• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,718
150,401
304
Why Bihari still alive according to me he should also die if I am not thinking wrong, there was nothing special in this update except some everyone are going back to their homes and the hostel is deserted.
Oo uncle... cycle chalate hue agar lund khada ho jaye to seat par gand ki jagah lund aa jata hoga haina.. hahaha...

sambhal kar jana uncle kahin lund chain mein na fans jaye..

tujhe galat dikh raha hai ye apni class wali nahi hai... apni class wali ki to chuchiyan ek uppar ek niche hai...​

These Ashleel Nibbis.. :lol1:

If innocent Aarohi is with them then she will be depravated :approve: for a moment it seemed that the scene of the station looked like horror films, the sound of Shruti's ass bursting was also coming :roflol: The question arises in the mind whether what happened to Shruti was an illusion or really happened and when it comes to the railway station whether day or night some people are always present there, such a deserted scene felt strange. :?:

Bandhara... " TT jawab dekar bahar nikal gaya.

Ye Duri Ab Humse Sahi Nahi Jaati,
Bas Tere Paas Aane ko Jii Chahta Hai...
:love: :dance2:


I thought that this journey will be pleasant but if there is any obstacle in the beginning of the journey it cannot be said what will happen next this is just the beginning. There is something special in Aarohi's old room why she upset and sad her mother told that everything is normal in the house, then what. It is not a good thing to leave an update on suspense at the end :nope: but one thing has to be admitted, the way you create the atmosphere of the story is unmatched, full of adventure, full of suspense and comedy :applause: let's see what happens next, waiting...
 

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,067
144
Bandhara... Beshak is gaon ka bhi apna hi ek rahasya hai, aisa prateet ho raha hai... Pehle Ved Sharma ka zikr aur uske baad Train ka usi jagah par rukna, kya ye maatra sanyog tha ya fir Shruti ke liye ek ishara... Coincidence hone ke chances bhale hi adhik hon par abhi tak ki kahani ko padhkar yahi lagta hai ki har chhoti se chhoti cheez ka mehtav aage chalkar kaafi bada hone waala hai... I think shayad Bandhara jaane par Shruti ko kuchh naya hi pata chal jaaye... Intezaar rahega inki chhutiyan khatam hone ka...

Train aur Platform no. 13, ek baar fir kuchh supernatural elements ki maujoodgi ka ehsas karwa gayi ye donon cheezein... I remember ki kaafi saal pehle ek kahani padhi thi, usmein is train ke hi jaisa ek kissa tha... Uske ant mein train ke sabhi yaatriyon ki mrityu ho gayi thi par ganimat rahi ki Shruti aur Aaruhi ke saath aisa kuchh nahi hua... Jo kuchh platform par Shruti ke saath hua wo sapna to nahin tha... Kyonki jab Aaruhi ne use pukara aur chai ka cup diya, tab Shruti so nahin rahi thi balki platform par khadi thi... Saaf hai ki ya to ye Shruti ki kalpana thi ya fir shayad sach hi tha... I think ki aage chalkar is train aur platform ka zikr dobara bhi ho sakta hai kahani mein...

Ek baar fir is update se ye saabit ho gaya ki Aaruhi ke saath ho rahi ghatnaon ka seedha sambandh uske ghar aur uski Maa se hai... Room ki baat par Aaruhi ne jis tarah react kiya wo apne aap mein kayi sawaal khade karta hai... Kya Aaruhi ka bachpan achha nahin guzra tha? Kya uske Pita uske prati achha vyavahar nahin rakhte the? Kuchh to rahasya hai aisa jo Urvashi aur Aaruhi ko hi pata hai, aur jo hua, jiske kaaran Shruti hairaan ho gayi, I think uske baad Shruti ko bhi saara maamla oata chal jaayega, jaisa ki maine pehle bhi kaha hai, is tarah se baatein chhupakar Urvashi apni hi beti ki zindagi mein se din kam kar rahi hai...

Hostel se nikalte waqt huyi ghatnaon se mujhe Vamika mein ek baar ko Lavanya ki jhalak dikhayi di... Jaggu, Vamika ke hi saath thi, I think ki Vamika & Party ka aage role ho sakta hai kahani mein... Shruti aur Aaruhi ke beech platform par huyi baatein beshak ashleel to thi, par saath hi ek baar fir Aaruhi ki us personality ko ujagar kar gayi jo is hostel mein aane ke baad ubhar kar saamne aayi hai... I remember ki jab starting mein Shruti kisi ladke ko patane ki baat bhi karti thi tab bhi Aaruhi chidh jaaya karti thi, par yahaan maamla poora ulta hi ho chuka hai... Khair, dekhte hain Aaruhi ne aisa kya kar diya hai jis se Shruti bhi hairaan reh gayi thi...

