• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Update ~~ 87

" Mujhe lagta hai ki Aaruhi fir kisi zone mein hai tabhi vo us Box ke bare mein bol kar gayi hai. Jab bhi vo aise zone mein ati hai kuch na kuch nayi harkat hi samne ati hai " Vishal ne apni baat rakhi.

" Uske zone khatam nahi honge lekin hum khatam jarur ho jayenge... Mujhe samajh nahi ata main tum logon ke sath hun hi kyun? " Rachna ne ungli ke nakhun chabate hue kaha.

" Tum rehti ho to confidence rehta hai " gaggan dadhi khujate hue bola to rachna usko ghurne lagi.

" Mujhe to us meghnath mein hi gadbad lag rahi hai.. vo jarur kala jaddu karta hai, hostel ke bache galat nahi kehte. Isliye vo us box ka istemal karna chahta hai. Usi ne aaruhi ko fansa rakha hai apne mind se. Doctor ne bhi kahi thi ki Aaruhi kisi ke direction par chal rahi hai? " gaggan ne achanak baat badal di.

" Baat to teri sahi hai gaggan, par aaruhi hi kyun? uske sath hi vo aisa kyun karega? Uski kahani bhi kuch hadh tak real lagti hai, tum kya kehti ho shruti? " vishal ne baat ka rukh shruti ki taraf modha jo kafi der se shant baithi thi. Sabhi road se lagte dhabbe par baithe, chai pii rahe the. Sham ho chuki thi aur asman mein badal gehrane lage the. Is mausam ki akhri baarish hi bachi thi.

" Vo aaruhi hi nahi balki bahut ladkiyun ke sath aisa kar chuka hai vishal... Aur ab us box ki madad se vo kuch aur hassil karna chahta hai.. " shruti ne chai ki chuski lete hue behad gehri tone mein apni baat rakhi..

" To tumhe abhi bhi usi par shaq hai? "

" Hamesha se.. usi par rahega.. vo bevkuf bana raha hai.. Aaruhi bilkul waisa hi kar rahi hai jaisa use kehlaya gaya hai.. "

" matlab? " vishal ne turant pucha. Sabhi ke kaan shruti ke itna kehne par khade ho gaye. Shruti ek pal chup baithi rahi.

" Thoda waqt laga samjhne mein lekin mujhe lagta hai is baar bhi wahi hua hai jaisa Aaruhi ne kuch samay pehle kiya tha, vo bathroom wala kaand aur fir kapde ki rassi bana kar us bhootiya hostel mein chale jana, kuch-kuch aaj bhi aisa hi hua hai. Ye sab jo meghnath ne hume dikhaya, bataya ye sab uske ek game plan ka hissa tha. Par is baar usne hume believe karane ke liye aaruhi ka istemal kiya. Vo jant tha ki agar aaruhi ka istemal karega to hume yakeen mein daal dega isliye jaisa gaggan ne apni theory mein kaha ki meghnath aaruhi ko control kar raha hai to Meghnath ne hamare ane se pehle aaruhi ko yahan ane ke liye keh diya hoga aur jab usne hume box ki baat batai tabhi aaruhi ne entry mari aur uske baad usne box ko lekar apni kahani batai. Vo box ho sakta hai asli ho par uske ird-gird banai kahani nakli hai. Aaruhi ne jo kaha vo Meghnath ko pehle se hi malum tha bas vo hume vishwas mein lana chahta tha isliye vo anjan bana baitha raha. Ye badi hi sochi samjhi sazish rachi ha usne.. "

" Par vo aisa kyun karega? I mean hume vishwas mein laa.....laa...kar... use.. kya milega.. " Kim ne sawal daga.

" Ye baat mujhe abhi bhi samajh nahi ayi hai ki vo humse kya chahta hai jo hume abhi tak kuch nahi kiya, Pr itna samajh ata hai ki vo nahi chahta ki hum uske aur uske plan ke bich mein na aa paye par vo hume apne plan ka hissa kaise banayega vo abhi samajh nahi aa raha "

" Kahin vo aaruhi ki tarah hamare mind ko to nahi control karne lagega? " Rachna ki baat shruti ke dimag mein alredy chal rahi thi.

" Pata nahi.. shayad... ya shayad kuch aur.. par uska motive kuch aur hai jo hume janna hoga.. "

" Ek minute.. " vishal ne shruti ko roka " tum sab itne yakeen se ye baat kaise keh sakti ho ki jo meghnath ne bataya aur dikhaya vo pehle se usne plan kar rakha tha ? "

" Kyun ki vishal usne sab already plan kar rakha tha, us raat mujh par file lene ke liye hamla karna, apne aap ko pakdwana sab kuch uska plan tha hum to sirf usme fanste gaye ... "

" wahi to puch raha hun kaise? " vishal ne fir apne sawal ko dahuraya.

" tum abhi bhi nahi samjhe? Tumhe lagta hai Aaruhi ko ye sab baat khud pata chali, uski medicine wali baatein? Tumhe lagta hai vo us waqt hosh mein thi? Agar thi to kyun abhi tak usne apni mom se baat nahi ki? Kyun usne wahan se jane ke baad koi hungama nahi kiya? Aaruhi ki mom ne khud abhi bataya ki aaruhi ne use koi baat nahi ki? Ab batao? Itni badi baat pata chalne ke baad to aaruhi ko hostel se chutti lekar ghar chale jana chahie tha, ladna chahie tha par usne aisa kyun nahi kiya? " Shruti ne sawal aisa kiya jiske baad vishal chup ho gaya.

" Baat sahi hai.. Aaruhi ne koi hungama nahi kiya warna mujhe laga tha vo ab sidhe ghar jayegi pehle.. " Rachna ne shruti ki baat ko support kiya.

" to fir ab? Hum kya karein? " gaggan ne sabhi ke chup hone ke baad pucha.

" Wahi jo vo chahta hai.. hum bhi to dekhe ki akhir kya hai Mansion mein.. " shruti ne chai ka glass wahin table par rakha aur apni jagah se khadi hui.

" Waise ye mansion ki kya kahani hai? " Rachna ne puch hi liya jo vo kabhi der se puchna chahti thi. Uski baat ka jawab kisi ne nahi diya aur sabhi college ki taraf chal diye.

" Aaruhi aram se so rahi hai. Mene kaha tha na Meghnath hi hai in sabke piche, ye fir bhool gayi hogi ki isne aisa kuch kiya hai " Shruti ne vishal ko message likh kar send kiya aur aaruhi ki taraf nazre ghumai to paya ki bilkul shanti se so rahi hai. Yahan tak ki sham ko khane mein dawai mili hui thi tab bhi usne kuch nahi kaha aur kha kar kamre mein kuch der book padi aur so gayi. Usne bhale hi mujhse baat nahi ki ho lekin koi aisa bartav nahi kiya jaise thodi der pehle kuch hua ho.

" Tum sahi ho.. hume meghnath par vishwas nahi karna chahie. Par kya hume uske sath jana chahie? " Vishal ka message aa raha tha jiski wajah se shruti ka dhayan tuta.

" Tabhi to pata chal payega ki akhir kya chahta hai vo.. Uska game kya hai "

" Par agar hume kuch ho gaya to? Ya fir kahin hamare dimag par bhi usne kabza kar liya to? " Vishal ka message aya.

" uske liye mere pas ek idea hai "

" Kya? "

" Main apne phone se wahan ki chizen record kar lungi taki kal ko kuch aisa hua to phone par record hui chizon ko dekh hume yaad aa sake "

" Hmm acha idea hai.. par shruti mujhe abhi tak ek chiz ka doubt hai ki akhir meghnath aisa kar kaise paa raha hai? " vishal ka reply dekh shruti kuch der sochti rahi. Sawal to uske man mein bhi yahi tha. Par jawab abhi bhi uske pas nahi tha.

" Yahi to pata karna hai vishal.. Hamare pas ek din ka samay hai.. agar kal sham tak kuch mila to theek warna to uske sath jakar mansion mein hi malum chalega ki akhir vo kya game bana raha hai "

" Ye mystery to aur bhi jada gehrati jaa rahi hai. Mujhe to lag raha hai kal kuch bahut ajeeb hone wala hai " vishal ke reply par shruti kuch nahi boli aur thodi der idhar-udhar ki baatein karte hue vishal chala gaya par shruti ki ankhon mein nind nahi thi. Uski ankhon ke samne vo box, uski baat aur aaruhi ne jo kiya vo sab ghum raha tha. Urvashi ke chat box ko khol kar usme usne use batane ke liye message likha lekin send nahi kiya aur likha message hata diya. Urvashi ne aisa kuch nahi batya tha jise ye sabit ho paye ki Aaruhi ko wakai mein Ancient chizon ka shauk hai ya fir knowledge hai. Kahan history, archelogical chizen aur kahan engineering kahin se kahin tak koi mel hi nahi tha. Yhun hi waqt ko tatolte hue usne facebook khola aur fir apni profile par kuch samay bitate hue uski nazar online hue logon par padi jisme se ek Jaggu bhi thi. Shruti ne apni logout ki aur dusri id se login kiya. Login karte hi usne dekha ki message notification aye hue the. Usne message khola, bahut din beet gaye the id login kiye isliye message ki jhadi lagi hui thi jisme se kuch message the.

