• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,696
8,577
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:
10,051
42,011
258
This story is my most difficult ending to write. Ever ... after writing 12 years.. m still trying to figuring out how to keep it simple and clean.. Mai nahi janta ki sabko end lagega kaise par ye baat tay hai ki is kahani ke end se jada complex kabhi koi kahani nahi likhi hogi na likhunga aage.. :D
This is one of the most mysterious stories I have read so far. I have never read such a story in my life, decorated with a whirlpool of hallucination and realistic.
No incident within the story happens just like that. There is a story hidden behind every event.
It is my good fortune that I became a witness to this legendary show of yours.
Love you harshit1890 bhai :hug:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,696
8,577
219
This is one of the most mysterious stories I have read so far. I have never read such a story in my life, decorated with a whirlpool of hallucination and realistic.
No incident within the story happens just like that. There is a story hidden behind every event.
It is my good fortune that I became a witness to this legendary show of yours.
Love you harshit1890 bhai :hug:
Bhai aapka yahan hona ek pillar ki tarah is story ki completion ke liye jaise aur bhi is kahani ke hai mere 3 pillar :D I still miss Naina being here but it is what it is. Somehow jab bhi ye story khatam krunga to aap sabke sath unhe bhi dedicate karte hue jaunga.

But yes, aapka hona hi apne aap mein bahut badi baat hai vo bhi 2 saal hue is kahani ko start hue maybe 3 ho gaye hai.. lekin aapne sath nahi chhoda.. its truly something i can never forget and not only me, i would complete this stor for u all.. Thank u for being here always bro.. Love you :hug:

Still end baki hai.. galiyan bakki hai... vo lekar jaunga.. :D
 
10,051
42,011
258
Bhai aapka yahan hona ek pillar ki tarah is story ki completion ke liye jaise aur bhi is kahani ke hai mere 3 pillar :D I still miss Naina being here but it is what it is. Somehow jab bhi ye story khatam krunga to aap sabke sath unhe bhi dedicate karte hue jaunga.

But yes, aapka hona hi apne aap mein bahut badi baat hai vo bhi 2 saal hue is kahani ko start hue maybe 3 ho gaye hai.. lekin aapne sath nahi chhoda.. its truly something i can never forget and not only me, i would complete this stor for u all.. Thank u for being here always bro.. Love you :hug:

Still end baki hai.. galiyan bakki hai... vo lekar jaunga.. :D
नैना जी से बहुत पहले बात हुई थी । वह अब किसी भी एडल्ट फोरम पर उपलब्ध नही है । तब वो किसी न्यूज चैनल से जुड़ गई थी । एक सोशल साइट्स के माध्यम से हम सब जुड़े हुए थे पर मेरे मोबाइल के गुम होने के बाद उनमे किसी के साथ भी सम्पर्क नही ।
उन्होने मुझे अपने गृह नगर आमंत्रित भी किया था । सच कहूं तो नैना के जाने के बाद इस फोरम की रौनक ही जैसे खत्म हो गई है ।
खैर , शायद यही जीवन है । आदमी मुसाफिर है और मुसाफिर का आना जाना ही नियति है ।
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,696
8,577
219
नैना जी से बहुत पहले बात हुई थी । वह अब किसी भी एडल्ट फोरम पर उपलब्ध नही है । तब वो किसी न्यूज चैनल से जुड़ गई थी । एक सोशल साइट्स के माध्यम से हम सब जुड़े हुए थे पर मेरे मोबाइल के गुम होने के बाद उनमे किसी के साथ भी सम्पर्क नही ।
उन्होने मुझे अपने गृह नगर आमंत्रित भी किया था । सच कहूं तो नैना के जाने के बाद इस फोरम की रौनक ही जैसे खत्म हो गई है ।
खैर , शायद यही जीवन है । आदमी मुसाफिर है और मुसाफिर का आना जाना ही नियति है ।
Sahi kaha apne yahi jeevan hai.. time ke aage kaun tik sakta hai. But that is new ki news channel se judhi and everything more.. kamal ki khabar batai apne. Aur acha laga ki forum se nikal kar itne close frnds the aap log. But wahi hai time ke aage kiska chala hai, touch mein hokar bhi aap nahi rahe touch mein. but still i wish her luck jo bhi kar rahi ho mast rahe aur kya chahie :D kabhi koi mulakat ho apki in case to kehna humne unhe life ke liye all best kaha hai :D

