham hai kyun ki mai aisa chahti hun dekhna? Iske alawa mai cha kar bhi kuch der mein hi reality mein wapis aa jaya karti aur ye ab mere liye chinta ban gayi thi. Par us din mai pitaji ki likhi kitabo mein likhi baton ko padh rahi thi aur wahan maine kuch aisa pada. Samay ko samjhna jhatil hai. Na samay kisi ke liye teharta hai aur na hi tehrega. Hum us samay ka hissa ban jate hai lekin use rok kar us hisse ko paa nahi sakte. Uski bhautik majudgi hamari urja ki wajah se hamare dimag ki koshikaon mein maujud rehti hai par vastivikta se mit chuki hoti hai par urja nahi vo khatam nahi ho barhal concious mind se ho sakti hai par sub-concious se nahi aur sub-concious ki urja ko rakhne ke liye samay ki reality ko tyagna padta hai. Vo hume us taraf le jata hai vo bhale hi us samay ki na ho par ek alag samay ki jarur rahi ho. "

" Is baat ne mujhe ye samjha dia ki jo mai dekh rahi hun vo mere is samay ki nahi hai. Vo ek aise dusre samay ki hai jo dusre dimension mein ghatit hui ho jahan maire pitaji ne mere sath bachpan bitaya ho. Yani mai is janam ke pitaji ke pas nahi jaa sakti. Par unki isi baat ne mujhe ek chiz sikha di wo ye ki agar mujhe dusre world ke time ko dekhna hai to is samay ki reality ko chhodna hoga. Us raat maine ye thaan liya ki mai wapis nahi lautungi jab tak mujhe kuch aisa nahi mil jata jo mujhe ye bata sake ki meri is power ka maksad kya hai. Maine wapis ane ka koi intezam nahi kiya aur us raat ab sub-concious mind ki energy ne maine travel kiya to vo dekha jo kabhi mehsus bhi nahi kia tha. I saw myself... everytime in every other world... maine pitaji ko dekha har baar aaruhi ke sath sivai mujhe chhod kar. Aisa laga mano vo is time aur world mein ab exist hi nahi karte ho. Is baat ne mujhe hila kar rakh diya, us dukh ne mujhe itna jhanjhod diya ki mai dar ke mare zor-zor se rone lagi. Aur fir meri ankh khul gayi. Mai kamre ke ek kone mein bina kapdo ke baithi roo rahi thi, dari sehmi si mano meri dunia nasht ho gayi ho. Vo pehli dafa tha jab mujhe kisi singal ki jarurat nahi padi reality mein ane ke liye, mera dar hi kafi tha. " Aaruhi ki baat sun shruti ko vo kissa yaad aa gaya jab aaruhi aur vo illusion mein the tab bich mein illusion tuta tha aur shruti ne aaruhi ko bistar ke niche bina kapdo ke baitha dekha tha aur vo kafi dari hui thi.

" Us raat ke baad maine thaan li ki mujhe ye janna hai ki mere pitaji ke sath hua kya ... aisa kya hua jo unhe is time ki existence se hi mita diya gaya. Aur tab maine wo kiya jise shayad aaj tak kisi ne nahi kiya tha.

" Yaad hai tumhe Atharva ne tumhe apne bachpan ki kahani sunai thi jisme usne kaha tha ki vo ek anath asharam mein tha jab usko shaurya mila. Aur agar tumne uski baton par gaur kiya hota to usne ye bhi kaha tha ki Shaurya ko usne kabhi dekha hi nahi tha aur fir achanak se vo roz dikhne laga "

" tumne shaurya ko... " shruti kuch bolti use pehle aaruhi ne hi jawab de dia.

" Shaurya nahi .. balki mai Atharva ko uske world se idhar le ayi thi "

" how is that even possible... " shruti ko aisa jhatka laga mano use us chiz ki kalpana bhi nahi ki thi. Bina kisi equipment ke ye karna namumkin tha.

" Possible? tumne wahi kaam Box aur gravity space time ki madad se kiya .. maine wahi sab sub-concious mind ki energy se. Kyun ki energy kisi bhi space time se bandhi hui nahi hai, vo kahin bhi jaa sakti hai. I use them my power.. travelled his world and bring him here. Atharva is world ke timeline mein exist hi nahi karta tha tabhi vo ek anjan tha is dunia ke liye. Uska shaurya se milna aur shaurya ke sath rehna sab kuch maine hi plan karke samay mein rakha tha. And you know time mein koi bhi chiz sahi jagah par rakhne par vo khud hi use aage badhata hai. Atharva se jab mai pehli baar mili tab tak pitaji ko gayab hue takreeban 4 saal beet chuke the "

" San 2003 jab meri use mulakat hui, yani bilkul sahi waqt jaisa maine socha tha ek dum usi samay par ... milte sath hi maine Atharva ko sab sachai bata di, sab kuch.. mai nahi chahti thi ki vo meri madad kisi andhere mein reh kar kare. Aur usne ek baar bhi ye sawal nahi kiya ki maine aisa kyun kiya, usne bina der kiye meri madad ke liye han kar di. Ab bas mom ko raazi karna tha aur humne mil kar unhe bhi kar liya. Us din mom ko pata chala ki mei kya kar sakti hun aur unhone mujhe wada kiya ki mai kabhi apni power ke bare mein kisi se jikar nahi karungi. Us saal se lekar Atharva pitaji ki khoj mein lag gaya ya fir unke sath kya hua ye janne ke liye bina apni parwah kiye aur usi dauran Shaurya ki maut ki khabar mili jika use kafi sadma laga tha, aunty ne apne dono ko kho diya tha. Pehle vandana aur ab shaurya "

