• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
50+ hu bhai. Lekin Sallu Mia bhi mere samne fika pakwan hai. Cigarette Gutkha Tobacco aapke chehre hi nhi, figure ka bhi bantadhar kar dete hai lekin limited way me wine....as a medicine ka kaam karte hai. It's my openion :D
Age is just a number :roll:
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,718
150,401
304

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Update ~~ 91

" Kal raat ke vakye ke baad raat bhar nind nahi ayi. Sapne mein bhi nahi socha tha ki kuch aisa dekhne ko milega. Bachpan mein dadi ki kahaniyun mein bhoot-preet jadu-tona suna tha lekin kuch aisa sach mein dekhne ko milega... " vishal ne ek gehri sans chhodi " Socha nahi tha.. " aur fir aage se jhadd hatate hue chalne laga.

" Kal raat se bas yahi soch raha hun ki kya Shreyas ki kahani sachi thi? Kya aisa ho sakta hai? Kash humne unke ghar ka pata pucha hota to ek baar dekh to atte.. Kuch hint hi de atte.. Kam se kam pehle se sachet to rehte vo log.. Ek taraf sach aur ek taraf us sach mein 'par?' sawal sa ban kar dimag mein ghum raha hai. Agar sahi kahun to jo unhone Aaruhi ko lekar time,reality,person wali baat batai hai usne to mera sar hi ghuma dia hai. Chizen kuch is tarah judi hongi kya tumne aisa kabhi socha tha? " vishal ne shruti ki taraf nazar dalte hue kaha.

" Maan liya jaye vo sab sahi hai to mujhe lagta hai us raat jab tumne aaruhi ko phone kiya tha aur bathroom se kisi ladki ki awaz ayi thi vo shayad isi loop ka koi hissa ho? " vishal ne sawaliya nazron se apni baat rakhi. " Sab kuch bolne mein kitna asan hai.. par samajhne mein utna hi mushkil ... kaise ho raha hai ye sawal to abhi tak sulajha hi nahi hai.. aur use bada sawal ki aaruhi ke sath hi kyun ho raha hai? Aur agar uske sath ho raha hai to kya bakiyun ke sath bhi aisa hi hua tha? Shruti tum kis soch mein ho.. bol hi nahi rahi.. " vishal ne shruti ki taraf fir se nazar dalte hue kaha.

" makan aa gaya.. " shruti ne samne ishara kiya to vishal bhi samne dekhne laga. Kache ent ka chota sa kamra bana hua tha jiske charon taraf khula maidan sa tha jiski ek taraf handpump laga hua tha aur dusri taraf ek charpai rakhi thi. Dono thoda najdeek aye to paya ki kamre se lag ko bahar ki taraf hi aag jalane ke liye chulla bana rakha tha jo khane aur lakdi jalane ke kaam mein le sakte the jise raat ko koi janwar idhar na aa sake.

" andar dekho to " shruti ne vishal se kaha to vishal ne darwaje par hath rakha.

" khula hua hai " usne dhakka diya aur kiwad khul gaya. Andar ek taraf ko choti si almari aur dusri taraf chota sa bistar pada tha aur baki dher sara kabad charon taraf pada tha. Vishal andar ghusa aur shruti gate par hi khadi rahi.

" yahan to koi nahi hai "

" acha mujhe to dikha hi nahi? " shruti ne taunt marte hue jawab diya.

" mera matlab hai vo hai nahi.. ho sakta hai subah-subah nahane dhone gaya ho "

" Jungle mein nahane dhone? Vo bhi 9 baje ... nahi.. bistar dekh rahe ho? " shruti ne fauran vishal ko kaha to vo us taraf dekhne laga.

" Ek dum sahi hai.. yani koi ispar soya nahi hai.. " shruti ne turant vishal ko apni baat samjhai.

" Ho sakta hai vo theek karke gaya ho " vishal ne turant uski baat ko khandit kiya.

" Hmm.. " shruti sochte hue baith gayi aur kuch dekhne lagi " ye bistar ke niche kya hai dekhna to? " Vishal ne shruti ke kahe anusar bistar ke niche hath dala aur bahar khincha.

" chappal... " vishal ne turant hath hataya aur apne kapdo se saaf karne laga.

" Vo bhi khichad se sane... jo ki kal raat ko halki baarish ki wajah se sane honge.. yani kal raat ko vo bahar gaya tha aur bahar se andar bhi aya.. "

" To ab kya dusri chappal pehen kar gaya hai? " vishal ne sochte hue pucha.