Btw. Bihari, uska kya hoga aage chalkar ye dekhna bhi interesting rehne waala hai aur bhai ho sake to Shailja ko zaroor marwa dena :D... I don't know bhy but usko kahani mein dekh kar apun ko gussa aane lagta hai :shy:... The update was excellent just like all the other updates... Jo scene platform par create kiya aapne, jab Shruti us ladke se baat kar rahi thi, no matter it was reality or illusion, but the scene was truly amazing... Plus, the way you add humour in the mix, makes the story more & more beautiful...

Outstanding Update Bhai & Waiting For Next...
 
10,138
42,597
258
गर्ल्स हॉस्टल की लड़कियों ने मुझे ज्ञानी भाई की स्टोरी " आत्मकामी " की यादें ताजा करा दी ।
लड़कियों की तुलना लड़कों से इस मामले में नहीं की जा सकती । लड़कियां अधिक से अधिक लड़कियों के सानिध्य में और लड़कियों को ही इस तरह से अश्लील फब्तियां कस सकती हैं ।

मेघनाथ साहब में ऐसा क्या है जो सभी उन्हें ही विलक्षण चीजें सौप रहे हैं ? पहले डॉ आलोक उर्फ विक्रांत ने उसे एक जादुई डब्बा सौंपा और अब महान राइटर वेद प्रकाश शर्मा जी ने उन्हें एक अद्भुत किताब के बारे में जानकारी दी ।
आखिर किस खेत की मूली हैं यह भाई साहब जिसे सभी इन्हें ही पसंद करते आ रहे हैं ?
नागपुर शहर से कुछ दूर भंडारा शहर - दो बार इस शहर का जिक्र हो गया । एक हमारे महान राइटर के होम टाउन के सन्दर्भ में फिर एक बार आरूहि और श्रुति के ट्रैन जर्नी के सन्दर्भ में । यह कैसी अनहोनी है कि ट्रैन कुछ घंटों के लिए रूकी भी तो भंडारा स्टेशन पर ही !
और यह तेरह नम्बर के प्लैटफॉर्म का क्या चक्कर है ? यह तो सभी जानते हैं कि तेरह नम्बर शुभ नहीं माना जाता लेकिन जिस तरह से उस प्लैटफॉर्म पर श्रुति हसन ने बंद या खुली आंखों से सपने देखे उससे कहानी मे एक बार फिर से सुपर नेचुरल की मौजूदगी की सम्भावना बनती हुई नजर आ रही है ।
कहीं भूत फिर से वापस तो नहीं आ गया ?

कालेज का पियोन - काफी हैरानी हुई मुझे यह देखकर कि वो किस जगह पे अपना आशियाना बनाए हुए था । सुनसान जंगल में जहां कई जगहों पर दलदल ही दलदल था । ऐसे जगहों पर भला कौन रहता है हर्षित भाई ? और अगर रहता ही था तो मुझे नहीं लगता कि वो यूं ही वहां रहता होगा । जरूर कोई रहस्य होगा ।
वैसे मुझे यह भी लगता है कि उसकी समाधी उसी दलदल में ही हो चुकी है । बल्कि यूं कहें कि कर दी गई है ।

बहुत दिनों से काल्पनिक नाम कल्पना का जिक्र आरूहि के मुख से सुनते हुए आ रहे हैं हम सब जो कि असल में आरूहि की पड़ोसी निमिषा है ।
निमिषा की शादी में दोनों सहेलियां घर आ पहुंची है और शायद हमें भी इस हसीना से रूबरू होने का अवसर मिल जाए ताकि पता तो चले कि वो , कहीं वो तो नहीं जिसके साथ आरूहि कभी लेस्बियन होने के कगार तक जा पहुंचीं थी ?

