• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,718
150,400
304
Harshit bhai ab or update dene ka plan nahi hai to thread close hi krwa do taki humlog wait krna chor de
Abhi busy hai wo life me bahot si things hai story ke alawa jaise hi free honge update aa jaayega OK..
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Harshit bhai ab or update dene ka plan nahi hai to thread close hi krwa do taki humlog wait krna chor de

Abhi busy hai wo life me bahot si things hai story ke alawa jaise hi free honge update aa jaayega OK..

harshit1890 bhai , kaha gayab ho gaye ?
Thanks bhai log waiting krne ke liye, but kch bi good news nai hai. Life things, kch problems ke sath hi chalti hai. Abhi tym mila tha to socha tha is week kahani kafi likh kr aage aapko pdwaunga but saddened meri lower back mei injury ho gayi. Aur baith kr likh pana seems to impossible. Complete bed rest pr hu.. sad for me and i knw for all, bht jda delay hai. But i didn't loose hope i will finish this story, kab keh nai skta but karunga jarur.

Waise bhalog aap sab kaise ho? Bht miss krta hu is place ko aur aap sabko? Nainaji to still angry kr something else with me but good to see her back mtlb unban ho gaye :D

Jald lautunga...
 
10,138
42,597
258
Thanks bhai log waiting krne ke liye, but kch bi good news nai hai. Life things, kch problems ke sath hi chalti hai. Abhi tym mila tha to socha tha is week kahani kafi likh kr aage aapko pdwaunga but saddened meri lower back mei injury ho gayi. Aur baith kr likh pana seems to impossible. Complete bed rest pr hu.. sad for me and i knw for all, bht jda delay hai. But i didn't loose hope i will finish this story, kab keh nai skta but karunga jarur.

Waise bhalog aap sab kaise ho? Bht miss krta hu is place ko aur aap sabko? Nainaji to still angry kr something else with me but good to see her back mtlb unban ho gaye :D

Jald lautunga...
नैना आपसे खफा नही है । वो अबतक USC. और इलेक्शन की हार पचा नही पाई है इसीलिए जब कभी यहां आती है , अपनी भड़ास निकाल कर चली जाती है। इसी चक्कर मे कुछ ऐसा कह जाती है जिसे कोई भी समझदार आदमी स्वीकार नही कर सकता।
शायद आपको भी वही बीमारी लग गई है जिससे मै भी भुगत रहा हूं। इसका उपाय सिर्फ कुछ एक्सरसाइज है।
आप पेट के बल सोइए और अपनी एक पांव ऊपर की ओर उठाइए , दूसरा पांव जमीन से सटा होना चाहिए लेकिन मुंह विपरीत दिशा मे होनी चाहिए। करीब एक मिनट ऐसे ही पांव ऊपर रहने दीजिए। ठीक इसी तरह अपना दूसरा पांव उठाइए और मुंह विपरीत साइड रखिए।
सिर्फ एक माह कीजिए , कमर से नीचे का असहनीय दर्द खतम हो जाएगा।
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
नैना आपसे खफा नही है । वो अबतक USC. और इलेक्शन की हार पचा नही पाई है इसीलिए जब कभी यहां आती है , अपनी भड़ास निकाल कर चली जाती है। इसी चक्कर मे कुछ ऐसा कह जाती है जिसे कोई भी समझदार आदमी स्वीकार नही कर सकता।
शायद आपको भी वही बीमारी लग गई है जिससे मै भी भुगत रहा हूं। इसका उपाय सिर्फ कुछ एक्सरसाइज है।
आप पेट के बल सोइए और अपनी एक पांव ऊपर की ओर उठाइए , दूसरा पांव जमीन से सटा होना चाहिए लेकिन मुंह विपरीत दिशा मे होनी चाहिए। करीब एक मिनट ऐसे ही पांव ऊपर रहने दीजिए। ठीक इसी तरह अपना दूसरा पांव उठाइए और मुंह विपरीत साइड रखिए।
सिर्फ एक माह कीजिए , कमर से नीचे का असहनीय दर्द खतम हो जाएगा।
Chaliye ye bi theek hai. Naina jahan bi rhe mast rahe aur kya.
Bhai sab kch mana kia hua hai, maybe meri jada umar bachi nai hai ab. Aur bas jane se pehle apun ye kahani khatam krna chahta hai kyu ki ye kahani hi baki kahaniyu ko jodti hai. Aur use pura karna jaruri hai. Mera khud ka banaya hua universe pura hna chahie :D