' I know tum ek fraud ho tabhi to itne din se online nahi ho '

' Tum mujhe bevkuf bana rahe the '

' Ab tak nahi aye dekha kaha tha na.. Fake profile, blocking you ' Ye last message tha lekin block bhi nahi kiya hua tha. Shruti ne turant message kiya.

" I am not blocked yet? " message send hua aur agle hi pal typing ane laga.

" Itne din baad.... i thought tum gaye.. fake profile "

" Main fake? ... Agar main fake hun to tumhare bare mein kaise pata hai "

" Kya pata hai? "

" Yahi ki tumhara naam Jogeshwar hai.. " Message send karte hi ek min ke liye kuch nahi hua. Fir typing likha aya..

" Tumhe kaise malum? "

" Mujhe sab malum hai.. mene kaha tha.. tumhe ache se janta hun.. aur bhi batau? " shruti ne message send kiya par jawab nahi aya to shruti ne aage likhna chalu kiya. " Jis tarah ke rizane wale post dalti ho use ye sabit nahi hoga ki tum bahut hot aur sexy ho.. "

" Tum balki kaisi dikhti ho vo tak malum hai mujhe.. aur sahi kahun to... " shruti ne itna likh kar chhod dia.

" To? " samne se is baar reply aya.

" To.. mujhe tum bahut hot lagti ho.. aur agar ek sach baat kahun to "

" to? "

" bahut baar tumhare bare mein soch muth mar liya hun.. aur kya chahta hun pata hai? "

" kya? "

" Ki tumhe ragad-ragad ke chhodun... " shruti ke chehre par muskan thi. " Yaad hai na .. tumhe mera lund.. jo kache ke piche chupa tha ab socho bahar niklega to kya karega.. " shruti ne use bheji hui photo yaad dilai jo usne vishal wali bheji thi. Shruti itna keh kar ruk gayi, uske chehre par abhi bhi muskan thi.

" Chii.. kitne gande ho tum... I am blocking you.. " reply padh kar shruti ka muskurata chehra chota ho gaya aur vo kuch sochti use pehle jab usne message dalna cha to gaya na.

" Behen ki lodi ne block kar dia sahi mein.. sala... mood kharab kar dia.. " shruti ne phone patka aur so gayi.

Subah kuch khas nahi hua, Aaruhi ka raviya bada hi alag tha. Na subah se koi baat na hi koi harkat. Vo kab class pahunchi shruti ko itna bhi nahi pata chala. Usne class mein baat karne ki bhi sochi lekin usne koi jawab hi nahi diya. Bas bina bole hi baithi rahi. Classes over hone ke baad shruti corridor mein khadi, vishal ka intezar kar rahi thi. Corridor mein khade hokar uski nazar niche hi thi jahan se atte-jatte bache dikh rahe the tabhi uski nazar aaruhi par padi jo jaa rahi hi ki bich raste mein meghnath mil gaya aur vo use kuch baat karne lagi.

" Iski maa kaa.. ise baat kar rahi hai.. Pakka ye meghnath ne ise mana kiya hoga kisi se na baat karne ko.. beta aaj raat aur apna game bana le .. uske baad tera game to main banaungi.. "

" kya hua kisse baat kari rahi ho? " vishal ne atte hi pucha.

" udhar dekho.. aaruhi kal se kisi se baat nahi kar rahi aur use kar rahi hai.. dhongi sala... " shruti ne vishal ko bhi wahin dono ki taraf dikhaya jiske baad aaruhi chali gayi aur meghnath ne nazar uppar ki taraf modh di jaise vo janta tha ki uppar koi use dekh raha hai. Shruti use dekhti rahi tabhi meghnath ne ek thaila uppar ki taraf uthaya un dono ko dikhane ke liye.

" Ye rachna.. behenchod.. apna thaila kal wahin chhod ayi thi.. kapdo wala... ye ladki bhi na.. " shruti ne fauran apna matha peeta. Shruti ne turant meghnath ko uppar ane ka ishara diya. Vo uppar ki taraf aya to shruti ne ishare se terrace ki aur ane ko kaha, teeno terrace par aa khade hue.

" Aaruhi se kya baat kar rahe the? " shruti ne turant hi apna sawal dagga.

" Haal chaal puch raha tha bas "

" Humse to vo kal se baat nahi kar rahi aur tumhe haal chala bata rahi hai wah.. " shruti is waqt thodi utejna mein thi.

" Main kuch samjha nahi? " meghnath ko shruti ka vyvhar kuch jam nahi raha tha. Vishal ne turant shruti ka hath kassa aur use ishare se shant rehne ko kaha jise pakar shruti ne turant sawal hi badal dia.

" Ye thaila lana jaruri tha.. sabke samne.. "

" Tumhara tha to tumhe dena tha "

" Tum kya chahte ho.. hum pakde jaye.. yahi planinng hai tumhari.. " shruti ne gusse mein kaha.

" Yahi planing hoti to sabke samne thaila khali kar deta.. ye lo.. " meghnath ne thaila aage badaya jise shruti ne fauran cheen liya.

" Tum kam nahi ho .. dhamkane mein.. " shruti ne thaila fauran khola to aag jo bolne wali thi vo bolte hue chup ho gayi kyun ki usme kapde nahi balki file thi.

" Ye to wahi file hai jo peon laya tha.. kapde nahi.. "

" Han usko mene thikane laga diya hai.. Ye file mere ab kaam ki nahi hai.. tum ise us peon ko wapis de sakti ho "

" par vo to us din ke baad se dikha hi nahi " vishal ne turant kaha.

" Dusre chor par hi uska kacha makan hai de ana.. kaam par ane lagega.. " itna bol kar meghnath jane laga.

" sham ko hum bhi tumhare sath chalenge.. " shruti ki baat sun meghnath ruk kar uski taraf dekhne laga.

" Mujhe umeed thi ki tum aaoge.. kahani hi itni dilchasp hai.. 8 baje mansion ke bahar milna.. " meghnath itna bol kar wahan se chala gaya.

" Kabhi kabhi samajh nahi ata ye chahta kya hai.. khud file de gaya.. kahin hum iske bare mein galat to nahi? " vishal turant bola.

" tum bahut budhu ho.. iski chaal nahi samjhte.. vo kapde jo usne kaha ki vo tikhane laga chuka hai.. kya tumhe yakeen hai aisa kara hoga usne? Vo uska blackmail karne ka hatiyar hai.. Ye file dena to sirf ek dikhawa hai.. rachna to maregi mere hathon ab.. " shruti ne file wali thaili ko moda aur dono niche utar aye.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Update ~~ 88

" tujh jaise chutiya aurat mene aaj tak nahi dikhi, khoon se bhare kapde ke thaile ko meghnath ke kamre mein chhod ayi.. " shruti rachna par chilla rahi thi.

" Kya karti main... dar gayi thi.. mahol dekha tha kitna khatarnak tha.. "

" tere bhoolne ke chakar mein agar lawde lage to teri hi chut sabse pehle aage karungi soch lio.. "

" Aaj raat ke baad zinda bachi to kario na aage... kushi kushi le lungi.. "

" darti kyun hai? kuch nahi hone wala.. ye sab chutia banane ka dhanda hai tu chinta mat kar sab planning kar rakhi hai.. saman ikhata kar liya na vishal? "

" Han .. hai.. par tujhe nahi lagta.. mess ka chaku churana theek idea nahi tha? " jawab gaggan ne diya.

" Sab theek hai.. hum kaun sa chalayenge kis par.. lekin apne aap ko bachane ke liye kuch to hona chahie na.. " shruti jhadiyun ko hatate hue aage badh rahi thi. Jab se college par se pabandi hati thi raat ko aram se nikala jaya jata tha isliye sabhi aram se mansion ki taraf aa rahe the. Thandi hawa chal rahi thi aur asman mein badal ikhate hone lage the.

