• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,630
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

GuptAbhishek

Member
283
609
108
Mystery... Hai bhai.. Aur yakeen mano yahi kahani ki theme hai.. isliye ise end tak yaad rakhna :D Thanks bhai :hug:

:laugh: Abhi bata dunga to aap kahani ki theme crack kar doge :D

Never judge anyone just with seeing his or her :D Baki to apki shradha hai.. shruti is darling :love: Mimrici bhai.. vo to room mein thi aur awaz bathroom se ayi thi jise to bihari ne bhi suna tha... :D Thanks bhai :hug:







Jald hi.... :writing:
50 mints already ho ge bro
 
  • Like
Reactions: harshit1890

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,630
219
Update ~~ 77


Samne peon khada idhar-udhar dekh raha tha, uske hath mein torch thi jiski roshni ek matr roshni thi udhar jo tezz girti baarish ki bundon ko chir rahi thi.

" acha kiya jo tum aa gaye " apne piche se awaz sunte hi vo sakpakte hue muda aur shruti ki taraf torch ki roshni de mari. Shruti ko subah wali halat mein dekh kar peon samajh gaya ki ye wahi ladki hai jisne use yahan is samay bulaya hai. " koi hoshiyari mat karna.. mere sath wale bande ki nazar tum par hi hai aur uske hath mein jo hatiyar hai uske nishana bhi ... " shruti ne use darane ke liye apna hatiyar chala diya warna vo akeli ladki ka soch kuch chaal-baazi karne ka soch sakta tha.

" aap.. ye theek nahi kar rahi hai.. apko pata nahi hai... ki .. ye kitna khatarnak hai.. " peon ke haklati awaz aur kampte honthon ne ye to shruti ko samjha diya ki mamla behad gambhir hai.

" Hoga.. par tere liye.. Main to khatron ko janam deti hun.. chal apne raincoat ke andar jo file daba rakhi hai vo nikal.. " shruti ne fauran use ishara kiya. Uske hath mein koi hatiyar nahi tha aur use is ka khayal bahut baad mein aya tha ki darane ke liye ek nakli hatiyar ko bhi is plan ka hissa banana chahie tha.

" ek baar fir soch lo madam... agar kisi ko pata chal gaya to.. mere sath aap bhi.. " peon itna bol kar chup hua.

" Sun be ... lund-e-azam.. itni baarish mein itni raat ko is sunsan jagah par mene tujhe tera pravachan sunne ko nahi bulaya hai.. aur mera chhod.. meri to tu baal ko bhi touch nahi kar sakta.. tu bas apna soch ki agar ye vedio leak hua to tera leak hona band ho jayega samjha? " shruti ne use aise dhamkaya ki uska chehra fika padh gaya. Vo samajh gaya ki ab koi aur chara nahi hai. Usne Raincoat ki chain kholi aur usme se file nikalne ke liye hath dala. " Ek minute chutiye... Udhar aa.. yahan kya kagaz gille karega... " Shruti ne peon ko mansion ki taraf jane ka ishara kiya. Mansion ki taraf ishara pakar usne ek dafa mansion ko dekha jahan dekhte hi bizli zor se shor karte hue cham-chma uthi 'Kaddddkkaddkkkddd' Andhere se ek pal ke liye aye roshni mein mansion ko dekh peon ka chehra pehle se jada fatt gaya.

" Nahi.. udhar nahi jaunga.. " peon ne fauran mana kiya.

" Salle tu kya hotel mein aya hai jo sirf ac ke samne wale hi seat par baithega.. udhar chal.. warna bol vedio bhejun.. " shruti ne turant apne pocket mein hath dala jabki phone wahan tha hi nahi. Phone ko to usne mansion ke pas wahin chhod diya tha taki vo gilla na ho jaye.

" Madam.. aap kyun nahi samajh rahi.. hume raat ko is samay yahan nahi hona chahie.. Ap bahut badi galti kar rahi ho.. "

" Apne baap ko chodna sikhaya tha tune? Nahi na.. Usne choda tabhi tu aya.. isliye mat sikha.. udhar chal... jaldi chal... jada time nahi hai.. " shruti ka ishara sun peon ek pal ke liye use aur mansion ko dekhta raha fir bina kuch kahe aage badne laga " bhagne ki kosish bhi mat kario.. " shruti piche se bol rahi thi " Agar ye bhagge to is lapachangus ki gand mein dagio.. nishana sahi lagna chahie.. " shruti aise chillai mano apne chupe hue sathi ko keh rahi ho. Peon ye sab sun bas aage badh raha tha aur badte hue vo mansion ke shed ke niche jaa kahda hua. Uske wahan pahunchte hi shruti bhi us taraf ayi aur wahin jaa khadi hui jahan par vo khadi hokar aaruhi se baat kar rahi thi.

" Chal laa. jaldi.. nikal kar de. " shruti ne itna hi kaha aur peon ne usi pal raincoat ke andar chupai file nikal kar uske samne kar di. Shruti ne fauran file uske hath se khinchi aur use khol diya. " Confidential " pehle panne ko palate hi usne jaise agla panna dekha, uski eyebrows felh gayi, usne ek ke baad ek-do-teen panne palat diye.

" bhosdieke.. Original le aya.. " shruti ek dum se chillai.

" To kya karta.. ab aisi chiz photocopy karwane le jata to.. to... "

" to to ke bache.. director ke kamre mein bhi to machine hai na.. wahan se nahi kar sakta tha.. "

" apne itna time diya tha... kaise karke to main ise lekar aya hun... aap nahi janti .. kisi ko pata chal gaya to mujhe maar kar yahin gaad denge... jaise... " peon bol kar chup ho gaya.

" jaise? " shruti ne fauran uske shabad ko pakda. " Jaise kya? "

" jane do madam... apko jo file chahie thi vo mene de di.. ab aap jaldi dekh lo aur wapis kar do.. mujhe ise kal subah director sir ke ane se pehle ise wapis uski jagah par rakhna hoga.. "

" Jaise ka jawab de pehle... ruka kyun bolte hue jaldi jawab de... warna beta ye file yahin faad dungi.. " shruti ne fauran file ko fadne ke tarike se pakad liya.

" nahi nahi.. madam.. aisa mat karo.. main mar jaunga.. " peon ne hath jodte hue fauran kaha.

" to bol "

" main nahi janta madam... bas suna hai... "

" kya suna hai vo bhok.. kahani nahi sunani idhar madharchod... "

" subah jaisi ek meeting hui thi kuch saal pehle usme suna tha.. ki.. kisi ko pata nahi chalna chahie ki is jagah par kitne jano ko gadda gaya hai.. bas.. aur kuch nahi janta main... " peon ke chaukane walle khulase se shruti ek pal ke liye shant khadi rahi.