Thoda baithne laga hu to maybe kal kch chipka du. Bht din se likhne ka man hai..
 

king cobra

Well-Known Member
5,258
9,922
189
नैना आपसे खफा नही है । वो अबतक USC. और इलेक्शन की हार पचा नही पाई है इसीलिए जब कभी यहां आती है , अपनी भड़ास निकाल कर चली जाती है। इसी चक्कर मे कुछ ऐसा कह जाती है जिसे कोई भी समझदार आदमी स्वीकार नही कर सकता।
शायद आपको भी वही बीमारी लग गई है जिससे मै भी भुगत रहा हूं। इसका उपाय सिर्फ कुछ एक्सरसाइज है।
आप पेट के बल सोइए और अपनी एक पांव ऊपर की ओर उठाइए , दूसरा पांव जमीन से सटा होना चाहिए लेकिन मुंह विपरीत दिशा मे होनी चाहिए। करीब एक मिनट ऐसे ही पांव ऊपर रहने दीजिए। ठीक इसी तरह अपना दूसरा पांव उठाइए और मुंह विपरीत साइड रखिए।
सिर्फ एक माह कीजिए , कमर से नीचे का असहनीय दर्द खतम हो जाएगा।
Mai bhi pareshani se jujh raha 2 shaal se theek hota wapas suru ho jata hai. Meko lagta ab meko bhi mar jana chahiye magar marta hi noi mai :cry2:
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Aakash.
10,138
42,597
258
Chaliye ye bi theek hai. Naina jahan bi rhe mast rahe aur kya.
Bhai sab kch mana kia hua hai, maybe meri jada umar bachi nai hai ab. Aur bas jane se pehle apun ye kahani khatam krna chahta hai kyu ki ye kahani hi baki kahaniyu ko jodti hai. Aur use pura karna jaruri hai. Mera khud ka banaya hua universe pura hna chahie :D

Thoda baithne laga hu to maybe kal kch chipka du. Bht din se likhne ka man hai..
हर्षित भाई , आप मेरे छोटे भाई है बल्कि यूं कहूं कि आप मेरे लड़के के समान है। और छोटा भाई या संतान अगर यह कहे कि मेरी उम्र ज्यादा नही बची है तो आप स्वयं सोचिए कि बड़े भाई या बाप को कैसा महसूस होता होगा !
यह बिल्कुल ही गलत बात बोल रहे है आप। आपकी अभी अभी शादी हुई है और आप ऐसी नेगेटिव बात कह रहे है।
आप की बीमारी कोई नई नही है। शायद स्लिप डिस्क या साइटिका का प्रॉब्लम हुआ हो । इस बीमारी मे बहुत ही ज्यादा दर्द होता है । कभी कभी जीने की चाहत खतम हो जाती है। मै भुगत चुका हूं इस रोग से। लेकिन इसका उपाय सिर्फ कुछ एक्सरसाइज और या फिर फिजियोथ्रोफी है।
कोई मेडिसिन काम नही आता।
मैने इस रोग से पीड़ित एक सतर साल की महिला को देखा है जो एक कदम भी चल नही पाती थी लेकिन जब से उन्हे डाक्टर ने सही एक्सरसाइज बताया , वो बिल्कुल ही ठीक हो गई। मै खुद इस बिमारी से भुगत चुका हूं और ठीक भी हो चुका हूं।
हृतिक रोशन भी इसी बीमारी से शुरुआत से ही पीड़ित है पर आप देख ही रहे है कि इस बीमारी से ग्रसित होने के बाद भी वो कैसा डांसर है।
सही डाक्टर से इलाज कराइए। सबकुछ ठीक हो जाएगा।
आप Yug Purush / ज्ञानी भाई की बहुत इज्ज़त करते है । आप उनसे यह बात डिस्कशन कर सकते है। वो सही बात बताएंगे।
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Update ~~ 110

" Ye pathar ko chuu kar ab to yakeen aa gaya hoga na ki jo main keh raha tha vo sach hai, jo is kitab main hai vo sach hai, jo kahani tum logon ko andhvishwas lag rahi thi vo sach hai " meghnath apne dil ki bhadas ya fir kushi ko bayan kar raha tha. Teeno jhadiyun ke andar hath daal kar uske piche kisi shakt chiz ko mehsus kar paa rahe the.