आरूहि को उसके उपर स्थित कमरे में न भेजकर उसे नीचे बने हुए कमरे में रेस्ट करने को कहा गया । ये उपर और नीचे वाला क्या चक्कर है ?
कहीं उपर वाले कमरे में किसी ने सुसाइड तो नहीं कर लिया था ? और अगर सच में ऐसा ही हुआ था तो उन्होंने डाक्टर आलोक और श्रुति को बताया क्यों नहीं ?
आरूहि को उपर उसके कमरे में जाने से रोके जाने पर वो कुछ अजीब सा बर्ताव की है..... ऐसा लगा मुझे । कहीं फिर से दौरा - वौरा तो नहीं पड़ने लगा ?

" Books of Hoax " की सच्चाई आए बगैर कुछ भी सम्भावना बनाना सही नहीं लगता है । और मैं अभी तक इस पर भी आश्चर्यचकित हूं कि श्रुति ने बुक्स अभी तक पढ़ा क्यों नहीं ! वो बुक्स जो मेघनाथ ने उसे सौंपा था और जिसे वो अपने आलमारी में सहेज कर रखी है ।

विभू और रूहानी मैडम ने लाइब्रेरी को अपने सिक्रेट लव साइट बना रखा है । जरा इनके बारे में अपडेट दीजियेगा हर्षित भाई ! वैसे ही जैसे गगन और रचना के लिए लिखने जा रहे हैं । :D

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट अपडेट हर्षित भाई ।
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,289
304
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,289
304
Yadi aisa hua to sabse jyada khush Naina hogi... wo nafrat karti thi Shruti se. :D
Waise mujhe pura yakeen hai Naina ji jarur es kahani ko padh rahi hongi. :D
is kahani ko humare northeast India mein ek hi book me release kar deni hai....
Btw 75 % harshit sahab ki... :D
Btw unki xp ki kahaniya chahiye mujhe . Assamese , Arunanchal , manipuri, naga ,tripuri, mizu language mein translate kar karke sell karne ke liye :D
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
nice update .peon ke ghar wo files rakh di shruti ne par peon kaha gayab hai pata nahi ,lagta hai uska bhi kisine kaam tamam kar diya hai raat ko hi 🤔.
vishal jis kichad me fasa tha waha jarur kuch gadbad ho sakti hai .
aaruhi ke saath uske ghar jaa rahi hai shruti .aur sab ladkiya ghar jaa rahi hai to aaruhi kaunse football selection me chali gayi .
condom aur chudai ko lekar bahut badhiya vichar aaye shruti ke dimaag me 🤣🤣.
aaruhi ko adhnangi dekhkar bhi maje liye shruti ne 🤣.

meghnath se milkar jyada kuch pata nahi chala bas ek writer ka naam saamne aaya jisne wo kitaab likhi hai aur usike jariye meghnath ko box ke baare me jaankari mili thi .ab usse bhi milne ka soch rahe hai par ek hafte baad .
kya us writer se kuch pata chalega ,book of hoax milegi ya nahi dekhte hai 🤔.
shruti ko abhi bhi shak hai meghnath par isliye vishal ko uspar najar rakhne ko keh diya .
Thanks leon bhai :hug: Milegi bhai.. vo jarur milegi.. bina us book ke to kahani hi khatam nahi hogi.. :D Keep reading
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Shreyas... Yaani ki Haunted ka ek kirdar, Haunted ka kewal pehla hi part read kiya hai abhi tak maine arthat Harshit aur Shilpi ki kahani, par abhi lagta hai ki jald hi Shreyas ki kahani bhi padhni padegi... Khair, dekhta hun kab apun ko free time milta hai, kyonki Haunted Part - 1, read karne ke baad itna to main sure hun ki ek baar Part 2 & 3 ko yadi shuru kiya to ek hi din mein khatam karna zaroori ho jaayega :D...

Beharhal, jo kuchh Shreyas ne kaha, usne kahani ko poori tarah ghuma kar rakh diya hai... Aruhi ke ho rahi ghatnayen, shuru se hi lag raha tha ki kuchh to supernatural athva fantast matter hai ismein... Parantu, fir Catatonic Schizophrenia ki baat saamne aana aur baaki sabhi ghatnayen, kuchh hadd tak Fantasy part se door jaati dikhi thi kahani, means, the story focussed more on the reality... But, kewal do updates ne dobara kahani ko apne original genre ki taraf mod diya hai... Poore ghatnakram ko yadi dekha jaaye to kayi saare sawaal khade ho jaate hain...