" Shaurya vandana ka bhai tha? " shruti jaise chaunk gayi thi. Vo apne dimag par zor dalne lagi. " Yani urvashi ki tarah tumne yahan bhi ek sach chupaya ? "

" tumne wahi jana jo tumne mere illusion mein dekha. Tumne use jada janne ki kosish hi nahi kari. Tum apne maksad ke piche itna pagal thi ki tum ye bhool gayi thi ki jo tum dekh rahi ho vo tum nahi dekh rahi ho balki tumhe dikhaya jaa raha hai aur is kahani ki shuruwat to usi din se hui thi jab mai pehli baar us gaon gayi thi jahan se pitaji gayab hue the, us jagah ko to tum ache se janti ho na .. hai na? " aaruhi ki ankhon mein gussa aur dukh ek sath jhalak raha tha. Shruti ko ek hi baar mein puri kahani samajh aa gayi thi lekin vo bas isliye ruki hui thi ki vo uski mom ko khoj sake aur vo tabhi mumkin tha jab aaruhi apni kahani mein kuch aisa bata de jise vo use khoj sake.

" Shaurya ki maut ke baad atharva pitaji ki khoj ke sath shaurya ki maut ke khoj mein bhi jud gaya, uska manna tha ki shaurya ki maut koi sadharan nahi hai uske sath kuch hua hai aur fir vo saal aya jisne hum dono ki khoj ko ek naya modh diya. Pitaji ko gayab hue 10 saal hone ko aye the, San tha 2009 .. aur us samay Atharva ke hath laga vo gaon jahan pitaji aakhri baar gaye the. Bhandara .. "

" Bhandara gaon jiske bare mein pitaji ne jo likha tha vo bilkul sach tha, wahan koi nahi rehta tha. Pura gaon mano ek sunsan laash tha jahan ek parinda tak nahi tha. Mai unke kamre ko dekh hi samajh gayi thi ki vo pitaji ka kamra hai, deewaro par maps, chitr, kitabo ka dher. Atharva ne mere liye vo kar dikhaya tha jo mai nahi kar sakti thi. Vo kisi chiz ki khoj karte hue hi wahan pahunche the lekin kya vo abhi tak samajh nahi aya tha. Wahan hume kuch aisa nahi mila jo bata sake ki vo yahan itne waqt se reh kar kya kar rahe the jo ghar se kuch hi dur par tha. Vo ghar aye kyun nahi ? kis chiz ki chinta thi unhe jo wo yahan ruke hue the? Hum dono ne mil kar wahan khub khoja lekin sirf kitabon ke alawa wahan kuch nahi mila. Par fir meri nazar unke desk par padi jispar meri nazar pehle hi padh jani chahie thi ya padi thi to maine dhayan nahi diya tha. Table lamp ke piche rakhi ek chota sa frame jisme unhone mujhe apni goad mein liya hua tha. " batate hue aaruhi ki ankhon se ansu ka ek chalka chatak aya.

" Maine frame ko uthaya aur ab wahan se jane ka fiasla kiya kyun ki mujhe ab ise jada kuch aur nahi khojne ka dil tha par fir eka-ek mujhe yaad aya ki bachpan mein jab bhi mai apne super-concious mind se koi jhalak dekhti thi to yahi jhalak dikhti thi jahan vo aur mai hote aur unhone mujhe apni goad mein liya hota. Ye ek sirf sayong tha iske piche kuch mere liye tha jo mujhe samjhna tha. Maine fram ko palta aur use khol diya jiske baad usme se nikli ek chitthi. Pitaji mere liye kuch chhod kar gaye the "

" Pani ka zehar koi mamuli zehar nahi hai. Aisa lag raha hai mano talab ko jaan kar zehrila kiya gaya ho kisi khas maksad se. Maira yahan ana mujhe lagta hai koi niyati nahi balki jaan kar mujhe bulaya gaya hai. Aur ab mujhe lagta hai ki aisa kyun kiya gaya hai. Shayad use pata chal gaya hai ki maine kya khoj liya hai. Aaruhi beta, ye chitti sirf tumhare liye hai, mai nahi janta ki ab aage kya hoga lekin mai ye jaan chuka hun jo maine khoja hai use mujhe nahi khojna chahie tha. Mujhe use uski jagah par wapis rakh dena chahie, jo kitab khud creator nahi khoj paa raha tha use maine khoj diya vo bhi aisi shakti ke pas se jise creator nahi khoj sakta tha. Ye kitab kisi ke hath nahi lagni chahie aur mai ise uski sahi jagah par wapis rakh dunga taki koi ise khoj na sake. Par agar nahi rakh paya to wada karo ki tum is kaam ko pura karogi. Use pehle mujhe ye pata lagana hai ki akhir ye sab shuru kahan se hua hai taki mai pata laga sakun ki kaun hai in sab ke piche. Ye pani mein milaya zehar akhir kahan se aa raha hai. Yakeen mano ye zehar itna ghatak hai ki agar isne dharti par apni jagah bana li to samajh lena is yug ke ant ki shuruwat ho jayegi "

" hum dono is baat ko padh ye to samajh gaye ki pitaji ne vo khoj liya hai jisko vo kafi waqt se khojna chahte the par vo hume us samay kamre mein kahin nahi mili. Atharva ye manta tha ki shayad pitaji ne use uski sahi jagah par chupa diya ho lekin mera dil nahi maan raha tha. Vo yahi keh raha tha ki aisa nahi hua hai, unhone kitab chupai hoti to jarur uska jikar karte shayad vo abhi us samay ye janna cha rahe the ki talab zehrilla hua kaise aur tab atharva ki nazar deewaron par lage maps par gayi jispar unhone chitra banaye hue the aur usne us chitar ko mapna aur samjhna shuru hua. Talab piche se aa raha tha aur use raste se uske source par janch partal karte hue atharva jungle ke ek hisse mein pahuncha jahan shayad hi koi jata hoga aur wahan usne paya kuch aisa daldal jisne us puri jagah ko ghera hua tha aur usi daldal ke as pas ka rasta aisa kaata gaya tha ki vo dhire-dhire us talab mein jaa raha tha jisne use zehrilla banaya tha. Aur vo jungle bilkul theek us college ke piche tha jahan shaurya padha karta tha. Ek aur kadi jiska sidha taluk usi college se tha, pitaji ne ye khoj lia tha aur uske baad vo chitti ke jariye mujhe batate use pehle hi unhe.. " aaruhi bolte hue chup ho gayi aur shruti ko ghurne lagi.