" duffer ho tum.. uske pass dusri chappal kahan hogi.. Vo raat ko bahar gaya.. andar aya.. chappal utari.. par vo bistar par nahi soya, ho sakta hai bahar padi khatt par soya ho.. lekin uske baad kahan gaya? "

" Gaya hoga.. aa jayega.. garmi lag rahi hai bahar chalte hai.. " vishal utha aur bahar aa khada hua. " tumhare kehne ka matlab hai vo kahin chala gaya? " shruti ke sath khade hote hi usne pucha.

" Han ho sakta hai.. " shruti ne jawab diya aur chup hokar apne ird-gird chizon ko dekhne lagi

" bina chappal ke vo bhi.. "

" Hmm yahi to sawal hai.. "

" Kya farak padta hai.. kahin bhi gaya ho, hume vo file rakhni hai taki humare tak koi na aa sake... tumne vo file rakh di? " vishal ne shruti ko khali hath dekha jo abhi us khat ki taraf khadi thi.

" Han.. wahin bistar ke niche daba di.. "

" to fir chalte hai.. acha hi hai ki usne hume nahi dekha.. mujhe tumhara idea pehle hi sahi nahi lag raha tha ki hume peon ko apni asliyat bata deni chahie "

" Bata dete to kaam hi ata vo.. kher... chalte hai.. maybe college mein mil jaye vo.. jab use pata chalega ki file mil gayi hai "

" aur kya pata vo yahan se sab chhod kar hi chala gaya ho .. "

" itne din se nahi gaya to ab achanak kyun jayega.. " shruti itna keh kar chal padi aur vishal ek pal use jata dekhta raha. Use shruti ke jawab dene ke tarike mein farak nazar aa raha tha. Ho bhi kyun na kal raat ke baad to sabhi mein kuch na kuch badlav aya hi hai.

" to tumhe kya lagta hai.. " vishal piche se atte hue bola.

" kis bare mein? "

" kal raat ke barre mein? " vishal ab shruti ke sath-sath chalne laga.

" Pata nahi... Kuch chizen sahi lagti hai to kabhi kabhi mujhe unme kuch gadbad dikhai dene lagti hai. Main ye nahi kehti ki shreyas ne jo akar kaha vo galat tha, vo box galat tha.. vo sab sach tha.. par ye ho sakta hai na ki jis tarah hume dikhaya gaya ho usme sazish chupi ho? "

" thodi meri language mein samjhao please.. " vishal ne confusion mei use ghura.

" kehne ka matlab hai ki tumhe nahi lagta meghnath kuch hassil karna chahta hai aur isliye usne hum sab ka even us mare hue bechare shreyas tak ka istemal kiya us box ke jariye ... "

" tumhara matlab meghnath us box ke bare mein janta hai? "

" yahi to shuru se main bol rahi hun.. ki vo sab kuch janta hai.. vo sirf hamara istemal kar raha hai.. "

" par kya? " achanak se vishal ruk gaya.

" koi bhaut bada game hai.. mujhe lagta hai vo in Books se juda hai.. vishal... tum ruk kyun gaye ? " shruti ne fauran piche ki tarf dekha jahan vishal ek jagah khada tha. " Kya hua? " shruti ne fir pucha aur ek kadam piche ane ko hui.

" Piche mat ana... yahan par pata nahi kaisi daldal mitti type chiz hai.. chipak sa gaya hun mein... " vishal ke chehre par aye bartav ko dekh shruti ki hansi chhut gayi " tumhe hansi aa rahi hai.. mujhe ajeeb sa lag raha hai... nikalo mujhe... " par shruti uske chehre ko dekh hansi jaye. " Hanso mat hath do... per nahi nikal paa raha hun main.. " vishal ne is baar thodi unchi awaz mein kaha.

" Hehehhe... ruko.. " shruti ne hanste hue apna hath aage kiya aur vishal ko apni taraf khincha jiski wajah se vo us dal-dal wali mitti se bahar aa nikla aur jhatke se shruti se aa chipka. Ek pal dono ek dusre ki taraf dekhte rahe fir shruti ne use dhakka dekar hata dia.

" mauke ka faiyda uthana hai tum ladkon ko bas.. dur hatoo.. " vishal ke dur hatte hi usne vishal ki halat ko dekha, takhne tak kichad mein puri tarah san chuka tha vishal.

" kaisi gandi mitti thi ye.. yahan kahan se bich mein ayi... " vishal ne per raagate hue ghas mein saaf karte hue kaha.