1.) Wo box, ya kahun ki God Of Box, kya kaaran tha jis se wo Shreyas ke us Devil Realm se Earth par aane ka zariya ban gaya... Alok urf Vikrant ne wo box Meghnath ko diya tha, air Meghnath yahi kehta aaya hai ki wo uska sahi istemal nahin jaanta, kewal Aruhi ki hi wajah se wo box Meghnath use kar paaya... Aruhi ko is box ki jaankari, wo bhi itni accurate kaise thi, ye bhi ek rahasya hai... Par, mehtavpoorn yahi hai ki us box mein aisi kaunsi powers hain, aur un powers ka source/reason kya hai, jiske chalte wo ho gaya jo Shreyas naa jaane kab se nahin kar paa raha tha, arthat us Devil's Realm se baahar aana...

2.) Jo kahani Shreyas ne sunayi, apne baare mein, apne Pita Harshit aur Maa Shilpi ke baare mein, Anshika ke baare mein and of course Shaitan ke baare mein... Uska ek part to main padh hi chuka hoon, baaki bhi padh hi lunga, par yahaan jo baat gaur karne laayak thi, wo ye ki Shreyas ki kahani, is story ke hisaab se future hai... Present time, arthat is kahani ka present, Shreyas ke hisaab se uske janm se pehle ka hai, jo ki sach bhi hai... Ab dekhna ye hai ki yadi aapne 2012 mein plot set kiya hai to uska kaaran Haunted ka ye spin-off tha, ya jaisa ki mujhe lagta aaya hai wo tha (yaani, ye kahani bhi past mein chal rahi hai, jiska present kuchh aur hai)...

3.) Aruhi ke saath huyi ghatnaon ka jo explanation Shreyas ne diya, wo pehli nazar mein bilkul accurate lag raha hai... Past, Present aur Future ka ek anokha mishran chal raha hai Aruhi ke saath... Par is khulase se ek aur baat pata chali ki Supriya ki existence mithya nahin thi, yaani Supriya shayad past mein exist karti thi, shayad Aruhi hi Supriya ka rebirth hai..? Ye mix-up kaise hua aur Aruhi ke hi saath kyon hua, ye bhi ek sawaal hai... Urvashi hi iska kaaran hai aisa mera maan na hai, usike dwara past mein ki gayi harkaton ka anjaam shayad Aruhi bhugat rahi hai...

4.) Book Of Hoax, ab te kya mayajal hai ye dekhna hoga... Ved Sharma hi ispar prakash daal paayenge... Meghnath, kuchh na kuchh to aisa hai jo wo chhupa raha hai, koyi Raaz ya koyi badi baat, jo wo abhi bhi apne andar dabaye baitha hai, ye jaante huye bhi ki ek bhi galti shayad Aruhi je jeewan par bhaari hogi, wo aisa yadi kar raha hai to saaf hai ki iska reason kitna bada hoga... Beharhal, mujhe aisa kyon lagta hai ki Meghnath/Atharva aur Aruhi ke beech bhi koyi connection hai..?

5.) Shreyas Aruhi ko dekhkar hairaan ho gaya aur uske shabdon se laga ki wo Aruhi ko jaanta tha... Kaise? Kya Aruhi ke saath kuchh aisa hone waala hai jo aage future mein jaakar Shreyas ki kahani “Haunted" se judta hai... Kya Shreyas ke time zone, arthat 2035 (approx) ke samay koyi ladki Aruhi jaisi dikhti thi? Khair, I think ki is baat ki hakikat to kahani ka climax hi batayega par jo bhi ho, Shreyas ki entry aur uske dwara ki gayi baaton ne ek baar firse kahani ko aur bhi adhik uljha diya hai...

Meanwhile, rahasyamayi kirdar to ye Ved Prakash bhi ho sakta hai... Usne kyon di thi wo books Meghnath ko? Kya uska bhi koyi part hai Aruhi ke saath ho rahi ghatnaon mein... Idhar, Aruhi ek baar firse apne saath huyi cheezon ko bhool gayi hai ya fir kahun ki bhoolne ka naatak kar rahi hai... Ab Aruhi aur Shruti, Aruhi ke ghar jaa rahin hain, Kalpana ki shaadi ke liye, aur Shruti ko yahi dar hai ki kahin wahaan par Aruhi, Kalpana ko Nimisha na bulaane lage, joki hona kaafi possible lagta hai...

(Btw. Aruhi ke oopar se jaise hi wo dhuaan/dhundh/kaale baadal, chhante the mansion mein, use chakkar aa gaye the... Iska kaaran, dhuen mein adhik der rehna tha, ya fir wo sab khulase jo wahaan ho rahe the... Ya fir, Aruhi bhi Shreyas ko pehchan gayi thi, bilkul waise hi jaise wo Aruhi ko pehchan gaya tha..?)