" Jab har chiz ki suin college ki taraf rukh modh rahi thi to atharva ne bhi uski jankari lene ke liye college mein jana sahi samjha isliye saal 2010 mein usne wahan Meghnath naam se admission le liya aur jaisa usne socha tha kahani use bhi kahin jada khaufnak nikalne lagi. Wahan pahunch kar usne bahut si batein jaani, hostel aur college mein hui ghatnaye, kai ladkiyun ki rehasmye maut aur unka gayab ho jana. Jo baatein vo bahar reh kar suni sunai manta tha vo ab andar ek sach sabit ho rahi thi. Use ye pata chalne laga tha ki college ke kuch log drug ke bade mafia mein jude hai aur vo shayad ye bhi maan raha tha ki shaurya ki maut bhi kisi drug ki wajah se hi hui hai par baat itni purani ho chali thi ki kuch sabut milna mushkil ho raha tha. College ke sath wahan par do aisi jagah thi jo kafi prachalit thi, ek girls hostel jise band kar diya gaya tha jo ek bhootiya hostel mana jane laga jahan par adhiktar ladkiyun ne jaan di aur dusra vo bangla jahan se drug ka mafia chal raha tha. Par abhi tak use koi aisa nahi mila tha jo in sabke piche mila ho. Par dhire-dhire use lagne laga ki koi uspar nigharani kar raha hai. Mai janti thi ki aisa hoga aur sambhav tha isliye maine ye faisla liya ki mai bhi janne ki kosish karti rahungi ki akhir sach kya hai.. aur usi dauran mai us sham bangle ki taraf ayi jab tumne mujhe pakad liya " aaruhi ne kaha aur vo chup ho gayi. Shruti chahti thi ki vo aur kuch bhi bataye lekin aaruhi chup khadi use dekhe jaa rahi thi.

" tumhari mom ka kya hua aaruhi.. " shruti ne fir wahi sawal dahuraya.

" tumhe lagta hai ki tum unhe kisi dusre world mein chhod aaogi to vo mujhse bach jayegi.. nahi.. mai unhe kahin se bhi khoj laungi.. bahut se world ghumne ke baad mujhe tum mili ho.. कलि ka ansh mila hai jo kahin nahi mila.. mai hath se nahi jane dungi.. " aaruhi janti thi ki shruti kya kehna cha rahi hai. Use kisi bhi world mein uski is prayas se koi paida nahi hua jaise vo hui thi.

" tumhe lagta hai jo galti tumne ki vo mai karungi? " aaruhi ne apni chupi todi jise sun shruti kuch bolti use pehle hi chup reh gayi.

" Tumne mujhe apne illuision ke giraft mein karke sab kuch jaan liya .. jitna mai bacha sakti thi utna to maine bachaya lekin u were stronger then me.. " shruti ke chehre par ye sun ek muskan tair gayi.

" U broked my mind.. aur uski wajah se tumhe pitaji ka sach pata chala and u know ki tumne kya kiya.. jab tumhe mere illuision ki wajah se Book Of Hoax ke bare mein pata chala to tumne ek plan banaya Tum time mein piche gayi, tumne apne banaye gaye zeharile daldal ko talab se joda jiske chalte gaon walle mare gaye aur vo banjar ban gaya jiske baad pitaji wahan pahunche jo tum janti thi ki vo wahan ayenge, tumne unhe wahan bulaya aur mauka dekh tumne wahan par un sabhi ko maar dala aur mere pitaji ko.. " aaruhi ki ankhein fir chalak ayi par is baar uski ankhon mein ek akrosh aur gussa bhara hua tha.

" Tumne unhe sirf mara nahi.. balki unhe is time ke exsistence se hi khatam kar diya.. u took my parent.. my childhood.. u did this... " aaruhi shruti ki taraf ek kadam aaur aage badi.

" hmmm haha.. haha.. " shruti do pal has padi jisne aaruhi ko aur jhanjhod diya " i remember that night.. yes i killed him.. i killed all of them.. tum bilkul sahi ho, tumhare illuision se hi mujhe pata chala ki Book Of hoax kahan chupi hai aur yakeen mano unko marne se jada mujhe unko is time se mitane mein maza aya.. he said ki vo is book ko wapis wahin chupa dena chahte hai to maine unhe hi time se chupa dia. Jis kitab ke liye maine barso mehnat ki use vo chupa dena chahte the, can u imagine? " shruti ne garv ke sath kaha.

" bevkuf ladki .. tumne us insan ko kya samjha tha.. tumhe lagta hai tumne jo kiya vo sahi kiya, unhone khud apni jaan di taki tum time hole create kr sako aur tumne kiya bhi wahi.. "

" wha..t.... tum pagal.. " shruti bol kar soch mein dub gayi aur jaise jaise vo sochti gayi, kadiyan apas mein milti chali gayi. Aaruhi samajh gayi ki shruti ko sab samajh aa chuka hai.

" no no no.. no... " shruti samajhte hi jor se chillai.

