• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219
Update ~~ 97

" Aunty kal raat se aaruhi boli nahi hai, kya use uncle ke bare mein sab yaad aa gaya hai? " shruti ne phone ko lock karne se pehle vishal ko message bheja hua tha ' 2 din mein wapis ayenge' . Urvashi ne shruti ki baat sun bagal main baithe hui hui aurat se juthi muskan ke sath baat karte hue shruti ki taraf nazar ghumai aur chehre par gambhirta cha gayi. Jawab uske pas kuch bhi nahi tha. Dono ne aaruhi ki taraf dekha jo mandap se thodi dur par khadi Nimisha ki chal rahi rasmo ko dekh rahi thi. Shruti kuch keh pati use pehle uska phone bajne laga. Phone par koi naam nahi tha.

" Kaun bol raha hai? " Shruti ne ek-do baar pucha par usko samne wale ki awaz theek dhang se sunai nahi de rahi thi. " Helo.. " usne kaan se phone hataya aur kaat dia. Usne phone cut karke call log khola taki number ko dubara dekh sake. Jana pehchana number nahi tha uske liye to usne nazar-andaz kiya aur ek dafa fir kuch bolne ko hui par phone baj utha. Usi number se phone tha.

" Kaun bol raha hai yar.. awaz hi nahi aa rahi hai.. " shruti ko sabke bich aise bolte hue ajeeb sa mehsus hua to vo uth khadi hui. " ek minute aunty main baat karke ayi, awaz cut rahi hai.. " usne urvashi ko kaha aur phone baat karte hue bahar nikli. Vo bahar nikal kar corridor par kuch dur chalke ruki aur helo helo karti rahi.

" Kab se pani khol rakha tha.. "

" Pata nahi sahab.. "

" Salle nikammo.. pehle hi ye dharamshala purani hai uppar se tum logon ne chatt par pani chala chhod dia.. pipe niche fenk.. aur jakar tanki mein pani dekh.. pani khatam hua to jaan se maar dunga tujhe.. "

" ji sahab.. abhi dekhta hun.. "

" ofoo ek to pehle se hi awaz nahi aa rahi uppar se ye log.. " shruti do kadam wahan se dur hatti, uska matha pehle hi pareshan tha kyun ki samne se koi bol raha tha ya nahi use samajh nahi aa raha tha. Awaz hi dhang se sunai nahi de rahi thi. Tabhi ek pipe uske sar ke piche akar laga. " teri maa ka.. "

" maaf karna galti ho gayi ... " uppar khade admi ko to farak nahi pada lekin niche khade dusre admi ne fauran bola to shruti ne gusse ka ghunt pii lia.

" Ab koi bolega ya nahi... " shruti ne phone par kaha lekin phone cut chuka tha. " Pata nahi kaun chutiya hai.. " shruti ne apna lehanga hath se uppar ki taraf uthaya kyun ki vo per mein fans raha tha. " Ye aaruhi ne bhi mujhe kya pehnwa diya.. sala per mein fans raha hai.. agar giri aur muh futa to ladke dekhenge nahi mujhe.. " shruti jaise taise hall walle gate tak pahunchi ki usne nazar samne padi jahan par mandap laga hua tha. Uska dhayan mandap par nahi tha balki urvashi par tha jo aaruhi ke sath khadi thi aur vo yun hi nahi khadi thi balki aaruhi ko kisi chiz ki takleef ho rahi thi. Shruti se jitni tezi se chala gaya vo wahan ja pahunchi.

Aaruhi aise khanste hue muh se kuch nikalne ki kosish mein thi jaise uske andar kuch fans gaya ho. " Aunty kya hua aaruhi ko? "

" pata nahi beta abhi tak to theek thi ... aaruhi... kya hua hai... " urvashi uski pith malh rahi thi lekin aaruhi ko kisi bhi tarah ka chain nahi padh raha tha. Uski ankhon se pani tak nikal aya tha, muh se thukk ki lambi lambi dhaar bahar nikalne ko thi lekin vo khanste hue 'aargghhhhh' kuch muh se nikalne ki kosish kar rahi thi par nikaal nahi paa rahi thi. Aaruhi ki wajah se shadi mein bhada aa gayi thi, sabhi uski taraf dekh rahe the.