" ise jada kuch nahi pata? "

" aai shapat madam.. kuch nahi malum.. " peon ki baton mein use sach samajh aa raha tha.

" theek hai.. ruk .... behenchod kaam badha diya.. " shruti ne fauran apna phone wahin ek kone se uthaya jise dekh peon bhi uski chalaki dekh hairan tha. " aise mat dekh.. tere ko pata nahi hai ki main kya chiz hun... aur chalaki mat kario warna gand mein aisa dard hoga jo zindagi bhar nahi jayega aur waise bhi tere pas zindagi hi kitni bachi hai.. " shruti ne file kholi aur phone ka camera khola aur page ko pura camere mein kaid kar dia. Baarish ke shor mein camere ke click ki awaz wahan kuch pal ke liye tehar rahi thi aur usi ki wajah se padh rahe flash se roshni.

" jaldi kijeye madam... " peon thar-tharati awaz mein boli.

" kyun be thand lag rahi hai.. " do photo khinchi thi shruti ne abhi tak.

" ye jagah.. yahan rukna sahi nahi hai... "

" muh band kar... aur ye bata ki in meeting mein andar kaun kaun tha aaj " shruti ne tisra panna khola jisme pehle do pane ki tarah puri detail mein kuch likha hua tha. Jiski usne ek do line padi aur sahi angle dekhte hue photo khinchne lagi.

" College ke Trusti.. Ramgopal Mehta, Vandana Sharma aur Marhoom Trusti Siddhant Arora ki patni Sarita Arora " peon ke kehne par shruti ne subah ki baton ke piche chupe shakson ke naam par mohar lagani shuru ki.

" aur? "

" Aur ... college ke kuch staff.. Director Sir.. "

" principal nahi tha? "

" use is jagah ka malum nahi "

" tujhe kaise malum? " shruti ke is jawab par peon chup khada raha. Use khada dekh shruti ne nazar uppar uthai aur uski taraf dekha.

" vo.. vo.. main yahan se thodi dur par hi rehta hun.. ek din main.. " peon ruka " main yahan kuch jaruri kaam se aya hua tha.. chutti le rakhi thi us din.. tab hi nazar padi thi .. aur uske baad hi mujhe director ka picha karne ki wajah se us khofia raste ke bare mein malum chala "

" kya kaam karne aya tha tu idhar.. juth bolta hai madarjaat.. "

" madam vo apko kya karna hai.. main apke sawal ka jawab de raha hun " peon ghabrate hue bola par sahi bola isliye shruti ne is sawal ko nazar-andaz karna behtar samjha abhi ke liye.

" tu us guard ke sath mil kar kya setting karta hai? "

" kaun sa guard? " vo janta tha ki shruti kiske bare mein keh raha hai.

" shhada banta hai.. "

" vo.. vo.. samajh gaya madam.. use to mene hi bheja tha.. apne liye tambaku lanne ko.. aur usi bich mein andar chala gaya tha.. main janta hun.. ki vo jab bhi bahar jata hai gappe lagate hue ata hai.. use mene isliye dost bana rakha hai... "

" salle tharki.. peron ko dekh kar muth marta hai... " shruti ne ye sunte hi apne dil ki baat kahi jispar peon kuch nahi bol paya.

" staff kaun kaun tha andar ? " shruti ne mudde ki baat kahi " aur kis kis ko us khufia raste ke bare mein pata hai? "

" nahi malum madam.. kabhi kisi ko andar jatte hue aur bahar atte hue dekhne ka risk nahi liya... " peon ke jawab ko sach mane ya juth shruti abhi decide nahi kar paa rahi thi.

" waise teri fatti hai idhar ane se... aur salle tujhe kaun se lakdi hata kar andar jhankna hai vo malum hai.. kuch to hai jo tu chupa raha hai.. "

" aai shapat madam.. ek ek baat sach hai meri.. vo lakdi ka tukda to ek raat main idhar aya tha tab pata chala tha uske bare mein.. "

" raat mein tu idhar aya tha? "

" han.. bas ek baar.. uske baad kabhi nahi.. "

" kyun? aur kya hua tha aisa us raat? " shruti ke sawal par peon chup khada raha.

" vo.. aap jaldi photo le lijeye.. itna samay nahi hai hamare pas.. mene apse kaha ki mujhe ye jagah sahi nahi lagti... " peon ke jawab par shruti ek pal use dekhti rahi. Uska maksad itna kuch janne ka nahi tha lekin baton hi baton mein jo mila vo uske liye bonus hi tha. Usne wapis se panna palta aur photo lete hue use apna ek sawal yaad aya jise vo puchna chahti thi.

" tu idhar kaise aya abhi? "

" mene apko bataya tha na madam.. mera ghar pass mein hai.. wahin se aya hun.. " peon ke jawab par shruti ko yaad aya ki thodi der pehle peon ne bataya tha. Shayad tabhi vo khufia rasta is tarah se band kiya gaya tha, lekin .. kya director itne ache se us jagah ko band kar sakte the? Shruti soch rahi thi ki tabhi use laga ki baarish mein koi halchal hui hai mano hawa ka rukh badla ho. Vo us abhas ko mehsus karke samjhne ke liye apni nazar dusri taraf modti use pehle uske sharir par itni zor ka dhakka laga ki file aur phone uske hath se chhut kar hawa mein uda aur vo sidhe mansion se takra kar niche gir padi.

'aarghhhh' vo chikkhi aur niche girte hi usne us taraf dekha to samne khada sakhs jiska chehra dekh pana namumkin tha usne zameen se file uthai aur shruti ki taraf ek nazar dekhte hue file utha kar bhaga. Ek pal laga shruti ko samajhne mein par agle pal shruti khadi hui aur apne sath mein khade peon ko dekha jo us taraf dekh raha tha jahan vo insan bhag raha tha. Shruti ne fauran uske hath se torch chinni aur us insan ki taraf ko daud padi. Torch hath se chinn jatte hi peon jaise hosh mein aya.

" madam.. meri file.. haye ree main to mara gayaa.. " peon bhi piche piche bhaga.

Vo insan sabse aage tha aur uske piche shruti jo torch ki madad se us insan ke astitv ko dekh paa rahi thi. Baarish zoron se gir rahi thi, un jhadiyun ko hatate hue jame hue pani par 'chap-chap' karti hui vo uske piche daud rahi thi. Na jane kitni hi dur aur kahan tak pahunch gayi thi vo use malum nahi tha. Vo jhadiyun ke andar ek bhool-bhuliya main ghus chuki thi. Torch ki roshni samne jhadiyun mein hi ruk kar reh jaa rahi thi isliye use nahi pata tha ki samne wala shaks bhagte hue usi jagah par bhag raha hai ya nahi lekin vo bas bhagte hue in jhadiyun mein se nikal jana chahti thi. Bhagte hue chadti tezz sansein uske zehan se nikal rahi thi jo is baarish ke shor mein dab rahi thi. Jhadiyun ko hatate hue vo bahar nikli aur bahar nikalte hi vo fisal kar pani bhare kichad mein jaa giri aur uske hath se torch fisal kar dusri taraf chal gayi jiski roshni jame pani mein padh kar wahin tehar rahi thi.