" Chillane se sach nahi badal jayega.. tumne pitaji ko time se nasht kar ke time hole create kar dia, kyun ki har jeev ka samay se ek aisa judav hota hai jo sirf samay hi khatam kar sakta hai lekin tumne jo kiya use time mein ek hole create ho gaya aur tabhi pitaji ke jane ke baad mujhe meri powers ke bare mein malum hua jiske chalte mai atharva ko is timeline mein le ayi, puri kahani ke bare mein jaan lia, tumhe lagta hai ki maine tumhe nahi dekha hua? kya mai tumse pehli baar mil rahi hun? Han shayad tumhare liye is world mein pehli baar mil rahi hun par tum mujhse pehle bhi mil chuki ho but tum nahi janti kyun ki tumhara connection multi-world ki khud se kabhi tha hi nahi, Jab meghnath ne bataya tha ki koi uspar nazar banaye rakha hai aur vo tum ho mai tabhi samajh gayi thi ki is sab kahani ke piche kaun hai lekin mera zinda rehna jaruri tha isliye mai us raat jab bangle par ayi tab aisa bartav kiya jaise mai tumhe janti hi nahi hun. Mai sirf tumhare sath isliye thi taki tumhari kahani ki puri sachai jaan sakun jo mai aaj tak jaan nahi payi thi. Mai chahti thi ki tum mujhe apni illusion wale drug se meri reality chinn sako taki mai tumhari soch ko chinn lun. Remember Supriya? megha? " naam sunte hi shruti ke dimag ke parkache udh gaye.

" tumhe kya laga ki vo meri dimagi banai hui ek kahani hai? oohhhhh you poor girl... jo tumne mere illusion mein dekha vo mairi koi banai hui kahani nahi thi balki vo tum Supriya ki kahani dekh rahi thi. Vo chahti thi ki agar aisa hua to shayad vo apni megha ke katil ka sach bahar laa payegi after all tumhare dono variant ek hi tarah se dono world mien chizon ko operate kar rahe the " shruti ko laga tha vo kahani bana rahi hai par asal mein kahani koi aur hi bana raha tha jis baat se use meghnath ki baat yaad ayi jab usne kaha tha ki is kahani ka writer koi aur hai. Vo ishara aaruhi ki taraf tha.

" Supriya is just like me .. in other world.. the only world jiske sub-concious mind se mai directly connect kar payi and she was the link for all of this. I saw her pain, her grief... she lost her love.. Megha... aur tum janti ho use kisne mara? Tumhare hi ek variant ne jo us world mein tumhari hi tarah logon ki zindagiyan barbad kar raha tha. Megha usme fans gayi thi aur tum logon ne use maar dia. Supriya apni megha ke katil ko khojne mein lagi thi bina apni parwah kiye. Aur jab us raat tum mujhe bangle mein behoshi ki halat mein layi tab mai Supriya se connect hui to maine use sab bata diya ki mai tumse mili taki mai uski madad kar saku aur vo apni megha ke katil ko pakad sake par waisa kuch hua hi nahi, girls hostel se gir kar uski maut ho gayi jo maut nahi thi balki katl tha kyun ki uske sath bhi wahi hua jo megha ke sath hua tha, tumhare variant ko pata chal gaya tha ki supriya jaan chuki hai in sabke piche kaun hai isliye usne use vo drug diya jiski wajah se vo apne concious world se dur jane lagi, vo jab tak zinda rahi jab tak mai uske sub-concious mind se lekin tumhare dwara di gayi drug se mei jada der tak use connect nahi ho payi. I told you time works differently in different world isliye wahan bitaya har pal yahan ke barabar nahi tha " aaruhi ke kehne par use ye bhi yaad aya ki us raat aaruhi ke illusion mein kaise vo chatt se kud gayi thi par vishal ne use pakad liya tha shayad ye aaruhi chahti thi ki aisa ho par asal mein supriya apne world mein mar chuki thi. Aur tabhi us raat jab aaruhi illusion tod kar bistar ke niche chup kar roo rahi thi usi raat supriya ki maut hui hogi.

" Chahti to mai bhi tumhare sath wahi hun jo supriya ke sath kia.. lekin kuch der aur.. ek baar ye kitab khul jaye.. fir tum nahi bachogi.. tumhara hashr mein supriya se bhi jada bura karungi.. tarasogi marne ke liye par marogi nahi lekin pal pal maut mangogi.. " shruti jis kadar bevkuf bani thi vo use hazam nahi ho raha tha.

" you will gonna loose... " aaruhi ne uski baat ka jawab diya jise sun shruti apna apa kho baithi aur usne aaruhi ki taraf badhte sath hi uske chehre par thapad aur pet par ghuse barsa diya aur fir galla pakad kar piche ki taraf deewar ke pillar se sata diya. Aaruhi apne galle se uske hath ko chhudwane ki kosish karne lagi par shruti ke sar par jo gussa sawar tha use vo jeet nahi paa rahi thi.

" mai kabhi haar nahi sakti... " shruti kuch pal aur aise hi aaruhi ka galla dabaye rakhti to aaruhi mar jati kyun ki uski ankhein ab dhire-dhire band hone lagi thi par tabhi shruti ki pith par zor dar prahar hua aur dard ki seema uske badan mein fialh gayi. Usne fauran aaruhi ke uppar se apne hath hata diye aur apni pith ki taraf hath marne lagi mano us chubi chiz ko khojna cha rahi ho jo uski pith mein chubi ho. Aaruhi ka sharir fauran nidhal padh kar wahin jameen par bikhar gaya aur vo zor-zor se khanste hue sans lene lagi.

Shruti fauran piche ki taraf palti to samne dekh uski ankhein fatti ki fatti reh gayi.