" beta aaruhi ko yahan se le chalo.. " urvashi ne jaise hi bhanpa vo aaruhi ko wahan se le jane lagi. Ek taraf se shruti ne aaruhi ko sahara diya dusri taraf se urvashi ne sahara dekar phone se ek doctor ka number turant mila dia.

" aaruhi... gehri gehri saans lee... " shruti uski halat ko dekh bata rahi thi lekin aaruhi bas khanse jaa rahi thi aur bich bich mein aise muh khol kar ruk rahi thi mano kuch bahar nikaal dena chahti ho bhale hi vo ulti kyun na ho.

" jaldi beta.. "

" han han aunty.. " shruti ne aaruhi ki taraf se dhayan hataya aur bahar nikalte waqt uski nazar samne padi jahan deewar ke kone mein ek darar bani hui thi jo dhire dhire uppar ki taraf badh rahi thi.

" Aaruhi.. beta kuch nahi hoga.. thoda sa relax hone ki kosish karo " urvashi dr hone ke natte aaruhi ko salah de rahi thi lekin aaruhi ke mutabik use saans nahi li jaa rahi thi. Dono aaruhi ko corridor tak le aye the, shadi ka hall bhara hua tha vo rukawat khatam ho gayi thi. Bas kuch hi duri par main gate tha jise paar karke urvashi aaruhi ko jald se jald doctor ko dikha dene wali thi. Par tabhi kuch aisa hua ki ek hi pal mein sab badal gaya. Dharamshala ke hall ki chat achanak se bhar-bharati hui deh gayi aur zor-dar dhamaka sa hua, malba girne ke baad dhol-mitti ka gubbar charon aaur failh gaya aur usne apne aas-pass ki sabhi chizon ko apni chapet mein le liya.

Kushi aur matam waqt ke do aise pehlu hai jo waqt se bhi bade hote hain, na waqt se puch kar atte hain aur na hi waqt se izazt lekar jatte hai.

Sadak par ambulance ke siren ki awaz, to dusri taraf fire-briagade ke dumper ka siren baj raha tha. Police ki jeep aur van se utre vardi pehne afsar logon ki bheed ko ilake se thodi dur parhi rok rahe the jo hadse ko janne ki ichuk the. Asman mein ud rahi dhul abhi bhi dhire-dhire niche baith rahi thi. Ambulance ka darwaja piche se khula hua tha jisme aaruhi baithi hui thi, mitti se puri tarah sani hui, oxygen ka mask lagaye. Urvashi wahin thodi dur khadi thi ek lady doctor ke sath, mitti se uska sharir bhi chupa hua tha aur main jo ye sab hota hua dekh rahi thi. Mitti se sani hui, balon se abhi bhi mitti jhad rahi thi, nazar us jagah par jami hui thi jahan par abhi abhi shadi ho rahi thi lekin ab wahan sirf malba reh gaya tha.

" inspector...koi.. koi... bacha ki nahi... " mitti se sana kap-kapati awaz mein puch raha tha.

" abhi tak to sirf aap aur teen log hi bache hai.. suchna ke anusar to baki sab mandap mein hi the.. " inspector ne nazar mujhpar dalte hue, aaruhi aur urvashi ki taraf nazar ferai. Us admi ne bhi nazre modi jiska chehra dekh mujhe yaad aya ki ye wahi admi hai jo apne admi ko dant raha tha, shayad isi ka tha vo dharamshala.