" Main janta tha ki jo khoj raha hun vo galat nahi hai, Ab main apne bhai jaise dost ki maut ke bare mein jaan paunga aur akhir us Hostel mein kya chal raha hai vo pata kar paunga "

" Itna kush kyun ho rahe ho? " kushi ko bhang karte hue shruti bol padi. " Jjhadiyun ke piche pathar ki chattan lag rahi hai, lekin ye kaise pata ki ye wahi hai jo tum khoj rahe ho? "

" matlab.. " meghnath ko samajh nahi aya ki ab vo aisa kya kare jo uski baton par vishwas ho sake.

" matlab simple sa hai, ye jagah wahi hai jo tum khoj rahe ho? Jaruri thodi hai? Kya pata koi sadharan si chattan ho jise jungli paundon ne jakad liya ho "

" tum kabhi kisi chiz ko sach nahi maan sakti kya? " meghnath ne gusse mein kaha.

" Shruti ye sahi keh raha hai, agar itna sab mil gaya hai to ab sawal karne ki kya jarurat? " vishal bhi bol pada.

" tum log meri baton ko samjh nahi rahe. Agar ye wahi jagah hai to andar jane ka rasta kahan hai? Hum abhi bhi is baarish mein khade hai aur pathar ko chhuu kar kush ho rahe hai. Kya hume andar jane ka rasta mil gaya hai? " shruti ki baat sunte hi jaise sabko hosh aya ki unhe abhi andar jane ka rasta khojna hai. Shruti ke sath, aaruhi aur vishal ne bhi meghnath ki taraf nazre kar li.

" r...rasta bhi mil jayega.. yahin kahin hoga.. chalo " meghnath aage badha aur sab uske piche, kuch der tak vo kosish main lage rahe aur idhar-udhar ghumte rahe. Bich mein jhadiyun ko hata kar piche hath laga kar bhi dekha lekin kuch nahi,sirf patherila mehsus hone ke alawa kuch aur nahi mila. Mausam prkop dharan kar chuka tha, baarish dhuain daar ho rahi thi, takhno se uppar tak pani bhar chuka tha. Roshni bas naam matr bachi thi aur umeed use bhi kam..

" Main aur nahi khinch sakti .. " aaruhi ne ukhadti sanson ke sath apna hathon ko dekha jo buri tarah se kamp rahe the.

" Main bhi thak chuka hun.. himmat nahi ho rahi.. " vishal bhi hanfte hue bola.

" Thand lag rahi hai.. bahut jada.. " aaruhi ke honth bhi kamp rahe the. Sharir tut chuka tha, mansik tanav badh gaya tha. Jungle kabhi bhi sidhe tarah nahi marta vo ek jeev ko mansik aur sharirk tanav deta hai aur uske baad vo jeev usi mein kahin kho jata hai. Vo dono bich ek galyare mein ruk gaye the, unhe bhi shayad yaad nahi tha ab kitni baar vo is jagah se guzare honge.

" tum log haar nahi maan sakte.. hum log manzil ke bahut kareeeb hai.. " meghnath jo unse thoda aage tha vo unke pas akar bola.

" himmat nahi hai.. ukhun..ukun... " aaruhi khans rahi thi, khanste hue uske muh se do-chaar bund khoon ki aa nikli jo baarish mein ek pal ke andar uske hath se dhul gayi.

" himmat nahi hai? Bas yahi himmat thi ... " meghnath chillaya.

" Baat sirf aaruhi ki nahi hai.. main bhi aur ab nahi chal sakta. Juton ne pura per kha liya hai.. " vishal bol pada.

" To kaat do apne per aur lait jao idhar.. " meghnath baukhla utha. " Maine pehle hi kaha tha ki ye kaam bachon ka nahi hai, itna asan nahi hai.. lekin tum logon ko lag raha tha ye picnic tour hai "

" meghnath aisa.. " vishal ke pas bolne tak ki himmat nahi bachi thi.

" zinda bach gaye to jakar bistar par apna lund pakad kar hilana bas wahi kar sakte ho tum.. " meghnath ki awaz mein akrosh ko sun kar uske pas jawab dene ki bhi takat nahi thi.