Pancho jhadiyan paar karke mansion ke pas aye hi the ki sabhi ki nazar samne padi aur chalte per ruk gaye. " Ye yahan kya kar rahi hai? " Rachna ne meghnath ke sath khadi aaruhi ko dekhte hi kaha jo mansion ke najdeek khade the.

" Mujhe pata tha din ki ye din mein uska haal-chaal nahi balki aaruhi ko yahan ane ka bol kar gaya tha "

" Par tumne kaha tha ki aaruhi room mein hai? " vishal ne turant yaad karke kaha kyun ki abhi atte time vishal ne pucha tha.

" Han thi to sahi.. pata nahi kab nikli aur yahan pahunchi.. "

" Aise hi raat ko us bhootiya hostel bhi pahunchti hogi lekin tujhe nahi pata chala shruti... " Rachna bich mein kud padi.

" Nahi.. us raat ke baad aaruhi wahan gayi hi nahi.. "

" kis raat? " rachna ke muh se nikal gaya.

" Wahi raat jis raat tu koi kaam nahi ayi thi aur Aaruhi ko vishal ne chat se kudne par bachaya tha.. ab yaad aya " shruti ne dant piste hue kaha.

" Ab yahan khade reh kar sawal jawab karna bekar hai.. ab chalo " vishal ne kaha aur aage badh gaya. Uske piche charon chal diye.

" Waqt se pehle aa gaye tum dono.. " wahan pahunchte hi shruti ne aaruhi ki taraf dekhte hue taunt mara. Aaruhi kuch nahi boli yun hi chup khadi rahi. " Aaruhi tujhe to is mansion se dar lagta tha na to fir tu yahan kaise aa gayi? " Shruti ne fir kaha lekin badle mein jawab nahi.

" Akhir kya hai is mansion mein koi mujhe bhi batayega? " rachana fir galat waqt mein bol padi jise sun shruti ne gusse bhari nighaon se use ghura. " Ab kya galat pucha mene? "

" Andar chalo.. tab tumhe is mansion ke bare mein batata hun aur hum yahan kyun aye uske bare mein bhi agar kal tumhe samajh nahi aya tha.. " meghnath ke hath mein box tha dhakka hua. Sabhi ne andar jane se pehle mansion ki taraf dekha, chand aaj badlon e piche tha isliye chalti hawa ki is kali raat mein mansion par abhi tak kisi ne dhayan hi nahi diya tha jo ki behad darwana dikhai de raha tha. Andar koi roshni nahi thi ghup andhera tha jo bahar se khidkiyun ke zariye mehsus ho raha tha. Ek pal use dekhne ke baad sabne phone ki torch jalai aur meghnath sabse aage darwaja kholte hue andar ghusa aur ek-ek kar sab andar ghus gaye. Andar kadmo ke ahat ke alawa is waqt sabhi ke sans lene ka shor maujud tha aur bilkul khamoshi pasri hui thi.

" Candels aur lamp jala dete hai.. " shruti jo pehle bhi ayi hui thi usne itna kaha aur vishal ko apne sath le gayi aur dono candels jalane lage. Kuch der lagi lekin dono ne mil kar hall ko roshni se dhak diya. Sabhi ne phone ki torch band kar di, ab wahan anuman kafi roshni pasar gayi thi.

" Kya kahani hai idhar ki.. ye to jagah hi bhootiya lag rahi hai mujhe... " rachna darte hue boli. Itni khamoshi usne kabhi mehsus nahi ki thi. Jagah jarur bhari hui thi lekin ek khali-pan sa use mehsus sa ho raha tha.

" Ye vo jagah hai jahan kafi salon mein kai mautein hui.. Is ghar ne kai zindagi ko panah di aur use marte hue dekha. Isliye ye ghar maila hai.. asan bhasha mein kahun to.. taki tumhe samajh aa sake.. isliye ab is ghar ki is khamoshi ko koi dur nahi kar sakta..tum jabtak yahan ho tab tak tumhare andar ek ajeeb si ghutan lagegi.. Aaruhi ke mutabik yahi ek satik jagah thi is box ke liye .. isko ajmane ke liye.. aur sahi mayine mein ise jada kuchaili jagah nahi ho sakti jahan par itni cheekhein itna dard samaya ho.. Ent ki bani deewarein sirf ghar ko majbuti hi nahi deti balki uske andar hue har hadse ko apne mein sama leti hai.. Ye jagah bhootiya nahi hai lekin shrap se kam nahi hai ye jagah... Isliye is andhere ko chunna hai is box ne.. " meghnath ne apni baat se rachna ki baton ka jawab to diya lekin uske sath apne man ki batein bhi bata di.

" tum pehle kabhi nahi aye idhar? " vishal ne pucha.

" Aya hun.. par andar kabhi per nahi rakha... Aaj pehli dafa andar aya hun.. ajeeb sa man vichlit ho raha hai.. "

" Mera bhi hua tha jab hum pehli baar aye the... " vishal ne turant kaha.

" Kya karna hai ab? " shruti ne bich mein bola taki baat aage bade. Vo meghnath ka bhanda aaj fod kar hi wapis jana chahti thi. Usne ek dafa aaruhi ki taraf dekha jo bilkul shant khadi thi. Us raat aaruhi ne kis tarah harkat ki thi vo bhuli nahi thi aur aaj aisa roop dekh vo hairan thi.

" Isko rakhna hai.. " meghnath bola.

" Wahan rakh do " Aaruhi turant bol padi aur samne ki taraf ishara kiya. Jahan vo khade the uske samne ek rack wala shelf bana hua tha. Aaruhi ne wahan rakhne ko kaha to kisi ne sawal nahi kiya aur meghnath aage badha aur us shelf par box ko jakar rakh diya. Box rakhte hi usne uske uppar se cover hata dia. Cover hatate hi usne uppar likhe shabdon ko ek baar man mein pada aur fir..

" alruwh alati "

" ruko " Aaruhi ne turant meghnath ko rok dia.

" Kya hua? "

" Iski jarurat nahi hai.. hume box ko jagana nahi hai... Use sirf is jagah se jodna hai.. taki jo sawalon ke jawab tum khoj rahe ho vo mil sake " Aaruhi ne samjhate hue kaha.

" Kaise jodenge? " gaggan piche se bola.

" Wo chiz jo mene tumhe di thi.. Usko nikalo.. " Aaruhi ke itna kehne par meghnath ne pocket se vo spherical chiz nikali jo Aaruhi ne box ki madad se hassil ki thi.

" Ise box mein lagao "

" fir se? nikali hui chiz ko.. dubara lagana ... ? " shruti ne sahi sawal kiya tha par uske sawal par jada dhayan nahi diya gaya aur meghnath ne box ko ghuma kar box ke us hisse ko samne kiya jisme se vo spherical chiz bahar ayi thi. Meghnath ne use us jagah par rakh kar chhod dia lekin kuch nahi hua.

" Isme to kuch nahi ho raha hai..kya tum sure ho ki isko aise hi karna hai? " meghnath ne piche ghumte hue kaha.

" Us chiz par likhe gaye shabad juthe nahi ho sakte.. wo waisa hi kaam karega.. " Aaruhi ne bas itna hi bataya jise sun meghnath aur confuse ho gaya. Vo ek pal waise hi khada raha dhayan se dekhta raha tabhi uski nazar box par hi padi. Jo akshar spherical ke charon taraf likhe the vo box ke likhe hue shabdon ko jod nahi paa rahe the, Yani ki agar koi Akshar 'T' hai to uska Uppari hissa box par tha aur niche wala us spherical par jise samjhte hi meghnath ne der nahi ki.

" ise ghumana hoga " meghnath ne use ghumaya aur word jod diya jiske sath sare box ke words spherical se jud gaye aisa hote hi jo spherical device bilkul kala tha usme badlav aa gaya aur vo kalla pan usme se hat gaya aur samne ek ghadi si bankar aa gayi, jaisa ki use pratit ho raha tha, ek aam khadi mein teen sui aur uske piche jitne ghante hote hai utni hi line lekin isme sirf anginat line jinka akar chote se lekar bahut bade tak tha. Suin ka kuch ata pata nahi lag paa raha tha.

" ghadi jaisa kuch ban kar aa gaya hai isme.. " meghnath ka dil zoron se dhadak raha tha " lekin kuch ho nahi raha yani chal nahi rahi.. " vo box ke samne khada tha isliye piche se kuch dikh to nahi raha tha par jaise jaise vo bata raha tha usne sabhi ki utejna ko bada diya tha. Meghnath ko sujh nahi raha tha ki aur kya karna hai, usne idhar udhar box par hath mara lekin kuch nahi hua aur fir eka-ek uske dimag mein kuch aya aur usne us spherical ko piche ki taraf dhakka diya jo piche ki taraf khisak gaya par box ki sateh par jaa ruka jiske sath hi 'tarr-tarr' karti hui awaz ayi mano koi motor jaisi chiz chali ho aur fir

'tick-tick' us spherical chiz mein se awaz ane lagi.