" par malbe mein dabbe hue log to ... "

" wahi kosish jari hai.. humari puri kosish wahi hai.. aap jakar doctor ko apna haal dikhaiye... " inspector ne itna hi kaha ki achanak se dharti hilne lagi. Ek pal laga bhukamp aya hai par jab nazar samne gayi to paya ki jis malbe ke dher ke uppar vo worker aur police afsar kaam kar rahe the vo wahan se bhagte hue hamari aur ane lage aur itni tezi se dharti hili ki jo malbe ka dher samne pada tha vo achanak se dharti ke andar ki aur chala gaya mano uske niche ki jameen hi khisak gayi ho aur wahan ek baar fir logon ki cheekh gunj uthi. Mujhe bhi piche se aunty ne apni taraf khincha aur bheed us jagah se piche ki taraf ho gayi. Samne ka manzar khaufnaak tha, kuch pal ki shanti ke baad kuch himmat karke fire-brigaid ke workers aage bade aur wahan murat ban kar hi khade ho gaye. Mujhe bhi thodi derlagi samajhne mein jab ek ajeeb si awaz ka shor wahan gunj utha aur dekhte hi dekhte us puri jagah par pani niche se nikal kar sateh par aa pahuncha aur zor-zor se hilne laga mano nadi ka chota tukda wahan pehle se hi maujud tha. Ek hi pal mein kuch logon ko bachane ka sapna pani ke niche hi kho gaya. Maine piche ki taraf dekha to hairan aur pareshan urvashi aunty bhi thi, kyun na hoti, agar do minute ki deri aur hoti to shayad hum bhi pani ke niche hote.

'Ashvasniye tarike se hue Raipur mein hadse ki dil dehla dene wali khabar hai. Ek dharamshala jiske bhetar rach rahi thi ek shadi aur usi dauran hua hadsa jisne kai jaanne le li. Dharamshala ki achanak se deh jane par uske bheetar baithe log uski chapet mein aa gaye. Par tehraiye manjar iske baad aur bhi khaufnaak ho jata hai. Bachav karaye ke dauran, hamari sutron ke mutabik wahan khade logon ne bhukamp jaise jhatkon ko mehsus kiya aur us pal vo jagah jahan par dharamshala ka malba tha uske niche ki zameen deh gayi aur malbe samet jitne bhi log usme fanse the vo uski chapet mein aa gaye. Iske baad ka drishye to aap apni telivison screen par dekh hi rahe hain ki kaise wahan us jagah par paani hichkole kha raha hai mano us jagah par kabhi koi dharamshala thi hi nahi. Kaise ho sakta hai ye? Kaun hai iske piche ka jimmewar? Prashan ki chuk ya dharamshala ke malik ki koi gadbadi jise abhi filal ke liye hirasat mein le liya gaya hai. Hamari team jaanch partal karne us dharamshala par pahunch chuki hai jahan jaakr hum aap sabhi ko batayenge kya sach hai us pani ka, kahan se aya hai vo? Kya wahan ki dharti ke niche koi aisi shaktiyan hai jiski wajah se.... '

Shruti ne tv ke remote se use band kia aur sofe ke piche sar rakh kar baith gayi aur chatt par chal rahe pankhe ko niharne lagi. Uske gille baal soffe ko apni chpet mein le rahe the. Aaruhi aur urvashi bagal walle kamre mein laite ankhein khole shayad usi manjar ki yaad mein khoye hue honge. Sham ko chali thi, jis ghar ka ye hadsa hua tha, matam manane ke liye us ghar ka koi sajan bacha nahi tha.

Vishal ke message par message aa rahe the par shruti ka man use baat karne ka tha hi nahi. Sham se raat ho gayi sab yun hi apni jagah par pade rahe bas sharir ki thakan ne use nind ke jhonke mein daal diya tha. Der raat shruti ki ankh khuli, uski gardan uppar ki taraf thi jiski wajah se gardan main dard ho gaya tha aur uski wajah se hi uski ankh khul gayi thi. Vo apni jagah se uthi, fridge se pani ki bottle nikal kar pani piya. Wapis ayi aur atte samay usne aaruhi ke kamre mein nazar dali, urvashi aur aaruhi ek sath so rahe the. Vo wapis ayi sofe par laiti aur laitte sath uske sharir ke niche kuch chuba. Usne apne sharir ke niche se phone nikala, vishal ke kuch message the. Nind aisi khuli thi ki dubara ana uske liye mushkil ho raha tha. Usne vishal ke message padhe jisme aaj hue hadse ka jikar tha aur usi ke baad vishal ki kuch batein thi aur ant mein ek sawal.