" dhayan se.. kahin is baar muh ke bal na gir jana.. shakal nahi dekh paungi fir to tumhari.. heheheh " shruti ne mazak banaya to vishal apne gande hathon se use pakadne laga lekin shruti bach kar wahan se bhag nikli. Dono kuch duri tak bhagte rahe fir sans fulne ki wajah se ek jagah khade hokar saans lene lage.

" Tumhe nahi lagta ye jungle mein aise maze se ana dangerous hai " vishal ne pucha.

" kyun ek mitti se dangerous lagne laga.. abhi kuch aur aa jata tab kya hota tumhara "

" tab.... main bhag jata aur kya... " vishal ne jawab diya aur hasne laga.

" pehle se hi pata tha fattu ho tum ek number ke... "

" mazak nahi kar raha... vo dal-dal aisa lag raha tha mano khinch raha ho.. " vishal ki sans durust ho chuki thi.

" Jungle hai.. ho sakta hai ... tum dhayan se chalo "

" dhayan se yaad aya, kab ki train hai tumhari ? "

" Kal dophar ki train hai.. "

" to aaruhi ki mumy ne tumhe bulaya ya fir khud aaruhi ne? " dono hostel ki taraf wapis chal pade the.

" Aunty ne kaha ki aaruhi ne bola hai unhe ki main bhi aaun aur aaj subah bhi bol rahi thi ki mujhe bhi chalna hai uske ghar.. shadi enjoy karenge sath "

" to kya use wakai kuch yaad nahi hai.. do-teen din se jo ho raha hai? " vishal ne gambhir sawal pucha.

" Lagta to nahi uske behavior se.. par dar mujhe is baat ka hai ki kahin vo apni padosan Nimisha ko Kalpana na bol de.. kahin wahan aisa hungama hua to kya hoga " shruti ke mathe par bal tha.

" Don't worry.. tum ho.. aunty hai.. aur dawaiyan bhi hai.. kuch nahi hoga.. ek hafte ki to baat hai.. "

" ek hafte mein to Aaruhi kya se kya ban sakti hai... Pata nahi hostel se jane ke baad uska kya hoga "

" Tumhe kyun lagta hai hostel se jane ke baad kuch hoga.. filal to vo apni marzi se jaa rahi hai "

" Meghnath se kab milna hai aur kahan? " shruti ne sawal badal dia.

" sham ko library ke piche wali jo khali jagah hai udhar.. "

" sirf hum dono hi chalenge.. gaggan, rachna aur kim ko lane ki jarurat nahi hai "

" Gaggan to kal raat se apne bistar se nahi utha hai "

" rachna ka bhi yahi haal hai.. dono ek dusre ke liye bane hai salle.. " shruti ne fiki muskan ke sath kaha.

" ab chalein.. class ke liye der ho rahi hai.. mujhe to in sade hue kapdon aur jutton ke chakar mein dant padne wali hai warden se.. "

" tum dant khao... main aaruhi ke pass jati hun.... aaj hum class nahi jayenge.. main tumhe sidhe sham ko milungi library ke piche... " shruti apne hostel ki taraf chali aur vishal apne hostel ke liye chal diya.

Hostel main kuch ladkiyan aaj se apne ghar ke liye rawana ho rahi thi to kuch kal aur kuch jaa hi nahi rahi thi. Jo nahi jaa rahi sab ki sab chudne ka program bana kar baithi hogi.. ab hostel mein ladkon ko bulayegi aur de dana-dan chudegi.. chuttiyun ke baad bahut se condom milenge.. kuch pedon-paudon mein kuch fold kagaz ke andar ya kuch to bistar ke niche hi chupa dengi. Flush koi nahi karega kyun ki sabko pata hai agar flush ruka to peli jayegi.. Sahi hai randiyun tumhara to kaam ho jayega.. hum hi plan na bana paye aisa.. aaruhi ki wajah se.. Shruti ladkiyun ko ghurte hue apne kamre ki taraf badhi aur darwaja khol kar andar ghusi.

" Subah-subah kahan gayi thi " Aaruhi is waqt bra-penty pehne khadi thi. Uski sundar gori chamdi pani ki bundon aur dhoop ki wajah se chamak rahi thi. Bra ke andar kaid uski kasi hui chatiyan jiska ek hissa bra mein se bahar aa raha tha aur bich ki dararon mein pani ki bundein jama thi. Wahi penty itni kasi hui pehni thi ki uski chut ki banti v shape dur se hi jhalak rahi thi. Bhure baal jo kamar tak hichkole kha rahe the uske sharir ki khubsurti ko pura kar rahe the.