" Ye ghadi hi thi shayad jo chal gayi hai... " meghnath piche hatte hue bola. Piche hatte hue vo wapis sabhi ke sath aa khada hua. Vo khadi chal rahi thi jo us spherical mein lagi thi, box mein iske alawa koi gathiwidi nahi ho rahi thi par abhi koi kuch bolta use pehle box mein ek urja bahar ane lagi. Ye ek nili roshni thi pehle ki tarah pili roshni nahi thi jise dekhte hi sabhi dang reh gaye. Unke samne box mein se nili roshni chamakti hui apna akar badane lagi aur fir kafi jada urja mein nili roshni us box se nikalne lagi jiske turant baad vo nili roshni achanak se band ho gayi.

" aahhh.. " Rachna aur kim dono ki cheekh nikal gayi.

" relax guys.. relax.. kuch nahi hua hai.. just relax.. " shruti ne turant samjhaya. Dil uska bhi zoron se dhadak raha tha. Par samne kuch nahi ho raha tha. Sabhi ki nazre us box par thi jisme se 'tick-tick' awaz aa rahi thi.

" G....guys.s...... " Kim ne sabhi ka dhayan apni awaz se toda. Vo sabse piche gaggan ke sathi hi khadi thi. Uski awaz sun sabhi ne uski taraf dekha aur uske ishare ka picha kiya to paya ki sabse piche jo mombatiyan rakhi thi unpar ek 'Black' sayan padh raha tha aur mombatiyun ko bhujata hua jaa raha tha. Ye chiz sirf us hisse par nahi ho rahi thi balki pure hall mein ho rahi thi, Ek ' Black' sayan piche se hall ko apne ander samete hue aage badh raha tha. " Guyss.ss.s..... " Kim ne itna hi kaha ki us 'Black' Sayein ne Kim ko apni chapet mein le liya aur sath hi gaggan ko bhi, koi kuch karta use pehle rachna bhi usme sama gayi aur dekhte hi dekhte vo 'Black' sayan Shruti, vishal, aaruhi aur meghnath ko bhi apni chapet mein le jata hall ke aage badhta chala gaya aur dhire-dhire pure hall ko apni chapet mein le gaya jiske baad ek aisa kala andhera cha gaya ki koi bhi, koi bhi khud ko dekhne layak roshni nahi juta paaya tha. Unki shaksiyat wahin khadi maujud thi, ek kalle parchai ke roop mein khade dikh rahe the lekin uske alawa unka rang,roop jaise us chiz se apne andar samet liya tha. Sab koi ek andhkar mein tabdeel kar diya tha.

'Ye hume kya ho gaya hai... ye hume kya ho gaya hai... '

' oh godd.. main khud ko nahi dekh paa rahi hun '

' Main hil nahi paa raha hun...'

' Koi bachao please.. help.. koi please help. karo... '

Hall ke andar is tarah ka shor ghunjne laga tha, cheekh aur dar hota bhi kyun na, jab puri jagah ek andhkar mein felh jaye aur har reality ka astitv hi mit jaye to dar ana behad swabhvik tha. Dar Aaruhi se lekar meghnath ke man mein tha to Shruti aur vishal ke man main bhi. Sabhi ke dil zoron se dhadak rahe the.

" Sab shant ho jao... hum sab ek sath hai.. bas dekh nahi sakte kuch bhi.. just relax.. shruti tum mera hath pakad sakti ho.. " vishal ne bola jiska dil bhi sehma hua tha.

" nahi.. aisa lag raha hai jaise tumhari maujudgi nahi hai idhar.. bas awaz hai.. "

" to theek hai.. tum bas meri awaz par dhayan do.. meghnath ye kya ho raha hai kuch bataoge "

" main kuch nahi janta.. mujhe kuch nahi pata "

" tumne hi kiya hai ye sab.. tum laye the is andhere ko... mummy... main khud ko tak nahi dekh paa rahi hun.. andhi ho gayi hun... " rachna rote hue chilla rahi thi.

" Rachna.. rachna.. rone chillane se kuch nahi hoga.. shant ho jaa ... sochne de hume... " shruti ne samjhane ki kosish kari.

" kya shant rahun.. kya madad karegi... kuch nahi kar payegi.. hum sab marenge.. sab... " rachna fir cheekhte hue boli aur uske baad koi kuch bolta use pehle unhe kisi ke kadmo ke ane ki ahat hui. Ahat hall ke us taraf se thi jahan abhi sirf andhera hi tha mano milon dur tak andhera ho aur ye mansion bhi utna hi badha ho gaya ho. Vo awaz aur ahat ab aur tezz hoti jaa rahi thi, najdeek aa rahi ho mano.

" Koi aa raha hai.. " shruti turant boli.

" kaun aa raha hai.. koi janwar.. bhoot .. kaun.. " Gaggan chillaya.

" pata nahi.. " man ka dar muh se nikal raha tha. Shabdon mein dar tha. Dilo ki dhadkan mein dar tha. Nas-nas mein dar beh rha tha khoon ki jagah. Sabhi ka dhayan us ahat par tha jo aur tez hoti chali jaa rahi thi aur fir ahat jaise ek dum najdeek ayi jiske sath hi roshni bhi jo unhe dikhi samne.

Ek roshni jo vo dekh sakte the lekin apne aaju baju kisi ko nahi bas samne ... jaise hi vo shaksiyat samne ayi uske charon tarf roshni maujud ho gayi mano wahan kisi ne ujala daal diya ho par vo log apne aap ko abhi bhi nahi dekh paa rahe the aur na hi apni jagah se hil paa rahe the lekin samne khadi shaksiyat ko vo ache se dekh paa rahe the jisne apni aankhein apne chehre ko apne hathon se dhaka hua tha. Jaise roshni use chub rahi ho, vo roshni mein rehna nahi chahta ho ... aur isi roshni ki jaruat in pancho ko thi jo mil nahi rahi thi. Ye kaisi maya thi jo unke samajh se kaafi dur thi, ye rehasye unke suljhane ke baski nahi tha. Tabhi us shaks ne apne chehre se hath hataya jaise vo is roshni ka adi ho gaya ho.

" Kaun ho tum? " us shaks ko dekhte hi meghnath fauran bol pada jiska chehra roshni mein chamak to raha tha lekin chehra itna sukha hua tha mano kai waqt se us shaks ne kuch khaya hi na ho, uske andar khoon ka pravabh hi nahi chal raha ho.

" Main... Kaun hun main.. "
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
15,594
32,097
259
Update ~~ 87

" Mujhe lagta hai ki Aaruhi fir kisi zone mein hai tabhi vo us Box ke bare mein bol kar gayi hai. Jab bhi vo aise zone mein ati hai kuch na kuch nayi harkat hi samne ati hai " Vishal ne apni baat rakhi.

" Uske zone khatam nahi honge lekin hum khatam jarur ho jayenge... Mujhe samajh nahi ata main tum logon ke sath hun hi kyun? " Rachna ne ungli ke nakhun chabate hue kaha.

" Tum rehti ho to confidence rehta hai " gaggan dadhi khujate hue bola to rachna usko ghurne lagi.

" Mujhe to us meghnath mein hi gadbad lag rahi hai.. vo jarur kala jaddu karta hai, hostel ke bache galat nahi kehte. Isliye vo us box ka istemal karna chahta hai. Usi ne aaruhi ko fansa rakha hai apne mind se. Doctor ne bhi kahi thi ki Aaruhi kisi ke direction par chal rahi hai? " gaggan ne achanak baat badal di.

" Baat to teri sahi hai gaggan, par aaruhi hi kyun? uske sath hi vo aisa kyun karega? Uski kahani bhi kuch hadh tak real lagti hai, tum kya kehti ho shruti? " vishal ne baat ka rukh shruti ki taraf modha jo kafi der se shant baithi thi. Sabhi road se lagte dhabbe par baithe, chai pii rahe the. Sham ho chuki thi aur asman mein badal gehrane lage the. Is mausam ki akhri baarish hi bachi thi.

" Vo aaruhi hi nahi balki bahut ladkiyun ke sath aisa kar chuka hai vishal... Aur ab us box ki madad se vo kuch aur hassil karna chahta hai.. " shruti ne chai ki chuski lete hue behad gehri tone mein apni baat rakhi..