" Vandana wali kya story hai? Kal bhi puri nahi bata payi tum " Shruti ne message dekh kar whtsapp band kar diya aur phone rakh kar sone ke kosish karne lagi lekin achanak se tuti nind wapis lagne ka naam nahi le rahi thi jiski wajah se vo uth baithi aur thodi der usne phone hi use karne ka socha. Kya kare .. sochne ke baad usne Google khola aur search bar mein type karne lagi.

'Vandana murder case' search vo kar chuki thi lekin fir bhi usne kiya mano kuch khojna chahti ho koi naam jo wahan miss ho raha ho kuch mil jaye us jagah ke bare mein. Khojte khojte vo fir school par ayi aur school ke itihas par jahan par ek steel factory hua karti thi. Kal se vo us factory ke bare mein janne ki kosish mein thi lekin abhi vo link use mila hi nahi tha jo us din mila tha, bas saal pata tha 2004, steel factory dughatna. Browser history se jakar jab us link par click kiya to vo aaj bhi wahi message de rahi thi jo kal de rahi thi, 503, service unavailable. Shruti ne iske alawa aur bhi search krne ki kosish mein apna samay lagaya lekin natiza kuch nahi nikla. Aisa kya hadsa hua tha wahan, kash main us din padh pati... Kya koi murder hua tha us time bhi? Kaise pata lagau? Aur laga kar karun bhi kya? Kya uska koi matlab hai? " Shruti sochne lagi.. sochti rahi.. " Kya aisa ho sakta hai koi killer ho ... kya koi mass killing hui thi 2004 mein? aur .... aur.... wahi killer usi ne mara ho vandana ko 2009 mein? Par iska rishta aaj ki kahani se kaise judta hai? Raipur... Nagpur... vaise to jada dur nahi hai.. to kya aisa ho sakta hai? Wo killer aaj bhi.. " shruti gehri soch mein chali gayi thi. Yun hi kuch der samay bitane ke baad usne facebook login kar liya. Vo chahti thi ki so jaye par nind na ane ki wajah se vo na chahte hue bhi phone chala rahi thi. Login karte hue usne paya ki jaggu ke message aye hue the vo bhi kai ek saath. Use use baat karne ka man nahi tha lekin fir bhi uski jhantein khilsane ke liye vo chat par message dekh kar bina reply karke rehna chahti thi isliye usne chat box khol liya.

" oo betichod... isne to sahi mein... " shruti ek dum se sofe par uchal kar baith gayi aur message dekhne lagi jisme usne jada dhayan nahi diya balki dhayan to uska us chiz par tha jisko dekh kar vo chaunki thi Jaggu ne apni chatiyun wali photo with face hostel ke terrace par khade reh kar khinch kar bheji hui thi vo bhi 2-3 angle se lekar.. jise dekh kar clear ho gaya tha ki vo sach mein hostel ki chatt par khadi hai. Ek photo mein to usne muskurate hue ek chuchi ko apne hath mein le rakha tha. Andhera tha isliye uska chehra jada nahi dikh raha tha par jo use jaante the vo pehchan sakte the. Shruti ko sharat suji aur usne message likh dale.

" Uppar walla maal to tagda hai ab niche wala maal mil jaye to mera lund pani ugalte hue tumhare kadmo mein hoga. Par han niche wale ka video chahie.. dekhun to sahi ki tum apni chut se khel sakti ho ya nahi. agar nahi to fir mere lund se kya khelogi... " shruti ne message send kar diya aur facebook logout kar dia, usne itna padne ki jarurat nahi samjhi ki jaggu ne use kya kya message kiye hai. Ye mazak masti ka jhonka gaya to vo fir se sofe par aa laiti aur ek baar din mei hue hadse ko yaad karte hue kab use nind lag gayi malum hi nahi chala.

" Pata nahi shruti.. par mujhe nahi lagta ki mujhe ab aur intezar karna chahie.. Dr. Alok se baat karke tassali to milti hai par santushti nahi mil paa rahi hai. Mene unhe aaruhi aur uske dad ke bich hui ghatna to bata di lekin vo bhi abhi tak is connection ko jodh nahi paye hai.. Vo bhi ab ulajh se gaye hai.. " agli subah shruti urvashi ki kitchen mein madad kar rahi thi aur urvashi ke chehre par dar, chinta aur dukh sab pratit ho raha tha.