" you.. how... kaise mumkin hai... " shruti abhi bhi apni pith mein ghompe hue chaku ko nikalne ki kosish mein thi.

" Tumhe kya laga aaruhi akeli hai? aur uski madad ke liye koi nahi hoga? itna sidha plan samjha tha tumne? " gaggan fauran aaruhi ke pas aya aur use uthane laga.

" Aaruhi tum theek ho na? "

" mom.. unhe ... bahar lekar jao.. pehle.. " aaruhi abhi bhi apni sans par kabu paa rahi thi.

" par aaruhi tum... "

" meri chinta mat karo.. tum unhe lekar jao abhi.. " aaruhi ke muh se mom sun shruti aur sadme mein aa gayi.

" theek hai... " gaggan fauran utha aur nandini ke pas pahuncha jo wahan kursi se bandi hui behosh padi thi. Shruti ne jaise hi ye dekha uske peron talle jameen hi nikal gayi.

" Miss nandini tumhari mom hai? " shruti ne aaruhi ki taraf dekha jo uski taraf dekh rahi thi. Ek pal ke liye aaruhi ki puri illusion ek movie ki tarah uske samne aa gayi ki kaise us raat bhagne ke baad jab shruti use wapis khandar mein layi thi to usne apne illusion mein Nandini dikhai thi jo ki gaggan use lekar gaya tha. Fir uski bimari ke illaz ke liye kaise Nandini mehnat kar rahi thi. vo gaggan tha jo books lakar ye batana cha raha tha ki aaruhi ko kisi devil ne jakad liya hai ye sab uske illusion mein aaruhi ne use dikhaya tha par ye log sab reality mein is college mein maujud the isliye use kabhi ye mehsus nahi hua ki vo dono sach mein aaruhi se jude hai. Par ye sochne ka samay nahi tha, usne jo chahie tha vo mil gaya tha, usne fauran apni pith ka chaku bahar khincha aur gaggan ki taraf badhi. Aaruhi ne fauran gaggan ka naam pukara jise sunte sath hi gaggan palat gaya aur ise pehle vo uspar vaar karti gaggan ne use pakad liya.

Par shruti ki takat gaggan ko fail kar rahi thi jiski hairani gaggan ko bhi thi, vo kisi tarah gaggan ke sine mein chaku utar dena chahti thi aur vo shruti se bachne ki puri kosish kar raha tha. Aaruhi dusri taraf, usne apni puri takat ikhata ki aur vo us taraf badhi aur usne piche se shruti ki gardan ko daboch liya taki vo shruti ko piche kar sake lekin shruti ne fauran ek koni aaruhi ke pet par de mari jise aaruhi ki pakad dhili ho gayi aur gaggan ka dhayan bhi bhatak gaya aur chaku uske sine ke thoda andar ghus gaya. Vo dard mein cheekha kyun ki chaku dhire-dhire andar jaa raha tha. Aaruhi janti thi ki jada samay nahi hai isliye usne apne dimag daudaya aur jo chain uske hath par bandhi thi fauran use shruti ke galle mein lapet di aur dono taraf se piche hokar use khincha. Ye tarkeeb fauran kaam kar gayi, shruti ka sharir ek jhatke mein piche ki taraf jameen par aa gira. Uske hatte sath hi gaggan ke sine mein jo chaku dhansa tha vo ab wahin ruk gaya jise usne fauran nikala aur aaruhi hi taraf fenk diya.

" aaruh..i... " gaggan apne sine se nikalte khoon ko rokne ki kosish kar raha tha.

" tum jaaaaoo.... mom ko lekar... " aaruhi ne piche deewar ka sahara liya hua tha aur vo puri takat se shruti ka galla ghont rahi thi, shruti ka sharir chatpata raha tha. Aaruhi ki baat sun gaggan ne fauran urvashi ko wahan se uthaya aur use wahan se le jane laga.

" aaj mai is kahani ka ant karke rahungi " aaruhi ke baju ab thakne lage the kyun ki unme takat pehle hi kam thi. Shruti janti thi ki samay kam hai uske pas, uske hath aaju baju kuch dhundne ko tatol rahe the ki tabhi ek murde ka hath mil gaya jo wahan pada tha. Usne use vo uthaya aur fauran aaruhi ke sar par de mara. Sar par prahar hote hi aaruhi ki pakad dhilli padh gayi aur bas utna hi mauka chahie tha use, usne fauran apna galla azad kiya aur vo chaku ki taraf lapki. Usne chaku uthaya aur gaggan aur nandini ke piche jane ko hui par tabhi piche se aaruhi ne uska per ko jakad liya.

" pehle main ab tujhe hi maaurngi.. tujh jaise aulad ko mai fir paida kar lungi.. par tujhe nahi chhodungi ab " shruti gusse mein ab sirf ek hi chiz chahti thi aaruhi ka khoon karna. Usne fauran chaku uthaya aur aaruhi ki taraf badaya, aaruhi ne fauran apne bachav mein hath aage kiya to chaku uski bediyun se jaa takraya. Takrane ka jor lagne se shruti ke hath se chaku jhatak gaya aur bas aaruhi ko mauka mil gaya. Usne shruti ko pakad liya aur uski pakad mein vo khadi ho gayi.

" mai mar bhi gayi to kya farak padhta hai... paida bhi waise hi hui thi par tu nahi bachegi.. aaj teri is kahani ko aur tere कलि ko is khandar mein hamesha ke liye khatam kar dungi " aaruhi ne shruti ka galla jakad liya.