Baki sach to yahi hai bhai.. log aksar judte hai.. jahan umeed na ho wahan se rishte ban jate hai
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,696
8,577
219
Chahta to mai tha ki in dino mein hi kahani ko complete kr du but aaj ke baad maybe i will no be available for atleast next 15-20 days.. Aur sirf do update reh jane wale hai jo kahani ko pura kar dete. But time... is so fuckin cruel... :D

I thought ki end mein bina koi delay ke du, but aisa nahi ho payega.. i will post one today... Sorry for this all..
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,696
8,577
219
Ane wala update thoda sa scienice related rahega To i am ready for ur questions jo samajh na aye puch lena warna kahani ka maza nhi ayega kyun ki samajh nahi ayega :(
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,696
8,577
219
Update ~~ 121
{
कलि }

" tum ek lauti aulad ho us facility dwara di gayi jise mai us saal 1990 mein jaan na payi thi, sahi samjhi tum aaruhi, mai hi hun Dr. Mahajan "

" Nahi.. tum jhooth bol rahi ho, mujhe uljha rahi ho " aaruhi ne hairani bhari nighaon mein use dekhte hue kaha.

" oh common aaruhi.. tumhe lagta hai mai juth bol rahi hun. Meri batai koi baat jhooth nahi hai aaruhi aur waise bhi marne walon se jhuth nahi bolte, hai na? Par mai tumhari baat maan leti hun kyun ki agar mai Dr Mahajan hun to abhi tak itne salon baad bhi ek ladki jitni young kyu hun? Yahi sawal hai man mein ya fir ye bhi ki agar tum paida hui bhi to mere liye itni mehtavpooran kaise? Tum hi kyun chahie thi mujhe aur koi kyun nahi? " shruti ne jaise aaruhi ke man ko bhanp liya tha.

" tum jaise haiwano ko sirf apne matlab se hi kuch chahie hota hai tabhi to tumne itni zindagiyun ko barbad kiya, mai bhi shayad usi maksad ka ek hissa hun "

" Maine barbad kiya aaruhi? Ya insan khud barbad hua.. zara socho Dr Sharma ne jo Drug apna sapne ko pura karne ke liye banaya vo insan ke fayde ke liye tha? vo insan jinhone use apne faiyde ka socha aur kisi ke bare mein nahi to vo insan matlabi hua ya mai? " shruti ne aaruhi ka mazak banate hue kaha.

" Mai to sirf ek zariya hun aaruhi tumhe manzil tak le jane ke liye shayad tabhi to कलि ki wajah se tumhara janam hua "

" कलि ne mera janam? " aaruhi ne hairani jatai.

" Han aaruhi to tumhe kya laga tumhara janam tumhare creator ki madad se hua? " shruti ne vyang bharte hue apni hansi chhodi " tumhe malum hai jab Dr Sharma ko mujhe kyun marna pada? han matlab agar tumhe abhi tak nahi samajh aya tha to tumhari galti hai lekin maine hi Dr Sharma ko mara tha even ek-ek kar us company ke har ek stake holder ko... bahut simple tha, jo kaam unhe karna tha unhone kiya to sahi bas ek galti kar baithe. Unhone report ye likhi thi ki drug ke koi side-effect nahi hai lekin us drug se female fertility khatam ho jati isliye mere liye vo drug adhuri thi. Lekin agar tumne kahani ko dhayan se suna hoga to tumhe yaad hoga ki unhe ek pauda us daldal mein mila tha jise vo apne sath laye the. Vo koi sadharan pauda nahi tha aaruhi, vo कलि ka ashirwad tha jo is yug ke insano ne hi unhe diya vo insan jo tumhare creator ne banaye. Us daldal mein insan ka diya har ek aisa vastu tha jise jada bura kuch nahi ho sakta krurta, irsha, lalach aur dwesh "