" Ladke ki tarah lund hota to pakka khada ho jata tujhe dekh kar.. " shruti ne apni ankhon se uske jism ke har hisse ko dekhte hue kaha.

" Ab nahi hai to uska koi ilaz nahi hai.. ticket confirm hui ya nahi? " aaruhi ne pajama pehnte hue kaha.

" Chhutiyun mein kabhi koi ticket confirm hoti hai, vaise ye to sports bra aur penty behen kar kahan jaa rahi hai.. "

"' ticket confirm nahi hai to hum... " aaruhi ne t-shirt pehni jisko pehne ke baad uski chaityan ubhar rahi thi t-shirt mein. " hum jayenge kaise.. "

" Ye hindustan hai.. har jugad chalta hai... vaise bhi teri jaisi maal jaa rahi hai zara sa jhuk kar cleavage dikha dio do ki jagah char ticket dega "

" tune kitni baar kiya hai aisa? " aaruhi ne socks pehnte hue pucha.

" Har baar.. aaj tak koi ticket nahi liya.. Mujhe kya jarurat ticket ki.... aur tu ye sab shoes pehen kar kahan jaa rahi hai.. ho kya raha hai batayegi mujhe? "

" Tujhe nahi pata kya? "

" Mujhe kya nahi pata jo tujhe pata hai ? " shruti hairani mein boli.

" Aaj last day hai girls football team ke selection ka.. isliye naam dene jaa rahi hun "

" tu aur football? " usne fir chaunkte hue kaha.

" Han to? main laat bahut achi maarti hun? khayegi... ? " muskurate hue aaruhi ne jawab diya jiske baad uske baal uske chehre par aa gaye " ohoo inhe to bandha hi nahi " aaruhi ne turant rubber band ko muh mei dala aur hath se piche khinchte hue balon mein fansa kar balon ka juda bana dia.

" tere to andaz hi badle badle hai.. "

" andaz nahi badalte.. insan badalta hai... chal ati hun.. " aaruhi bol kar nikal gayi. Shruti ek pal use dekhti rahi fir fauran mobile nikala.

" Aaruhi pagal ho gayi hai .... Football team mein jaa rahi hai.. " usne vishal ko message dala aur bistar par lait gayi. Dimag mein itni batein, itne sawal, ankhon se nind dur hi thi fir bhi vo aise hi pankhe ko dekhte hue padi rahi.

Sham ho chali thi par aaruhi room par nahi ayi thi aur na hi ground par koi dikh raha tha. Shruti college mein hi thi jahan eka-ruka bacha hi dikhai de raha tha. Vo library ke pas ayi aur jahan vishal ne kaha tha vo wahin jane lagi. Library cross karne se pehle hi vo patla sa rasta library ke piche ki taraf jaa raha tha jise dekh use us raat wali yaad aa gayi jab library janne ke liye vo yahan chupi thi. Ab vo soch hi rahi thi ki tabhi use Vibhu dikha jo abhi abhi library se bahar nikla tha aur bahar nikal kar college se bahar jane walle raste ki taraf chal pada tha.

" Ye bada library jata hai.. " shruti abhi wahan se hatti ki uski nazar library se ek aur shaks par padi ki tabhi uske kandhe par hath aya to vo hadbada gayi.

" Yahan kyun khadi ho.. aur ... apni Ruhani madam ko yun jate hue kyun dekh rahi ho.. " vishal ne shruti ki ankhon ka picha pehle hi kar liya tha.

" Nahi bas aise hi.. chalo.. " shruti ne vishal ka hath pakda aur dono us galyare se hote hue library ke piche jaa pahunche, jahan meghnath pehle se ek jagah par baitha kisi soch mein pada tha. Use jaise hi kisi ke ane ka ehsas hua vo samne dekhte hue apni jagah se khada ho gaya.

Ek pal tak teeno aise hi ek dusre ko dekhte rahe mano kahan se kya shuruwat ki jaye aur kaun kare. " Aaruhi kaisi hai? " meghnath ne akhir sawal kiya.

" Ek dum chaka-chak.. abhi abhi football team ki selection ke liye gayi hai.. " shruti chekhate hue boli.. " Mujhe to kahin se nahi lagta ki aaruhi ko kuch hone wala hai jaisa tumne aur us ajeeb si duniya se aye shreyas ne kaha tha " shruti bol kar meghnath ke chehre ko padne ki kosish karne lagi.

