• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219
Update ~~ 93

" aram se " urvashi ki awaz mein kampan thi. " kapde utaro. main.. main... thanda pani lekar ati hun... " urvashi ke hathon mein khoon laga hua tha vo ghabrai hui kamre se bahar nikal gayi aur shruti ne turant aaruhi jeans ko utar dia. Uske liye ye naya nahi tha aur ek baar fir aaruhi ko khoon mein sana dekh use us raat ki yaad aa gayi thi jab aaruhi ke periods mein khoon hi khoon nikal raha tha.

" shruti.. " urvashi ki tez awaz sun shruti hosh mein ayi, urvashi aaruhi ke tangon ke bich kapda laga kar shruti ko awaz de rahi thi. " call the ambulance .. right now... " urvashi ki ankhein ansu mein bhari hui thi. Shruti kabhi use dekhti to kabhi aaruhi ke nidhal sharir ko jiska rang fika padh chuka tha jaise us raat pada tha.

" Aunty.. Aisa pehle bhi ho chuka hai... " shruti ke muh se ye baat sunte hi urvashi use ghurne lagi. " Aaruhi jab hostel mein thi tab first time.. " shruti ne hostel ki us raat ke bare mein sab bata dia ki kaise aaruhi ko periods mein itna hi blood nikla tha aur teen din baad vo aise theek hui mano kuch hua hi nahi ho.

Khoon hall se lekar room tak faila hua tha, aaruhi ke sharir se khoon saaf karte hue use kapde pehna diye gaye the. Urvashi aur shruti dono ke hath khoon se sanne hue the. Aaruhi ka jo chehra fika pada hua tha vo ab dhire-dhire normal hone laga tha. Urvashi aaruhi ke sath baithe uske mathe ko sehla rahi thi. Uska jee abhi bhi ghabra raha tha par vo kuch bolne ke kabil nahi thi. Shruti dusri taraf khadi aaruhi aur urvashi ko dekh rahi thi.

" Aunty.. i am sorry .. maine.. ye pehle nahi bataya.. " shruti ise jada kuch bolne ka soch na saki. Vo chahti thi ki urvashi kuch kahegi lekin vo kuch nahi boli. " Main saaf kar deti hun.. " itna bol kar shruti bahar nikal gayi, uske hathon par abhi bhi aaruhi ka khoon laga hua tha. Usne wahan rakha wipe uthaya aur hall main jahan aaruhi khadi thi aur kahde-khade jo uska khoon behnta hua jama hua shuru hua tha use dekh kar ek pal yahi laga tha mano kisi ne uske pet ko faad diya jiski wajah se khoon beh nikla ho. Sochte hue shruti abhi wipe karti use pehle doorbell baj uthi. Doorbell bajte hi shruti chaunk uthi. Usne ek pal socha ki vo urvashi ko awaz de lekin uski himmat nahi ho rahi thi ki vo unhe awaz de sake udhar bell bar-bar ring ho rahi thi. Shruti ne gehri sans khinchi aur wipe ko apne piche chupate hue darwaje ko thoda hi khola taki bahar khade shaks ko andar ka dikh na sake. Usne darwaje ka kunda khola aur use halka khol kar apna sar bahar ki taraf kiya.

" ji.. aap kaun.. " samne khadi ladki ko dekhte hue shruti boli.

" Main.. Nimisha.. Urvashi aunty ki padosi.. Aaruhi aa gayi? Aur aap aaruhi ki friend hai? "

" ji... "

" oohh .. aaruhi aa gayi yani.. main use hi milne ayi thi.. "

" voo.. aaruhi ko to abhi nahane gayi hui hai.. vo atti hai to main bol dungi use.. " shruti ne fauran jawab dia, vo abhi bas use bhagana chahti thi.

" Acha.. theek hai.. aunty to hongi? "

" vo.. actually.. kuch kaam kar rahi hai.. aaruhi ayi hai na.. isliye ... "

" hmm.. theek hai to aap hi unhe keh dena ki aaj sham ko ghar ana hai kal mehndi hai to aaj ghar par get together kiya hai... tumhe bhi ana hai.. chalo bye.. " nimisha itna keh kar chali gayi. Shruti ne kiwad band kiya aur sans khinchte hue mudi. Farsh par pade khoon ko dekh ek pal use dekhti rahi aur fir use saaf karne lagi.