" Yahi tumhara creator chahta tha na ki sab sundar vastu vo tumhe de aur कलि ko sirf ek aisa sharir jo koi na dekh sake isliye usne vo har chiz par kabza kiya jahan tum insano ne ganda kiya vo bhi is kadar ki uska roop कलि jaisa rahe jahan creator bhi apni banai gayi creation par afsos jataye. Yahi कलि ki sabse badi jeet hai " shruti ki batein aaruhi ko kuch hadh tak ye samjhne lagi ki kahani ka rukh ab kis kadar mudh raha hai.

" Dr Sharma ko maarne ke baad jab maine us facility par apni pakad banai to sabse pehle maine us paudhe se ek drug banaya taki maire maksad ke tehat mein aurton ko fertile kar sakun jo maine un mardon ko di taki unme semen mein vo power rahe ki vo un ladkiyun ko fertile kar sake. Par saalon ki kosish aur mehnat rang nahi laa rahi thi. Mai janti thi ki ek perfect match milna baki hai par ye nahi malum tha ki us saal jab yahan hadsa hua to dusri facility mein already match mil gaya tha bas mujhe hi malum nahi chala. Tumhari mom ke bare mein isliye mujhe kabhi nahi pata chala kyun ki maine us saal ki reports padi hi nahi aur ab tumhare milne ke baad jarurat hi nahi bachi. " ek pal dono ek dusre ki ankhon mein dekhte rahe.

" tumhe lagta hai mai tumhari baton par vishwas kar lu ki mujhe कलि ne banaya? bevkuf ladki .. tum nahi samajh sakti ki creator kya hai " aaruhi ne shruti ko jaleel karte hue kaha. Shruti ne dant pis liye, use gussa ane laga.

" Tumhare manne na manne se sach nahi badal sakta .. jis yug mein tum jee rahi ho use to tumhare creator bhi dur bhag rahe hai. Vo jante hai ki is yug mein unka nahi sirf कलि ka vaas hai. कलि sirf ek roop nahi hai aaruhi, vo har us chiz mein hai jo tumhare creator ne banai hai. Is facility ki jankari कलि ki wajah se mili, Dr Sharma ko idea कलि ki wajah se aya taki vo wapis apne roop mein aa sake jisko tumhare creator ne nasht kar diya tha. " shruti aaruhi ke chehre ke najdeek akar boli aur uske hathon ko kas kar daba diya. Aaruhi se jab sehen nahi hua to vo dard mein cheekh padi.

" aage ki kahani Janna nahi chahogi jo tumne book mein padi thi. Iski sachai nahi janna chahogi? " shruti ne aaruhi ki ungli ko is kadar dabaya ki uski ungli chatak kar tut gayi jiske baad jakar shruti ne uske hath ko chhoda. Aaruhi sirf dard mein bila-bila sakti thi, uski ankhein ro padi aur dard uske pure sharir ke zehan mein utar chuka tha. Par shruti ko uske dard ki parwah nahi thi vo apni baat kehne lagi.

" Book tumhare creator ne nahi balki कलि ne khud likhi hai aaruhi. Tumne apne illusion ke chalte har baar कलि ko creator se badal diya lekin baki sab ek dum satik pada tabhi to kitab mein कलि ne apna krodh prakat kiya hai. Jis creator ne कलि ko itni badi shakti aur jimmewari di usi creator ne use aisa roop diya jo uski banai dunia ke viprit tha. कलि ko na hi creator ki banai gayi dunia mein jane ka haq diya gaya aur na hi use utna sundar banaya gaya. Isliye कलि ne ye thaan liya ki jo bhi vastu creator ko pasand hogi vo usme apni chavvi chhodega taki creator kabhi use bhul na paye aur vo dhire-dhire creator ki banai dunia ko use dur le jaye jaise creator ne use uski creation se dur kar diya tha " aaruhi ki ek ungli tut kar mud chuki thi aur vo dard jhelne ke sivai kuch aur nahi kar sakti thi, vo gusse se shruti ki aaur dekh rahi thi.