" Jo usne kaha usme kuch sachai jarur hai.. hume aur sabko us baat ko nazar-andaz nahi karna chahie.. tumne khud dekha hai us adbhut chiz ko "

" mene adhbhut chiz nahi dekhi.. mene ek insan dekha hai jo mara hua tha aur humne use wapis laa khada kiya us box ki madad se.. tumhe vo box use karna hi nahi chahie tha " shruti ne latadti bhasha ka pryog kiya.

" agar uska use nahi hota to hume aage ka rasta kabhi nahi milta.. "

" to abhi kya mila hai hume "

" Vo books.. wahi rasta hai " meghnath ki ankhein choti ho gayi thi.

" Acha.. to lao books.. kahan hai.. "

" mujhe nahi pata ki vo kahan hai "

" to fir? kis baat ka rasta? jab tumhe yahi nahi pata hai ki books kahan hai to kya kar loge, vo books kya koi chudam-chudai ki hai jo jahan mangega vahan mil jayegi tujhe.. " shruti meghnath ko aise jhad rahi thi mano vo uski teacher ho aur uska student exam mein fail ho gaya ho.

" Shruti ke kehne ka matlab hai ki jis raste ka hint hume mila hai uski shuruwat kaise karni hai? " vishal ne turant bich mein atte hue kaha to shruti use ghurne lagi. Jiske ghurne par vishal ne aisa darshaya ki aur vo kya karta.

" Han.. vishal theek keh raha hai.. shuruwat kaisi karni hai.. tumhe hi khojna padega kyun ki tumhe ye sab lekar aye the... vo books , vo box aur fir kal raat wala hadsa.. " shruti ne vishal ka akhir samarrthan diya.

" Par kahan se shuru karun.. kuch samajh nahi aa raha kal se soch raha hun.. " meghnath pareshan hote hue bola.

" Wahan se shuru kyun nahi karte jahan se tumhe un books ke bare mein pata chala jo tum library mein bantte firte ho aur us khufiye raste se mujhe bhi di thi tumne.. un books ke bare mein kahan se pata chala tha tumhe? "

" Ved Sharma " Eka-ek meghnath ke muh se nikla.

" Ye to wahi writer hai jisne is book ko likha hai aur chapi hai.. " vishal ne turant naam sunte hi kaha use yaad tha jab library mein pehli dafa is book ka jikr hua tha gaggan dwara tab manpreet ne google karke nikala tha. " Tum ise janta ho ? "

" Han... unse hi to pata chala in books ke bare mein.. unhone hi bataya tha mujhe... main kaise bhool gaya unhe.. mujhe unse jakar milna hoga... wahi hume aage ka rasta batane mein madad kar sakte hain " meghnath ne ek umeed ki kiran jagai.

" Bahut badia.. " vishal ne uska sath dia.

" Ek minute.. tum dono.. ek baat batao meghnath.. tum ye kehna cha rahe ho ki Ved sharma jisne vo book likhi hai, tum unhe jante ho aur unhone hi tumhe apni ye sab kitabe di hai? "

" han.. is kahani ki khoj-been main hi main unse takraya aur jab unhe apni baat batai tab unhone mujhe apni book ke bare mein bataya tha. Is book ke zariye hi hum us box ke raaz ko jaan paye the.. yani ki vo jarur bahut kuch jante honge.. aur ho sakta hai unhe is Books Of Hoax ke bare mein bhi pata ho.. mujhe unse milne jana chahie.. bina der kiye "

" Ruko.. tum akele jane ki soch rahe ho? " shruti ne turant pucha.

" Han.. " meghnath ne ascharya mein pucha.

" Jab sab kaam tum hamare sath kar rahe ho to yahan akele kaise jaa sakte ho... hum bhi chalenge tumahre sath "

" bahut acha.. to chalo.. " meghnath ko yahi sath ki jarurat thi.

" kahan rehte hai vo? "

" Nagpur se thodi dur par ek ganv hai Bandhara... wahin rehte hai vo.. "

" hmm fir to abhi nahi jaa sakte.. ek hafte tak ruko fir chalenge " shruti ke jawab se meghnath thoda hadbada gaya.

" Ek hafta? Ek hafta kyun? hume abhi jana chahie "

" Nahi abhi main aur aaruhi uske ghar jaa rahe hai.. "

" ghar jana jaruri kyun hai? " meghnath ke sawal par vishal aur shruti dono use ghurne lage. Uski bechaini dono ko ajeeb lag rahi thi.