Bistar par padi aaruhi ko abhi bhi hosh nahi aya tha, par uske fike pade sharir mein wapis se raunak jaag uthi thi. Urvashi usi ke pas baithi thi aur shruti wahin zameen par baithi thi.

" Aunty kya pehle bhi kabhi kuch aisa dekha hai.. " shanti bhag karte hue shruti ne kaha. Urvashi chup baithi rahi, uski badhti chupi ko dekh shruti ko aise lagne laga ki usne sahi sawal kiya hai.

" kya aisa kabhi kisi ko hota hai? " urvashi ne achanak se apni nazar shruti ki taraf modh di. Shruti ek dum se hichak khate hue sidhi ho gayi. " Tumhe mujhe ye pehle batana chahie tha, even tumne to Dr Alok se is baat ko chupaya, agar aaruhi ko us raat kuch ho jata to? "

" Aap sahi keh rahi hai aunty.. mujhe bhi us raat yahi laga tha ki shayad maine aaruhi ko kho diya hai .. vo raat mujhe aaj bhi yaad hai aunty ... aur rahi baat apko batane wali to main apse puchna chahti thi ki aaruhi ke periods ke bare mein par puchti to kaise? Aur kaun meri baat ka vishwas karta ki ek ladki ko periods mein itna blood aya aur fir bhi vo zinda hai mano uske andar koi blood continous pump kar raha ho, kya aap meri baat manti? " shruti ki baat sun urvashi ek pal ke liye chup ho gayi.

" Tumhari sabhi baton par vishwas kiya hai mene to ispar bhi karti.. " urvashi ne shruti ke jawab par aisa sawal rakha jiske uppar shruti apni koi baat rakh na saki.

" Sorry aunty.. " shruti bas itna hi bol payi.

Dophar ho chali thi, aaruhi abhi bhi so rahi thi. Urvashi ne Dr Alok se baat kar li thi, vo bhi is vishay mein kuch keh nahi paye the. Urvashi ne aaruhi ko kisi ache doctor ko dikhane ka faisla kiya tha isliye din mein ek doctor akar jaa chuki thi jisne sab kuch normal bataya aur stress ya thakan ke hawale chhod ek-do dawa dekar vo bhi chali gayi. Urvashi khud ek neurosurgion hone ke bavajud uljhi hui thi. Dophar se sham ho chali ayi aur urvashi aaruhi ke kamre ke bahar se hi use jhankti rahi is umeed mein ki vo ab uthegi bas use ek chiz samajh nahi aa rahi thi ki sb kuch theek hai to aaruhi uth kyun nahi rahi..

" aunty aap chinta mat kijeye.. aaruhi kai baar itna lamba so chuki hai.. vo uth jayegi.. " shruti uske sath aa khadi hui thi.

" It is unusual.. " urvashi ne shruti ki taraf dekha " aaruhi ka ye behaviour ... "

" main bhi confuse thi starting mein... fir aisa laga mano aaruhi ko shuru se yahi adat hai.. vo kuch alag ladki thi.. par hostel mein alag tarah ke logon ka milna swabhavi tha.. "

" Ye kuch alag ho na ho.. par mujhe kuch sahi nahi lag raha hai... tumhe kuch aur nahi mila un sab ke bare mein jinka jikar tumne mujhse kiya tha? " urvashi ne jab shruti se ye sawal kiya to vo ek pal ke liye bolne ko ho uthi par chup ho gayi aur fir jo bola vo juth hi kaha.

" Nahi aunty.. shayad vo sab batein bani banai thi.. hume dr alok ki hi baton par dhayan dena chahie aur sach kahun to aunty mujhe to lagta hai aaruhi ne kuch aisa dekha hai jo usne kabhi nahi bataya kisi ko bhi.. even apko bhi nahi.. "

" tumhe aisa kyun lagta hai.. " urvashi ne nazre aaruhi ki taraf modh li.