" To tumhe abhi bhi usi par shaq hai? "

" Hamesha se.. usi par rahega.. vo bevkuf bana raha hai.. Aaruhi bilkul waisa hi kar rahi hai jaisa use kehlaya gaya hai.. "

" matlab? " vishal ne turant pucha. Sabhi ke kaan shruti ke itna kehne par khade ho gaye. Shruti ek pal chup baithi rahi.

" Thoda waqt laga samjhne mein lekin mujhe lagta hai is baar bhi wahi hua hai jaisa Aaruhi ne kuch samay pehle kiya tha, vo bathroom wala kaand aur fir kapde ki rassi bana kar us bhootiya hostel mein chale jana, kuch-kuch aaj bhi aisa hi hua hai. Ye sab jo meghnath ne hume dikhaya, bataya ye sab uske ek game plan ka hissa tha. Par is baar usne hume believe karane ke liye aaruhi ka istemal kiya. Vo jant tha ki agar aaruhi ka istemal karega to hume yakeen mein daal dega isliye jaisa gaggan ne apni theory mein kaha ki meghnath aaruhi ko control kar raha hai to Meghnath ne hamare ane se pehle aaruhi ko yahan ane ke liye keh diya hoga aur jab usne hume box ki baat batai tabhi aaruhi ne entry mari aur uske baad usne box ko lekar apni kahani batai. Vo box ho sakta hai asli ho par uske ird-gird banai kahani nakli hai. Aaruhi ne jo kaha vo Meghnath ko pehle se hi malum tha bas vo hume vishwas mein lana chahta tha isliye vo anjan bana baitha raha. Ye badi hi sochi samjhi sazish rachi ha usne.. "

" Par vo aisa kyun karega? I mean hume vishwas mein laa.....laa...kar... use.. kya milega.. " Kim ne sawal daga.

" Ye baat mujhe abhi bhi samajh nahi ayi hai ki vo humse kya chahta hai jo hume abhi tak kuch nahi kiya, Pr itna samajh ata hai ki vo nahi chahta ki hum uske aur uske plan ke bich mein na aa paye par vo hume apne plan ka hissa kaise banayega vo abhi samajh nahi aa raha "

" Kahin vo aaruhi ki tarah hamare mind ko to nahi control karne lagega? " Rachna ki baat shruti ke dimag mein alredy chal rahi thi.

" Pata nahi.. shayad... ya shayad kuch aur.. par uska motive kuch aur hai jo hume janna hoga.. "

" Ek minute.. " vishal ne shruti ko roka " tum sab itne yakeen se ye baat kaise keh sakti ho ki jo meghnath ne bataya aur dikhaya vo pehle se usne plan kar rakha tha ? "

" Kyun ki vishal usne sab already plan kar rakha tha, us raat mujh par file lene ke liye hamla karna, apne aap ko pakdwana sab kuch uska plan tha hum to sirf usme fanste gaye ... "

" wahi to puch raha hun kaise? " vishal ne fir apne sawal ko dahuraya.

" tum abhi bhi nahi samjhe? Tumhe lagta hai Aaruhi ko ye sab baat khud pata chali, uski medicine wali baatein? Tumhe lagta hai vo us waqt hosh mein thi? Agar thi to kyun abhi tak usne apni mom se baat nahi ki? Kyun usne wahan se jane ke baad koi hungama nahi kiya? Aaruhi ki mom ne khud abhi bataya ki aaruhi ne use koi baat nahi ki? Ab batao? Itni badi baat pata chalne ke baad to aaruhi ko hostel se chutti lekar ghar chale jana chahie tha, ladna chahie tha par usne aisa kyun nahi kiya? " Shruti ne sawal aisa kiya jiske baad vishal chup ho gaya.

" Baat sahi hai.. Aaruhi ne koi hungama nahi kiya warna mujhe laga tha vo ab sidhe ghar jayegi pehle.. " Rachna ne shruti ki baat ko support kiya.

" to fir ab? Hum kya karein? " gaggan ne sabhi ke chup hone ke baad pucha.

" Wahi jo vo chahta hai.. hum bhi to dekhe ki akhir kya hai Mansion mein.. " shruti ne chai ka glass wahin table par rakha aur apni jagah se khadi hui.

" Waise ye mansion ki kya kahani hai? " Rachna ne puch hi liya jo vo kabhi der se puchna chahti thi. Uski baat ka jawab kisi ne nahi diya aur sabhi college ki taraf chal diye.

" Aaruhi aram se so rahi hai. Mene kaha tha na Meghnath hi hai in sabke piche, ye fir bhool gayi hogi ki isne aisa kuch kiya hai " Shruti ne vishal ko message likh kar send kiya aur aaruhi ki taraf nazre ghumai to paya ki bilkul shanti se so rahi hai. Yahan tak ki sham ko khane mein dawai mili hui thi tab bhi usne kuch nahi kaha aur kha kar kamre mein kuch der book padi aur so gayi. Usne bhale hi mujhse baat nahi ki ho lekin koi aisa bartav nahi kiya jaise thodi der pehle kuch hua ho.

" Tum sahi ho.. hume meghnath par vishwas nahi karna chahie. Par kya hume uske sath jana chahie? " Vishal ka message aa raha tha jiski wajah se shruti ka dhayan tuta.

" Tabhi to pata chal payega ki akhir kya chahta hai vo.. Uska game kya hai "

" Par agar hume kuch ho gaya to? Ya fir kahin hamare dimag par bhi usne kabza kar liya to? " Vishal ka message aya.

" uske liye mere pas ek idea hai "

" Kya? "

" Main apne phone se wahan ki chizen record kar lungi taki kal ko kuch aisa hua to phone par record hui chizon ko dekh hume yaad aa sake "

" Hmm acha idea hai.. par shruti mujhe abhi tak ek chiz ka doubt hai ki akhir meghnath aisa kar kaise paa raha hai? " vishal ka reply dekh shruti kuch der sochti rahi. Sawal to uske man mein bhi yahi tha. Par jawab abhi bhi uske pas nahi tha.

" Yahi to pata karna hai vishal.. Hamare pas ek din ka samay hai.. agar kal sham tak kuch mila to theek warna to uske sath jakar mansion mein hi malum chalega ki akhir vo kya game bana raha hai "

" Ye mystery to aur bhi jada gehrati jaa rahi hai. Mujhe to lag raha hai kal kuch bahut ajeeb hone wala hai " vishal ke reply par shruti kuch nahi boli aur thodi der idhar-udhar ki baatein karte hue vishal chala gaya par shruti ki ankhon mein nind nahi thi. Uski ankhon ke samne vo box, uski baat aur aaruhi ne jo kiya vo sab ghum raha tha. Urvashi ke chat box ko khol kar usme usne use batane ke liye message likha lekin send nahi kiya aur likha message hata diya. Urvashi ne aisa kuch nahi batya tha jise ye sabit ho paye ki Aaruhi ko wakai mein Ancient chizon ka shauk hai ya fir knowledge hai. Kahan history, archelogical chizen aur kahan engineering kahin se kahin tak koi mel hi nahi tha. Yhun hi waqt ko tatolte hue usne facebook khola aur fir apni profile par kuch samay bitate hue uski nazar online hue logon par padi jisme se ek Jaggu bhi thi. Shruti ne apni logout ki aur dusri id se login kiya. Login karte hi usne dekha ki message notification aye hue the. Usne message khola, bahut din beet gaye the id login kiye isliye message ki jhadi lagi hui thi jisme se kuch message the.

' I know tum ek fraud ho tabhi to itne din se online nahi ho '

' Tum mujhe bevkuf bana rahe the '

' Ab tak nahi aye dekha kaha tha na.. Fake profile, blocking you ' Ye last message tha lekin block bhi nahi kiya hua tha. Shruti ne turant message kiya.

" I am not blocked yet? " message send hua aur agle hi pal typing ane laga.

" Itne din baad.... i thought tum gaye.. fake profile "

" Main fake? ... Agar main fake hun to tumhare bare mein kaise pata hai "

" Kya pata hai? "

" Yahi ki tumhara naam Jogeshwar hai.. " Message send karte hi ek min ke liye kuch nahi hua. Fir typing likha aya..

" Tumhe kaise malum? "

" Mujhe sab malum hai.. mene kaha tha.. tumhe ache se janta hun.. aur bhi batau? " shruti ne message send kiya par jawab nahi aya to shruti ne aage likhna chalu kiya. " Jis tarah ke rizane wale post dalti ho use ye sabit nahi hoga ki tum bahut hot aur sexy ho.. "

" Tum balki kaisi dikhti ho vo tak malum hai mujhe.. aur sahi kahun to... " shruti ne itna likh kar chhod dia.