" tumhe itni jaldi kyun hai? " vishal ne turant pucha.

" mujhe jaldi? " meghnath ne unchi awaz mein kaha aur ek kadam aage aya " tumhe nahi pata kya ki jaldi kyun karni chahie hume.. us ladki ke pas samay kam hai.. kal raat ki baat bhul gaye kya tum? " vo vishal ko ek tukk ghure jaa raha tha.

" hum tumhari baat se sehmat hai lekin tum jante ho aaruhi jaisa chahti hai agar waisa na ho to kya ho sakta hai " shruti ne bich mein atte hue kaha jise sun meghnath ko samajh aya aur vo shant ho gaya.

" theek hai.. ek hafta to ek hafta sahi.. par tum log us ladki ka dhayan rakhna.. mujhe lag raha hai jaise kuch bahut badi anhoni hone wali hai. " meghnath ki awaz is baar behad halki thi.

" hmm... theek hai.. chalo vishal " shruti ne vishal ka hath pakda aur dono mudh kar jane lage. Vishal abhi tak ek dum chup tha meghnath ke yun cheekhne par. Thodi dur pahunchne par shruti ruki aur piche mud kar meghnath ki taraf dekhte hue boli.

" Ye apna roop jo nakli banaye ghumte ho.. hafte baad jab aaun tab sahi kar lena.. is chehre se tumhari sachai nahi samajh ati.. asli chehre ke sath aaoge to tumhri baat sach lagegi.. " shruti ne apni baat kahi aur vapis chal di.

" Ispar mere piche se nazar rakhna.. ho sake to jada se jada time ise library mein rakhna aur sawal karna.. kuch na kuch to jarur batayega " shruti ne vishal se dhimi awaz mein kaha aur dono wahan se nikal gaye.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Hume koi jaldi nahi hai aap ko jab suitable lage tab do, sabse pahle health OK :love: :shy:
Jab tk baith paa raha hun tab tk likh leta hun, tym pass ho jata hai :D
Indirectly buddha bol rahe aap unhe :ohno:
Budhe to sirf shabdon se hote hai... asal budhapa to lund hi batata hai :D
intejar rahega par sirf update ka ..🤣🤣.. aapki sehat se hamara koi lena dena nahi .
Gazaaab bezati hai yaar..
 
15,594
32,097
259
nice update .peon ke ghar wo files rakh di shruti ne par peon kaha gayab hai pata nahi ,lagta hai uska bhi kisine kaam tamam kar diya hai raat ko hi 🤔.
vishal jis kichad me fasa tha waha jarur kuch gadbad ho sakti hai .
aaruhi ke saath uske ghar jaa rahi hai shruti .aur sab ladkiya ghar jaa rahi hai to aaruhi kaunse football selection me chali gayi .
condom aur chudai ko lekar bahut badhiya vichar aaye shruti ke dimaag me 🤣🤣.
aaruhi ko adhnangi dekhkar bhi maje liye shruti ne 🤣.

meghnath se milkar jyada kuch pata nahi chala bas ek writer ka naam saamne aaya jisne wo kitaab likhi hai aur usike jariye meghnath ko box ke baare me jaankari mili thi .ab usse bhi milne ka soch rahe hai par ek hafte baad .
kya us writer se kuch pata chalega ,book of hoax milegi ya nahi dekhte hai 🤔.
shruti ko abhi bhi shak hai meghnath par isliye vishal ko uspar najar rakhne ko keh diya .
 

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,067
144
Shreyas... Yaani ki Haunted ka ek kirdar, Haunted ka kewal pehla hi part read kiya hai abhi tak maine arthat Harshit aur Shilpi ki kahani, par abhi lagta hai ki jald hi Shreyas ki kahani bhi padhni padegi... Khair, dekhta hun kab apun ko free time milta hai, kyonki Haunted Part - 1, read karne ke baad itna to main sure hun ki ek baar Part 2 & 3 ko yadi shuru kiya to ek hi din mein khatam karna zaroori ho jaayega :D...

Beharhal, jo kuchh Shreyas ne kaha, usne kahani ko poori tarah ghuma kar rakh diya hai... Aruhi ke ho rahi ghatnayen, shuru se hi lag raha tha ki kuchh to supernatural athva fantast matter hai ismein... Parantu, fir Catatonic Schizophrenia ki baat saamne aana aur baaki sabhi ghatnayen, kuchh hadd tak Fantasy part se door jaati dikhi thi kahani, means, the story focussed more on the reality... But, kewal do updates ne dobara kahani ko apne original genre ki taraf mod diya hai... Poore ghatnakram ko yadi dekha jaaye to kayi saare sawaal khade ho jaate hain...