" hmmm.. aisi situation mein jarur koi na koi itihas to hota hi hai na aunty... " shruti ki baat par urvashi kuch nahi boli.

Sham ho chali ayi thi, aaruhi abhi bhi so rahi thi, urvashi ko Nimisha ke ghar jana pada warna vo wahan aa jati aur sab kuch chupana mushkil ho jata. Shruti aaruhi ke sath hi thi aur urvashi keh kar gayi thi ki aaruhi uth jaye aur vo sahi ho to use le ana. Man to uska bhi nahi tha jane ka lekin majburi thi isliye use jana pada. Vo apni beti ke bare mei koi afwa nahi chahti thi jise use aur koi pareshani ho. Shruti aaruhi ke bagal mein zameen par hi baithi thi aur baithe baithe vishal se baat karne mein leen thi. Dono ke bich batein meghnath par se shuru hui aur fir aaruhi ke sath jo hua vo bataya. Vishal se baat karte hue shruti ne facebook khola aur aise hi timeline dekhte hue facebook ke games khelne lagi aur jab use bore hui to logout karke apni fake Id daal di aur use login kar liya. Login karne ke waqt use dhayan tha ki jaggu ne uski id ko block kar diya hai.

Par jaise hi usne login kiya tab use dikha ki uski online window mein Jaggu ki id dikha rahi thi jise dekh vo samajh gayi ki jaggu ne use unblock kar diya hai. Shruti muskura di. Lund ka chakar hai babu bhaiya ache-achon ki patloon gili kar deta hai. Shruti ne man hi man sochte hue chat box khola aur ek message dal dia.

" raha nahi gaya na? " message send hone ke baad kuch ek-ada minute tak reply nahi aya. Shruti ko laga ki abhi vo jawab nahi degi aur yun baithe-baithe uske pichwade mein akdan aa gayi hai. Vo logout karke uthne ko thi ki tabhi jaggu ka reply aa gaya.

" Mujhe hi choose kyun kiya tumne? "

" Aisa kya special hai mujhmein? "

" Yahi janne ke liye unlock kiya hai bas " jaggu ke reply padh kar shruti ki hansi chhut gayi.

" Mene bataya tha meri jaan ki tum mujhe bahut hot lagti ho "

" Aur usi hotness ko chakna chahta hun.. " shruti ne reply bheje.

" To main kya karun... tum jaisi batein kar rahe ho.. vo to ladka ladki relationship mein ane ke baad karte hai.. hum koi gf/bf hai? " jaggu ka reply

" Bf/gf hone se chudogi ya mere pas tagda lund hone se? " shruti ne message bheja to ek pal tak typing ata raha fir hath gayaa aur fir se typing ane laga..

" mujhe yaad mat dilao bar-bar uski.. "

" Kyun jalan hoti hai na.. niche... socho jab chuhega to kaisa lagega.. "

" mat bolo... mujhse sehan nahi hoga.. "

" Sehan tab kaise hoga jab vo andar jayega.. "

" please.. mat bolo.. ek to dhakka hua dikhaya uppar se tadpa rahe ho.. "

" andar se dekhne ke liye to kuch lagega na.. " shruti ne jaggu ki baat ka jawab dia.

" kya? "

" jo main kahun... " shruti ko achanak yaad aya ki uske pichwade mein dard ho raha hai, vo hathon ke bal se halka uthi taki apni gand ko zameen ki kathorta se nizad dila sake aur usi mein uski nazar bistar par padi jo ki ab khali pada tha.