Hafte hue shruti ek pal ke liye us khichad walle pani mein padi rahi aur fir dhire-dhire sidhe hui. Uske hath aur sharir ke kapde kichad se san chuke the. Andhera itna tha ki usne jhat se pehle apne bagal mein padi torch uthai aur apni halat ka jayza liya ki vo kidhar hai. Roshni idhar udhar dalte hue use samajh aya ki khuli jagah par hai jahan bar baarish se pani bhar gaya hai. Charon taraf sirf jhadiyan thi jisme se kab kaun nikal kar aa jaye use is baat ka ek dar dil mein dehak raha tha. Vo bhag nahi rahi thi lekin uski sans abhi bhi tez thi, vo ghutne ke bal abhi bhi waise hi baithi thi. Baarish ki bundein us jamme hue pani mein girte hue use aur bharne mein lage hue the. Pani ka shor uske kano mein chub raha tha. Vo bas us shaks ko khoj rahi thi jiske piche vo bhag kar ayi thi. Vo apni jagah se khadi hui aur dhire-dhire aage badne lagi. 'Chap-chap' pani mein padte awaz uske dil ki dhadkano ko badhate jaa rahe the. Mano samne ki jhadiyun mein hi vo shaks chupa hai aur usne use dekh liya hai. Vo aage badhti jaa rahi thi bas kuch hi duri bachi thi usme aur samne jhadiyun mein. Vo ek kadam aur aage badhi aur usne jhadiyun ko apne hathon se hataya. Uske mutt-maili hath kanp rahe the lekin usne himmat nahi hari. Usne jhadiyan hatai aur roshni mein paya ki wahan koi nahi tha. Uski tez chalti sanson mein kabu aya aur usi pal 'chap-chap' bahut tez awaz uske piche se ayi jise sun kar vo pallti par kuch kar pati use pehle uske sar par itna zor ka var hua ki vo wahin usi khichad se bhare pani mein gir gayi.

Shruti karha rahi thi, sharir mein jaan si nahi thi aur agar thi to vo uski takat ka istemal nahi kar sakti thi. Ankhein na ke barabar khuli hui thi, sar mein aseem dard tha, sunn ho chuka tha lekin fir bhi baarish ki bundon ko vo apne chehre par mehsus kar paa rahi thi. Itna hi nahi balki uske sharir ko ghasita jaa raha hai aur ghasitte hue use ek jagah laita diya gaya hai use ye sab mehsus ho raha tha. Ankhein jo adhi khuli thi pani ki girti bundein bhi dhundli pratit ho rahi thi un ankhon ke samne ek roshni padi aur ek dhundli shaksiyat jo use hi dekh rahi thi. Ek pal us shaksiyat ne use dekha fir jhuk kar uska sar utha kar uske chehre par bandha scaff utar kar wahin fenk diya aur fir use apne sharir ko ghasitta hua mehsus hua jiske hote sath-sath uski adhi khuli ankhein puri band ho gayi.

" aargghhh... sssiiiiii... aahhhhh... " apne mathe ko hath se dabate hue shruti ne apni gardan uppar ki taraf uthai. Dhup khil-khilati hui uske chehre par padh rahi thi, ek pal uski nazare ugate hue suraj ki taarf par padhi aur fir apni halat par jahan vo ulti khichad mein laiti hui thi chehre se lekar hath bal sab mitti se san chuka tha. Ek pal to use samajh hi nahi aya ki vo yahan kaise ayi? Vo to hostel ke bed par hi uthti hai roz subah par fir jaise hi uski nazar dhup se hatt jhadiyun ki taraf gayi tab use raat ki sari ghatna yaad aa gayi. Vo jhat se ek dum sidhi hui aur ghutno ke bal baithi par ek aseem dard uske sar par pada. " behenchodddd.... " honth michte hue vo boli aur ek pal baithne ke baad apni jagah par khadi hui. Khade hokar vo apni stithi ka jayza lene lagi ki vo is waqt kahan hai kis jagah hai. Jis jagah par vo thi vo wahan kyun thi use samajh nahi aa raha tha lekin uske sar ke uppar lakdi ka ek shed bana hua tha aur usi ki wajah se shayad vo raat bhar bhigne se bachi hogi warna vo is subah ko dekh nahi pati aur bhigne ke wajah se maari jati. Usne jayza lete hue apni halat ka jayza liya, pura sharir mitti mein sana tha koi chehra dekh kar nahi bata sakta tha ki us chehre ke piche shruti hai. Use time janna tha jiske liye usne apne jeans mein hath dala mobile ke liye lekin vo wahan maujud nahi tha, ek pal ke liye vo ghabra gayi ki uska phone kahan gaya par agle hi pal use yaad aya ki kal raat jab dhakka laga tha to phone wahin mansion ke pas gir gaya tha.

" oh shit.. " usne sar par hath rakha to sar se fir tees uth gayi " behenchod.. sar par marna jaruri tha kya... gand par maar kar bhi to gira sakta tha ... uff.. ye dard.. " apna sar pakde shruti us jagah se aage badhi.

Raat ka andhera dil ke ujale ke aage bahut chota hota hai isliye jo chiz raat ko nahi samajh aa pati vo suraj ki kirno mein dikhai de jati hai. Rasta khojne mein thodi dikat hui lekin suraj ke ugne ki samajh ko pakar usne east-west ke angle ko samajhte hue sabse pehle vo mansion ke pas pahunchi. Kafi chalne ke baad mansion dikha aur wahan pahunchte hi vo apna phone khojne mein lag gayi.

" Yahin to gira tha.. kahan g...ayaa.. " uski sansein chadi hui thi, ek to sharir mein dard uppar se itna chalna. Aseem matra mein use pyas lag rahi thi ... par pine ka pani nahi tha .. tha to sirf khichad se sana pani jo kal raat ki baarish ki wajah se zama hua tha. " yahan se dhakka laga tha.. yahan giri thi... yahin kahin hona chahie.. " vo apne angle jod kar phone gire hone ki sahi disha par khoj rahi thi. Reh-reh kar use ye dar sata raha tha ki kahin vo peon use chura kar na bhag gaya ho. Par tabhi uski nazar mansion se thodi dur par padi jahan par ghansi ugi hui thi aur vo ghas us lakdi ke dande ke charon taraf thi jiske sahare par mansion ke aage ka shed tika hua tha. Shruti ne fauran apna phone uthaya aur uska power button dabaya lekin kuch nahi hua. Usne ek-do baar kosish ki par vo nahi khula. Use laga ki baarish ki wajah se phone bigad gaya. Gusse mein vo tilmila uthi lekin usi mein jo power-button usne dabaya tha vo daba reh gaya aur phone on ho gaya jise on hota dekh uski tilmilahat gayab ho gayi. Agle hi pal phone on hua jise dekh uske chehre par sukun aya lekin vo abhi phone par lock daal kar use kholti use pehle uska phone bajne laga jise dekh vo bil-bila uthi.