कलि रुप्यकम् ne apne krodh ki shaktiyun mein do jeevo ko janam diya jo bilkul usi ki tarah dikhte the lekin कलि रुप्यकम् ne tabhi samajh liya tha ki jo shakti uske andar hai uski utpan hui sabhi creation bilkul uske jaise roop ki hi hongi aur usne maan liya ki creator ne uske sath chalh kiya hai. Usne apne dono janme jeevo ko apna putr mana aur unhe apni do sabse badi shaktiyan pradan kar di.

कोक yani koka use बहुविश्व yani multiverse ke gyan se bhar diya aur विकोका yani vikoka ko वास्तविकतया yani reality ke gyan se. कोक aur विकोका ki shakti use bhi kahin guna jada thi. Jab creator ko iski suchna mili to usne कलि रुप्यकम् ko uska vastivik kartavye yaad dilane ki kosish kari lekin कलि रुप्यकम् sirf creator ki banai hui dunia mein jana chahta tha jo creator hone nahi chahta tha jiski wajah se कलि रुप्यकम् ne creator ko yudh karne par vivash kar diya. Dono ke bich ghamasan yudh hua aur kafi lambe arse ki yudh ke baad कलि रुप्यकम् ko hara diya gaya. Uski banai gayi uski dunia रिक्त yani void puri tarah badal chuki thi, angaron ne us jagah ko gher liya tha, har taraf sirf jwala hi jwala thi isi ke sath uska pura sharir is kadar nasht kia gaya ki vo dhire-dhire khatam hone laga. Creator कलि रुप्यकम् ko puri tarah nasht kar dena chahta tha jisko bachane ke liye कोक aur विकोका ne apni-apni shakti ko ek kitab mein band karke कलि रुप्यकम् ko ek aisi कालरेखा yani timeline mein bhej diya jiski वास्तविकतया yani reality jiska gyan sirf un dono ko tha.

Creator ne कोक aur विकोका ko harane ke bahut pyras kiye lekin vo kabhi mare nahi kyun ki creator ne कलि रुप्यकम् ko vardan diya tha ki use utpan hui kisi bhi chiz ko koi bhi tabah nahi kar sakta aur is baat ka dhayan rakhte hue hi कलि रुप्यकम् ne apni shaktiyan apne dono putr ko de di thi. Ant mein akar creator ne un dono se vo chinna jiske baad vo apni pehchan hi bhul gaye. Creators ne un dono se sara gyan chinn liya jiske bina vo adhure hogaye par creator kabhi bhi कलि रुप्यकम् ko nahi khoj paye jinhe कोक aur विकोका ne chupa diya tha.

" vo kabhi ye jaan hi nahi paye ki कलि kis timeline mein maujud hai. Aur ab unke ane ka waqt aa gaya hai, pehle se jada takatwar aur sena ke sath jise tumhara creator kabhi jeet hi nahi payega "

" aisa kabhi nahi hoga " aaruhi gusse mein boli.

" Acha? kaun rokega? tum.. hahaha " shruti zor-zor se hasne lagi. " Oh aaruhi.. tum janti ho ki tumhara ye sharir kitna fragile hai.. tum use harane ki baat kar rahi ho jiski koi body nahi hai. He is immortal with time. Jab tak time hai tab tak vo maujud hai.. He heals with time aur is baar vo itne powerful hokar ayenge ki nobody.. not even your creator can win over him. Don't live in ur simulation .. tumhare creator ke pas tumhe dene ke liye sirf wahi hai

" simulation ? "

" yes aaruhi.. you all are living in a simulation. Kabhi tumne apne zinda rehne ki vajah ko mehsus kiya hai, tum log ek simulation ki cycle mein jee rahe ho, zindagi se mrityu tak mein simit reh jate ho. He is using you taki tum sab din-raat uske bare mein hi socho. Uski juthi shaktiyun ke bakhan gao.. he did not even create time.. aur time se bada kuch nahi hai.. Usne tumse wahi shakti cheen li jo कलि tum sabko dena chahta tha taki tum sab is bhraman ki sabse ankokhi chiz ko mehsus kar sako. Jaise maine ki hai... tumhe pata hai mai abhi tak kyun tum insano jaisi budhi nahi hui aur na kabhi hongi kyun ki mai us simulation ka hissa nahi hun aaruhi " ek pal ke liye shruti chup hui. Aaruhi ka galla sukh raha tha, uske ghutne ab dard se jhun-jhuna rahe the, par uske dil ki dhadkan shayad shruti tak bhi pahunch rahi thi.