" Tumne kabhi hilaya nahi ya hila hila kar apna kharab kar liya hai? " jawab shruti ne diya. " Tumhe dikh nahi raha kya ki humari halat kaisi hai. Tum to pagal ho chuke ho us chiz ke piche jo sirf ek kahani mein padhi gayi hai "

" tumhe kitni baar samjhaun , kahani banti hi tab hai jab usme kuch sach chupa ho "

" kuch sach chupa ho.. par har chiz sach nahi hoti.. kya pata vo jagah yahan ho lekin waqt ke sath vilupat ho gayi ho, yahi prakarti ka niyam hai, kya tumhe itna samajh nahi ata.. evolution hi sansar ka niyam hai.. anpadh gawar admi "

" aeee.e... " meghnath chillaya

" aeeeeeeeeeee kyaa... behen ke.... " shruti bhi buland awaz mein chillai. Dono ke chillane ki awaz jungle ek pal mein samet raha tha. Baarish ka pressure hadh se jada badh gaya tha. Pani ka flow zameen par tezi se beh raha tha.

" Tum dono iska saman yahin chhodo aur ise bhi yahin chhodo... Hum kahin sahi jagah dekh kar tent lagate hai aur is tuffan ke khatam hone ka intezar karte hai.. iske bharose rahe to marna tay hai.. " shruti ne meghnath ko gusse bhari nazron se dekha.

" Tumhe lagta hai tum is jungle mein is tufan ke andar ek raat bita sakti ho? Itni jada bevkuf tum sikhti nahi ho "

" aee.e.. mujhe bevkuf .. "

" chup... halat dekh rahi ho yahan ke.. itni baarish.. aur is pani ki gatti... " meghnath ne kehne anusar nazre niche ki taki vo shruti ko pani ke bhav ko lekar suchit kar sake ki uski nazar pani ke behne par gayi.

Jahan meghnath khada tha uske samne se pani ka bhav aa raha tha uske pas se hota hua piche jaa raha tha lekin usi ke sath pani uski dahine taraf jhadiyun ke andar jaa raha tha.

" Iske piche kuch hai.. " meghnath ne fauran jhadiyun ke andar hath dala to nirasha hath lagi, sirf pathrila ehsas. Usne hath bahar khincha aur ek dafa niche ki aaur dekha, pani bahut tezi se jhadiyun ke andar jaa raha tha mano vo jagah pani ko khinch rahi ho. Usne apni machette nikali aur samne de marri, Jhadiyun ke katte hi vo sidhe piche pathar par lagi jise uska hath jhanjhana gaya lekin vo ruka nahi aur usne machette ko wahin rakh kar dahine aaur chalani shuru kar di aur use kuch mila, piche ki patharila pan khatam ho chuka tha. Uske sath sabhi ki nighaein us taraf hi ruk gayi. Usne machette ko piche kiya aur turant us hisse ki jhadiyun ko katna shuru kar diya. Kuch hi pal main usne vo kar dikhaya jiska aas use kab si thi. Jhadiyun ke bich main se usne andar jane jitna rasta bana diya tha.

Rasta bante hi ek pal meghnath ne sabko dekha aur turant andar chal diya, uske sath hi shruti ghusi aur fir vishal, aaruhi ka hath pakad kar use andar le gaya. Un jhadiyun ke andar ghuste hi aisa laga mano jhadiyun ke piche ki duniya kuch alag hai. Jhadiyun se dhaki charon taraf se vo jagah ek chota sa area tha jahan bahar ke mukable baarish ki awaz na-ke-barabar thi aur baarish ki tezi bhi kam thi. Sabhi ki nighaein samne hi aaur tiki thi jahan shayad prachin aur behad behad hi purana banaya hua aisa archaeological structure tha jiski shayad kalpana bhi na ki hogi. Mitti ke bhure rang jaise pathron se bani hui chiz jiske pattiyun ki ladh jagah jagah ko dhaki hui thi.

" Yahi rasta hai andar jane ka... " meghnath usko apni ankhon mein samane ke baad bol pada.

" Tumhe kaise pata chala ki yahan kuch hai.. " shruti ab nakar nahi sakti thi.

" pani ke bhav se.. ye dekho.. " meghnath ne sabko niche dekhne ke liye kaha, jahan vo khade the, uske lagte hue ki chaudi si nali bani thi jisme jungle se pani aa raha tha par baat bas itni hi nahi thi balki vo nali samne bane structure ki taraf jakar uski deewaron main kahin khatam ho rahi thi lekin pani bhar nahi raha tha.