" is ladki ko chain nahi hai.. aaj main iska murder kar dungi.. " rachna ka phone uthate hue vo kuch bolti use pehle rachna ne bolna shuru kar dia.

" Kahan hai tu... kitne message call kar rahi hun tujhe.. tu kya pagal wagal ho gayi hai? raat se phone band aa raha hai tera.. tujhe malum bhi hai ki kya ho raha hai yahan.. aisi kaun si dunia mein hai jo ek callback nahi kiya gaya tujhse.. "

" Chup hogi.. pati ya maa nahi hai tu meri.. jada gyan mat chod.. "

" Manpreet gayab hai shruti.. " rachna ne shruti ki baat ko ignore kiya aur turant boli.

" gayab ? " shruti chaunkte hue boli. Subah-subah jaise suraj ne uske uppar aag ka gola de mara tha. " tu mere ane ka intezam kar ... main aa rahi hun... "

" intezam.. kaisa intezam... aur tu bahar kaise... " rachna bol rahi thi par shruti ne bich mein hi phone cut kar diya aur wahan se chal padi, purane girls hostel ki taraf.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,630
219
15,594
32,097
259
romanchak update ..peon ko dhankane ka tarika sahi istemal kiya shruti ne ki uska ek saathi bhi waha maujud hai .
saari files se photo lete rahi aur tabhi waha koi aa gaya jisne ghayal kar diya shruti ko aur files leke bhag gaya ..
par sochnewali baat ye hai ki usne shruti ko maara kyu nahi 🤔🤔..
peon se kuch jyada hi pata chal gaya jaise kisika pehle bhi khoon hua hai jo shayad trustee ya director type logo ne kiya ho ..
aur ab ye naya jhatka ki manpreet gayab ho gayi hai ..

aur shruti ke waha hone ki baat kisko pata chal gayi jo wo waha aake files le bhaga 🤔🤔..
 

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,067
144
Aakhirkar, Shruti Mansion mein pahunch hi gayi aur shayad kuchh hadh tak use wo jaankari bhi praapt ho gayi, jo wo chahti thi... Halanki, uska plan ek tarah se kaamyab nahi ho paaya par kuchh photos to usne kheench hi li thi... Sab kuchh shayad sahi se ho hi jaata lekin wo anjaan shakhs... Kaun ho sakta hai wo? Koyi aisa jiska Unn files se taalukat ho? Ya to wo Shruti ki hi tarah us Mansion aur us band pade Girls Hostel ki sachayi jaan na chahta hai ya fir us sachayi ko chhupana! Ab jis tarah wo vyakti Shruti ko ghaseet te huye shed ke neeche tak le aaya (padhte waqt yahi samajh aaya ke jahaan Shruti giri aur jahaan use hosh aaya, dono jagah achhi doori par thi)... To us shakhs ka ek ladki hone ke chances kam hi hain, warna to mujhe laga tha ke wo kahin Aaruhi hi na ho! Maybe wo Vidhu ya Meghnath mein se koyi ek ho sakta hai? :think:

Wo peon shayad tabhi wahaan se bhaag gaya hoga, kahin aisa na ho ke wo peon hi us vyakti ko apne saath laaya ho... Par agar aisa nahi hai, to files ka gaayab hona ek problem khada kar sakta hai... Kyonki yadi Peon ka naam aayega to der sawer wo sachayi bata hi dega... Waise to usne Shruti/Vishal ka chehra nahi dekha tha par fir bhi dono khatre mein pad sakte hain... Btw. Wo jo koyi bhi tha, jo files le gaya, wo Shruti ka chehra dekh chuka hai...

Idhar Rachna ka ek baar fir Shruti ko call aaya, jo itne samay se wo use call kar rahi thi, uski wajah Manpreet hai... Manpreet, shuru se hi mujhe rahasyamayi kirdaar lagi... (Jis din Rachna aur Shruti dhaabe par mili thi, Shruti ka Mobile theek karwane ke baad, tab Manpreet bhi kahin se laut rahi thi, aur jahaan tak mujhe yaad hai shayad Rachna ne kaha tha ke Manpreet bhi apna phone repair karwane gayi thi)... I think Manpreet ka is poore matter se zaroor koyi gehra connection hai... Maybe us “Raman”, joki Nandini aur Alok ki chats mein thi, Manpreet ka us se bhi connection ho sakta hai...

Ab Manpreet gayab huyi hai to uska zinda lautna mushkil hi lag raha hai... Ab asli sawaal ye hai ki ise kaunse tareeke se maara jaayega... Koyi naa koyi nayi innovation kare shayad Aaruhi ise maarne ke liye :dazed:... Saath hi wo Peon bhi kuchh chhupa raha tha, ab seedhi si baat hai ke kisi ke paaon dekh kar to wo us din param aanand ki praapti kar nahi raha hoga, basharte use is prakar ki koyi fetish na ho :roflol:...

Kaafi badhiya update tha Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal... Shruti ka Mansion pahunchna, us tunnel mein huyi pareshaniyan, Mansion ke baahar ke drishya ka varnan, ya fir jab wo anjaan shakhs files lekar bhaaga... Sab kuchh perfection se likha gaya tha...

Outstanding Update Bhai & Waiting For Next...

[Btw. Vishal to gaya :rip:]...
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,630
219
Update ~~ 78

" Tu mujhe marwayegi aur khud bhi maregi, is samay idhar ane ki kya jarurat thi " ek kapde mein baraf lapete hue rachna ne shruti ko thama diya " tujhe koi dekh leta to? "

" dekh leta nahi....siiii.... aahhhh.. " baraf ki potli ko mathe par lagate hue vo sisak uthi mano garam tave par pani chidak diya ho. " dekh liya tha.. "

" mar gayi tu to aur main bhi... " rachna apne kamre ke darwaje par hi khadi thi. Uske chehre ki ghabrahat uske baju se nikalte pasine ki pehchan thi jo uske top ko gila kar chuke the.