" Aaruhi.. kahan chali gayi.. " shruti fauran apni jagah se khadi hui aur bathroom ki taraf daudi " Aaruhi.. tu andar hai.. " usne darwaja knock kiya lekin vo khula hua tha aur vo wahan nahi thi. " Kahin vo uppar walle kamre mein to nahi gayi.. " shruti ko laga ki aaruhi uppar jane ke liye keh rahi thi par use mana kiya gaya tha jiske baad uski bleeding shuru hui thi. Usne uppar jane ka socha aur vo sidiyan chadte hue awaz lagati hui uppar pahunchi lekin wahan ke darwaje par tala laga hua tha. Vo wapis niche ayi, usne urvashi ke kamre mein bhi dekha lekin wahan bhi vo nahi thi. Usne fauran uravshi ko phone karne ki sochi par phone to usne aaruhi wale kamre mein chhod diya tha isliye vo urvashi ke kamre se nikal kar hall mein ayi to thandi hawa uske sharir par padi jise mehsus karte hi use samajh aya ki gate khula hai aur uska andaza hote hi shruti samajh gayi ki aaruhi bahar nikal gayi hai. Usne fatafat apna phone uthaya jeb mein dala aur chappal pehen kar gate ko bahar se band karke nikal gayi nimisha ke ghar.

Nimisha ke ghar mein music ka shor gunj raha tha, gate aise khula tha mano koi bhi akar party kar le. Shruti fauran andar ghusi jahan ghuste sath hi hall tha aur wahan aurtein gappe lada rahi thi kuch ladkiyan nachne mein mangn thi. Usne us chote se hall mein urvashi ko aurton ki bheed mein khoja aur awaz di lekin music ke chalte sunai nahi di isliye vo urvashi ki taraf badhi aur tabhi urvashi ne shruti ki taraf dekh liya.

" Shruti.. tum.. "

" aunty vo aaruhi.. " shruti ne urvashi ki baat sune bina hi keh diya.

" aaruhi.. kya? vo to abhi abhi ayi hai uppar gayi hai.. nimisha se milne " urvashi ne bataya

" aaruhi idhar hai? "

" Kyun? tumhe nahi pata " urvashi ke mathe par bal pada.

" nahi pata hai na aunty.. wahi to puch rahi thi ki aaruhi kahan hai.. "

" vo nimisha uppar gayi thi isliye vo bhi abhi upar gayi hai just.. "

" to theek hai main bhi jati hun.. " shruti abhi wahan se jati itne mein ek aunty wahan aa khadi hui.

" Haye.. urvashi.. ye ladki kaun hai.. isko to maine pehchana hi nahi... "

" Ye aaruhi ki hostel friend hai shruti.. "

" badi soni kudi haigi.. "

" namaste aunty " jhoothi muskan ke sath shruti boli " acha to main aunty aaruhi ke pas hi jaa rahi hun "

" are ruk to jaa putr.. zara humse bhi to baat kar le.. " aunty ne turant uski kaliyan majbuti se thaam li jise shruti na cha kar bhi chudda na payi.

" Are.. dara diya tune to... " Nimisha ke muh mein cigratte thi aur vo machis se use jalati use pehle ek parchai darwaje par khada mehsus kar vo chaunk uthi. Aaruhi darwaje par khadi usi ko dekh rahi thi.

" Aaruhi wahan kyun khadi hai aa naa.. itne dino ke baad shakal dekh rahi hun teri.. " nimisha cigratte jalane ko thi lekin aaruhi ko awaz dene ke baad bhi jab vo nahi ayi to usne cigratte ko muh se nikal lia.

" Kya soch rahi hai udhar khade-khade.. idhar aa naa.. nahi jala rahi cigratte... aja.. " nimisha ki sun kar ek pal aur liya aur fir aaruhi uski taraf badh gayi. Hawa thodi tez thi, asman mein badal ikhta ho chale the, garmiyun ki akhri baarish ab bas aa hi chuki thi...

" tujhe abhi bhi cigratte se dikkat hai.. badli nahi tu.. " nimisha chatt ki boundary par tek lagai khadi thi. Aaruhi uske pas ayi aur bilkul najdeek uske samne jaa khadi hui. " Kya hua tujhe.. itni chup-chaap kyun hai.. kuch kehna hai kya.. " nimisha ne aaruhi ke sukhe hue chehre ko dekhte hue kaha. Jabse nimisha ne use dekha tha aaruhi tab se kuch boli hi nahi thi.