" Pani nalli main bhar nahi raha yani ki.. "

" Vo iske andar jaa raha hai.. Matlab samajh rahe ho.. Tabhi ye jagah kisi ko nahi dikhi, nahi mili.. kyun ki ye jagah zameen ke niche bani hui hai.. " Meghnath ne samjhte hi apni baat rakh di, na jane kya andaaz tha uske kehne mein ki ek pal ke liye sabhi ke rongte khade ho gaye.

" Darwaja to yahi hai lekin ye khulega kaise.. " ek chaudi si deewar ko dakhelne ki kosish karke thakne ke baad vishal bola.

" Jab yahan tak mila hai to andar jane ka rasta bhi isi mein kahin chupa hoga. Ek baar aur kosish karte hai " meghnath ne vishal ki madad lete hue dubara us deewar ko dhakka mara lekin vo nahi khula.

" mujhe nahi lagta ye aise khulega.. ho sakta hai ye koi trick se khulta ho.. kahaniyun main pada hai na.. bachpan main cartoons mein bhi dikhate the? "

" Ye baat thodi der pehle bolti to mehnat bach jati.. " vishal hanfte hue bola.

" Abhi ayi dimag mein.. vaise bata dun, main nahi hoti to tum log yahan tak pahunch nahi patte.. ghoor kya rahe ho andar jane ka tarika dhundo.. " vishal ko apni taraf ghurta pakar shruti bol padi. Ab wahan aisa kya tha jise dhunda jaa sake, sab wahi soch rahe the ki aaruhi bol padi.

" Yahan kuch hai.. " baki deewar jo pattiyun ki laddh se chupi hui thi, Aaruhi ne unhi ko hata kar dekha tha. Meghnath ne turant utni jagah se un ladh ko kaat diya aur saaf kar diya taki asani se dekha jaa sake ki akhir wahan hai kya. Chakor akar mein bana hua box jaisa tha, mano bada pathar ka ek block nikal rakha ho lekin uske andar kuch nahi tha.

" ent lagana bhul gaye yahan par " shruti ki tippdi par koi nahi bola.

" ajeeb si chiz hai.. dekho uppar ki taraf se kuch nikal raha hai " vishal ne ishara kiya to sabki nazar uske uppar wale hisse par gayi, chakle jaise akar ka pathar thoda niche ki taraf nikla hua tha.

" isko daba kar dekhu kya.. " shruti ne kehte sath hi usko niche se uppar ki taraf press kiya lekin kuch bhi nahi hua. Vo chiz apni jagah par atal rahi. " lagta hai design hai.. kalakari bhi to jaruri hai " vo piche hatt gayi.

" Aur kuch dhundna hoga.. dekho.. in deewaron mein hi kuch chupa hai.. " meghnath ne kaha.

" hume dusri taraf bhi dekhna chahie, kya pata wahan bhi kuch aisa bana ho jise kuch idea mil sake.. " aaruhi ki baat sahi thi. Meghnath ne pehle ek taraf ki laddh ko kaat kar saaf kiya jitna uska hath jaa sakta tha kyun ki vo deeewar takreeban das se pandrah feet ki rahi hogi isliye jitna uska hath gaya usne utni laddhh hata di. Vishal aur aaruhi ne tab tak ke liye dusri side ki deewar se laddh saaf kar di.

" agar uppar ki taraf kuch hua to kaise dhundoge? " shruti ko meghnath ke sath hi khadi thi usne use dhimi awaz mein kaha. Meghnath ko uski nakaaraatmakata ko dekh gussa to aya par vo kuch kehta use pehle aaruhi ki awaz sun dono us taraf jaa pahnche.

" Yahan par bhi us jaisa hi bana hua hai.. " vo chakor shape ki jagah wahan par bani thi.

" Yani udhar koi ent lagana nahi bhula hai.. balki "

" Balki ise kuch juda hai.. iska uppar se vo hissa dekho wahan se kahin jada niche hai.. " vishal ka ishara chakle jaise akar ke pathar par tha jo uppar se kafi niche ki aaur aya hua tha wahin us taraf aisa nahi tha.

" tumhe kya lagta hai iska koi connection hai, is darwaje se ? " shruti boli.

" pata nahi.. par kosish kar ke dekh sakte hai " vishal aage badha aur usne us chakle walle hisse par niche se hath rakh kar dum lagate hue uppar ki taraf dhakela.

" arggghhhhh... " uske muh se thuk ki bundein wahan gir padi.

" tum itni takat kyun laga rahe ho " shruti boli.