" To? " samne se is baar reply aya.

" To.. mujhe tum bahut hot lagti ho.. aur agar ek sach baat kahun to "

" to? "

" bahut baar tumhare bare mein soch muth mar liya hun.. aur kya chahta hun pata hai? "

" kya? "

" Ki tumhe ragad-ragad ke chhodun... " shruti ke chehre par muskan thi. " Yaad hai na .. tumhe mera lund.. jo kache ke piche chupa tha ab socho bahar niklega to kya karega.. " shruti ne use bheji hui photo yaad dilai jo usne vishal wali bheji thi. Shruti itna keh kar ruk gayi, uske chehre par abhi bhi muskan thi.

" Chii.. kitne gande ho tum... I am blocking you.. " reply padh kar shruti ka muskurata chehra chota ho gaya aur vo kuch sochti use pehle jab usne message dalna cha to gaya na.

" Behen ki lodi ne block kar dia sahi mein.. sala... mood kharab kar dia.. " shruti ne phone patka aur so gayi.

Subah kuch khas nahi hua, Aaruhi ka raviya bada hi alag tha. Na subah se koi baat na hi koi harkat. Vo kab class pahunchi shruti ko itna bhi nahi pata chala. Usne class mein baat karne ki bhi sochi lekin usne koi jawab hi nahi diya. Bas bina bole hi baithi rahi. Classes over hone ke baad shruti corridor mein khadi, vishal ka intezar kar rahi thi. Corridor mein khade hokar uski nazar niche hi thi jahan se atte-jatte bache dikh rahe the tabhi uski nazar aaruhi par padi jo jaa rahi hi ki bich raste mein meghnath mil gaya aur vo use kuch baat karne lagi.

" Iski maa kaa.. ise baat kar rahi hai.. Pakka ye meghnath ne ise mana kiya hoga kisi se na baat karne ko.. beta aaj raat aur apna game bana le .. uske baad tera game to main banaungi.. "

" kya hua kisse baat kari rahi ho? " vishal ne atte hi pucha.

" udhar dekho.. aaruhi kal se kisi se baat nahi kar rahi aur use kar rahi hai.. dhongi sala... " shruti ne vishal ko bhi wahin dono ki taraf dikhaya jiske baad aaruhi chali gayi aur meghnath ne nazar uppar ki taraf modh di jaise vo janta tha ki uppar koi use dekh raha hai. Shruti use dekhti rahi tabhi meghnath ne ek thaila uppar ki taraf uthaya un dono ko dikhane ke liye.

" Ye rachna.. behenchod.. apna thaila kal wahin chhod ayi thi.. kapdo wala... ye ladki bhi na.. " shruti ne fauran apna matha peeta. Shruti ne turant meghnath ko uppar ane ka ishara diya. Vo uppar ki taraf aya to shruti ne ishare se terrace ki aur ane ko kaha, teeno terrace par aa khade hue.

" Aaruhi se kya baat kar rahe the? " shruti ne turant hi apna sawal dagga.

" Haal chaal puch raha tha bas "

" Humse to vo kal se baat nahi kar rahi aur tumhe haal chala bata rahi hai wah.. " shruti is waqt thodi utejna mein thi.

" Main kuch samjha nahi? " meghnath ko shruti ka vyvhar kuch jam nahi raha tha. Vishal ne turant shruti ka hath kassa aur use ishare se shant rehne ko kaha jise pakar shruti ne turant sawal hi badal dia.

" Ye thaila lana jaruri tha.. sabke samne.. "

" Tumhara tha to tumhe dena tha "

" Tum kya chahte ho.. hum pakde jaye.. yahi planinng hai tumhari.. " shruti ne gusse mein kaha.

" Yahi planing hoti to sabke samne thaila khali kar deta.. ye lo.. " meghnath ne thaila aage badaya jise shruti ne fauran cheen liya.

" Tum kam nahi ho .. dhamkane mein.. " shruti ne thaila fauran khola to aag jo bolne wali thi vo bolte hue chup ho gayi kyun ki usme kapde nahi balki file thi.

" Ye to wahi file hai jo peon laya tha.. kapde nahi.. "

" Han usko mene thikane laga diya hai.. Ye file mere ab kaam ki nahi hai.. tum ise us peon ko wapis de sakti ho "

" par vo to us din ke baad se dikha hi nahi " vishal ne turant kaha.

" Dusre chor par hi uska kacha makan hai de ana.. kaam par ane lagega.. " itna bol kar meghnath jane laga.

" sham ko hum bhi tumhare sath chalenge.. " shruti ki baat sun meghnath ruk kar uski taraf dekhne laga.

" Mujhe umeed thi ki tum aaoge.. kahani hi itni dilchasp hai.. 8 baje mansion ke bahar milna.. " meghnath itna bol kar wahan se chala gaya.

" Kabhi kabhi samajh nahi ata ye chahta kya hai.. khud file de gaya.. kahin hum iske bare mein galat to nahi? " vishal turant bola.

" tum bahut budhu ho.. iski chaal nahi samjhte.. vo kapde jo usne kaha ki vo tikhane laga chuka hai.. kya tumhe yakeen hai aisa kara hoga usne? Vo uska blackmail karne ka hatiyar hai.. Ye file dena to sirf ek dikhawa hai.. rachna to maregi mere hathon ab.. " shruti ne file wali thaili ko moda aur dono niche utar aye.
nice update ..to sabki najar me meghnath galat hai .waise shruti aur gagan ka sochna bhi sahi hai ki meghnath ne aaruhi ko apne vash me kiya hai . achanak aruhi ka waha aana ,usko kaise pata ki shruti kaha par hai 🤔🤔.
rachna ke hone se gagan ko confident milta hai 🤣🤣🤣.

ab sabne soch liya hai ki wo mansion me jayenge meghnath ke saath aur uski jasusi bhi karenge .
aruhi ka nature jyada badla nahi hai ye jankar ki usko dawaiya di jaa rahi thi aur ab wo kisise baat bhi nahi kar rahi par meghnath se baat ki .
 
15,594
32,097
259
romanchak update ..rachna ke upar gussa fut pada shruti ka kyunki usne kapde ka thaila wahi rakh diya tha ,par kuch jyada hi gaaliya bak di rachna ko 😁.
kitchen se chaku churake le aaye hai apni raksha ke liye 🤣..
aaruhi bhi aa gayi aur meghnath ke saath maujud hai par itne jaldi kaise pahuch gayi us jagah 🤔🤔🤔..
mansion me itna darawna mahaul paida ho gaya hai ki sabki dhadkane tezz ho gayi hai .aaruhi ab bhi kisise baat nahi kar rahi siway meghnath ke .
ab to lagta hai ye box sachmuch kuch evil rahasya se bhara hua hai jiske open hote hi sabko andhere me apni chapat me le liya hai .
aise mahual me darr lagna aam baat hai .par shruti thoda himmat jutaye huye hai 😍.

aur ab ye kaun aa gaya jisko khud pata nahi ki wo kaun hai 🤔🤔..
kya sab log sahi salamat bach payenge waha se .
ekdam dil dehla denewala scene paida ho gaya hai jisko padhkar maja aa gaya 😍😍..
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
romanchak update ..to vikrant ya alok ki kahani pata chal gayi meghnanth ke jariye .
par ye nahi pata ki alok ke pichhe kaun pada tha jo wo box usse le sakta tha ,aur alok ne itni rahasy bhari box meghnath ko de di sambhalne ke liye .
kya jo maut huyi abhi tak uske pichhe box ka haath ho sakta hai 🤔🤔 par kuch maut to meghnath ke aane se pehle hi ho gayi thi .

aur ye aruhi sahi jagah kaise pahuch gayi shruti ko dhundte huye 🤔🤔. lag raha hai box aruhi ko attract kar raha hai apni taraf 🤔🤔..
Vo apko hum bata denge ki uske piche aur iske piche kya pada hai.... Abhi twist ana baki hai.. fir aap log hi kahoge ki acha ullu bana gaye is baar harshit bhai :D
Thanks bhai :hug: Keep reading...
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Meghnath ki entry aur uski theory ne dimaag ke parkhache udakar rakh diye hain... Pehle bhi jab ye praani Shruti ko canteen mein mila tha, tab bhi behad hi rahasmayi sa prateet hua tha par ab jo baatein isne sabke saamne rakhi hain, wo nischit hi hairaani ki sabhi seemaon ko laanghne waali hain... Atharva Roy urf Meghnath aur Shaurya ka past hume jaan ne ko mila... Jahaan Meghnath ek anaath ladka tha to wahin Shaurya ne bhi baad mein apne Maa – Baap ko haadse mein ganwa diya tha... Ye to saaf hai ke Shaurya aur Samridhi ek doosre se pyaar karte the, aur dono ne suicide bhi ek hi din, ek hi samay par kiya...