" meri shakal dekh.. dekh dhang se.. " shruti ki baat sun rachna confuse ho gayi " is khichad se sane chehre ko kaun pehchanega .. tune bhi darwaje par nahi pehchana tha.. remember? ek do logon ne ghur-ghur kar dekha par jarur bikhari samajh kar dhayan nahi diya hoga.. ek budhe ne kosish ki bhagane ki lekin use aisa sariaya ki sala aaj ke baad kabhi kisi se aise baat nahi karega.. haye.e.. ye dard.. "

" par didi dekh leti to.. uska nahi socha tune.. vo to acha hua ki jab tu ayi vo us samay nahane gayi hui thi " rachna ki baat par shruti ne koi jawab nahi diya. " Par tujhe itna bada risk lene ki jarurat kya thi? "
rachna ne shruti ki halat dekh use ye jaan liya tha ki uski ye halat kaise hui thi shart rakh kar ki vo tabhi use andar ane degi jab vo uski halat ke bare mein batayegi lekin Shruti ne bhi puri sachai nahi batai thi usne bas utna hi bataya tha jise uski ye halat hui thi. Shruti is baat ka jawab dena nahi chahti thi isliye usne baat badal di.

" Manpreet ka kya bata rahi thi tu? vo gayab hai? "

" han.. yar.. kab se tujhe batane ki kosish kar rahi thi .. message bhi dale the lekin tu apni hi dhun mein thi.. par tab mujhe nahi pata tha ki tu is karyakaram mein fansi hai ... kya lagta hai tujhe? " rachna ke sawal par shruti confuse ho gayi ki vo kis baat par prashan chinn laga baithi hai.

" Ghar walon se pucha uske? " shruti ne pucha.

" ghar walon se? " rachna confused ankhon se use ghurne lagi, shruti bhi use dekhne lagi, apne mathe par baraf ki potli tikaye " tere ko kisne mara vo baat ghar walon se kyun puchna? " rachna ke kehte hi shruti ka man kiya ki ye baraf uske sar pe de mare.

" main manpreet ki baat kar rahi hun.. " shruti dant piste hue boli.

" oh.. han.. unko to koi idea hi nahi hai.. vo khud use baat karne ki kosish mein lage the... lekin uska kuch pata nahi... "

" to fir malum kab chala ki vo gayab hai? Do din se sab so rahe the kya? Uski room partner ne kuch nahi bola? Aur kya naam hai us chutiye ka... uska chudai partner.. "

" chaman chutiya charan"

" Han wahi.. usne nahi kaha kisi se kuch.. "

" mene kosish ki thi use puchne ki lekin usne kaha ki uski manpreet se baat nahi hoti lekin uski room partner.. uski wajah se hi to ye sab malum chala.. jis raat suraj ki maut hui thi ... uske agle din vo ghar chali gayi thi.. aur jab vo wapis ayi tab uska room use khali mila.. usne manpreet ko call kiya lekin uska number nahi mila.. usne aaju baju walli ladkiyun se uske bare mein pucha tab un logon ko dhayan aya ki kuch dino se manpreet ko unhone dekha hi nahi.. aur fir jab usne manpreet ke ghar par baat kari tab malum hua ki vo ghar par bhi nahi hai.. yani ki vo gayab ho chuki hai.. "

" yani akhri baar humne use dekha tha? " sawal par shruti ne apni baat kahi.

" humne? " rachna jaise chaunki aur use yaad aya ki us din jab vo shruti se dhabbe par mili thi tabhi to manpreet dikhi thi use. " Oh shit.. han.. main ye kaise bhool gayi.. "

" Rachna.. ye khichad.. subah-subah kahan se aa gaya ghar mein.. " bahar se awaz sunte hi rachna ne apna sar peet diya.

" tu kahin kone mein baith.. main aati hun.. " shruti ko bol kar rachna bahar nikli lekin shruti wahin kamre ke palang par baithi sochti rahi. Vaise to uske dimag mein manpreet ki baat ani chahie thi lekin uske dimag mein kal raat ka kissa ghum raha tha. Vo insan jo koi bhi tha.. uske bare mein kai sawal the. Akhir usko kaise pata chala ki main aur peon wahan par milne wale hai? Aur agar vo wahan aya to kaise? Aur kitne der se wahan maujud tha? Aur agar uske liye vo file itni jaruri thi to usne mujhe mara kyun nahi, kyun aise chhod kar chala gaya? Kya khoj raha tha vo un file mein? Sabse bada sawal akhir uska sambhand kya hai is sabme? Shruti khud se sawal kar rahi thi tabhi kamre ka darwaja khula aur rachna andar ghusi.

" tu yahin baithi thi.. meri jagah didi aa jati to? "

" to? meri shakal dekh kar chor-chor chillati aur main unke sar par kuch de marti.. " shruti ne serious tone mein kaha.

" tu mazak kar rahi hai na? "

" nahi.. " usne baraf ka potla wapis sar par rakh liya jo ab pighal kar nake barabar reh gaya tha.

" tere khichad ki wajah se raiyta felh jata. Andar ka to saaf kar diya tha bahar ka bhool gayi thi.. "

" to fir kya bahana dia? "

" Kuch nahi.. bas bol dia ki uppar walon se baat kar legi.. "

" Ek baat bata.. abhi college open hone mein 1 ghante se jada hai.. to vo itni jaldi kyun jati hai.. "

" library mein kaam hota hoga.. "

" shuru se aise hi jati hai? "

" han shayad.. ek minute tu itne sawal kyun kar rahi hai.. ? "

" isliye agar aage aisa mere sath koi kissa hua to bhi tere pas hi aaungi.. "

" noo.... never... "

" Naha dho lun.. fir manpreet ke bare mein bhi pata karna hai.. " shruti ne potla rachna ki taraf fenka aur bathroom mein ghus kar apne sarre kapde utar kar ek kone mein daal diye. Uske nange jism par kai jagah par khichad lagi thi to kahin lag kar sukh chuki thi. Uske jawan khubsurat sharir par gandagi bardasht nahi ho rahi thi. Usne shower chalaya aur uske niche khadi apne sharir se mitti utarne lagi jo nali mein sama gayi.

Rachna se udhar liye kapde pehen kar vo wahan se bahar nikli aur sidhe college ki taraf badhi. Class ka time ho chuka tha, mathe par lagi chot ko usne rachna se liye makeup foundation chipa diya kyun ki na to vo kisi ke sawal dena chahti thi aur na hi Aaruhi ke man mein kisi tarah ka doubt. Vo college ke piche walle gate se ghusi aur thodi dur par uski nazar padi jahan kuch log bade-bade banner tang rahe the jispar likha tha ' Support For the Lost One ' Signed by Principal, venue Auditorium Hall for 3rd-4th Year Students. Ye dekhte hi shruti ko yaad aa gaya ki Mehta ne director ko aadesh diya tha aur Principal R.Madhuban ne bakhubi itni jaldi is kaam ko anjam bhi de diya.