1.) Wo box, ya kahun ki God Of Box, kya kaaran tha jis se wo Shreyas ke us Devil Realm se Earth par aane ka zariya ban gaya... Alok urf Vikrant ne wo box Meghnath ko diya tha, air Meghnath yahi kehta aaya hai ki wo uska sahi istemal nahin jaanta, kewal Aruhi ki hi wajah se wo box Meghnath use kar paaya... Aruhi ko is box ki jaankari, wo bhi itni accurate kaise thi, ye bhi ek rahasya hai... Par, mehtavpoorn yahi hai ki us box mein aisi kaunsi powers hain, aur un powers ka source/reason kya hai, jiske chalte wo ho gaya jo Shreyas naa jaane kab se nahin kar paa raha tha, arthat us Devil's Realm se baahar aana...

2.) Jo kahani Shreyas ne sunayi, apne baare mein, apne Pita Harshit aur Maa Shilpi ke baare mein, Anshika ke baare mein and of course Shaitan ke baare mein... Uska ek part to main padh hi chuka hoon, baaki bhi padh hi lunga, par yahaan jo baat gaur karne laayak thi, wo ye ki Shreyas ki kahani, is story ke hisaab se future hai... Present time, arthat is kahani ka present, Shreyas ke hisaab se uske janm se pehle ka hai, jo ki sach bhi hai... Ab dekhna ye hai ki yadi aapne 2012 mein plot set kiya hai to uska kaaran Haunted ka ye spin-off tha, ya jaisa ki mujhe lagta aaya hai wo tha (yaani, ye kahani bhi past mein chal rahi hai, jiska present kuchh aur hai)...

3.) Aruhi ke saath huyi ghatnaon ka jo explanation Shreyas ne diya, wo pehli nazar mein bilkul accurate lag raha hai... Past, Present aur Future ka ek anokha mishran chal raha hai Aruhi ke saath... Par is khulase se ek aur baat pata chali ki Supriya ki existence mithya nahin thi, yaani Supriya shayad past mein exist karti thi, shayad Aruhi hi Supriya ka rebirth hai..? Ye mix-up kaise hua aur Aruhi ke hi saath kyon hua, ye bhi ek sawaal hai... Urvashi hi iska kaaran hai aisa mera maan na hai, usike dwara past mein ki gayi harkaton ka anjaam shayad Aruhi bhugat rahi hai...

4.) Book Of Hoax, ab te kya mayajal hai ye dekhna hoga... Ved Sharma hi ispar prakash daal paayenge... Meghnath, kuchh na kuchh to aisa hai jo wo chhupa raha hai, koyi Raaz ya koyi badi baat, jo wo abhi bhi apne andar dabaye baitha hai, ye jaante huye bhi ki ek bhi galti shayad Aruhi je jeewan par bhaari hogi, wo aisa yadi kar raha hai to saaf hai ki iska reason kitna bada hoga... Beharhal, mujhe aisa kyon lagta hai ki Meghnath/Atharva aur Aruhi ke beech bhi koyi connection hai..?

5.) Shreyas Aruhi ko dekhkar hairaan ho gaya aur uske shabdon se laga ki wo Aruhi ko jaanta tha... Kaise? Kya Aruhi ke saath kuchh aisa hone waala hai jo aage future mein jaakar Shreyas ki kahani “Haunted" se judta hai... Kya Shreyas ke time zone, arthat 2035 (approx) ke samay koyi ladki Aruhi jaisi dikhti thi? Khair, I think ki is baat ki hakikat to kahani ka climax hi batayega par jo bhi ho, Shreyas ki entry aur uske dwara ki gayi baaton ne ek baar firse kahani ko aur bhi adhik uljha diya hai...

Meanwhile, rahasyamayi kirdar to ye Ved Prakash bhi ho sakta hai... Usne kyon di thi wo books Meghnath ko? Kya uska bhi koyi part hai Aruhi ke saath ho rahi ghatnaon mein... Idhar, Aruhi ek baar firse apne saath huyi cheezon ko bhool gayi hai ya fir kahun ki bhoolne ka naatak kar rahi hai... Ab Aruhi aur Shruti, Aruhi ke ghar jaa rahin hain, Kalpana ki shaadi ke liye, aur Shruti ko yahi dar hai ki kahin wahaan par Aruhi, Kalpana ko Nimisha na bulaane lage, joki hona kaafi possible lagta hai...