" mu...jhe aisa ... lag raha hai.. ki ye uppar ki taraf jaa ... raa....haa... hai... " vishal ke galle ki nasein ful gayi thi. Use apni hateli par abhas ho raha tha ki vo jis chiz ko piche dhakel raha hai uspar ek asar sa ho raha hai. Vishal ki baat sun meghnath bhi uski madad ke liye pahunch gaya aur usne bhi usi ki tarah dum lagana shuru kar dia.

" tum dono bevajah mehnat kar rahe ho.. vo pathar zara sa bhi nahi hil raha hai.. vaisa hi hai jaam ka jaaam... chhod... " shruti itna hi boli ki tabhi ek zor-dar awaz hui mano kafi waqt se koi band chiz ko khola gaya ho.

" Darwaja khul raha hai... " aaruhi ki ankhein uppar ki tarf uth gaya. Vo theek usi darwaje ke samne khadi thi, ek anjani si dhool uske sharir ko chhute hue nikali. Samne vo pathar ka bada sa tukda dhire-dhire khulne laga.

" Darwaja khul raha hai.. thoda aur dum lagao.. " aaruhi dono ki taraf dekhte hue boli. Sabhi ki sansein bahut jada gehra chuki thi. Meghnath aur vishal dono aur jada takar lagane main jut gaye. Unke per gilli miti mein dhans gaye the. Darwaja dhire-dhire khulta gaya aur tabhi keechad mein danse per hone ki wajah se jada zor ankle par pada aur vo halka mud gaya jiski wajah se meghnath ki takat kam ho gayi aur uska hath fisal gaya. Uska hath fisalte hi vishal ki hatheli par jo dabab aya vo use sambhal na saka aur usne use piche khinch liya. Jaise hi dono hath piche hatte, vo darwaja jo adhe se thoda kam khul gaya tha vo ek jhatke mein dubara band ho gaya.

Vishal aur meghnath wahin jaa gire, unka badan jawab de chuka tha. Hanfte hue vishal to usi kichad mein piche ki taraf lait gaya. Meghnath ke per kanp rahe the par usne unki parwah nahi ki, vo apni jagah se khada hua aur akele hi dubara kosish karne laga.

" Meghnath mat karo kosish, koi faiyda nahi hai.. tum akele nahi kar sakte " aaruhi ne use samjhaya.

" main kar sakta hun... ma...in... aarghghhhhh... kar sakta hu... " vo kosish kar raha tha lekin uska asar nahi tha, vo itna shaktishali nahi tha ki vo apni takat se isko khol sake.

" ruk jao.. iska koi aur tarika hoga.. hume takat lagani padegi lekin ... budhi ki.. " aaruhi ke kehne par aakhirkar meghnath piche hat gaya. Use samajh gaya tha ki vo apni takat se darwaja nahi khol sakta. Itne kareeb pahunch kar haar jana use khud par gussa aa raha tha.

" kaash banane walledo char ent yahan chhod jatte to use niche laga kar ise rok lete... " shruti ne mazak main hi apni baat kahi lekin aaruhi ko jaise kuch mil gaya.

" Kya hum ise niche ane se rok sakte hai? " aaruhi ne khud se sawal kiya ya sabse abhi kisi ko clear nahi hua tha.

" rok sakte hai? kisse? yahan kuch nahi hai aur kya milega ... pressure bahut jada hai.. koi sadharan si chiz rok nahi payegi.. ent bhi hoti to shayad nahi.. " vishal janta tha ki vo dabab kitna jada gehra tha ek pal ke liye use laga tha ki uski hateli ki haddi tut jayegi.

" Wahi keh rahi hun.. itna asan hota ise kholna to koi bhi khol kar andar jaa sakta tha. Dekho tum... mujhe tumhari kahani par vishwas ho gaya hai.. maan liya ki tum sahi keh rahe the lekin andar jane ka rasta asan nahi hai.. aur mujhe nahi lagta hamare pas koi tarika hai.. " shruti abhi meghnath ko samjha rahi thi ki aaruhi ne rok dia.

" ek tarika hai... " aaruhi ki baat sun sab uski taraf dekhne lage lekin uski nazar kahin aur thi.

" tumhe lagta hai ye kaam ayega? " sabhi chaunke hue the, kisi ko to vaise bhi 'Egyption Box' ke bare mein yaad bhi nahi tha.