Idhar wo Peon apne ghar se gaayab tha... Shruti aur Vishal ne wo files to wahin rakh di hain... Par peon ka gaayab hona Kayi sawaal paida karta hai... Possible hai ki College authorities ko khabar lag gayi ho ki usne files gaayab ki hain aur isiliye use bhi gaayab kar diya gaya ho..? Bina chappal us daldal jaise area mein nikalne ka kya arth ho sakta hai? Sambhav hai ki uska kidnap athva murder ho chuka ho...

Shruti, jaise – jaise kahani aage badh rahi hai, uska character kaafi hadh tak samajh aane laga hai... Basharte, ant mein ye naa ho ki Shruti hi main – villain/negative prospect nikle... Shruti overall kaafi practical aur dominant nature ki hi lagi hai... Shreyas ki kahani sunkar uska reaction baaki sabse Alag hona isi baat ka saboot hai... Par abhi bhi use Meghnath par sandeh hai, joki vyarth bilkul bhi nahin hai... Meghnath ki harkaten hi aisi hain, ki koyi bhi uspar shakh karne lage... Ab Shruti ne Vishal se kaha to hai ki wo Meghnath par is ek hafte ke liye nazar rakhe, possible hai ki Shruti aur Aruhi ki absence mein kuchh bada yahaan College mein ghatit ho...

Naye chapter ka title “The Amazon" hai, abhi tak jitne bhi chapters aayen hain, total 5, un sabhi ke titles behtareen tareeke se justify huen hain unke updates se, dekhte hain is Amazon ka arth kya nikalta hai... Btw. Ye Rachna aur Gaggan ki aadaten ek jaisi kyon hain? :huh: Kis taraf ishara kiya jaa raha hai, in dono ki similarities se? :D

Teenon hi updates bohot hi khubsurat the bhai... Shreyas ki kahani ko yun sankchhep mein update mein utarna kaabil e tareef tha, kyonki aisa laga jaise poori kahani kuchh hi shabdon mein hamare saamne aa gayi ho... Shilpi ki yaadein bhi taaza ho gayin :love:... Again, what I want to mention here is, seldom I've seen this kind of description in a story... Kahani mein jo kuchh aap kar rahe ho, Suspense/Thrill/Fantasy/Adventure and what not, use agar ek taraf rakh diya jaaye, to bhi kahani ko jo ek alag level par le jaata hai, wo hai jis tarah se aap har situation aur gatividhi ko describe karte hain, really outstanding work Harshit bhai, jitni bhi tareef ki jaaye kam hi hogi...

Outstanding Updates Bhai & Waiting For Next...
Han main to bhool gaya tha ki aapne pehla part pada hua hai.. lekin 2nd aur 3rd ek din mein nipatne wallon mein se na hai bhai :redface: Shreyas ka role scnd part se hi jagruk huela hai.. Kahani shuru se hi fantasy hai.. bas dikh real rahi hai.. aur shayd maybe end bhi reality mein ho par fantasy ke sath.. :confuse:

1... Bhai jaisa meghnath ne us box ke bare mein bataya tha ki vo egyption god ka box tha.. egyption god = evil realtion.... Jab chizen purani aur evil judi ho to unki takatein bhi usi se judi hoti hai.. apka sawal ye sahi hai ki Aaruhi ko kaise pata chala to vo aage malum ho jayega :D

2... Kahani ko 2012 ka us time mein set karne ka sabse main reason yahi tha.. Kyun ki Shreyas ki kahani in sabhi chizon se relate kar sakta tha.. Btw agar main apko ye kahun ki Girls Hostel ki wajah se Haunted ki kahaniyu mei shreyas jo kahani ko samjhta aya aisa kuch tha hi nahi to kehna galat nahi hoga.. Is kahani ne Iske khud ke plot ko to janam diya balki Haunted series ki puri kahani ke main theme ko badal kar rakh dia.. Jab aage kahani ayegi tab clear ho jayega ki actual mein ye jo pura world hai vo hai kya... (In my story world :D Baki reality kya hai vo kya pata bhoot preton ka :D) Mujhe Books of Hoax ki pehchan deni thi.. jo ki is kahani ki story ka maksad batayegi aur vo book ka khulasa sirf aise hi koi vyakti kar sakta tha jo in sab chiz se relate kar sakta hai..