Shruti class ki taraf badhne se pehle director office ki taraf gayi. Wahan dur se hi usne bhanpne ki kosish kari ki vo peon wahan aya hai ya nahi. Lagta hai kal raat ke hadse ke baad vo bhag gaya hai... agar aya hota to jis insan ne hamla kiya hai vo is peon ke sath mila hua hai ye sure ho jati main. Par abhi dikh nahi raha.. ho sakta hai kahin kisi kaam se gaya ho. Abhi se sure hona sahi nahi hai.. jo admi itna sab kar sakta hai vo apne sath surkasha rakh kar aya hoga ... ye peon ka bacha.. sidha nahi hai jitna soch rahi hun. Vo director room ke bahar baithe security guard ke pas pahunchi.

" director sir aa gaye kya? " usne us security guard se pucha.

" nahi abhi nahi... "

" acha.. nahi aye.. acha vo peon uncle kahan hai... vo bhi nahi dikh rahe hai.. "

" kyun puch rahi hain aap? "

" director sir se sign karane ke liye kuch paper diye the, unhone kaha tha subah le jana aaj.. isliye.. "

" nahi.. vo abhi aya nahi.. aap baad mein ana.. "

" thank you uncle... " muskurate hue apni kamar jaan kar matkate hue shruti wahan se nikli. Vo janti thi ki us guard ki nazar uski kamar aur uske niche ko jarur jayegi. Na jane kyun par use ladko ko tadpane mein maza sa ata tha. Vo class ki taraf badhi aur jab class mein pahuchi to wahan par halka-pulkha shor tha kyun ki koi teacher aya nahi tha. Aaruhi pehle se hi wahan baithi apne mobile mein vyasth thi jise shruti ne wahan pahunchne se pehle hi bhanp liya tha.

" Hume bhi yaad kar liya kar kabhi.. " shruti uske bagal mein baithe hi boli jiska abhas padte hi aaruhi ne turant phone lock kar ke hath mein pakad liya.

" aa gayi tu.. kahan thi.. "

" abhi tak to nahi pucha tha.. samne dekhti hi puch rahi hai.. message bhi to kar sakti thi jaise abhi kisi aur ko kar rahi thi... "

" acha vo.. vo to main kalpana didi se baat kar rahi thi... Keh rahi thi ki mehndi lagwani hai to ek din pehle ana hai.. shadi walle din nahi.. "

" acha ji... to ye baat ho rahi thi.. " shruti ne kuch soch kar bas itna hi kaha tha. Use aaruhi ki baat par vishwas nahi tha lekin dikhaya nahi.

" waise tera vishal se jhagda hua kya? " aaruhi ki baat sun shruti turant apni soch se bahar ayi.

" kyun... ? "

" uska phone aya tha ki shruti kahan hai? is she okay? to mujhe laga ki tera jhagda hua.. lekin tum dono to sath hi the... " aaruhi ke sawal par shruti uska chehra dekhti rahi. Man hi man vishal ko kosne lagi ek hi din ke andar vishal use aisa lagne laga ki uske lund ko kaat dene ka khayal kar baithi.

" Vo chutiya gaya hai.. typical relationship walle ladke hote hai na.. vo ban gaya hai.. isliye puch raha hoga.. do message ka reply na karo.. to puchne lagta hai are you alright? ye vo.. flana dhimkana.. behenchod pareshan ho jaungi.. to bechara hath se hi masalta reh jayega bas... milega kuch nahi use.. " shruti ne apne baalon ko jhatkte hue jawab diya.

" Tu aur teri soch... ek to ladka care kar raha hai aur tujhe kadar nahi hai.. "

" kadar chhod ek pen aur notebook de.. prem sir aa gaye.. gand mar denge meri... " shruti turant bol padi.

Class khatam hone ke baad aaruhi ko shruti ne bahar se kuch khane ko lane ke liye kaha aur khud wahin ground ke ek kone mein baith kar phone nikala. Phone nikalte hi usne dekha ki vishal ne kayi message kiye the aur uske alawa Urvashi ke bhi kuch message the lekin Aaruhi ka nahi tha, class mein to usne yun hi kaha tha ki yaad nahi karti par andar se use ehsas tha ki usne message kiya hua lekin uska message na dekh use ajeeb laga. Beshak kal ki raat ki dawai bhi skip hui thi uski jiske liye vo intezam bhi nahi kar payi thi. Usne vishal ke message ko ignore kiya aur kal jo photo liya tha use khola. Gallery ki photo kholte hi use kal raat ki sari batein fir taza ho gayi. Usne pehli photo kholi aur zoom karke use padne lagi jispar Date likhi hui thi aur likha hua tha 'Postmartam Report' Usne finger use kakre screen ki madad se photo ko uppar ki taraf khiskaya aur naam pada.

' Pratiksha Garg ' Ye us ladki ka naam tha jo aaj se theek 8 Saal pehle mari thi. 2004 August date ke mutabik 8 saal beet chuke the. Death Reason : Multiple Fracture in Brains and Broken Spinal Cord. Detail ke niche kuch signature maujud the. Shruti ne photo zoom out kiya aur swipe karke next photo kholi. Us photo mein sabse uppar left corner mein ek photo lagi thi jiski shakal pehchan mein nahi aa rahi thi fir bich mein likha tha 'Confidential Report ' aur niche likha tha naam 'Pratiksha Garg' Ye wahi naam tha par ye pichli report se report bilkul alag thi. Zoom kakre usne photo ko uppar kit araf kiya aur report mein likhi chand line padne lagi.

' Death Reason Stated : Multiple Fracture in Brains and Broken Spinal Cord - Suicide , Investigated Reason : As per Police, Pratiksha was hitted multiple times on head and not just on single day but from several days and inside skull was brutually damaged. Her Spinal Cord was twister and possiblity that the victim is well alive at that point of time so she could bear the pain. Murderer didn't left any weapon and No weapon was found till date. As the girl was found near the building in a position that she fell from it.