" aisa unhone kaha? "

" Nahi but i can feel it.. Main bhi Dr. hun.. feeling samajh aa jati hai ki vo sure nahi hai.. i need to consult someone special.. Mujhe aaruhi ko lekar London jald se jald jana padega.. I can't see her like this.. abhi tak to yahi socha tha ki uske dil ki icha puri karti rahungi to vo day by day better hoti jayegi.. but i think i am wrong now... "

" Aunty.. aap chinta mat kijeye.. hum sab mil kar aaruhi ko theek kar denge.. Usko uski takleef se azad kar denge.. "

" i can't loose anyone... agar kal do minute aur late hote to mera pura pariwar nimisha ke pariwar ki tarah.. " emtional tutna urvashi ke liye asan nahi tha lekin itna sab sehan karte hi uska jee bhar aya. Vo bahut si chizon se jujh rahi thi.

" aunty please... " shruti dilasa dene ke liye wahi khadi thi.

" mom... " aaruhi ki piche se awaz ayi to urvashi ne normal hone ki kosish ki aur piche mud gayi.

" aaruhi you need anything? "

" i want to go back to college now. "

" college? abhi... lekin abhi to.. " urashi hairani mein boli.

" mujhe yahan abhi aur nahi rehna.. i can't ... mujhe bas jana hai yahan se " aaruhi ke lafzon mein ajeeb si sar-sarahat thi.

" Par aaruhi tum aise nahi jaa sakti.. mujhe tumhe.. " urvashi aage bolti use pehle shruti ne hath daba diya jise urvashi ruk gayi.

" main jaungi mom.. apko bata rahi hun.. puch nahi rahi.. aur agar apne zid ki to samajh jaungi ki aapko matlab hi nahi hai ki main kya chahti hun " aaruhi itna keh kar apne kamre mein chali gayi.

" Aunty.. aap aaruhi ko directly nahi bol sakti " uske jatte hi shruti ne turant kaha.

" to tum kya chahti ho main ise wapis jane dun? Nahi shruti.. aisa nahi kar sakti main.. mujhe kisi bhi haalh mein aaruhi ko best treatment dena hai.. "

" theek hai aunty.. main apko rok nahi rahi bas kehna cha rahi hun jab tak aapko appointment nahi milti tab tak ke liye aaruhi ko wapis jane dijeye.. waise bhi aaruhi ka bartav pehle se bahut alag ho chuka hai shayad college jakar nimisha wale hadse ko vo bhool jaye.. " shruti ne bahut zor dekar samjhate hue kaha, uska swarth uske man mein bol raha tha ki vo college jakar aaruhi se kisi tarah vandana ki kuch batein nikalwa payegi.

" hmm .. " urvashi sochte hue kitchen se chali gayi. Shruti wahin khadi rahi aur fir packing karne ke liye aaruhi ke pas chali gayi. Sham ki train pakad kar dono college ke liye ravana ho gaye. Train der raat pahunchi. Station par bahut kam log the. Dono ne auto liya aur sidhe hostel ke liye nikal padi. Auto hostel ki taraf chal pada, rasta sunsan aur dono taraf jungle tha. Is samay us sadak se jana, ek ajeeb sa dar man ko vichlit kar raha tha. Bich bich mein ek aad truck guzar jata aur auto apne manzil ki aaur badhta jata. Takreebn dedh ghante mein auto walle ne dono ko college utar diya aur college gate par khade guard ne torch jala kar dono ke i-card dekhe aur andar jane ke liye chota gate khol dia. Dono apna saman uthaye, hostel ki taraf chal padi. Hostel ke bahar ka guard so raha tha jise shruti ne uski kursi par laat mar kar jagaya aur vo hadbadata hua uth khada hua. Samne khadi shruti ko ek dafa usne ghur kar dekha aur fir gate khol dia. Dono sidiyan chadte hue apne kamre ki taraf badh chali. Kamre ki kundi sahi ho gayi thi, dono andar aye aur andar akar shruti ne kundi laga di. Aaruhi ne saman patka, apna top utara aur jeans khol kar ek kone mein daal di aur bra penty pehne hi bed par ja laiti aur peth ke bal ulti hokar so gayi. Shruti uski harkat dekh kar hairan thi, pure raste mei vo kuch nahi boli thi aur ab atte hi is tarah so gayi thi. Shruti ne ek pal uske jism ko dekha aur fir apne bistar par akar lait gayi.