8:08 minute ka jo pench yahaan Meghnath ne daala hai wo sachmein kayi sawaal khade karta hai... Halanki, postmortem ki report mein minor mistakes bhi ho sakti hain, aakhir kar samay ka to maatra ek andaza hi hota hai parantu jo Suraj ki maut ke din hua wo jhuthlaya nahi ja sakta... 11:55 par hi Suraj ki maut, usi samay Manpreet ke phone mein video save huyi, usi samay Aaruhi ko chhat se girne se bachaya Vishal ne aur to aur usi pal unki ghadi bhi ruk gayi thi... Bohot hi adhik confusing hai ye... Kyonki kahani mein mujhe nahi lagta ke supernatural powers ka twist hoga, isiliye ye sawaal aur bhi gehra jaata hai... Kyonki yadi powers, magic & all hota, to in sab sawaalon ki utpati hi naa hoti, par yahaan jab kahani reality par based hai to in sawaalon ke jawaab samajhna aur bhi adhik pechida sa ho gaya hai...

Parantu ek baat to saaf hai ke Meghnath Aaruhi ke baare mein kuchh na kuchh aisa jaanta hai joki bohot important saabit ho sakta hai... Aaruhi ke baare mein jab bhi usne baat ki hai wo behad confident dikha hai aur sadaiv hi yahi laga ke wo kuchh to alag sa jaanta hai... Idhar, ye bhi pata chala ke Meghnath ne hi wo book Aaruhi tak pahunchayi thi... Uske mutabik us book mein kuchh aisa hai jo wo chahata tha koyi aur bhi padhe/samjhe... I think jab usne wo book wahaan library mein rakhi tabhi Aaruhi ne use padh liya hoga aur shayad Meghnath bhi jaanta hai ke Aaruhi us kitaab ko padh chuki hai, and isiliye wo Aaruhi ki haalat aur uske kaaran se relate kar paa Raha hai... Par Shruti ne abhi tak us kitaab ko padha nahi hai aur jab tak wo use padh nahi leti, uske raaz bhi shayad na khulen...

Meghnath ne un sabko apne room par bulaya tha kuchh adbhut dikhane ke liye aur nischit hi jo usne dikhaya aur bataya wo hairaangi ki sabhi hadhon ko paar karne waala tha... Wo Box, jise God Of Box kaha jaata hai, Egyptian Gods se taaluk rakhta hai... Egyptian Gods yaani negative energy ke prateek aur wo box bhi isi jaisa laga hai... Uske oopar likhi wo pankti, 'alruwh alati la tanam', arthat “The Soul that never sleeps", Arabic bhaasha mein likhe in shabdon ka bhi bohot gehra raaz hai... Lagatar in shabdon ko bolne se us box mein kuchh to trigger ho jaata hai jo aas paas ke sabhi loght sources ki energy sokh kar khud ek light source ban jaata hai... Us book mrin bhi yahi shand likhe the aur us box ke oopar bhi yahi shabd likhe hain...

I think, koyi sensor types cheez lagi ho sakti hai us box par jo in shabdon se trigger hoti hai... Halanki, wo aas paas ke light sources par kaise prabhav daalti hai ye ek sawaal hai... Is box ki khoj Alok urf Vikrant ne ki thi... Alok naam us doctor ka bhi tha, kya ye mehaz ek coincidence hai ya dono ke hum naam hone ka bhi kuchh Raaz hai... Par ek baat aur saaf hai ke “History/Archaeology" ka bhi is kahani mein bada role nazar aa raha hai... Aaruhi ke profile picture, uski past trip aur ab Alok aur uska ye box, is chapter mein lagta hai kahani inhi cheezon ke ird gird revolve karegi...

Alok/Vikrant ka ye box Meghnath ko de dena bhi rahasmayi hai... Alok ne saaf kaha us recording mein ki is box mi mahata kitni zyada hai, kya sachmein wo Meghnath par itna bharosa karne lag gaya tha ke aise hi use wo box sambhalne ko de diya..? Doosra, Alok ne aisa kiya kyun? Kya uske pichhe koyi tha, koyi aisa jo us box ko haasil karna chahta ho? Kya isi box ki wajah se ye sabhi mauten ho rahi hain? Isi box ko paane ki laalsa mein koyi khoon karne par aamada ho gaya hai? Kya ab wo “koyi" Aaruhi hi ho sakti hai..?

Idhar College mein sabhi mar chuke vidyarthion ki maut par shok prakat kiya gaya... Par yahaan bhi Aaruhi ka vyavahar ajeeb tha... Sachmein ye ladki pagla gayi hai, but ek baat to hai, jis kisine bhi Aaruhi ko is haalat mein pahunchaya hai use kadi se kadi saza milni chahiye... Lavanya ke baare mein jo kuchh bhi Aaruhi ne kaha, wo again, kayi sawaal paida karta hai... Ek samay par Lavanya ki maut ko lekar bhayankar fantasies rakhne waali ladki uske liye justice ki apeksha mein baithi hai... Usne kaha ke usne Lavanya ke saath ek raat bitayi thi... Shayad usi raat ka zikr kar rahi hogi jab pehli baar humne Chapter - 1 mein Supriya ki jagah Aaruhi ka naam suna tha... Mehta ne bhi ghadiyali aansun wahaan baha diye taaki apna daaman saaf rakh sake...

Idhar Aaruhi Meghnath ke kamre mein pahunch gayi hai par sawaal wahi hai : Kaise..? Kya wo box use attract kar raha hai ya wo Shruti ka pichha kar rahi thi? Aur ant mein kahi line se saaf hai ke Aaruhi ko Shruti ki gatividhiyon ki jaankari pehle se hi thi... Dekhte hain aage wo madam kya pagalpan karti hai...

Teenon hi Updates Behad hi khubsurat the bhai... Kuchh dinon se vyastata ke chalte padhne ka mauka nahi mila... Khair, rahasya gehrata jaa raha hai par ek baat spasht hai jab bhi raaz khulne shuru honge, ek ke baad ek dhamake hote hi rahenge...

Outstanding Updates Bhai & Waiting For Next...
BHaiji kahani ek Fantasy Genre ki hai.. Kab kahan se kaise ho jaye malum nahi chalega.. Ye kahani jitni choti likhne ki kosish kar raha hun utni hi lambi hoti jaa rahi hai.. Aur agar ye kahani mene 2 saal pehle likhi hoti. waise to us tym possible nahi tha kyun ki kahani ki theme ke liye aaj ka samay hi mangta tha apun ko par fir bhi agar 2 saal pehle likhi hoti to sabse lambi kahani yahi hoti meri.. Par kher fir kahunga ki fantasy hai kuch bhi ho jayega yaad rahe :D

That box is real (For story :D) There is no fiction in that.. Vo aise hi kaam karta hai ... Usme koi censor laga hoga to vo egyption mummies ko hi malum hoga bas :D Rahi baat Aaruhi ne books padi hai to is sawal ka jawab to apko aage kahani mein hi milega ki aaruhi ko actually trigger kya kar raha hai..

Thank you so much bhai... Ur review is a detailed review.. Which is an amazing point as a reader... :hug:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
मेघनाथ की बातें मुझे हवाई किले बनाने जैसा लग रहा है । वह एक डब्बा लाता है और कहता है कि यह मिश्र के देवताओं के समय का है । उसके अनुसार कुछ अरबी भाषा के शब्दों का उच्चारण करने से यह अपने आप प्रज्वलित हो उठता है । ( वैसे मैंने भी गुगल भैया से उस अरबी भाषा के बारे में पुछा था और उन्होंने बताया भी )
उस अद्भुत डब्बे के बारे में यह भी कहा कि उसे वह चीज विक्रांत उर्फ आलोक से प्राप्त हुआ है । डेथ किंग भाई का सवाल जायज है कि यह आलोक वही है जिसने आरूहि का इलाज किया था अथवा कोई और ? वैसे मुझे उसकी बातों पर विश्वास नहीं है ।

मेघनाथ और आरूहि दोनों मिलकर कोई गहरा खेल खेल रहे हैं पर क्या ! यही समझ में नहीं आ रहा है । शायद किसी बदले की आग में यह सब किया जा रहा हो ।
पहले का तो नहीं पता लेकिन पिछले दो सालों से इस कालेज में जितनी भी हत्याएं हुई हैं वो सब इन्हीं लोगों के पावन हाथों से हुई है । और उन सभी लोगों का , जो मृत्यु को प्राप्त हुए , का आपस में कोई न कोई सम्बन्ध जरूर होगा ।
इन दोनों के अलावा मुझे कोई तीसरा शख्स दिख नहीं रहा है । मेघनाथ ने श्रुति और उसके पलटन को एक झुठी और मनगढ़ंत कहानी सुनाई है । पर मुझे लगता है श्रुति‌ ' श्रुति हसन ' बनकर उन दोनों का भंडाफोड़ कर ही देगी । :D

बहुत ही बेहतरीन अपडेट हर्षित भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट ।
Aap to shruti ke fan ho gaye.. Mene Nainaji se pehle hi kaha tha story ki starting mein ki sab shruti ke fan ho jayenge dekh lo wahi ho raha hai :cool:
Ha google bhaya batayenge.. kyun ki mene bhi wahin se uthaya hai :p:

Alok kaun hai main batata hun... darasal... chaliye ruk jaiye thoda sa aur... Hum bata hi denge ki kaun hai.... :D Naina Ji hoti to mujhe batane ki jaruat nahi padti.. par kher ko uplabhdh nahi hai to main hi bataunga aage...