Report ke niche ek sign tha, jo pichli report mein nahi tha. Report padh kar shruti ko yakeen ho gaya ki mauton ka silsila aaj se to chala hi nahi hai aur usi ke sath ye bhi pata chal gaya ki college ne kaise ek murder ko suicide mein tabdeel kiya hai. Bas ye samajh nahi aa raha ki ye murder kiye kisne? Kya inke piche college walon ka hath hai.. kya vo murder karke is tarah dikha rahe hai ki bache suicide kar rahe hai? Nahi nahi.. aisa karke vo khud ka nuksan kyun karenge... Vo ye sab nahi kar rahe.. College to sirf in murders ko hadsa bana kar khud ko cover kar rahe hai. Sochte hue usne aage ki photo dekhni shuru ki aur ek ke baad ek photo dekhti gayi. Sabme kuch na kuch aisa hi jhol tha.. jitni photo usne li thi usne sab dekh dali. Aur akhri photo ke baad use laga ki kash kal raat ko hadsa nahi hua hota to shayad bachi hui kuch papers ki photo bhi le leti.. Par fir usne socha ki jo use chahie tha uski phukti to ho hi gayi hai. Suraj ki maut ki report ki photo nahi li thi kyun ki vo recent maut thi na hi lavanya ki report ki photo le payi thi. Par itna dekhne ke baad ye to saaf ho gaya tha ki is college mein salon se koi ghapla chal raha hai lekin sabse bada sawal tha ki itne salon se kyun aur ye selected mautein hi kyun? Kya apas mein in logon ka koi relation tha? Tha to likha hona chahie tha.. Aur agar nahi likha to ye jankari kahan se milegi.. Hmmm.. Koi to clue hai jo main miss kar rahi hun.. Koi to chiz hogi.. Shruti soch hi rahi thi ki tabhi uski nazar college ke main gate par padi jahan par police ki jeep ke sath ek gaddi andar ghusi. Jeep ground ke ek kone mein ja ruki aur uske piche gaddi bhi. Jeep mein se kuch police wale nikle aur us gadi ke pas jaa khade hue jisme se do log utar gaye the. Ek aunty aur ek ladka baki police walon ke sath college ke andar ane lage. Shruti thodi hi dur khadi thi jahan se vo saaf dekh paa rahi thi ki vo aunty roo rahi hai aur ladka unhe sahara dete hue aage badh raha hai.

" Ye police ke sath kaun aya hai.. lagta hai us ladke ki maa hai..kahin miss nandini ne complain to nahi kar di " aaruhi shruti ke bagal mein atte hue boli.

" Nahi mujhe aisa nahi lagta ki vo wahi hai.. "

" aur tujhe aisa kyun nahi lagta? "

" kyun ki ye maa manpreet ki bhi ho sakti hai... " shruti ne fauran phone unlock kar vishal ko phone karke college ke bahar milne ko keh dia. " tu class jaa aaruhi meri proxy laga dio... mujhe kuch kaam hai.. "

" result announcement hai "

" Hone de.. par ye wala kaam jada important hai "

" Padai se jada har chiz important hai tere liye.. ye pakad.. main chali.. " aaruhi ne roll shruti ko thamaya aur wahan se chal padi. Shruti uske badlav par bahut soch chuki thi, use laga tha ki vo ladka jo kal thappad khaya tha police uske liye hai par manpreet ke naam par usne zara sa bhi sawal tak nahi kiya mano farak hi na pada ho lekin shruti abhi is bare mein sochna nahi chahti thi. Usne aaruhi ko bheja aur roll khate hue usne phone se ek number milaya.

" Helo Kim.. tujhe manpreet ke bare mein pata chala? "

" Hann.nnn.. mujhe to pata hi tha.. "

" to tune bataya nahi mujhe "

" Tujj....tujhe... batana bhool gayi. Tu uske touch mein thi? "

" nahi.. par tu thi kya? "

" Kuch dino se nahi... tujhe kuch pata chala "

" nahi.. abhi kisi ko kuch nahi pata.. I hope she is well "

" Us chaman chutiye charan se pucha tune? "

" uska to naam bhi mat le.. You know that guy.. he is so ugly.. "

" Uski khubsurti chhod.. use pucha tune? "

" Han.. pucha tha.. but he said uski baat to kai dino se nahi hui.. jhagda hua tha shayad "

" Hamm... acha.. chal kuch pata chale to bataio.. " shruti ne phone cut kiya aur sochne lagi ki kuch din pehle jab usne manpreet se baat ki thi tab usne charan aur uske bich ki chudai ka bada acha experience bataya tha aur fir dono ke bich ladai ho gayi? Ya fir chaman chutiye ko jo chahie tha uske baad usne use chhod diya.. Kahin is gum mein to manpreet ne? nahi nahi .. manpreet aisi ladki nahi thi.. Vo aise chutiye launde ke liye kya jaan degi.. Han ek baar ko gaggan ke piche padne par jaan de sakti thi. Jarur kuch aur hi locha hai.. Roll khate hue shruti bahar ayi aur ek taraf chal padi jaise use pehle se malum tha ki use kahan jana hai. Thodi dur par kachi sadak ke kinare ek khali jagah par dhabba bana hua tha jahan par aksar sutte baji aur college ke bache daru pee liya karte the bina kisi dar ke.

" Aau darling aau.. aaj idhar kaise ana hua.. " sutte ka dhuain udate hue Rubi shruti ko dekhte hi boli.

" Jab -jab kaam hota hai Rubi hi yaad ati hai.. "

" Ayi shaabshh... ye le.. puri khatam kario warna gand ke ched mein daal kar dhuain chhudwaungi... "

" nahi didi.. nahi peeti.. "

" pitte to hum mut bhi nahi hai... " rubi ne bagal wali ladki ki gand par chapat lagate hue uske muh mein cigratte thus di. Wahan uske alawa aur bhi ladke ladkiyan baithe hue the. " chal aja janeman.. " rubi ne shruti ka hath pakda aur use thodi duri par le gayi.

" to bol darling aaj fir se kaise yaad ayi.. par bolne se pehle ek baat bata dun.... Is college mein jo ye randapa macha hai uske bare mein mat puchio kyun ki in sabka ka lafda nahi chahie.. " rubi ne college ke mauton ke bare mein kuch bhi bolne se pehle hi mana kar dia.

" Nahi.. uske bare mein nahi hai... "

" Acha fir to jhakas bata.. kiska lund chahie.. ya fir kiski live blue film dekhni hai? "

" Live blue film ? "

" Aur kya.. jis ladke ya ladki ke uppar hath rakhegi uski banwa denge.. " rubi ne ankh maar kar kaha to shruti use hairani se dekhne lagi " dekh kya rahi hai darling.. mazak kar rahi hun.. bata kya kaam tha "

" Vo mujhe.. Detail chahie thi.. "

" acha kiski.. " piche ki pocket se cigratte aur lighter nikalte hue rubi boli.

" sabki.. " shruti ke bolte hi rubi ne nazre utha kar uski taraf dekha. Cigratte muh mein dabi hui thi, lighter jal gaya tha par shruti ki baat ke baad vo ek pal cigratte nahi jala payi, fir agle hi pal usne cigratte jala kar lighter wapis piche dala aur kasht bhar kar dhuain chhodte hue boli.

" Kyun? "

" Wajah batane ki jarurat nahi samjhti.. " shruti ka jawab pakar rubi ke chehre par muskan aa gayi.

" Mere jane ke baad is college ki randi tu hi banegi.. jo har jagah marwayegi... chal ek number likh "

" bhej de number "

" abe dhakan.. aisi chizen save nahi rakhte.. likh number... " rubi ke kehne par shruti ne number likh liya.