" aisa kabhi nahi hoga... " shruti ne bina pal gawaye uske hath ko apne galle se alag kiya aur dusri taraf failane lagi jiska dard aaruhi ke rom-rom mein bas gaya. Aaruhi janti thi ki aise uske kandhe ki haddi tut jayegi isliye usne fauran apna ghutna shruti ke pet par de mara jiski wajah se uski pakad chhut gayi aur vo ek pal ke liye halka sa piche hue aur usi pal mein aaruhi ne chakku uthaya aur bina waqt gawaye shruti ke sine par de mara aur utna hi nahi balki use tab tak ghompti chali gayi jab tak us chaku ka nukila pan puri tarah se andar nahi sama gaya. Shruti ek pal ke liye sthir khai ho gayi aur uske baad uske muh se khoon ki dhara nikalne lagi.

" tu meri mom ko hath bhi nahi laga sakti.. isliye unhe to usi din college bhej diya tha jab sharuya ki mrityu hui thi vo hamare plan ka sabse bada step tha kyun ki hum jante the ki is kahani mein sabse pehle hum kamjor pade to unhi ki wajah se padenge, isliye tumhara shaq kabhi unpar gaya hi nahi aur gaya bhi to Dr Alok tak reh gaya jiska asli naam tha Dr Ajay Alok aur ye wahi insan hai jo mom ke college friend the jiski kahani tumne Urvashi se suni thi aur jis urvashi ko tumne meri mom samajh kar mara vo to asal mein teri maa thi.. " Ye baat sunte hi shruti ki ankhein aisi khuli reh gayi mano uski ek ek sans nikal rahi ho. Par na jane kyun vo hans padi jo aaruhi ko bilkul pasand nahi ayi, usne bina waqt gawaye chaku ko uppar ki taraf puri takat se khinch diya jaise uska sharir katne ke liye utaru ho.

Khoon hawa mein ud kar aaruhi ke uppar failne laga lekin vo tab tak nahi ruki jab tak uska baju usne ukhad nahi fainka. Shruti ka sharir usi pal zameen par jaa gira aur tadapne laga, khoon ka ek jhamavad wahan puri tarah se jama ho chuka tha. Aaruhi ka pura sharir uske khoon se san chuka tha. Vo ek pal wahin khadi gehri-gehri sansein leti rahi aur fir usne chaku ko dusri taraf fenk diya. Ek pal usne apni nazar charon taraf fairai, pure kamre mein lashein hi lashein padi thi. Wahan dekhte sath ek nazar uski us kitab ki taraf gayi jahan se halka ujala nikal raha tha jo is kahani ki jadh thi. Usne kuch pal wahan dekh wapis shruti ki taraf dekha jiska sharir nidhal padh chuka tha. Samay ko jeetne wala, ab samay se lupt ho gaya tha. Aaruhi ne uska katta hua baju wahan se uthaya aur kitab ki aaur badh chali.

Usne kitab ko gaur se dekha, do hatheli abhi bhi wahan bani hui thi, ek dafa use dekhte rehne ke baad usne shruti ka katta hua hath uthaya aur haddi walle hisse ko kitab par zor-zor se marna shuru kar diya. Vo use itni zor-zor se marne lagi ki uski awaz pure khandar mein gunjne lagi. Yahan tak ki gaggan jo abhi tak tunnel mein tha use bhi sunai de rahi thi. Vo urvashi ko bahar nikal kar wapis jane ka man bana chuka tha.

Aaruhi jaise jaise kitab par vaar karti jaa rahi thi, kitab par crack padna shuru ho gaya tha aur dhire-dhire vo crack badne laga par aaruhi tab tak us kitab par marti rahi jab tak kitab mein achanak se itni vishal matra mein urja na nikal gayi ki use piche hatna hi pada. Vo kuch kadam piche hath gayi aur us nikalti roshni ke sath use aisa laga mano kisi ki jhalak uske samne ho aur fir achanak se kitab hlne lagi ya use aisa mehsus hua kyun ki vo kitab nahi balki puri jagah hil rahi thi isi ke sath vo roshni ek dafa ko aur teevr hui jiske baad vo ek dum se band ho gayi aur tab aaruhi ko ehsas hua ki vo banjar jagah buri tarah se hil rahi hai aur hilte sath hi pathar ke tukde girne lage. Ye mehsus karte dekh aaruhi ke chehre par ek sukun bhari muskan ter ayi aur usne apni ankhein band kar li, tabhi ek pathar ka tukda uske sar par akar gira aur vo wahin gir padi aur dekhte hi dekhte zameen ka kafi acha khasa hissa deh gaya.

' Aaj ki sabse jaruri suchna, Sheher ke jane mane college ki ek bahut badi ghatna ka pardafash hua. Salon se chal rahe drug aur jism-faroshi ke sath wahan ho rahi vidhyarti ke katal aur unke lapata hone ki khabar samne aa rahi hai. Mana jaa raha hai ki ye dhanda sadiyun purana hai aur prashashan ke kuch log bhi isme shamil rahe hai. Mana jaa raha hai ki kafi dashon se is dhande ko anjam diya jaa raha hai. Ek khandar jaisi jagah par kai lashen baramad hui hai aur bhari matra mein drugs mile hai. Jungle ki chaan been ke dauran ye bhi mila hai ki avaid tarah se drug waste ko talab mein milaya jaa raha hai jise Bhandara naam ka pura gaon tabah ho gaya. Isi ke sath ye bhi malum hua hai ki in sabke piche ek bahut badi corporate company ka hath hai. Aur company ke naam ki khabar atte hi unke share buri tarah se gir rahe hai ' tabi tv switch off ho gaya.

" hosh mein dekh acha laga tumhe " hospital ke kamre ka darwaja khulte sath hi vibhu andar ghusa.

" Yahan itni badi vardat ka pardafash hua aur in chutiyun ko share ki padi hai.. sorry sir.. " gaggan ne gali dete hi mafi mangi.