(Btw. Aruhi ke oopar se jaise hi wo dhuaan/dhundh/kaale baadal, chhante the mansion mein, use chakkar aa gaye the... Iska kaaran, dhuen mein adhik der rehna tha, ya fir wo sab khulase jo wahaan ho rahe the... Ya fir, Aruhi bhi Shreyas ko pehchan gayi thi, bilkul waise hi jaise wo Aruhi ko pehchan gaya tha..?)

Idhar wo Peon apne ghar se gaayab tha... Shruti aur Vishal ne wo files to wahin rakh di hain... Par peon ka gaayab hona Kayi sawaal paida karta hai... Possible hai ki College authorities ko khabar lag gayi ho ki usne files gaayab ki hain aur isiliye use bhi gaayab kar diya gaya ho..? Bina chappal us daldal jaise area mein nikalne ka kya arth ho sakta hai? Sambhav hai ki uska kidnap athva murder ho chuka ho...

Shruti, jaise – jaise kahani aage badh rahi hai, uska character kaafi hadh tak samajh aane laga hai... Basharte, ant mein ye naa ho ki Shruti hi main – villain/negative prospect nikle... Shruti overall kaafi practical aur dominant nature ki hi lagi hai... Shreyas ki kahani sunkar uska reaction baaki sabse Alag hona isi baat ka saboot hai... Par abhi bhi use Meghnath par sandeh hai, joki vyarth bilkul bhi nahin hai... Meghnath ki harkaten hi aisi hain, ki koyi bhi uspar shakh karne lage... Ab Shruti ne Vishal se kaha to hai ki wo Meghnath par is ek hafte ke liye nazar rakhe, possible hai ki Shruti aur Aruhi ki absence mein kuchh bada yahaan College mein ghatit ho...

Naye chapter ka title “The Amazon" hai, abhi tak jitne bhi chapters aayen hain, total 5, un sabhi ke titles behtareen tareeke se justify huen hain unke updates se, dekhte hain is Amazon ka arth kya nikalta hai... Btw. Ye Rachna aur Gaggan ki aadaten ek jaisi kyon hain? :huh: Kis taraf ishara kiya jaa raha hai, in dono ki similarities se? :D

Teenon hi updates bohot hi khubsurat the bhai... Shreyas ki kahani ko yun sankchhep mein update mein utarna kaabil e tareef tha, kyonki aisa laga jaise poori kahani kuchh hi shabdon mein hamare saamne aa gayi ho... Shilpi ki yaadein bhi taaza ho gayin :love:... Again, what I want to mention here is, seldom I've seen this kind of description in a story... Kahani mein jo kuchh aap kar rahe ho, Suspense/Thrill/Fantasy/Adventure and what not, use agar ek taraf rakh diya jaaye, to bhi kahani ko jo ek alag level par le jaata hai, wo hai jis tarah se aap har situation aur gatividhi ko describe karte hain, really outstanding work Harshit bhai, jitni bhi tareef ki jaaye kam hi hogi...

Outstanding Updates Bhai & Waiting For Next...
 
Last edited:

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,718
150,401
304
We would also be surprised if we were in the place of the characters of story because it is extraordinary and when something is unthinkable it happens and it has a deep impact in the mind, I believe Shreyas's story to be true as I see no benefits in lying and he is sad because of his wife.

I doubt what to say about Meghnath, sometimes as Shruti said but on what arguments we are only guessing we cannot said that he is lying and to believe For now there is no option but to do so.How could Vishal suddenly get stuck in the swamp I also found it strange because if something like this had happened it would have sounded and it would have been suddenly to be trapped till the knees.

All this is happening with Aarohi because I love her :love2: and my happiness cannot be tolerated by writer :angry++: Aarohi is looking more and more cute, uff what to do :banghead: Aarohi used to play the games earlier also, she said, that it is not surprising but we concern about her :verysad: Behavior has changed a bit, everyone is thinking about tomorrow but Aarohi doesn't care as much as it is whatever :blush1:

" Nagpur se thodi dur par ek ganv hai Bandhara... wahin rehte hai vo.. "
:lol1:

Now let's see what help we get from that writer, when, where and who is cheating I don't understand every character is playing his role well, everyone is under suspicion. update was great like every time you made us think and even more confused, there is something we missed maybe you guide us now.

Amazing update :applause:
 
Top