4 baj rahe the, usne vishal ko message dala ' i am back ' aur phone rakh kar aaruhi ki taraf dekhte hue apni ankhein band kar li.
 

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,068
144
Aap sabhi ka gussa aur intezar jayaz hai.. par meri majburi aisi hai ki abhi bata nahi sakta.. fir bhi kosish kar raha hun.. aur yakeen maniye kahani bhagegi ab...
Naa gussa nahi hai, haan intezar zaroor hai. :shy:
Itna to samajhte hain bhai hum ki aapki bhi majburi hogi, but adhoora matt chhodiyega, joki mujhe vishwas hai hoga bhi nahi. Chahe kachhue ki raftar se hi sahi, ant dekhne ki talab hai is kahani ka. :approve:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219
Naa gussa nahi hai, haan intezar zaroor hai. :shy:
Itna to samajhte hain bhai hum ki aapki bhi majburi hogi, but adhoora matt chhodiyega, joki mujhe vishwas hai hoga bhi nahi. Chahe kachhue ki raftar se hi sahi, ant dekhne ki talab hai is kahani ka. :approve:
Aap sabhi ko jitna padne ka talab hai mujhe kahani ka rehasye kholne ka hai.. abhi tak to hum wahan pahunch jate lekin koi nahi.. ab jab bhi time mil rha hai likh raha hun to umeed hai jaldi se paahucnh jayenge.. shukriya bhai sath bane rehne ke liye :hug:
 
10,186
42,834
258

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219
Kal mera birthday tha aur aaj aapne update post karke birthday gift bhi de diya... Welcome back Harshit bhai...kal new mobile se review post karunga. Agar New mobile pe mera ID login raha to.:D
Wish u a belated happy wala birthday bhai.... :party2: ... Bhagwan ji apka bhala kare bhai :hug:
 
10,186
42,834
258
Mera mobile change ho gaya hai aur Hindi me likhna bahut hi jyada complicated. Pahle aasan tha likhna lekin abb bahut tough.
Aur hinglis me likhna mughe kabhi pasand raha hi nahi.

Aarohi ka kirdaar etna jyada bhramit kyon hai ? Abb tak jitni bhi unnatural ghatnayen hui hai uske kendra bindu me wahi kyon rahti hai?
College Aur hostel sabhi jagah usi ke erd gird unnatural ghatnayen abb tak ghatit hui hai.
Yahi nahi balki Uske home town me bhi waisa hi hua hai.
Bandana ki maut..uske khud ke dad ki maut..Aur abb ye. Kitna hi khaufnaak manjar raha hoga jab wo ghatna ghati hogi. Dharamshala ka girna Aur phir earthquake ke ghatke ke saath jamin ke andar sab kuch gaharai me sama jana Aur puri jagah jal magn ho jana ...
What was this?
Kya natural aapda thi
Kya saazis tha
Kya manav mistake tha
Kya Aarohi ki koi khaufnaak karistani thi

Aakhir Aarohi hi kyon? Samagh me nahi aa raha hai ki Aarohi ki tabiyat sahi me kharab thi ya kharab kar di gayi thi ya usne kharab hone ka natak kiya tha!

Shruti ki activities aab tak well wisher friend ki rahi hai ya apne boy friend Aakash ke saath flirt karte hue ya jaggu ke saath thodi masti karte hue.....abhi bhi friend ki kasauti par khara utarna baki hai use.

Ek baar phir se behtreen update Harshit bhai...Dharamshala wala scene kafi socking tha Aur dardnaak bhi.

Jagmag Jagmag update bhai.
 
Top