" Koi nahi.. galat to tumne nahi kaha.. par chutiye ye nahi balki hamara system hai.. jisne kabhi insano ki parwah nahi ki. Warna jo kaam hum do detective aur vo ladki kar sakti hai vo inka system nahi? " vibhu ne chai ka cup wahin bagal mein rakhte hue kaha.

" Baat to apki sahi hai sir, vaise sach kahun to mujhe aaruhi ke plan par vishwas nahi tha "

" Vishwas to mujhe bhi nahi tha, pehle to maine paison ke liye han ki thi lekin us college ki vardaton ne jakad sa liya tha mujhe.. Sahi time par hume aaruhi ke bare mein pata chal gaya agar hum sahi samay rehte wahan pahunch nahi patte to na jane kya hota "

" 12 din lag gaye sir aaruhi ko khojne mein .. sahi samay par kahan pahunche, waise us warden ka kya hua? vo bachi? us raat hamla to apne bahut jor ka kiya tha? "

" han bachegi kyun nahi.. sabut hai vo hamari.. aise kaise marne deta use. Badi hi kamini aurat thi vo, dekha nahi kaise apne hi kamre mein khufia rasta bana rakha tha "

" Aur aaurhi aur uski mom vo kaisi hai? "

" tumne bachaya hai uski mom ko.. theek hai vo. "

" aur aaruhi? " gaggan ne pucha to vibhu uski taraf bas dekhta raha " kya hua sir? aap kuch bol kyun nahi rahe? "

" chalo mere sath "

" Mai nahi janta ki jo aap sunoge use maanoge bhi ya nahi.. Par aaruhi zinda kaise thi mai ye samajh hi nahi paa raha hun. Aaruhi ki brain report ye batati hai ki uska brain to kabhi jeevit tha hi nahi, its been dead for years maybe jabse vo paida hui tabse." Dr ki baat sun gaggan aur nandini dono ashcharya chakit the. Vibhu dr se pehle hi mil chuka tha isliye vo janta tha ki dr kya kehne wala hai.

" Ye kaise possible hai Dr ? " nandini ki ankhien bhar ayi thi. Use jabse hosh aya tha vo aaruhi ke pas hi baithi thi.

" Iska jawab mere pas nahi hai Mrs Nandini but mai wahi keh raha hun jo report bata rahi hai, maine aaj tak aisa case kabhi nahi dekha. But i am very sorry, aaruhi kabhi concious world mein laut nahi sakti, she is somewhere else even we don't know where.. " Dr ki baat sun nandini ne aaruhi ka hath jor se pakda aur rone lagi. Samne bed par aaruhi ke sar par patti bandhi hui thi aur vo ankhein khol laiti hui thi mano is dunia ki sabhi chizon se behad dur apni dunia mein.

Hospital ke bahar vibhu ne cigratte jalai aur fir gaggan ki bhi, dono ne ek gehra kasht bhara aur dhuain bahar chhodne lage " Us ladki ... Shruti ki file ka kya kiya? "

" bhijwa di use sahi jagah ... "

" tv? "

" hmmm vo puri kundli nikal hi lenge khud hi " ek kasht bharte hue usne fir dhuain chhod dia.

" Pura plan sahi tha par shruti ki maa ko hi apni maa batana itna bada risk kyun liya aaruhi ne? "

" Insan apne lalach mein sirf ek hi chiz yaad rakhta hai gaggan "

" kya? "

" Uska lalach.. Shruti ko uski maa ne bachpan mein hi anath ashram daal diya tha, ladki nahi chahie thi unhe isliye na to urvashi janti thi ki vo uski beti hai aur na hi shruti janti thi ki vo uski maa hai par aaruhi janti thi ki ki shruti ka lalch use is baat tak kabhi ane hi nahi dega "

" Kai baar lagta hai mano aaruhi sab pehle se janti thi .. usne to bas anjam diya hai "

" kyun ? tumhe aisa kyun lagta hai? "

" jis tarah usne pura plan set kiya, kabhi apne socha nahi " gaggan ki baat ka jawab milta use pehle ek khaki kapde pehna ek shaks unke kareeb aya aur vibhu ke hath mein ek file pakda kar chala gaya.

" Ye kya hai? " gaggan ne fauran pucha.

" Bas un sabki list jo-jo aaj tak mare gaye .. ya lapata ho gaye "

" par inka hum kya karenge? "

" Un logon ke ghar to batana padega na jinko aaj tak malum nahi chala ki unka bacha kahan gaya " Vibhu ne file kholi, ye wo file ki ek copy thi jo us samay banai gayi thi jab se ladkiyun ko drug dekar unka jismvaroshi ka dhanda kiya jata tha. Vibhu ek dafa dekh hairani mein padh gaya."

" Aisa kya padh liya ? "

" tumhe yaad hai vo Zac001 ka kissa? "

" han.. ? "

" Vo jin ladkiyun ka use karte the unhe dete the ye naam ye dekho " vibhu ne file gaggan ko dikhai jisme har ladki ke naam ke aage likha tha Zac001, Zac002......

" Jab tak is dunia se lalch khatam nahi hota tab tak shruti jaise dimagi ghrast log कलि jaisi kahaniyun mein ghuse rahenge. Shruti ki maa ne use nahi apnaya to usne कलि jaisi ek entity ko apna liya. Apni budhi sahi jagah lagai hoti to kahan se kahan pahunch gayi hoti. " vibhu ne apni cigratte fenk use jutte se bhujai aur dono wapis hospital ki taraf badh chale.