" Ye facility koi aam facility nahi thi aaruhi, iske hone ke piche ek wajah thi. You know how this gravity and space time works? Gravity utni jada majbut hoti hai jitna space bend hota hai aur time us hissab se badal jata hai, sahi na? Bas yahi hai har timeline mein.. ek aisi jagah jahan gravity strong hai aur jahan ka samay actual time se slow hai aur wo yahi isi facility mein maujud hai. Remember ki Dr mahajan yani mai jab sab chiz chhod kar ek research mein lag gayi thi tab aisa kya kar rahi thi " shruti ek pal ke liye chup rahi taki aaruhi samajh sake.

" i built a box in this timeline jo us gravity ki madad se maine aisa time aur space create kiya jisne mujhe multiverse travel karne ki shakti de di. Mai us box ki madad se across multi-verse travel karke apne-alag-alag variant se mil chuki hun and u never know ki jo tumhare samne khada hai ki vo isi timeline ka variant hai ya koi aur? " shruti ne halki muskan dekar aaruhi ko chaunka diya.

" now u see, how vast this is.. maire kai version hai aur sabhi multi-verse apne alag space aur time mein maujud hai. Isliye jo time mein yahan bitta rahi hun vo shayad dusre world mein chand minute ho. Time works different in different worlds aaruhi. With the help of the crayoseptic drug jo maine dusre world se hassil ki aur jo hamari body ko materialized tarah se dead kar deta hai yani ki meri body dead hai par brain active lekin ek sleep mode main aur baki gravity ne apna kaam kar diya, gravity ne mera time slow kar diya isliye itne saal beetne ke baad bhi mei nahi badli, now u know ki tumhare creator ne tumse kya chinna? you could all be Immortal aaruhi. "

" mai tumhari bevkufi par hansu ya samjhdari par? jo bhi is dunia mein aya hai uska ant tay hai, you can't be immortal ... u are not.. " kadak awaz mein usne kaha.

" Tum meri fikar ki jagah apni fikar karo aaruhi, jab tak meri kahani hai tab tak tum.. "

" Mere hone na hone se samay nahi rukega.. tumhe lagta hai tumne samay ko control karna sikh liya hai? "

" Samay mera hai aaruhi.. aur mai use jab chahun tab apne hissab se istemal kar sakti hun. Tumne kabhi socha nahi ki vo box jo kahin use nahi ho paya lekin yahan ho gaya? Jo shaks tumhe box khulne ke baad mila vo is world ka nahi tha aaruhi, lekin tumhare is world se juda matlab samajhti ho is baat ka? It will make you stay in every space and time and u will live forever.. he was in eternal space yahi कलि ne creator se kaha tha. " shruti ki baton mein uski ankhein chamakne lagi thi.

" mai maan lun bhi ki jo tum keh rahi ho sach hai lekin mai kabhi ye nahi maan sakti ki jisne is srishti ko banaya hai vo hume un chizon se dur rakhega jo itni jada jaruri hai aur mai ye bhi nahi maan sakti ki Shreyas ek eternal place mein hai, mujhe lagta hai vo kisi bahut buri jagah fansa hai. " aaruhi shreyas ki un baton ko yaad karke dukhi ho gayi. Vo ek pal chup rehne ke baad fir boli.

" Usne ye sab soch samajh kar hi aisa kiya hoga.. nahi to hum bhi tumhari tarah corrupt ho chuke hote jiske chalte na jane tumne kitne logon ko noch khaya hai " aaruhi ne ek pal chup rehne ke baad apni baat kahi aur shruti ke chehre se sari muskan chali gayi.