Aagr do salon mein maut ke piche yahi the to pehle kisne ki thi sahab? :D

Thanks sanju bhai :hug: keep reading...
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
romanchak update ..aaruhi ko dawaiya mil gayi jo shruti usko de rahi thi isliye wo sawal karne aa gayi uske pichhe .
shruti ne thoda bahut apni taraf se safai di par aruhi ne yakeen nahi kiya .
par us box ki taraf attract jarur ho gayi aur hairani ki baat ye huyi ki aruhi un aksharo ko padh paa rahi thi .
sabko hairani me daal diya aruhi ne aur meghnath to bas us box ka raaz jaanne ke liye utsuk tha .
par aruhi ne kaha aur kaise us box ke baare me padha aur us bhasha ke baare me ,jabki meghnath itni research karne ke baawjud bhi nahi padh paaya 🤔..
us box ko puri tarah jaanne ke liye aruhi ne jo jagah batayi usse sab chaunk gaye .aruhi ne bas hint diya par shruti ke dimaag ne usko pakad liya aur sabke saamne naam aa gaya us bhutiya mansion ka .
par aisa laga meghnath kuch jyada hi utawla ho raha tha sab jaanne ke liye .

kya ab sab log us mansion me jaane ki sochenge 🤔🤔..
shruti kaise samjhayegi aaruhi ko ki usne kuch galat nahi kiya .

box ka hostel me aana meghnath ke jariye aur ab aruhi ki juban se bhutiya mansion ka naam saamne aana ..kya iske pichhe bhi koi raaz hai ya koi chahta hai us mansion ki baate sabke saamne aa jaaye 🤔🤔..
ab kaun game khel raha hai ya ye bas ek co incidence hai dekhte hai ..
Meghnath Aaruhi jaisa talented kahan hai bhai... Hota to baat hi kya thi.. :cool:
Co-incidence, game planning... meri mano to aap Aaruhi se direct baat kar lo kya pata apko hi bata de :D

Thanks bhai :hug: keep reading...
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Kabhi – kabhi Aaruhi ki baaton par hansi aati hai to kabhi uspar taras aur kabhi wo aisa kuchh kar jaati hai ki padhte waqt hairaani ki seema hi nahi rehti... Sachmein Aaruhi ke anekon roop hain... Kabhi behad masoom to kabhi bhayankar fantasies karne waali kroor ladki, kabhi Manpreet ke saath huyi darindagi par behad normal vyavahar karne waali ladki to kabhi Lavanya ki maut par shok jatane waali... Ab Catatonic Schizophrenia ko hi agar iska kaaran maan len to bhi bina kisi shakh ke Aaruhi ek behad hi gehre jaal mein fansi huyi hai (ya khud hi sabko jaal mein fansa rahi hai)... :dazed:

Is update mein jo kuchh bhi hua wo satya mein hairaan kar dene waala tha... Sarvapratham, yadi us box ki baat ki jaaye jiska naam “God Of Box" hai, to uske baare mein jo kuchh bhi Aaruhi ne kaha aur kiya, wo fir bhi hazam kiya jaa sakta hai... Ab tak ek baat to clear ho chuki hai ke Aaruhi ka history aur archaeology mein ghanghor interest hai... Jo baat Urvashi ne kahi thi wo aur of course Aaruhi ki wo profile picture, mujhe pehle hi laga tha ke wo is box ke baare mein bhi jaanti hi hogi... Parantu haan, jo triangle waala scene tha jismein usne us box se blocks nikaal diye aur uske paschaat wo spherical cheez bhi nikaali, wo behad hi hairaan karne waala tha... Khair, is scene se ek baat spasht ho gayi ke Aaruhi ab tak jitni prateet hoti aayi hai, us se bhi kayi guna zyada mysterious hai...

Box par likhe shabdon ko padhna aur fir wo spherical vastu, par us se bhi badi baat jo kuchh Aaruhi ne Mansion ki taraf ishara karte huye kaha... Kya ye sab kewal uske archaeology mein interest aur knowledge ka nateeja hai ya fir Catatonic Schizophrenia ka, ya fir us kitaab ka jo usne library mein padhi thi... Beharhal, Meghnath ne kaha bhi tha ke us kitaab ka bhi apna alag rahasya hai aur wo shabd, " alruwh alati la tanam ", us kitaab mein bhi inka zikra tha... To kya Aaruhi us kitaab ko padhne ke baad hi in cheezon mein pad gayi..? Ya pehle se hi... Wahin, Aaruhi ne bhi kaha ke ye box khatarnaak ho sakta hai, kya aur bhi kuchh jaanti hai wo iske baare mein..?

Idhar Aaruhi ko wo dawaiyan mil chuki hain jo Dr. Alok ke prescription par Aaruhi use khila rahi thi... Lagta yahi hai ke Aaruhi ko kaafi samay se Shruti par doubt ho gaya tha aur ab wo shakh yakeen mein badal chuka hai... Lekin Shruti ne jo kuchh bhi apni safai mein kaha, joki of course sach hi tha, uspar filhaal Aaruhi ne yakeen nahi kiya hai... Kya Urvashi se baar karegi wo is baare mein..? Ya fir Nandini se? Par nischit hi aisa laga ke sachayi jaankar Aaruhi ko behad gehra dhakka laga (ya fir usne aisa pretend kiya)... Sawaal ye bhi hai ke Aaruhi aur kya – kya jaanti hai Shruti ki gatividhiyon ke baare mein? Kya us Mansion aur Girls Hostel mein huyi mauton ke baare mein bhi use khabar hai? Ye dekhna bhi interesting rahega...

Sawaal to ye bhi hai ke Aaruhi kab se Shruti ka pichha kar rahi thi... Kyonki aisa to shayad hi ho ke isi update mein pehli baar wo Shruti ke pichhe aayi ho... To sambhav hai ke aaj tak Shruti ne jo kuchh kiya hai wo sab bhi Aaruhi jaanti ho... But kya use sab yaad bhi hoga ya bhool gayi hogi..? Ab Shruti ne Aaruhi ke dwara diye gaye hint par Mansion ka zikra kar diya hai... Aur is baat mein koyi do raaye nahi ki Meghnath Mansion mein zaroor jaayega, aakhir wo mara jo jaa raha hai us box ke baare mein sab jaan ne ke liye...

Par kya Shruti aur baaki sab bhi Mansion mein jaayenge, yadi haan to sambhav hai ke ek nayi musibat unka intezar kar rahi ho... Saath hi, Aaruhi aur Shruti jab dobara milengi to kya baatein hongi dono mein... Aaruhi kahin ek aur surprise na de de use...

Outstanding Update Bhai & Waiting For Next...
Abhi apne Aaruhi ko jana kahan hai bhai , jaan lo to mujhe bhi samjha dena.. i am also confused with her actually :redface:

Girls are always mysterious.. Aaruhi ho ya khud ki biwi kaun samajh sakta hai bhala unhe.. Yahi reality dali hai mene kahani mein bas.. baki sab to bakchodi hai :roflol:

Kitab mein sirf ek hi line thi baki jo bhi us box mein likha hai vo Aaruhi ne kaise pada ye sawal abhi bhi maujud hai kahani mein.. jo aage chal kar jawab ke roop mein ayega.. Some story is always has a past..

Aaruhi wala case.. . apko agle update mien samajh aa jayega ki vo kya karegi itna jaane ke baad... Musibat to likhi jaa chuki hai.. keep reading the next update.. Thanks bhai :hug:
 
Top