Sheher ke usi kone mein us jagah par tehas nehas ho chuka tha, charon taraf police ki patti lagi hui thi, ek puri team jhanch aur khoj mein lagi hui thi aur machine kaam kar rahi thi. Wahan se nikale gaye saman ko ek truck mein rakha jaa raha tha aur usi ke sath machine ne wahan se ek bade box ko nikala jo bilkul theek avastha mein maujud tha. Puri team ki nazar usi par thi, unhone use savdhani se wahan ek jagah par rakha aur use ache se pack karke uspar bhi baki sabhi ki tarah 'Evidence' ka thapa laga diya aur use truck mein load kara ke wahan se bhej diya. Bich raste mein der raat ko truck jungle ke bichon bich kharab ho gaya. Truck driver aur conductor madad ke liye sadak kinare jutt gaye bina ye jane ki jo chiz truck mein rakhi hai vo koi mamuli chiz nahi hai. Vo box jo pack tha achanak se usme kuch halchal hone lagi mano ane walle samay ki alag lakhir khinch gayi ho.

The End
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Finally the Day has arrived. Jo mai kafi waqt se kosish kar raha tha ki is kahani ke ant ko anjam de saku. But time stored something .. and he stored this day to end this story. Mai nahi janta aap sabko kahani kaisi lagegi. Par kosish puri kari ki kahani ko behad satisfying end de saku aur sabhi sawalon ke jawab usi mein de pau. Koi sawal aap logon ka hoga to apne review mein jarur puchna i will answer them sooner or later. Ye kahani mere mind mein thi aur iska end mujhe karna tha jo mai kar chuka. Now i don't know ki mai kabhi wapis akar kuch likh paunga. Likh paya to jarur par keh nahi sakta ki hoga. So from my very heavy heart as a writer i would say good bye to my whole reader family jo yahan jude hua hai aur jo ab nahi jude hue. Its been previliged to be with you all...

I would like to thank u some people whom i can tagg.. SANJU ( V. R. ) Aakash. KEKIUS MAXIMUS Death Kiñg GuptAbhishek ... Have a brilliant life ahead for all of u :hug:

This is Harshit, Signing Off from here :heart:
 

mistyvixen

mιѕτy τнє мιѕѕιиg lιик 🌠
1,220
2,483
144
Now i don't know ki mai kabhi wapis akar kuch likh paunga.
This 😐
This is Harshit, Signing Off from here :heart:
All the best for your next endeavours in life!

Why is this the saddest post I've read it here

I got busy in my assignments and all isliye aage nhi badh ske jayda...but Misty ke reviews pending hai abhi...uske liye aapko yahan par aate rhena hoga!

Anyway sir aapne kuch alag try Kiya yahan ke bad xxx stories ke alawa and that too in Fantasy...I know how much thought it takes. 👏

And hope whatever you said in this post is cap.

Take care and stay awesome 💗
 

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,067
144
Aapki anya kahaniyon ki hi tarah isse bhi anjaam tak pahunchane ke liye sabse pehle to aapko shubhkamnaye aur sadhuvad bhi! harshit1890

Bhale hi kaafi updates abhi mere liye padhne baaki hain, aur kitne hi waqt se kuchh bhi nahi padh paaya hun, but jab forum khola aur upar notifications mein "Girls Hostel" ke aage "completed" likha paaya to beshaq behad khushi huyi. Apni zindagi se waqt nikalkar aise darje ki kahani logon tak pahunchana, dikhata bhi hai ki apni jo commitment aapne is story ko complete karne ko lekar ki thi, use aapne nibhaya bhi hai.

Khair, jaldi hi kahani ko padhna shuru karunga, aur apna reader waala kartavya bhi zaroor se nibhaunga.. :D

Best of luck for your future aur aasha rahegi ki yahan forum par aapke darshan hote rahen. Much love, brother. :five:
 
15,594
32,095
259
Nice Update..aadha hi padha hai jaha gaggan aa gaya aaruhi ko bachane ..
par waha tak yehi samajh paya ki aaruhi ka bhi plan tha .sub concious mind se dusre waqt ke aaruhi se judna ,jo bhi padha review dene layak nahi hu me ,aise aise twist hai par jo padhne ka maja Aa raha hai usse best kuch nahi ..

bus writer se ek shikayat rahi hai hamesha se ki wo font size bada nahi rakhte ,jab detail me samajhna hai kahani ko to ek ek shabd ko sahi se padhna padta hai ..aur uske liye mobile ko chehre ke paas laake padh raha hu ..

aadha part bacha hai wo padhke dekhunga aur kahani ko samajha ki nahi ye bataunga ..
 
15,594
32,095
259
ved sharma ek mythologist the aur unhone hi book of hox ki khoj ki thi jo koi nahi kar paya tha ..shayad ved ko pata tha us book se kya ho sakta hai isliye wo us book ko uski sahi jagah rakhna chahte the par shruti ko pata lag gaya aur usne ved sharma ko maar diya ..

thoda thoda padhke pura samajhne ki koshish hai ..
 
15,594
32,095
259
ye atharva / meghnath kaun hai ?? jo aaruhi se milne aa gaya aur wo is world ka nahi hai ,aur shayad usko bhi travel karna aata hai aur aaruhi ko gravity ki jarurat nahi hai par shruti ko hai multi world me travel karne ke liye ..

edited ( aaruhi ne hi apne mind se atharva ko is world me laya tha madad ke liye aur usko sab sach bata diya tha )
 
Last edited:
15,594
32,095
259
aaruhi jo sub concious mind me dekh rahi thi yaade wo kisi aur time ya world ki thi jab wo apne peeta ved sharma ke saath thi .

aaruhi ne chhoti umr me hi bahut kuch samajh liya tha ki kaise concious mind me aana hai isliye usne wo technique apnayi blood loss wali ,blood ki tap tap aawaj se wo reality me aa jaati thi ..
 
Top