" Naam kya hai iska? "

" Gadhwal.. Isko phone karke bolio ki Rubi sabki maa hai madharchod nahi... Samajh jayega ki mene tujhe bheja hai.. "

" to ye mera kaam kar dega " shruti ke kehte hi rubi ne hans kar uski khilli udai.

" tu aaj mujh par shaq kar rahi hai.. ye maar le.. sahi ho jayegi.. " rubi ne sutta uski taraf badaya lekin shruti ne mana kar dia. " Chal aja.. " uske baad shruti uske sath wapis uski jagah par ayi jahan pahunchte hi rubi ne us ladki se sutte ke bare mein pucha aur baki logon se confirmation le liya. " darling chai piyegi.. "

" nahi rubi.. main chalti hun.. thanks ... " shruti ne usko jawab diya aur wahan se chal di. Uska behavior change tha ya fir dimag mein batein bahut chal rahi thi is wajah se vo rubi se is tarah ke sawal kar rahi thi. Raste mein sochte hue wo us jagah jaa pahunchi jahan par usne vishal ko bulaya tha.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,630
219

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,630
219
romanchak update ..peon ko dhankane ka tarika sahi istemal kiya shruti ne ki uska ek saathi bhi waha maujud hai .
saari files se photo lete rahi aur tabhi waha koi aa gaya jisne ghayal kar diya shruti ko aur files leke bhag gaya ..
par sochnewali baat ye hai ki usne shruti ko maara kyu nahi 🤔🤔..
peon se kuch jyada hi pata chal gaya jaise kisika pehle bhi khoon hua hai jo shayad trustee ya director type logo ne kiya ho ..
aur ab ye naya jhatka ki manpreet gayab ho gayi hai ..

aur shruti ke waha hone ki baat kisko pata chal gayi jo wo waha aake files le bhaga 🤔🤔..
Thanks bhai .... apke par sawal bht hai.. jawab aage hai... :D
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,630
219
Aakhirkar, Shruti Mansion mein pahunch hi gayi aur shayad kuchh hadh tak use wo jaankari bhi praapt ho gayi, jo wo chahti thi... Halanki, uska plan ek tarah se kaamyab nahi ho paaya par kuchh photos to usne kheench hi li thi... Sab kuchh shayad sahi se ho hi jaata lekin wo anjaan shakhs... Kaun ho sakta hai wo? Koyi aisa jiska Unn files se taalukat ho? Ya to wo Shruti ki hi tarah us Mansion aur us band pade Girls Hostel ki sachayi jaan na chahta hai ya fir us sachayi ko chhupana! Ab jis tarah wo vyakti Shruti ko ghaseet te huye shed ke neeche tak le aaya (padhte waqt yahi samajh aaya ke jahaan Shruti giri aur jahaan use hosh aaya, dono jagah achhi doori par thi)... To us shakhs ka ek ladki hone ke chances kam hi hain, warna to mujhe laga tha ke wo kahin Aaruhi hi na ho! Maybe wo Vidhu ya Meghnath mein se koyi ek ho sakta hai? :think:

Wo peon shayad tabhi wahaan se bhaag gaya hoga, kahin aisa na ho ke wo peon hi us vyakti ko apne saath laaya ho... Par agar aisa nahi hai, to files ka gaayab hona ek problem khada kar sakta hai... Kyonki yadi Peon ka naam aayega to der sawer wo sachayi bata hi dega... Waise to usne Shruti/Vishal ka chehra nahi dekha tha par fir bhi dono khatre mein pad sakte hain... Btw. Wo jo koyi bhi tha, jo files le gaya, wo Shruti ka chehra dekh chuka hai...

Idhar Rachna ka ek baar fir Shruti ko call aaya, jo itne samay se wo use call kar rahi thi, uski wajah Manpreet hai... Manpreet, shuru se hi mujhe rahasyamayi kirdaar lagi... (Jis din Rachna aur Shruti dhaabe par mili thi, Shruti ka Mobile theek karwane ke baad, tab Manpreet bhi kahin se laut rahi thi, aur jahaan tak mujhe yaad hai shayad Rachna ne kaha tha ke Manpreet bhi apna phone repair karwane gayi thi)... I think Manpreet ka is poore matter se zaroor koyi gehra connection hai... Maybe us “Raman”, joki Nandini aur Alok ki chats mein thi, Manpreet ka us se bhi connection ho sakta hai...

Ab Manpreet gayab huyi hai to uska zinda lautna mushkil hi lag raha hai... Ab asli sawaal ye hai ki ise kaunse tareeke se maara jaayega... Koyi naa koyi nayi innovation kare shayad Aaruhi ise maarne ke liye :dazed:... Saath hi wo Peon bhi kuchh chhupa raha tha, ab seedhi si baat hai ke kisi ke paaon dekh kar to wo us din param aanand ki praapti kar nahi raha hoga, basharte use is prakar ki koyi fetish na ho :roflol:...

Kaafi badhiya update tha Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal... Shruti ka Mansion pahunchna, us tunnel mein huyi pareshaniyan, Mansion ke baahar ke drishya ka varnan, ya fir jab wo anjaan shakhs files lekar bhaaga... Sab kuchh perfection se likha gaya tha...

Outstanding Update Bhai & Waiting For Next...

[Btw. Vishal to gaya :rip:]...
Apke andaze kabiletariff hote hai :bow: Waise to mene is phase ka socha kuch aur tha par likhte time badal diya.... Vo bhi fit baith raha aur ye bhi... Par ab lag raha hai vo likhta to aur jada acha hota.. kher usko kahin aage adjust karne ki kosish karunga...Hahaha... Kya chahte ho kis tarah marre ladki ko :hinthint: Bhai aapko pasnd aya ye jaan kar khushi hui... sath bane rahiye.. aage abhi dhamaka intezar kar raha hai... :thanx:
 
15,594
32,097
259
nice update ..bach gayi shruti jo rachna ki behan ne usko dekha nahi .par rachna bhi kam dimaag hai jo manpreet ke baare me puchne par shruti ki baat kar rahi thi ki uske maa baap ko kaise pata chalega ki kisne chot pahuchayi 🤣🤣🤣..

aaruhi aaj shant najar aa rahi thi aur sexy baate bhi nahi ki shruti se .
pratiksha garg ki report dekh li aur uske maut ka sahi reason bhi pata chal gaya .

ye kim hakla rahi thi shruti se baat karte waqt ,kya wo kuch chhipa rahi hai manpreet ke baare me 🤔🤔🤔..
ruby ne ab ek aadmi ka naam bataya gadhwal jisse sabki detail mil sakti hai shruti ko ,par sabki matlab kiski ?? pure college ki ya jinki maut huyi hai unki .

waise ruby ka code majedar hai gadhwal se baat karne ka 🤣🤣🤣..
 
Top