3... Ye surprise hai abhi :D Ki Aaruhi/Supriya do alag-alag entity the hai ya honge .. waise to kahani ke us chote topic ne bata dia hai lekin han samjhna thoda mushkil hota hai jab tak vistar mein na bataya jaa sake. Vo scene actually mein picturize hota to bahut badia lagta ki Aaruhi ka present khud ke past ko dekh raha hai.. Aisa aaruhi ko laga tha ki vo khud ko dekh rahi hai.. baki to :D Aage hi malum chalega...

4... :cmouth: Kahani ka surprise review mein khulwaoge kya bhai :D

5... :cmouth: Abhi ispar bhi kuch nahi keh sakta hu

Ek aaphi ho jo aaruhi ko samajhne lage ho :poke: Aaruhi ka chakar ana.. lazmi thi i guess.. vo jis chiz se guzar rahi hai uski wajah se uski body already bahut jada load jhel reli hai fir us andhere ki takat invoke ho gayi aur vo hatt gayi to use chakar aa gaye ... Baki sach to main abhi thodi bataunga :D

Pehle socha tha peon ko latka dun.... :D Fir socha ki yar har bar aisa karna acha nahi lgta.. :D

Han saare raaz aap hi khol do ... hum kya karenge fir likh kar :blush1:

Han bhai haan... Amazon ka ... Matlab bas .. bahut jald hi malum chalne wala hai.. :D Dono ke bich koi tanka bhidna chahie na... haina..? ??? Kyun sabhi padne walon :D

Bhaiyaji itna bada review dene ke baad aap uspar hamari tarif kar dete ho.. ab hum kya hi kahein sala dil hi bhar ata hai... :weep: Bahut bahut dhanyawad dost bhai :hug: Keep reading....
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
We would also be surprised if we were in the place of the characters of story because it is extraordinary and when something is unthinkable it happens and it has a deep impact in the mind, I believe Shreyas's story to be true as I see no benefits in lying and he is sad because of his wife.

I doubt what to say about Meghnath, sometimes as Shruti said but on what arguments we are only guessing we cannot said that he is lying and to believe For now there is no option but to do so.How could Vishal suddenly get stuck in the swamp I also found it strange because if something like this had happened it would have sounded and it would have been suddenly to be trapped till the knees.

All this is happening with Aarohi because I love her :love2: and my happiness cannot be tolerated by writer :angry++: Aarohi is looking more and more cute, uff what to do :banghead: Aarohi used to play the games earlier also, she said, that it is not surprising but we concern about her :verysad: Behavior has changed a bit, everyone is thinking about tomorrow but Aarohi doesn't care as much as it is whatever :blush1:

:lol1:


Now let's see what help we get from that writer, when, where and who is cheating I don't understand every character is playing his role well, everyone is under suspicion. update was great like every time you made us think and even more confused, there is something we missed maybe you guide us now.

Amazing update :applause:
Yes sir you would be surprised :D That swamp is deep somewhere in the jungle area.. aisi jagah jatte kyun hai log :sigh:

Aaruhi se bada pyar aa raha hai... uske hathon katal kara dun kya apka ... :roll:

Bhai miss to writer se bhi ho jayega... aap to waise hi itni lambi kahani padte aye ho :D Tansan nat.. kahani sab bata degi... :D Keep reading bhai.. Thanks aakash bhai :hug:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
romanchak update ..vamika aur uski saheliya hostel me hi ruki hai aur ab aane jaanewalo ka maja le rahi hai 🤣. bechare ek pati ko uske hi patni se pitwa diya apni hot adaon se 😁.

ab ye platform no 13 pe jo hua wo shruti ka veham tha ,sapna tha ya sach ye pata nahi 🤔. par jo bhi us ladke ne bataya jehar wali baat usse rongte khade ho gaye ki kahi sachme shruti waha fans to nahi gayi .

train ne late hi kiya par aakhir pahuch hi gaye dono aaruhi ke ghar par ab aisa kya hua ki shruti ka dil dehak gaya 🤔🤔..
Ye scene main kab se likhne ki soch raha tha par mauka hi nahi mil raha tha... ye mauka sahi mila to pel dia... :D

Platform 13 par aap kabhi nahi jana.. varna fir koi mil jayega aisa.. :D Thanks leon bhai :hug:
 
Top