" tumhari galti nahi hai aaruhi, tumhare creation mein hi kami hai "

" meri creation mein kami hai tabhi mujhe insano ki value hai jo tumhe nahi hai "

" value? acha.. tumhe kiski thi? " shruti ne sawal kiya to vo chup ho gayi.

" tumhe kiski value thi jiski khoj mein tum yahan ayi? " shruti ke sawal par aaruhi ne koi jawab nahi diya. " Mai batati hun, tum sirf ek maksad se is college mein ayi, yahan ki sachai janni thi isliye.Shuruwat tumne chai ki tapli se ki jahan ek-ek karke tumne logon se puch taach shuru ki, bhuttiya girls hostel se shuruwat karte hue tumne college ke hadson ke bare mein puchna shuru kiya. Ladkiyun ke gayab hone ke sath unki khud-khushi ke raaz ko janne ki kosish kari. Dhire-dhire tumne bahane se college ke andar dakhil hona shuru kiya, wahan ye peon, staff member, teachers, library mein kaam karne wali Rekha, aas pass ke apartment mein rehne wale logon se.. jisme rekha ki behen Rachna .. Aur usi dauran tum meghnath se bhi mili. Tum andar hi andar samjhne lagi ki college ke hadse koi mamuli nahi hai, jiske baad tumne Bangle ke bare mein pata chala aur wahan se shuru hui tumhari Drug ki taalash, aur ek dafa jab tumne shailja se puch-taach karne ki kosish kari bas wahin tumne galti kar di. Shailja janti thi ki tumhari khoj-been koi musibat laa sakti hai isliye usne facility mein ek chitti chhod di, jaise har baar ki tarah vo aksar bahari duniya mein ho rahi chizon ki suchna diya karti thi. Usi ne tumhe bangle ki drugs party ke bare mein jaan kar bataya taki tumhari halat bhi wahi ho jaise college ke ek director ke sath hui thi jiski agle din laash ek call girl ke sath mili " shruti ne jab ye baat kahi to aaruhi ko yaad aya ki aksar is kahani ko college mein bataya jata tha aur ye baat kafi jada prachalit thi.

" Aur isi wajah se tum us sham bangle mein ayi? hai na? " shruti ne apni bahuein uthate hue aaruhi ko dekha, vo chup rahi jise ye spasht ho gaya ki shruti sahi keh rahi hai.

" Maira pehla motive tumhe bhi marna hi tha but us raat bangle mein tumne naam liya Vandana? Now that rings me a bell, Who's vandana? aur tumhe kyun laga ki wahan koi vandana naam ki ladki milegi? But iske sath maine ye bhi socha ki tum yahan ke bare mein itni dilchaspi kyun le rahi ho? Police wali tum nahi thi, shailja pehle hi pata lagwa chuki hti. To akhir tum thi kaun? Kya tumhara un kisi bhi ladkiyun se koi rishta tha? ye sab sawalon ke jawab khojne the isliye tab tak tumhe zinda rakhne ka faisla kiya. Maine ek-ek kar un sabhi se puch-taach ki jiske sath tum dekhi gayi thi, lekin kisi ke sath tumhara kuch khas koi connection nahi mila. Par fir jab maine meghnath ke bare mein janna tab samajh aya ki vo bhi kuch aisa hi khoj raha hai jo tum khojne ayi ho aur isliye behrupiya ban kar yahan padh raha hai asal mein to uska naam Atharva hai, uske baad sab khel samajh aya ki tum aur meghnath mile hue ho aur shayad isiliye tum uske sath mil kar sab khojna cha rahi thi. Lekin tum ayi kyuni? kya tumhe kuch pata tha? ye janna ab mere liye ek dilchasp ho chuka tha isliye maine tumhe zinda rakha. Do din to maine tumhe bahut torture kiya par tumne muh nahi khola, thoda aur karti to mar hi jati. Fir uske baad maine vo kiya jo mujhe pehle hi kar dena tha. I give you the Illusion Drug.. jo mujhe ek dusre multi-world se mila tha, Created by my own different version in different world. Usne vo drug un patients ke liye banaya tha jo log marne wale the aur apni reality ki jagah ek illusion world ka ehsas lena chahte the taki unhe unke ho rahe dard ka ehsas na ho. Beautiful thought? Par itni nayab khoj ko aisa waste? Tum khud batao jo marne wala hai use kya jarurat kisi illusion ki? So i killed her " shruti ne itne cold andaz se kaha jise dekh aaruhi samajh gayi ki vo kisi bhi hadh tak jaa sakti ho.