" Aaruhi.. " nimisha ne use pukara aur tabhi baarish ki bundein girne lagi. " Lo bhai.. ho gayi baarish shuru.. chalna padega andar.. teri wajah se meri cigratte reh gayi jiski wajah se chup-chupa kar chatt par ayi thi.. ab chal andar.. " baarish ki bundein tez hui thi to nimisha jane ko hui lekin aaruhi ne uska hath pakad liya.

" Kya ho gaya hai tujhe? " nimisha use ghurne lagi " acha.. naraz hai.. ki mene tujhe abhi tak galle nahi lagaya... chal aja galle lag.. wanra bhig jayenge.. " nimisha turant aaruhi ke galle lag gayi aur uske galle lagte hi aaruhi ne bhi use kas kar pakad liya. " Bhari padi hai kya... heheheh " nimisha bol kar alag hona chahti thi lekin aaruhi ki pakad bhaut majbud thi, udhar baarish tez hone lagi thi.

" aaruhi chhod.. baarish tez ho rahi hai.. chal andar.. dekh mazak nahi.. " nimisha ne use alag hone ke liye piche ki taraf khud ko dhakka dia lekin aaruhi ki pakad majbut thi isliye vo alag nahi ho payi.

" aaruhi... kya kar rahi hai.. chhod na.. " nimisha ko ab gussa aa gaya tha, baarish tezz ho gayi thi, dono bhig chuke the, uske hath se cigratte aur lighter wahin jameen par gir kar pani se puri tarah bhig gaya.

" aaruhi chhod... " nimisha khud ko chhudane ke liye aaruhi ke kandhe par dabab dalne lagi aur khud ko kisi tarah aaruhi se alag hone ke liye piche ki taraf dhaklne lagi " dekh aaruhi ye mazak jo tu kar rahi hai ab mujhe pasand nahi aa raha hai.. chhod kyun nahi rahi mujhe.. " nimisha ne aaruhi ke samne apna chehra kiya, aaruhi ke chehre par koi badlav nahi tha.

" Chhod pagal ladki.. chhodti kyun nahi hai.. pata nahi kyun ayi tu... tujhe dur isliye bheja tha mene khud se chutkara panne ke sath socha tha ki sahi ho jayegi.. par tu to abhi bhi waisi hi hai .... chhod kutiya chhod.. behenchod.. chhod... " nimisha ne khud ko azad karne ke liye puri takat piche ki taraf laga di aur usi pal aaruhi ne apni bahein khol di jise hua yun ki nimisha ke bahut jada piche ki taraf force lagane ki wajah se vo apna balance nahi bana payi aur boundary par se niche ki taraf gir gayi.

" Aaruhi.... " shruti jo darwaje par khadi thi vo fauran chillai par baarish ke shor mein jaise har cheekh, har awaz, har sabut mit jate hai aur andhera uska sath de jata hai. Usi andhere aur baarish ke tez shor mein do per dhire-dhire kadam badate hue aage badh rahe the jiski muthi mein balon ka guccha tha aur vo unhe pakadte hue aage ki taraf ghasitta hua le jaa raha tha. Pani mein sharir ka fisalna asan ho chala tha, uski sarre ka pallu ek taraf hatt kar usi corridor par jama ho rahe pani par chipakte hue uske sharir ke sath aage badh raha tha. Nandini cheekhti bilkahti hui apne balon ko uski pakad se chhudane ki kosish karti rahi lekin use sunne aur bachane wala wahan koi nahi tha. Vo shaks uske balon ki pakad banaye khinchte hue dhire-dhire aage badta gaya aur usi andhere mein kho gaya.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,875
150,559
304
Earlier when Aarohi have periods in the hostel, I surprised and also ask you why this happens to her and it happened today like that day what could be the reason behind this I don't understand. Sometimes it seems from Urvashi's words that she is hiding something from us.

I had said that this journey has not started properly you see for yourself what happened to Aarohi on the first day though Aarohi would have known what her period date is :?: Whenever Shruti distracted Aarohi disappears :lol: always it seems that she is a soul I mean both are in the same room then how her senses are not working. :lol1:

After changing the personality of Aarohi she looks very dangerous :evilgrin: I wish I was in Nimisha's place and Aarohi in my arms :blush1:

tujhe dur isliye bheja tha mene khud se chutkara panne ke sath socha tha ki sahi ho jayegi..