" Aaruhi tu rehne de.. dimag chalane ka kaam hamara hai.. tu.. rehne de... bas.. " shruti ne use ishare se mana kiya.

" Aaruhi tum box ko use karna chahti ho? Kaise? hume samajh nahi aa rha " vishal ne jab kaha to shruti ne uski kamar main chhutti kaat di.

" box khol kar "

" ye kya keh rahi ho tum? tum kya bhool gayi ki pichli baar jab ye box use hua tha to kya hua tha? Ajeeb sa banda nikal aya tha..." shruti fauran boli.

" han aaruhi.. box use nahi kar sakte.. "

" Box ko use nahi karna.. hume sirf uski madad leni hai.. " Aaruhi ne bina intezar kiye, box ke uppar gol ring ko ghuma kar niche ki tarah push kar dia. Jiske push hote hi vo ring uppar ki taraf ayi aur chakr ki tarah khul gayi. Uske charon taraf nukile huke se nikal aye. Aisa hota dekh sabhi ek dusre ki shakal dekhne lage.

" Par kya iski unchai itni hai jitni hume chahie? " shruti ne fir sawal kiya.

" Vo to istemal karne ke baad hi pata chalega.... " meghnath ki ankhon mein chamak thi. Aaruhi ne ring ko anti-clockwise ghumaya aur vo ring ke huks andar chale gaye aur ring wapis box se aa judi. Meghnath ne fauran box utha liya aur vo deewar ki taraf badha.

" isne ye kaise kiya? " shruti fusfusai aur vishal ne kandha utha kar jawab diya ki use nahi pata.

" aisa lag raha hai mano box ke liye is jagah ko khali chhoda gaya tha.. " meghnath ne box ko us ched ke andar rakh diya tha jise dekh kar bilkul aisa lag raha tha mano usi ke liye banaya gaya ho.

" main bhi yahi soch rahi thi.. "

" tayar ho tum.. " meghnath ne vishal se kaha jispar usne han main ishara kar dia.

" theek hai aaruhi, jab hum kahe tab.. " meghnath ki baat samjhte hi aaruhi ne han main sar hillaya. Box ko bahar nikal kar aaruhi ko pakda diya. Meghnath ne apni hatheli uppar ki taraf rakhi aur dum lagane laga usi pal vishal ne bhi wahi kiya aur is baar piche se support dene ke liye shruti ne vishal ke peron ko zoron se pakad liya taki vo mude nahi.

"aaarrggghhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh " dono ke muh se cheekh nikli. Itni jada matra main dum lagaya ki hath aur galle ki nasein unki khaal ko faadne ke liye tayar ho gayi thi. Unki mehnat, unki takat vyarth na hui aur ek baar fir darwaja khulne laga.

" thoda sa aur push... " khulte darwaje ko dekh aaruhi boli. Darwaja khulne laga tha. " darwaja khul raha hai, thoda aur pussh... " aaruhi chillai. Vishal aur megnath ne apni puri takat jhok di, dono ke sharir buri tarah se kanp rahe the, chilla rahe the.

" aarruhi... abhi..... " meghnath chillaya. Aaruhi turant aage badhi aur usne box ko uske andar rakh diya. Bas ab ring ghumane ki deri thi par bechaini uspar havi thi. Sabhi ki nighain uspar tiki thi. Usne ek dafa meghnath ko dekha, to pasine aur dard se chehra laal tha mud kar dekha aur fir ek baar vishal ko jiska bhi wahi haal tha., pani ka shor uske kano mein gunj raha tha. Ajeeb si halchal sharir main uppar niche daud rahi thi. Fir usne ek pal ankhein band ki aur ring par hath ferte apni akhein kholte hue ghuma dia usi kram main jaise ghumane ki jarurat thi. Ghumate sath hi usne hath wapis piche kiya aur vo ring uppar ki taraf uthne lagi. Man main sirf utna hi veham tha ki ring ki unchai wahan tak pahunch jaye. Andaza usi pal sachai main badal gaya jab ring thik us pathar ke niche jaa ruki jiske rukte hi uske charon taraf se huk nikal gaye aur us pathar se ja chipke. Sahi mauke par meghnath ko aaruhi ne aur vishal ko shruti ne piche khinch liya warna vo huk unke hath ko faad dete. Khinchte sath hi chaorn ki nazar us tara hi jami rahi aur fir ek sath darwaje ki taraf gayi, jo adha khula hua tha.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,712
8,628
219
Top