" But you see, time is very very clever, because I killed her i have to fill the gap. So i become her otherwise it will create a time hole which will impact the time and create alternate versions of it. Mai wahan ke liye us world ke liye Dr Mahajan ban gayi aur time ko chakma de dia and took all the drug, little tweak aur us drug ko maine aisa create kiya ki us illusion mein ab mai bhi tumhare sath us reality ko dekh sakti thi, mehsus kar sakti thi, I was connected with u nurologically. You know thats why u involved me in your illusion world aaruhi. Aur jitna acha asar us drug ka tumhare sath hua in sab becharon ke sath nahi hua " shruti ne murdon ki taraf ishara kiya.

" Inme se kitne to drug ki power se hi mar gaye, kuch illusion mein hi maare gaye aur kuch kabhi bahar hi nahi aye to maine hi unhe maar diya. Mera zara se badlav ne drug ko itna bada bana diya jo us world ki Dr. Mahajan nahi kar sakti thi, she looks like me but she never sees what lies behind this world. Its a powerful thing aaruhi to kill your own.. " shruti muskurate hue boli.

" Tumhari illusion ki madad se mujhe pata chala ki meghnath ke pas ek ancient box hai isliye maine usko pakadne ki ek chaal banai, uska library mein chupe rehna, usko tumhare naam ka jhansa dekar pas bulana aur daboch lena aur fir tumhare sath use bhi illusion mein jod dena, jiske baad sab kuch tum hi kar rahe the, you make me detective of your own story. Tum dono ka illusion mujhe kahan tak pahuncha dega ye mujhe andaza bhi nahi tha lekin jab tumhari chizen ek aise rehasye par jaa atki jiski batein sirf mujhe pata thi to chizen behad interesting ho gayi aur fir ek din vo aya jiska mujhe intezar tha, tum log mujhe us insan ke pas le gaye jiske pas nayab chiz thi, Ved Sharma. All of my life and travel to multiple worlds i was dreamt of having that day when i get that book. The book of hoax.. all because of you guys.. i just have to kill a ordinary bunch of people and that's it " shruti kushi se fule na sama rahi thi. Aaruhi uski taraf dekhti rahi mano kuch khoj rahi rhi ho usme. Gusse mein usne apne hathon ki muthi bana li thi mano vo kisi tarah is chain se azad ho jana chahti ho.

" Everything is going with the plan. I know about your mother, everything about her aur uske baad Vandana jiski wajah se us din tum bangle mein bach gayi thi, tumhari khas dost Vandana. She died in a mysteryous way... Maine jab thodi chaan-been karwai to kuch hath nahi laga, to mujhe laga shayad koi gehra rishta raha ho uske sath tumhara, maybe u loved her? " shruti ki baat sun aaruhi ne use nazre fer li.

" But sab kuch mil gaya mujhe .. even vo bhi jo mai itne salon se khoj rahi thi bas ek sawal ka jawab nahi mila ki tum yahan ayi hi kyun? " shruti ne sawal kiya aur fir khud hi bol padi " But does it matter now? no na aaruhi? Ab is sawal ka kya matlab.. mujhe tum chahie thi, to mere कलि ne mujhe tumhe lakar de hi diya, now i will use you to release him .. i will give him back his body , his soul and his all power.. aur abki vo tumhare hi creator ki dunia mein ek aisi sena banyega jise koi kabhi hara nahi payega, This is how he will be in creators home. You will bring him back aaruhi.. " shruti muskurate hue boli aur uski taraf badhi.
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,696
8,577
219
Top