What does it mean, what used to happen before? Something has happened in the past, the consequences of which we are probably seeing now. The view of the terrace was intimidating 😨 Now I don't know what will happen, To console ourselves i will say that she is not Aarohi. :approve:
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,875
150,559
304

harshit1890 update bahot late aaya isiliye ab aapko ek or update dena honga nahi to Aarohi ko bhej dunga ju ke ghar :calling:

 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219
Earlier when Aarohi have periods in the hostel, I surprised and also ask you why this happens to her and it happened today like that day what could be the reason behind this I don't understand. Sometimes it seems from Urvashi's words that she is hiding something from us.

I had said that this journey has not started properly you see for yourself what happened to Aarohi on the first day though Aarohi would have known what her period date is :?: Whenever Shruti distracted Aarohi disappears :lol: always it seems that she is a soul I mean both are in the same room then how her senses are not working. :lol1:

After changing the personality of Aarohi she looks very dangerous :evilgrin: I wish I was in Nimisha's place and Aarohi in my arms :blush1:




What does it mean, what used to happen before? Something has happened in the past, the consequences of which we are probably seeing now. The view of the terrace was intimidating 😨 Now I don't know what will happen, To console ourselves i will say that she is not Aarohi. :approve:
Pyar mein duba har majnu aisa hi hota hai bhaiya.. Nadi gehri hoti hai jante hue bhi chale jate hai aur fir dub jate hai.. :D

Agr nimisha ki jagah aaruhi ki bahon mein aap hote to apka bhi kriyakaram ho raha hota... But interesting thing is what is happened :D

Thanks bhai :hug: keep reading
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219

harshit1890 update bahot late aaya isiliye ab aapko ek or update dena honga nahi to Aarohi ko bhej dunga ju ke ghar :calling:

Han janta hun bhai.. pehle to meri kamar ne mera sath chhod rakha hai dnt know kya hua hai.. recover hokar fir se same situation ho gayi dusra father health mei issue... isliye thda bsy ho gayela tha... ab to is mahine kahani bhaga kar baht aage le jani hai :D
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,875
150,559
304
Pyar mein duba har majnu aisa hi hota hai bhaiya.. Nadi gehri hoti hai jante hue bhi chale jate hai aur fir dub jate hai.. :D

Agr nimisha ki jagah aaruhi ki bahon mein aap hote to apka bhi kriyakaram ho raha hota... But interesting thing is what is happened :D

Thanks bhai :hug: keep reading
Ye kya baat hui jin sawalo ke jawab hum kahani ki shuruwaat se lakar aaj ke update Tak maang rahe hai usko aap ignore karke humare pyaar ka mazak banane nikale ho :bat1:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219
Ye kya baat hui jin sawalo ke jawab hum kahani ki shuruwaat se lakar aaj ke update Tak maang rahe hai usko aap ignore karke humare pyaar ka mazak banane nikale ho :bat1:
Jo jawab aap chahte ho mai dun.. uske liye thoda intezar aur kar lo bas.. Kahani ka answer to uske prefix mein hai.. main nahi janta filal is kahani ka end kya hai.. aur agar end hai to mere hissab se ek reader ko connct kr payega ya nahi abhi nahi malum.. pasnd ana to dur ki baat hai.. Ye kahani abhi tak ki meri sabse mushkil end ke daur se guzar rahi hai... :D
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,875
150,559
304
Han janta hun bhai.. pehle to meri kamar ne mera sath chhod rakha hai dnt know kya hua hai.. recover hokar fir se same situation ho gayi dusra father health mei issue... isliye thda bsy ho gayela tha... ab to is mahine kahani bhaga kar baht aage le jani hai :D
Kamar me dard iska matlab samjhte ho :cmouth: chee Koi ni family first :dost:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,713
8,631
219
Kamar me dard iska matlab samjhte ho :cmouth: chee Koi ni family first :dost:
Ye dard exercise se hua hai.. vo nahi jo samjh rhe ho :D Han ab improvement hai hopefully recovery jaldi hogi. :)
 
Top